Maqsood Hasni
ke
taies moqalaat
Tadvein
Prof. Niamat Ali Mortazai
Abuzar Barqi Kutab'khana
July 2016
Farist
1- Kiya yah sach nahain?!
2- Dehshat gardi ka khatama kayyoon kar Ho?!
3- Dehshat gardi aur os kay khatmay ki tadbeer
4- Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushman
5- Wasael aur oon ka mojoda andaz-e-tasaruf
6- Aaj Ourat Ko Ourat Hi Bacha Sakti Hai
7- Koee to os ko samjha'ay
8- Asal baad'qismati to yah hai
9- Baght Sufi Faqeer Darvaish Guru Allah lok
10- Tajarba aur os ehmiat
11- Ahal-e-ilm izhar-e-khayaal farmaein
13- Aap ke nazdeek
14- Allah Sahib kisi bhi sata par ghalt nahain karta
15- Dard walo! Otho aur insan bachao
16- Kafir Koun?!
17- Baat to hoti rehni chahiay
18- Woh eak aankh daikhta hai.
19- Amun kay liay kya yah zarori hai?!
20- Apni khudaee kay monkar khuda
21- Aaj ki mosalman qoum
22- Pakistan dushmun koun hain
23- Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
Kiya yah sach nahain?!
Mosbat ikhtalafaat fikri balidgi kay liay yaqinun baray kaam ki
cheez hai. Eslah-e-ahwal kay liay in ki mojodgi zarori hai. In hi
kay hawala say tameez-o-imtiyaaz ki surtain samnay aati hain.
Insan sadyoon say taqseem dar taqseem kay amal say gozarta aa
raha hai. Is say bari baad qismati yah hai kah yah amal din ba
din bharta hi chala ja raha hai. Mafad parast anasar inhain
mazeed barha rahay hain. Natija-e-kar insan ka laho bai'waqar
ho giya hai. Insan mehaz in kay hath ka khilona ho giya hai.
Aakhar yah sab kiya aur kayoon hai?????
Ehsas tabqay na'seraf is par ghoor kartay hain bal'kah dukhi bhi
hotay hain aur wo khud ko baibass samjhtay hain. Amun aur
insani sakoon kay liay apni si kosheshain bhi kartay hain. Mafad
parast tabqay amun aur sakoon kay kiyam kay liay talwar otha
rahay hain. Jab kah haqiqat yah hai kah bai'sakoni kay wo khud
zima'dar hain aur raad amal ko khatam karnay kay liay gilay
sokay sab ko ragra diya ja raha hai. Wo khud ko mehfooz karna
chahtay hain hain. Wo jantay hain bil'aakhir mout oon ki ho gi.
Chinay ga'ay wasael wapis chalay jaein gay.
Ansted University kay bani member Dr. Roger Haw samaji
zimadari ka ehsas karnay aur nibhanay kay hawala say kaam
kar rahay hain jab kah Dr. Adam B. Bodomo samaji sanjhoon
kay hawala say apnay hissa ka kirdar ada kar rahay hain. Mairay
nazdeek her doo omoor kay sath lisani mamaslatoon aur
wahdatoon ko talashnay ki bhi zarorat hai. Goya aman sakoon
aur wahdat-e-insani kay liay in tinoon omoor par bhar'poor
kaam karna aaj ki pehli tarji qarar paee jani chaheay. Is tara
insan taqseem dar'taqseem kay amal say najaat pa sakta hai.
Ba'surat digar aatay kal ka insan, insan nahain darinda ho ga.
Bawar rehna chahiay aatay door ki shabashi ya lanat, gozray
door kay sar aati hai.
Yah baat itni bareek aur mohbam nahain jo insan ki samjh main
na aa sakay. Adaray shah kay gomashtay hotay hain aur her
acha bora os ki khush'nodi kay liay anjaam daitay hain. Onhoon
nay kabhi aur kisi bhi door main logoon kay liay kuch nahain
kiya halankah wo logoon ki behbood kay liay qiyaam main aatay
hain. Shah aur os kay adaray hamaisha say awaam ki jaib ka
bojh rahay hain. Jab tak insan samjh nahain jata bojh rahain
gay. Logoon ki mehnat ki kamaee par shah aur os kay gamashtay
aish ki gozartay rahain gay. Taj Mohal tameer hotay rahain ge.
Hasib e sabq sach likhna aur sach kehna jum e azeem qarar
pa'ay ga. Logoon ko chota gosht daikhnay ko naseeb nahain hota
laikin shah ki is moqadas ga'ay ko haftay main doo bar mayasar
aata hai. Ajeeb andhair hai mehnat karnay waloon ki izzat
karnay ki baja'ay onhain shah ki gholami karnay par majboor
kiya jata hai. Inkar ki surat main in ki gardanain jisam ka hisa
nahain rehtein.
Mein samjhta hoon is main shah aur os kay ghamashtoon ka
koee qasoor nahain. Yah sara qasoor in mehnat kashoon ka hai.
Yah moti si baat aakhar aaj tak in ki samjh main kayoon nahain
aaee. Donyaan ki sari laraeaan shah kay liay lari gaee hain.
Warna aam admi ka kisi dosray molak kay aam aadmi say kiya
masla ho sakta hai. Donyaan kay her khitay ka aam admi
kayoon nahain daikhta moamla shah ka hai lihaza wo jananay
aur os ka kaam janay. Os ki madad aur ta'awan kaisa aur kis
hisab main. Sarkain bana raha ho, hospital tameer kar raha ho,
yatimoon kay liay koee project bana raha ho koee bhi kaam jo
insan kay liay faeda mand ho to is hawala say madad ka jawaz
nikalta hai.
Aisa koonsa adara hai jahan say aam admi ko faiz mil pata hai.
Darkhast dahinda hi ko dhar liay jata hai ya phir wo insaf ki
hasoli kay liay airiaan ragar ragar kar mar jata hai.
Molvi pandat, padri waghera kabhi danista aur hamaisha adat
say majboor insanoon ko taqseem kartay rehtay hain. Barah-e-
rast na sahi yah bhi shah kay madad'gar hain.
Mein kehta hoon hind, muslim asaee, yahodi, sikh waghera say
pehlay her koee insan hai. Yahhi kora-e-arz par os ki shanakht
hai. Is kay baad hi os ki koee sanvi shanakht aati hai. Ba toor
insan, insan ko insan kay qareeb tareen hona chahiay. Apnay
masael khud say hal karay. Apni zaroratain khud say puri
karain. Dukh main eak dosray ka kaam aaein. Insan, insan ki
khud say hifazat ka zima lay. Issay shah aur os kay gamashtoon
ki zarorat hi nahain rehni chahiay. Jab insan, insan kay qareeb
aa ja ay ga to koee masla hi baqi na rahay ga. Aaj insan ko shah
aur os kay gamashtoon ki zarorat nahain hai. Insan ko insan ki
zarorat hai. Shah aur os kay gamashtay badi ka khuda hain.
inhain taiyagnay ki zarorat hai.
Insano aao!
Shah aur os kay gamashtoon ka galap choro aur apni madad
aap ka asool ikhtayaar karo. Mein yaqein say kehta hoon in say
tomhain kabhi kuch nahain mil pa'ay ga. Yah apna olu sidha
karnay kay siwa kuch nahain jantay aur nahi janna chahtay
hain. Aaj kay halaat main ehal-e-dard aur ehal-e-danish ka faraz
hai kah wo insanoon ko eak dosray kay qareeb laein. Insan ko
taqseem kay her harbay say bachanay ki saee karain. Samaji aur
lisani sanjhoon ko talash kar dorioon ko nazdikioon main
tabdeel kiya ja sakta hai. Shaed oon ki kosheshain insan ko shah
aur os kay gamashtoon say bacha sakain. Mein janat hoon yah
bara karwa sach hai laikin is ko janay bagher amun aur sakoon
ka sans nahain liya ja sakta.
____________
Dehshat gardi ka khatama kayyoon kar Ho?!
Aaj ki insani nasl itni bai his nahain hoee aur na hi bai'rahro,
bai'adab, khud'ghrz aur khud'sari ka shakar hoee hai kah woh
apnay rohani paishwaoon, bazurgoon aur baroon ko khatar
main na lati ho.
Mada itna bhi motabar aur mohtaram nahain howa jitna kah
daikhnay aur samjhnay main aa raha hai. Jo dikhae day raha hai
wohi sab kuch nahain ya yahhi aakhri haqiqat hai. Is kay pichay
bohat kuch aur bhi hai. Jis ki tafheem abhi baqi hai. Aqab ki
tafheem aur paziraee aaj ki pehli tarji kay darjay par faez hai.
Yah baat poray yaqein say kahi ja sakti hai kah is aqab ki talash
zahir parast na kar sakain gay aur nahi os tak oon ki rasaee
momkinaat main hai. Sachi baat to yahh hai kah wo aisa karna
bhi nahain cahtay.
Aaj ki nasl apnay rohani bazurgoon ka na'seraf ehtaram karti
hai bal'kah oon kay kahay par amal karna apnay liay
baes-e-sa'adat samjhti hai. Hazrat Maha atma Budh, Hazrat Zar
tusht Hazrat Essa Mashi, Hazrat Barahma Dev, Hazrat Shive,
Hazrat Vishnu, hazrat Goru Nanak Dev, Hazrat Bahaulla,
Sachaoon kay mosadaq Hazrat syedna Mohammad mein
na'cheez fani saad hazar bar oon ke qadmoon ki matti par nisar
ki mohabatoon aur rahmatoon kay sar chashmoon* say log aaj
bhi faiz yaab hotay hain.
Daikhnay main aisa lagta hai kah in bigray halaat ka ab kuch
nahain ho sakta ya ho sakay ga. Aisi soch qatee shatani hai aur
kaj amli par dalalat karti hai. Log to rasta daikh rahain kah koee
aa'ay aur oon ki ghael rohoon kay zakhmoon par marum rakhay.
Yahhi nahain onhain rasta sojha'ay, oon kay diloon ko thandak
aur farhat bukhshy, taqseem aur taqseem dar taqseem kay
darwazay band karay.
Woh bhi hain
kay tasawar ko ojagar karay.
Aisay main Shayukh nay midan-e-amal main qadam na rakha to
yah bohat bari ghalti aur bhool ho gi. Dehshat gardi ka kansar
zour pakarta ja'ay ga aur aakhar-e-kar 3rd. stage par aa ja'ay ga.
Phir siraf aur siraf mout, insan ki mout ho gi. Kuch sojhaee na
day ga. Jumla adyan Shaukh par wazay rehna chahiay kah woh
Aaj kay Amin aur MASIHA hain. Logoon kay dard ka hal oon
kay pas hai. Aati nasloon ki fikri-o-qalbi hayat-o- mout oon kay
hath main hai. Oon kay pas dawa aur jarahat ka saman ba surat
rohani shakti mojood hai. Agar insan baqi na raha to oon ki
izzat, mohabat aur ehtaram kab baqi rahay ga. Agar yah zulm
aur boraee ka hath nahain rook saktay zoban say keh nahain
saktay to kam az kam zulm aur boraee say nafrat ki soch ko to
diloon main faroogh day saktay hain. Diloon kay phirnay say
soch kay halqay az khud mur jaein gay.
Yah sachaee kay Mohtarum Qazi hain. Inhain Insan Bachao
ka faisla inhain daina hi ho ga. In kay faislay par aaj amal
daramad ho ya na ho, in kay faislay ki haisiat aur ehmiat, jab tak
insan baqi hai motabar aur mohtaram rahay gi.
Lafz Jihad qabal-e-Dashnaam tehra hai. Is ki tashri-o-tabeer kay
hawala say gher janib dari aur eman dari say kaam nahain liya
ja raha. Jihad koshesh, tag-o-doo, saee, struggle waghera ka
motradaf lafz hai. Tarikh kay sab pannay is amar ki khuli goahi
dain gay kah kisi Eslah konida nay talwaar say kaam nahain liya.
Onhoon nay bari bord bari hosla mandi say pathar kha'ay. Kuch
to bari shan say daar tak bhi ga'ay. Zehar ko amrat samjh kar
nosh-e-jan kiya. Dehkti aag oon ke hosle past na kar saki. Woh
jantay thay kah sab Allah ka hai aur Allah ke liay hi hai. Haan
jab kabhi nobat aaee to difa main talwaar zaroor othaee, difa
main alaqa fata karnay ke liay nahain.
Aaj insan ko tazabzab aur khoof ki soli say otarna hai. Tazabzab
aur khoof hi insan ko talwaar othanay par majboor kar raha hai.
Jab insan par khol ja'ay ga kah woh jis ko marnay ja raha woh os
ka apna partu hai aur kisi aur ka qatal khud os ka apna qatal
hai to woh kabhi tawaar nahain otha'ay ga. Her insan dosray kay
liay motabar aur mohtaram tehray ga.
Soch main taharat aur pakizgi Shani Dev nahain, Barahma ji kay
povitar boloon say hi aana mokin hai. Sukhan-e-Hafif hi
raishmiat paida kar sakta hai. Goru Garanth Sahib kay Shabd
hosan-e-kalaam ki vaja ban saktay hain. Jab insan insan kay liay
motabar aur mohtaram ho ga to hi woh sarapa Quran ho sakay
ga.
Rang nasal alaqa zoban qabila firqa, mazhab waghera ki tafreeq
khatam honay say insan, insan kay qareeb aa sakta hai. Yah
qorbat reshta darioon main tabdeel ho gi.
Bawar rahay laho, laho hota hai aur yah her hawala say motabar
aur mohtam hai. Is ka behtay rehna thek nahain. Yah ragoon
main dorta phirta hi acha lagta hai.
Kholasa-e-kalaam :
1- Ulma karam tafreeq ka rasta choor kar aur mukhsous
halqoon aur daeroon say nikal kar insan kay diloon ko phairain.
2- Puri donyaan main Rohani assambliaan qaem ki jaein.
3- Ulma-o-Shayookh zindagi ko sada aasan aur qana'at
pasandi ka daras dain. Chein kar aish-o-aaram ki gozarna konsi
laeq-e-tehsein baat hai.
4- Ambiya aur Solaihein zalim ko os kay zulm ka baar baar
ehsas dalatay rahay hain, Ulma-o-Shayookh bhi oon ki sonnat
par amal karain
5- Mahaireen-e-Lisanyaat zobanoon main tehzibi, samaji aur
lisani sanjhain talash karain.
6- Jumla mazahib kay ulma mazahib main mushtarik
qadroon ko talashain
7- Insani zidagi kay is khatar'naak moor par Hazrat
Amam-e-Kaba, Hazrat Pop John Paul, Hazrat Dalaee Lama aur
is status kay digar akabrein apni zima'darioon ka ehsas karain
aur insan ko bachaein
Aatay kal kay liay kuch to warsa choor kar jana hi ho ga. Yah
aatay kal ka haq hai. Aatay kal kay log bhi hosn sakoon aur
asudgi ka haq rakhtay hain. Yah oon par koee ehsan nahain
hamara farz hai. Woh hamaray hi bachay hoon gay. Hamain
onhain kuch to acha tarkay main day kar marna chahiay warna
hamari aur kottay ki mout main kiya faraq reh ja'ay ga. Onhain
bangla, kothi, kar waghera say ziyada ehtaram, shanakht,
sakoon achi ravayaat, achay sanskar ki ziyada zarorat ho gi.
----------------------------------
Dehshat gardi aur os kay khatmay ki tadbeer
Dehshat gardi aur ossay kochalnay kay hawala say jo
toofan-e-baad'tamizi barpa hai is say insaniat aur
makhlooq-e-falki bhi sharminda sharminda ho gaee ho gi.
Shitan khush ho ga kah mein nay os insan ko ko'rah kar diya hai
ya woh azkhud ko'rah ho giya hai jissay sajda na karnay ki surat
main raenda-e-dargah hona os ka moqdar tehra.
Aaj dard-e-Dil rakhnay waloon ko midan main otarna chahiay
aur qatal-o-gharat ko roknay kay hawala say apni si koshesh
karni chahiay. Ba'surat-e-digar woh bhi is ehad kay mujram aur
gonah'gar tehrain gay. Aati naslain oon par lanat bhaijain gi. Ab
waqt aa giya hai kah Mashaekh aur tamam adyan kay motadil
Ulma Karam apna kirdar ada karain. Logoon ko Guru Nanak ,
Rehman Baba, Shah Abdul Latif Bhatae, Bulle Shah, Shah
Hussain, Saein Sachal Sarmast waghera ka kalaam sonaein.
Onhain aman aur shanti ka dars dain. Sach ko sach kahein. Yah
zindagi hamaisha ki nahain. Her kisi nay eak din Jahan chorna
hai. Marna thos aur atal haqiqat hai. Almi dehshat'gard
babar aish kosh kah donya dobara naist
kay pairo hain
Achaee ko zobani kalami manna maniviat nahain rakhta, is ka
amli saboot bhi milna chahiay. Gharoon main rehnay walay
bai'ghar ho kar roti kay chand tokroon ko taras gay hain. Pait
bhar kar khanay waloon kay halaq say loqmay kayoon'kar
gozartay hain.
Eak shakas bhi bhook say soya to is ki amir-e-waqt say poch ho
gi. Logoon say chein kar nahain, Amir-e-waqt apni gira-e-khud
say day sab jantay hain kah os ka khisa moflas aur qalash
nahain.
Amir-e-waqt ko bholna nahain chahiay kah Bhook say barh kar
koee andhi taqat nahain. Yah bhokay piyasay aur bai'chat kab
tak bhook bardast karain gay---------kab tak........ akhir kab tak?!
Bhook piyas eak haad tak bardast ho sakti hai. Bardasht kay
baad kaee aur mahaz khol jaein gay. Phir kiya ho ga, is amar ka
tasawar bhi larza bar andam kar daita hai. Kiya in bhook kay
maroon kay manfi amaal ko bhi dehshat'gardi ya shidat pasandi
ka naam day kar qatal kiya ja'ay ga ya in kay hatoon roti khatay
qatal hoon gay. Ghar aur roti pani to pehli aur aakhri zarorat
hai. Bhook say nijat ki sochna bhi dehshat gardi say kam nahain.
Yahaan Hazrat Paighambar-e-Islam (Oon par unhaad Darood o
salaam) kay chand Hosn Paroon ko darj karnay ki sa'adat hasal
kar raha hoon aur yah farmodaat amal ka taqaza kartay hain:
"Tum main say intahaee na'pasandida woh hain jo
choghal'khoor hain aur dostoon main tafreeq paida karnay
walay hain"
(Tibrani)
"Tum (sakht'kalami) ka aisa jawab doo jo bohat acha ho. (aisa
karnay say) tum daikho gay jis main aur tum main dushmani thi
goya woh tumhara garam'josh dost hai----------"
(Muslim)
"Jo tumharay sath baad'akhlaqi karta hai os kay sath bord'bari
say paish aao aur jo tum say ziyadti karta hai ossay moaf kar doo
aur jo tumhain mehroom rakhta hai ossay doo aur jo tum say
qata ta'alaq karta hai os say sila-e-rehmi karo"
(Tibrani)
"Jab tak tum eak dosray* say meharban nahain ho jatay os waqt
tak tum eman'dar nahain ho saktay"
(Tibrani)
"Narmi jis cheez main bhi ho ossay mazaein kar daiti hai aur jis
cheez say ossay khatam kar diya ja'ay ossay mayoob bana daiti
hai." (Muslim)
---------------------------------
* Awamun'nas par meharban hona morad hai
Thu Jun 04, 2009 7:36 am
_________________
urfi67
Forum Family Member
Dr,,,as usual very nice sharing
Thu Jun 04, 2009 2:14 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
shukarreya janab
_________________
http://www.forumpakistan.com/dehshat-gardi-aur-os-kay-khat
may-ki-tadbeer-t28428.html#ixzz4GHj7a0c6
Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushman
Aankh say sonnay,
kan say bolnay
aur monh say daikhnay ki koshesh ya khaesh yaqinun fitrat kay
sath gustakhi ho gi.
Gurday dharak nahain saktay,
dil say pishaab karnay kay ozo ka kaam laina hamaqat aur
na'dani say ziyada kuch nahain.
Yah na'siraf fitrat kay khalaf zulm, ziyadti aur sazish ho gi
balkah in aza ko bhi mout kay ghaat otarna ho ga. Baz log fitrat
kay dushman afaal ko siraf aur siraf chand lamhoon ki lazat aur
lutaf ko rawa rakhtay hain. Is lutaf lazzat ya ilati majbori ki
pusht par un'haad noqsanaat ki ghatri mojood hoti hai. Waqt
gozar janay kay baad her qisam ka dawa daru bai'asar bai'maeni
aur la'yaeni teharta hai.
Aaj kay taraqi pasand aur mafadi ehad main bhi ghalt ho raha
hai aur shakas apna hi noqsan kiay ja raha hai to is say barh kar
koee hairat ki baat nahain ho sakti.
Aaj chahar soo jamhoriat ka charcha aur bool bala daikhnay
sonnay main aa raha hai aur jamhoriat ko her dukh dard aur
aazadi ka madawa samjh liya giya hai jabkah is say bhar'kar
koee na'maqool aur gher fitri cheez hinahain. Eak misal say
apnay moaqaf ki wazahat karna chahoon ga:
Mudat hoee hai yaar ko mehmaan kiay howay
Josh-e-qadah say bazm charaghaan kiay howay
Yah shaiar Ustad Ghalib ka hai. Agar sari donyaan issay Mir
Sahib ka shaiar keh day to bhi yah shaiar Mir Sahib ka nahain
ho sakta. Jamhoriat ka kamal hai kah wo issay Mir Sahib say
mansoob kar sakti hai. Jamhoriat das main say 6 kay kahay ko
darust qarar daiti. Is main baat ko nahain ginti ko darust mana
jata hai. Jamhoriat yah nahain daikhti kah ghalt ko darust qarar
dainay ka prinaam kiya ho ga aur anjaam ka bhogtaan kaisay ho
sakay ga.
Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hai laikin os kaam ka
barsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya aazad honay ki haisiat say
honay ki noeat qatee mukhtalif hai. Os ghalt kay hawala say
ghalt'kar hi motasar nahain hotay balkah oon ki ghalt'kari
society ko bhi lay dobti hai.
Hum'jinsi ko koee bhi haisiat dainay walay shaed nahain jantay
kah is ka shakas aur society par kiya asar ho ga aur yah choot ki
haisiat ikhtayar kar gaee to puri insani baradri ka kiya ho ga.
Chand mobtala ashkas ki shakasi aazadi ko lay kar ya ossay vote
power samjh kar puri society ka baira gharaq nahain hona
chahiay.
Is ghalt'kari kay noqsanaat kay ziman main chand morozaat
paish karta hoon:
Eak discharage say eak karoor aur sola lakh kay qareeb saparm
ka akhraj hota hai. Her saparm main insan bannay ki salahiat
hoti hai. Goya mobtala eak karoor sola lakh insanoon ki shakti jo
os main mojood hoti hai say la'yaeni mehroom ho giya.Ourat par
dischrage honay say eak ya eak say ziyada insan janum laitay aur
kaenaat kay hosn main azafay ka sabab bantay. Fitri amal say
kuch to output samnay aata jabkah hum'jins say jinsi khail koee
output samnay nahain lata. Ourat say malaap fitri amal hai
jabkah humjins say malaap gher fitri. Gher fitri amal mosbat
nataej say hum'kinar nahain karta. Is kay manfi nataej baramad
hotay hain. Jo shakhasi aur samaji hawala say khoof'naak sabat
ho saktay hain.
Hum'jinsi say fael kay saparm kamzoor partay hain phir eak
waqt aisa bhi aata hai kah wo mar jatay hain. Fael kay
aala-e-tanasol main jhakao aur taiar'pan aa jata hai. Fael kay
aala-e-tanasal ki bala-o-zarein varidain kamzoor par jati hain.
Pinas ki jild phat jati hai jis kay zariay kaee bimarioon kay
jaraseem dakhal ho saktay hain. Sozak aisi na'morad bimari
lahaq ho sakti hai.
Zarorat parnay par sinaf-e-mokhlif say malaap ki surat main
pachidigiaan rah pa jati hain.
Mada manviya bai'tara ki kharabioon ka shakar ho jata hai.
Fariqain aala-e-tanasol ko chosnay ka kaam bhi kartay hain. Yah
surat sehhat kay liay intahaee khatar'nak hoti hai.
Jaryan aur surat-e-anzal ka lahaq hona yaqini ho jata hai.
Surat-e-anzal kay liay adviyaat istamal main laee jati hai. In
adviyaat say:
1-Qovat-e-bardasht khatam ho jati hai.
2- Janoni halat ho jati hai.
3- Gorday matasar hotay hain.
4- Dil ki bimariyaan janum lay laiti hain.
5- Fariqain apni hi nazroon say gir jatay hain aur os kay baad
baihisi ki surat paida ho jati hai.
6-Yaad'dasht ko noqsan ponchta hai.
7- Nafasyati bimariyaan rah pati hain.
8-Chirchara'pun paida ho jata hai.
9- Anis ghalazat ki jaga hai. Aala-e-tanasol ghalazat say aaloda
hota hai. Fozlay say is nazok ozo ka touch hona, khir ki khabar
nahain la sakta.
Fitri amal ki surat main utaras zarorat kay motabaq saparm lay
laiti hai baqi nikal bahar karti hai. Hamal na teharnay ki surat
main bhi saparm andam-nihani main rok nahain patay.
Androni nazam onhain andar roknay nahain daita. Is kay
bar'akas pith main saparm dakhal ho jaein to bahar nahain
nikal patay kayoon'kah Qudrat nay is ka koee intazam hi nahain
kiya. Her saparm main insan bannay ki salahiat mojood hoti hai.
Jab wo andar hi mar jatay hain to oon ki haisiat mordar ki si hoti
hai. Morda jism main kiray paida ho jatay hain aur yah kiray
apna thikana bana laitay hain. In ki khorak saparm (admi) banti
hai. Is hawala say onhain adam'khoor kehna ziyada monasab ho
ga. Agar onhain khorak mayassar nahain aati to wo mobtala ko
hi khana shoru kar daitay hain jis kay sabab ossay sakht
parishni la'haq hoti hai. Yah parishni os main wehshat paida kar
daiti hai. Phir woh shakar kay liay nikal parta hai. Woh her surat
aur her qimat par shakar hasal karta hai. Baz jo adi nahain
hotay lalach main aa kar nishana ban jatay hain. Is tara woh bhi
moashray kay liay gher mofeed ho jatay hain.
Fael hi nahain mafool bhi bachoon ko nishana banata hai. Oon
ki nafasyati aur illati majbori kay hawala say takhreeb'kari ko
moqa mil jata hai. Oon ka zaihan takhreeb ka ghonsla bun jata
hai. Mafool ki izzat-e-nafas is adat kay baes bai'mout mari jati
hai.
Shakar honay waloon main khoof aur intaqami jazba parwan
charta hai jo aagay chal kar na'siraf onhain balkah samaj aur
moashray ka satyanas mar kar rakh daita hai. Yah illat-e-baad
aati nasal ko bhi motaqil ho jati hai. Donyan ka koee mazhab ya
akhlaqi nazam is fael-e-baad ki ijazat nahain daita ta'hum
jamhoriat is ki toseeq karnay par zaroor qodrat rakhti hai aur
hum'jins shadioon ki ijazat day sakti hai.
Agar mard, mard kay sath masroof raha to ouratoon ka (jin ki
din ba'din tadaad barh rahi hai) kiya ho ga?!
Moalja:
Bakray ki bareek nali, jis main taza goda mojood ho panch sat
baar anis main rakhi ja'ay. Her bar naee nali li ja'ay. Kuch waqt
rakhnay kay baad jab yah nali nikalain gay to kiroon say por ho
gi.
Rohaniat kay Azeem paishwa His Eminency Hazrat Sufi Sheik
Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib nay Amriki Sadar aur
os ki intazamiya ko motnabay kiya hai:
" Homosexuality should not be encouraged at all. It is against
God the Almighty's order in the holy bible, the glorious holy
Quran, the holy Torah, and other holy religious books of
Hinduism and Buddhism. So that Obama should carefully
handle the matter of the natural power of Almighty and
constitutional power of himself. If you try to match each other in
the name of freedom and democracy, you have to pay for that.
Like Nimrod, the powerful king of the planet after the biblical
flood at the time of Prophey Noah (AS) and Lout (AS)."
Ulma karam Church aur Rohaniat say motalaq logoon ko bhi is
janib tovajo daini chahiay. is tara insaniat ko is fael-e-baad kay
manfi asraat say mafooz rakha ja sakta hai.
Thu Jun 04, 2009 7:30 am
_________________
urfi67
Forum Family Member
nice sharing
Thu Jun 04, 2009 2:19 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
shukarya janab
Thu Jun 04, 2009 8:31 pm
_________________
http://www.forumpakistan.com/humjinsi-insaniat-ki-khoofnak-
dushman-t28427.html#ixzz4GHjFQCu9
Wasael aur oon ka mojoda andaz-e-tasaruf
Kottay ki firat hai, jab wo kisi dosray kottay kay monh main
haddi daikhta hai to pehlay os par bhonkta hai phir os say haddi
chein lainay ki koshesh karta hai. Is tara donoon main ghomsan
ka run parta hai. Yahaan tak kah wo haddi ko bhi bhool jatay
hain. Donoon lar lar kar bai'hal ho jatay hain. Darein'asna koee
tisra haddi lay kar chalta banta hai aur laraee ka
moqam-o-midan aur naak naqsha hi badal jata hai. Goya laraee
ka silsala is china jhapti kay hawala say kabhi khatam nahain ho
pata.
Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai. Kottay ki koee
bhi adat insan main hona insaniat ki kholi tohein hai. Sari
kaenaat insan kay tasaraf ki cheez hai aur kaenat hai hi insan
kay liay. Allah nay insan ko Khalifah kay darjay par faez kiya hai.
Goya is hawala say, insan Kaenat ka Amin hai. Is ka behtar barh
kar istamal kaenat ki tazein aur hifazat ka fariza anjam daita
hai. Maday ko tasaraf main la kar apni danish ka saboot
faraham karta hai. Is ki kavish say sukh, aasudgi aur khair ko
panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Is hawala say
insan kay paas:
Vasael-e-qudrat wafar mojood hain.
Mehnat ka onsar os ki fitrat ka khasa hai.
Honar gur saliqa tariqa ki giraan qadar naimat say sarfaraz hai.
Takhleeq kay liay namonay pehlay say hi kaenaat main mojood
hain.
Holy kotab ki surat main Hadait mayassar hai.
Hasad say barh'kar donyaan main koee bori aur na'pasandida
cheez nahain. Yah khamioon aur kharabioon ki NANI hai. Yah
bhi keh saktay hain, hasad Shitan ka jorwaan bhai hai. Yah wo
bala hai jo jhagray kharay karti hai aur chein lainay kay jazboon
ko oksati hai. Insan ki sar'bolandi dou hawaloon say wazay aur
mosalam hai:
Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi mehsuos karta
hai. Jis kay sabab barkat say nawaza jata hai.
Mayassar na honay ki surat main mehnat aur kohesh karta hai.
Yah bhi pehlay say teh'shoda haqiqat hai:
1- Insan nay wasael talashay hain aur istamal main la raha hai.
2- Bohat say wasael say motalaq ilm hasal kiya hai laikin oon ka
talashna aur istamal main lana abhi baqi hai.
3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift karna aur oon
ka istamal talashna abhi baqi hai.
Baad'qismati yahaan say hi shuro hoti hai kah insan mayassar
ko mil bant kar nahain kha raha. Auroon ko shamil karnay ki
soch, sochnay ko bhi taiyar nahain aur nahi is kay hissay bikhray
karna chahta hai. Halan'kah woh koli ya jozvi toor par kisi cheez
ka haqiqi malik hi nahain. "Mairi maira" kay lalch nay aag ka
darya kabhi khoshak honay nahain diya.
Issi tara jin ko mayassar nahain woh her hila bahana aur harba
say chein lainay par otray rahay hain.Yah andaz-o-rovaeya qatee
sehat'mand nahain. Yahhi nahain is aavaizash say mayassar bhi
tabahi-o-barnadi ka shakar hai. Agar yahhi surat-e-hal baqi rahi
to aatay kal kay insan kay paas, agar baqi raha to rakh main
bhoja khoon hi ho ga. Woh is khoon ko daikh kar na ru sakay ga
na'hi moskarahat os kay hontoon par phoot sakay gi.
Kiya yah monasab nahain kah insan maloom ko daryfat kay
hisar main la kar istamal main la'ay. Issi tara Na'maloom wasael
ko ilm main la'ay ta'kah yah ya is ki aati nasalain aaj kay
na'maloom aur kal kay maloom ki talash main nikal parain.
Insan kay hath main abhi jo chand patyaan aaee hain jin kay
mokamal tasarfaat par bhi puri girift nahain kar paya aur itna
bara aur sharam'naak hangama khara kiay howay hai.
Issay abhi to mojood kay ziyada say ziyada tasarfaat talashna
hain. Maloom magar istamal main na aanay walay wasael ki
talash main nikalna hai. Agar insan mojood par os ki mojoda
halat aur istamalaat par kat mara to talash ka amal kaisay jari
reh pa'ay ga. Tail, gass waghera kay elawa bhi energy say
motalaq chizain kaenat main mojood hain, oon ki talash abhi
baqi hai.
Insan to taqat kay bal botay par taleem kay shobay say mota'aluq
wasael bhi khisay karna chahta hai. Asool, qanoon aur zabtay
apni hi rakhsha kay liay main masroof hai auroon ki khaak
madad karain gay. Taleem aur research kay shobay ko kamzoor
aur apni marzi-o-mansha ka bananay say maloom magar
dastaras say bahar tak rasaee aur na'maloom ko maloom main
lanay ka amal kamzoor'tar hota ja raha hai. Woh samjh raha hai
mojood hi sab kuch hai aur issay samait laina hi ghanimat hai.
Taleem aur taleem say mota'aluq logoon ko mazboot bananay ki
is liay ziyada zarorat hai kah:
Mojood kay mazeed kamalaat, fazael aur istamalaat daryaft ki'ay
ja sakain.
Maloom magar istamal main na honay walay wasael par
dastaras kay gur aur honar talashay ja sakain.
Na'maloom ko maloom ki sar'had main laya ja sakay.
yah baat bhi kah mojoda tanazur main thos haqiqat hai:
1-kuch logoon kay psas wasael hain.
2-Kuch log mehnat kar saktay hain.
3-Kuch ilm-o-danish rakhtay hain.
In main say 1,2 ko 3 kay isharay par kaam karna chahiay. Jab'kah
haqiqat yah kah 3, 1 kay isharay par nachnay par majboor hain.
Jab tak yah tinoon motwazi aur bahmi ta'awan say nahain chalin
gay, taraqi ki gari na chal sakay gi. Pehlay say mojood par
kottoon ki si laraee ka silsala kabhi rok na pa'ay ga. Moeshat
moashrat aur tehzeeb-o-tamadan ko sahara yah tinoon mil kar
hi day saktay hain. Amrika nay amun kay qayaam aur
dehshat'gardi kay khatmay kay naam par puri donyaan ko aag
main jhoon rakha hai. Diloon kay hal to Allah hi janta hai ho
sakta hai, kisi sata par os kay haan mukhlasi ka onsar bhi
mojood ho laikin donyaan issay aqwam-e-alam kay wasael par
qabza karnay ka naam day rahi hai. Amrika apnay wasael amun
qaem karnay aur dehshat'gardi ko khatam karnay ya momkin
hai pehlay say mojood wasael par qabay ki koshesh kar raha hai
aur is aag main apnay wasael jhonk raha hai. Natija-e-kar
Boqool Hazrat Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad Nur-ul
Alam Sahib
"The single superpower, the United States of America, is facing a
great economic crisis, the greatest economic crisis in its history."
Amrika qomoon ko apnay masael khud say hal karnay day aur
khud maloom wasael magar adam daryaat ki talash main niklay
takah aati nasloon ka bhi kuch bhala ho sakay. Woh kabhi bhi
mojoda koshesh main kamyaab nahain ho sakay ga kayoon'kah
Mir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho saka.
Fri Jun 05, 2009 8:16 am
_________________
I K QAZI
Moderator
Germany
Dear Brother!! Agar Insaan ka zameer aur ahsaas zinda ho tho
wo ba hesiat e Musalman ya Insaan Halaal O Haraam me
Tameez kar sakta he.Aur ye bhi k Qaom ki qeemat par na jahez
Israaf (jo k Khayanat k Zumre me aata he) ya waise bhi najahez
Israaf ki Ijazat nahih he.Har insaan ke soachne ka andaz aur
paimana mukhtalif hota he.Islam hume iss cheez ki taleem dehta
he K kaise Baantt kar khaya jaheh,Zakat ka falsafa,Aik had se
ziada na barrna,Dunya ki Muhabbat ko Dil me Itna na Uttaar
lehna k Insaan se Akhirat Bhool jahe etc.Jaisa k Humara
hukmaran Tabaqa Doalat,Shourat aur Kursi ki Lalach me Apne
hi Humwattanoh Ka har tarah se Istehsaal karne me laga rehta
he.Agarche agar wo Aik Ashraf Ul Makhlookat k Taor par
Soache tho Usse Patta ho k Ye Issi Qaom Aur Wattan ki
Dain(Diya huwa) he aur Shourat bhi issi qaom ki badolat
he.Lehkin Inn loagoh ko tho ye Jahanum k Angaare apne aur
Apne Khanadanoh k Paitoh me daalne ka shouq he.Waise bhi
"Maal e Muft,Dil e Be Reham" k masdaq ye inne apne Alaloh
Talaloh aur Mahalaat ki Tameer etc kharch kar dehte hain ye
Jaane baghair K kis ki Jaan ki Qeemat par sab kuch ho raha
he.Agar insaan Ka Wijdaan (Zameer) Mar Jahe tho wo Insaan
Kehlane k Laiq hi nahih rehta.ALLAH TA,ALA Ka Humare
Wattan aur Qaom par bohat hi Fazar O Karam he.Iss ne Hume
Tamaam Wassayel se Nawaza he Ghalati tho ye he K Taqseem
karne Waale Haath,Tareeqa e Kaar aur Wassayel Ki Munsifana
Taqseem ka Nizaam hi Ghalat he.Agar Humare Zameer zinda
hote tho hum Mil Bhaantt kar Khate,sirf khud ko hi nahih Poore
Muhashare ko Khubsurat,Araam da aur Poor sakoon bana
dehte.Iss k Saath Saath Hum Iss Qaom ko Ghurbat (Alanke Inne
Danista Taor Par Ghareeb Rakha Gaya he,istehsaal ki wajah se) k
Andheroh se Nikaal kar Taraqi Ki Sharah Par Ghaamzan kar
dehte.Saanji(Ijtemai) Khushioh,Saanji Taraqi aur Mill Bhaantt
kar Poor Sakoon Muhashare ki Chaoh me Rehne sawad(Maza)
Hi Kuch aur Hota he.Shayed Ba Hesiat e Qaom aur Ba hesiate e
Hukmaran Tabaqe k Hume na tho iss ka tajruba he aur na hi iss
ka ahsaas he.Mere nasdeeq tho kisi cheez se Lutf Andoz
hone,Ache Mahol aur Fizaa me rehne ka ye Falsafa he K ye sirf
aap k ghar ya Itraaf tak hi mehdood na ho balke ye Charoh Taraf
Phela Dikhahi Deh.Agar Hum Apne Pak Nabi MOHAMMAD
(SAW) ki Iss Hadith par Soach kar amal Kareh k:Mafhoom"Aik