salam 2 all! no dobt Dr. sahab ur views abt experience are
commendable. i agree with u. i remember Ashfaq Ahmad's views
on this topic. he z of the view that v educated ppl consider
illetrate ppl inferior 2 us bcz they havnt read any buks but in fact
they r as much respectable n aware as r the educated ppl. i think
combination of education n experience z an ideal thing. so
smthng must b done on these lines as well....
http://www.forumpakistan.com/tajarbah-aur-os-ki-ehmiat-t13611.html
#ixzz4Fh7Cvpx6
_________________
Ahal-e-ilm izhar-e-khayaal farmaein
Mujhy eak mobile sms mila hai:
Vina malik nay big boss kay baad film Om Mohammad sign
ki hai. Mohammad naam kay sath hindu bhagwa om ka naam
lagaya giya hai. Yah tohein rasalat hai.
Pehlay lafz Om kay maeni jannay ki zarorat hai os kay baad kisi
qisam ki karwaee ya ehtajaj karna monasib ho ga:
OM,
like Amen and Ahmeen means the Divine which manifests as all
that is.
OM is the "word" as in; "in the beginning was the word" which
means primal sound or vibrations from which all other names
and forms arise and to which we all return.
OM is the Alpha and the Omega.
http://users.bestweb.net/~om/yoga/MOM.html
Aum has more than hundred meaning and one of them is
Welcome to the God
http://forum.spiritualindia.org/philosophy-spirituality/meaning-
of-om-t3864.0.html
Om /Aum:
Eshwar ka sab se moqadas naam,
haan waqaee, aamein
Faroz ul lughat urdu, freed book depu, Dehli 1987
Om is meant to be the sound of the universe.
The vibration of everything at once.
It's meant to open you mind and enlighten...
This word is used in the beginning of mantras, in hinduism.
Mantras are the words we use while conversing with God.
http://in.answers.yahoo.com/question/index?qid=20100113235425
AAYf8qE
The ancient syllable "OM" is the shortest of the Mantras and in
Indian tradition it is a word suggestive of God.
The scriptures tell us that "OM" is the planets primordial
vibration from which the entire universe has arisen. All other
sounds are contained within it.
It is said that A represents the waking state. U the dream state
and M the state of deep dreamless sleep. the fourth state, sounds
in the resonance following M.
http://www.earthways.co.uk/om.html
Sun Mar 04, 2012 3:35 pm
I K QAZI
Location: Germany
Dear Dr.Bhai!!! Agar Aisa Ho Bhi To Achanbay Ki Baat Nahih.
ALLAH, MOHAMMAD aur Dooray Muqadas PAIGHAMBARON
k Darajaat, Azmat O Takreem Ka Ahsas un Loagon Ko Hota Hai
Jo samajhtay Hon.Ye Paisey K Liye Khud Ko Nanga Karnay
Walay.Ye Nang e Qaom O Millat Kya Janain.Veena Malik,Noor
Type ki Ye Zaleel Makhlooq Auroton K Naam Par Dhaba Hain.Jo
Hinduon K Saath Zindagi aur Ratain Guzar Sakhtain Hain.Tou
Uney Mazhab,Ikhlaq aur Qaom Ki Kya Fikar.Haan Ye Hum
Loagon K Liye Lamha e Fiqar Hai Jo K MOHAMMAD (SAW) Ki
Azmat,Takreem aur Naam Par Marnay K liye Bhi Tayaar Hotay
Hain.Kyun K ALLAH ney Humey Ye Hukam Diya Hai.Humey
Chahiye K Inn Loagon Ko Ibrat Ka Nishan Banayain.Pata Nahih
Inn Nang E Millat K Waledain Aur Bhai Kaisey Inn Halaat sey
samjhota Kar Lehtay Hain. Haan Humarey Andar Bhi Munafiqat
Aur Kisi Cheez Ki Kami Hai K Hum Noor (film Actress) Ko Qami
TV Par programm Karney Dehtay Hain balkay Uss sey Lutaf
andoz Bhi Hotay Hain. Mey aam zindagi Mey Adam Tashadat
Ka qahil Insaan hoon.Lehkin Is Jaisey Muhamlay Mey Mein Har
Had Sey Guzarnay Par Tayaar Rehta Hoon.Jis Insaan K Dil Mey
MOHAMMAD (SAW) k MOHABAAT Ki Aag Na Sulag Rahi Hon
Tou Wo Kaise Khud Ko Musalmaan kehla sakhta hai.Inn Loagon
K Khilaaf bhi Aik "Tehreek E MUSTAFA(SAW) chalanay Ki
Zaroorat hai.
Sun Mar 04, 2012 8:36 pm
Dr Maqsood Hasni
aap ne tovajo farmaee es ke liay ehsan'mand houn.
Mon Mar 05, 2012 3:30 pm
I K QAZI
Ye hum sab k liye ijtemai lamha e fiqriya hai.Inn loagon ko
qaraar waqiya saza milni chahiye aur inn ka samaji "Boy cott"
bhi hona chahiye.Waisey inn Nang e Qaom Par Ziada Tabsarey
Karna Inney Numaya Karney Ka Sabab Banta Hai.Iss liye Inney
dar guzar "Ignore" karna chahiye.
Mon Mar 05, 2012 3:59 pm
Dr Maqsood Hasni
haan yah baat to thek hai
shukarriya janab
Thu Mar 08, 2012 2:40 pm
I K QAZI
Mujh sey Mutafiq honay ka shukria!!Waisey ALLAH K Haan
Dhair Hai lehkin Andhair nahih.Inn Ko Apnay Gunahon Ki Saza
Zaroor Miley Gi!!!!!
Thu Mar 08, 2012 8:30 pm
Dr Maqsood Hasni
insan zamein par khud hi apnay liay aag ya phoul jama karta
hai. gaya woh apni banaee hoee jannat ya jahanum main basaira
kare ga.
Fri Mar 09, 2012 3:34 pm
I K QAZI
Ye Khaki Apni Fitrat Mez Na Noori Hai Na naari Hai
Rolling Eyes Rolling Eyes Rolling Eyes
Sun Mar 11, 2012 7:18 pm
wazzub
saudia
thanssssssssssssss so muchhhhhhh
http://www.forumpakistan.com/ahal-e-ilm-izhar-e-khayaal-farm
aein-t85957.html#ixzz4FhXHlyel
Aap ke nazdeek
aap k nazdeek na'insafi kiya hai aur yah kayoun janum laiti hai?
Mon Sep 05, 2011 12:18 am
_________________
I K QAZI
Moderator
Germany
Jab Muhasharay mey "Halal" Aur Haraam Ki Tameez Khatam
Ho jaye.Jo muhashara Zindagi Ki Andhi Doarr Mey Nafsa Nafsi
Ka Shikaar Ho jaye tou Wahan Na Insafi Janam Lehti Hai.Ba
hesiat E Musalman Hum Loag Ibadaat Par Ziada Tawajo
Markooz Kartay Hain.Aksariat Namaz,Roazay waghaira ki
Pabandi Karthi Hai Aur Isey Hi Islam Ki Taleemat aur ALLAH
TA'ALA ki Khushnoodi Ka Zariya Samajhti Hai,Lehkin Deen E
Islam Aik Mukammal Zaabta e Ikhlaq Hai Jis Mey Tamaam
Cheezon Ka Ahata Kiya Huwa Hai.Aur Isi Liye Humey Ibadaat K
Saath saath Muhamlaat Ko Drust Karnay K Liye Kaha Gaya
Hai.Ye Muhamlaat Kya Hain?Iss Mey Huqooq Ul Ibaad (Doosrey
Loagon K Haqooq Ka Khayal) Rakhna,Apnay Haq Sey Ziada Ka
Taqaza Na Karna,Dosron Ki Izaat e Nafs ko Tais Na
Poanchana,Dosron Ki Izaat,Maal Aur Jan Ka Tahafuz.Loagon sey
Lai Dehen,Tahluqaat,Rawabat,Rishtedari,Dosti waghaira mey
Insaaf sey kaam Lehna shamil hai.Jis Muhasharay k Loagon Par
Nafs sawar ho kar Uss ki Laghaam Tham Leh ga.Tou wo Sahih
Soach,Fikar aur Insaaf se Beghana ho jaatay hain.Jis sey K
Muhasharay Mey Na Insafi Janam Lehti Hai.Iss Par Jab
Muhasharay ya Mulk Mey Insaaf aur adalat fraham Karnay Ka
Nizaam Ki Adam Mojoodgi Halaat Ko aur Bhi Bighaarr Dehti hai
aur Loag Qanoon ko haath Mey Leh Lehtay Hain Jis sey
Muhashara Inteshaar aur La Qanooniat Ka shikaar Ho jaata
Hai.Har Aik Shakhs Apnay Zulm,Ziadati aur Juraim Ki Toah
jeeh Paish Karnay Laghta aur Apnay Juraim Ko "Justify" karnay
ki Koshish Karta Dikhai dehta hai.Achai Brai k Pehmanay badal
jatay Hain Aur Tameez Mit Jaati hai.Yahan Mey Hazrat Ali
(KAW) k Ail Qaol Ka Hawala zaroor dehna Chahoonga Jo K
Humaray Liye Aik Masha e Rah Hona Chahiye wo ye k Hakumat
Kufar par qaim rah sakti hai na insafi par nahi (An empire
based on infidelity can withstand, but not the one based on
injustice).
Mon Sep 05, 2011 7:06 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
punjab
janab ne tovajo farmae, es k liay ehsand'mand houn.
Allah aap ko kush rakhy.
Mon Sep 05, 2011 7:17 pm
_________________
I K QAZI
Moderator
Germany
It is my pleasure!! ALLAH Aap Samet Tamaam Loagon ko Khush
aur Aman sey Rakhay.AMEEN!!!
Tue Sep 06, 2011 2:54 pm
_________________
faizal2000
KSA
میرے خی ل میں مع شرے میں ن انص فی اس وقت جن لیتی
ہے ج م ک کے وس یل مراع ت ی فتہ طبقہ کے لیے
مخصوص ہو ج تے ہیں۔
Thu Oct 06, 2011 1:50 pm
_________________
humdanmun
Karachi
faizal2000 wrote:
میرے خی ل میں مع شرے میں ن انص فی اس وقت جن
لیتی ہے ج م ک کے وس یل مراع ت ی فتہ طبقہ کے لیے
مخصوص ہو ج تے ہیں۔
Yes, bilkul sahi kaha aap ne,
Fri Oct 07, 2011 11:08 am
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aap donoun ki tovajo k liay ehsan'mand houn. Allah aapko kush
rakhy
Sun Oct 09, 2011 5:15 pm
_________________
Jarhead121
Senior Member Pakistani
Pandora. UK
Justice.
Mother of all sins in INJUSTICE. When people become greedy,
Hippocrates, corrupt and don t do justice then crime prevails. If
all Muslims just follow this one commandment from Allah: O
You who believe! Stand up firmly for justice, as witnesses unto
Allah, even against yourselves, or your parents, or your kin, and
whether it be (against) rich or poor. Allah protects you both
(much) better. So follow not the desires (of your hearts) , because
you may swerve, and if you distort justice, or decline to do justice;
Surely Allah is Well-Acquainted with all that you do. (Qur an,
4:135), then all our problems will be solved. But who wants it?
Sun Oct 09, 2011 7:38 pm
_________________
Jarhead121
Pandora. UK
Justice.
Surah al-Hujurat ayah 9:
...Fa in baghhat ihda huma ala al-ukhra fa qatilu allati tabghi
hatta tafi'a ila amr Allah...
...So if one of the (parties of the faithful) does wrong to the other,
then fight against the one that does wrong until it comes back
around to the commandment of Allah...
But in Pakistan s case all parties are corrupt and wrong doers so
Allah has to root out this cancer in tahe hands of someone else.
That someone else is knocking on the door now.
Sun Oct 09, 2011 7:52 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aap ne tovajo farmae es k liay dil-o-jan se ehsan'mand houn.
Allah aap ko kush rakhy.
_________________
http://www.forumpakistan.com/aap-k-nazdeek-t79186.html#ixz
z4FhMa3PSK
Allah Sahib kisi bhi sata par ghalt nahain karta
Allah Sahib kisi bhi sata par ghalt nahain karta ya is baat ko
youn lay Lain kah Allah Sahib say ghalt nahain hota. Issi tara
woh kisi jan par ziyadti ya zulm nahain karta. Is liay kisi manfi
cheez ko Allah Sahib ka mojza kehna kisi bhi surat main darust
aur jaez baat nahain.
Padaishi zehni ya jismani mazori ki kaee vajohaat biyan ki jati
hain. Is main say eak qaribi reshtoun main shadi bhi shamil hai.
Behan bhaee kay sath ya bhaee behan kay bachoun kay ghar
shadi karni say kharabi ki surat nikal aati hai. Yah baat aam
sonnay main aati hai kah 1st kazanz kay haan bachoun ki shadi
aati nasal kay liay kharabi ka sabab ban sakti hai.
Milaap kay doran ki sochain ya koee ghameer soch kay hawala
say kharabi ki surat nikal sakti hai.
Hamal kay doran laga taar rehnay wali koee manfi soch ya
paeshani bhi kharabi kay rastay nikal sakti hai.
Zehni douri ya na'pasand ki shadi say bhi munfi rastay nikal
saktay hain.
Jenz aur DNA kay hawala say bhi kharabi ki rahain nikal sakti
hain.
Farioqain ki zehni mazouri say bhi aatay bachoun ko noqsan
ponch sakta hai.
Mada manviya ya bacha'dani main aanay walay anday main
kharabi ho sakti hai. Is hawala say bhi mazour bacha janum lay
sakta hai.
http://www.forumpakistan.com/allah-sahib-kisi-bhi-sata-par-gh
alt-nahain-karta-t69742.html#ixzz4FhLcX5ZD
Jo bhi samjh lain Ghalt Allah se mansoob nahain kya ja sakta. Is
main kahein na kahein insan ka apna hi qasoor hota hai.
farauon ko hi lay lain ossay kis ne kaha tha kah darya main
goray daal day. Insan apni kartoot ko janta hai. Ossay maloom
hota hai kah woh kitnay pani main hai. Mossa kaleem ullah
jantay thay kah yah Allah ka kaha hai is liay ghalt nahain ho
sakta lihaza onhoon ne darya main goray daal diay. goya
farauon apni karni main pakra giya. Yah baat her sata par
bawar rehni chahiay kah Allah ghalt karta hi nahain, Woh to
insan ki sarbolandi chahta hai. Ab insan apnay paoon par
kahari marta hai to marta rahay.
Dard walo!
Otho aur insan bachao
Insan ba'khoubi janta hai kah eak rooz ossay marna hai aur
donya ka maal doyan main hi chour jana hai. jab woh mar ja'ay
ga os ka maal os kay kuch kaam nahain aa'ay ga aur nahi woh
log jinhain woh apna samjh raha hai os kay sath jaein gay. Os
kay janay kay baad sab kuch hasab-e-sabiq chalta rhay ga. os
kay apnay khaein piein aur gaein gay bhi aur apni nasl ko
barahaein gay. Kabhi kisi baat kay hawala say ossay yaad kar
lain gay warna shaed woh kisi ko yaad tak na rahay. Yah zinda
logoun ki zindgi kay hawala say majbori hoti hai. oon kay pas
apni tarjihaat hoti hain.
In omour ko jantay howay bhi insan donyan ko sab kuch samjh
baithta hai. zindgi kay tamam hawalay apni zaat tak mahdoud
karnay ki tak-o-dou main zindgi gozar daita hai. Woh is main
kisi aur ko shareek karma kofr khayaal karta hai. Kisi aur ki
shirkat ossay sakht na'kush aur na'gowar gozarti hai. Bari
chalang laga'ay ga to zindgi ko apnay pariwar tak khuol day ga
laikin wahan bhi bukhal say kaam laita hai zara aagay bharta
hai to zindgi ko konba, qabila, alaqa, rang nasal, zaat paat,
nazriya, mazhab waghera tak hi mehdoud rakhta hai. Woh
samjhta hai kah os kay bana'ay hisaar say bahar jo bhi hai kira
makora hai, insan nahain. Os kay hisaar say bahar kay logoun ki
zindgi, ana, jazbaat, ehsasaat, maal, jan, izzat koee maeniviat
nahain rakhtay.
Insan nay apnay bana'ay howay hisaar kay andar bhi bohat
saray chotay chotay daeray khanch rakhay hain. Goya insan
makhous daeroun say mota'alaq logoun say dilchaspi rakhta hai.
In daeroun say dour kay log kisi bhi surat main insani haqouq
kay mostahiq log nhain hain aur onhain moash, moashrat,
nazriay, mazhab, izhar-e-ra'ay waghera ka haq milalay ya na
milaly khair hai, koee baat nahain. Haan os ka aur os kay
dareray say mota'alaq logoun ka haq ghasab nahain hona
chahiay. Yah nazriya aur soch khuli insaniat ki tohein hai. Is
qisam ka rovaeya soch, andaz aur amal kisi bhi hawala say
darust nahain.
Is monafiq aur khud gharz ehad main jo log insan aur siraf
insan say mota'alaq sochtay hain yaqinun bohat baray log hain.
Mein mazhibi aur siyasi logoun ko sonta aur parhta rehta houn.
Woh sab zaat kay qaidi nazar aatay hain. Koee kahein aur kisi
par bhi zulm rava rakhta hai os ki mazmat hi nahain os ka
mohasba bhi hona chahiay. Ossay is liay moafi kay khatay main
nahain rakha jana chahiay kah woh falaan makhous tabqay,
qabilay, alaqay ya phir nazriay ka admi hai.
Issi tara jab kisi say pusha jata hai kah aap koun hain to woh
batata hai kah mein hindu houn, sikh, mosalman, esae waghera
houn. Baat yahaan tak hi mahdoud nahain yah taqseem ka amal
is say kahein aagay bhar giya hai. mosalmamoun ko hi lay lain,
jo mosalman kam wahabi, barailvi, hanfi, devbandi, jamati,
nadvi, shiya waghera ziyada hain. Mein nay to yahaan tak
daikha hai kah agar dosray mazhab ka koee masjid main aa kar
namaz parh laita hai to woh farash tak okhar daitay hain.
Eak alama sahib jo ab Allah kay ehsan aur karam say marhoum
ho gay hain, farmaya kartay thay agar konvain main kota gir ja'
ay to itnay bokay nikal kar pani saaf kiya ja sakta hai laikin kisi
wahabi kay gir janay say konvaan paak saaf nahain hota balkah
konvaan hi pour daina chahiay. Issi tara wahabi hazrat ki
kartoutain daikhain to shadeed sharmindgi aur dukh ka samna
karna parta hai. Yah her os baat ya Hadees ko darust mantay
hain jo oon kay aqiday say mail kha rahi hoti hai. yah log to haad
darjay kay ziddi aur hat dharam sabat hotay hain.
Goya insan tisri sata par chala giya hai yaeni pehlay soni wahabi
waghera phir mosalman aur os kay baad insan. yah eak dosray
ko doshnam kartay hain. Yahhi nahain eak dosray ko kafar tak
keh jatay hain.
Mazahib kay olma nay Dein ko baap ka maal samjh rakha hai
aur is ki jarain roti say jour di hain. Yah log barsar-e-aam eak
doray ko bora bhala kehtay hain. Eak dosray kay jazbaat ko thais
ponchatay hain. Apnay kehay ko sach sabat karnay kay liay
dalael kay ambaar laga daitay hain. Agar monh say nikal giya
kah hathi anday daita hai to is baat ko sabat karnay kay liay
zamein aasman eak kar daitay hain.
Onhain is baat say koee kaam nahain hota kah hathi kuch bhi
nahain daita, yah kaam hathni kh hai. choun'kah oon kay monh
say nikal giya hota hai kah hathi anday daita hai lihaza yahhi
haqiqat aur yahhi donya ki sab say bari sachae hoti hai. Jo is sach
ke khalaf ja'ay ga woh kafir ho ga. Mein in batoun ko daikhtay
howay aksar sochta houn kah yah eak dosray ko kafar qarar
daitay hain to phir mosalman kahaan aur koun hain?!
Aaj tamam mazahib kay log khasusan mosalman donyaan main
zaleel-o-khar aur toswa ho rahay hain. Inhain aur qomoun say
kahein ziyada in ki kartotoun kay sabab litar par rahay hain. Is
zillat-o-khari ki dou vajo samjh main aati hain:
1- Her kisi nay apni dhar eint ki masjad bana rakhi hai aur
woh issi ko darust qarar dainay par tola howa hai. yahhi nahain
is moamlay main aourun ko khatam kar dainay ki thanay howay
hai. Taqseem kay amal nay insan say os ki insaniat chein li hai.
2- Insan ki taqseem kay natija main jah aur maal pasand log,
logoun kay moash aur moashrat ka satyanas maar rahay hain.
Is dour main zarourat Is amar ki hai kah insani haqouq kay
thaiky'dar insan ko in moash dushman jonkoun say bachaein
aur tafreeq kay amal ko rokain. Gonda qovat jo auroun ko to
paband karti hai laikin ossay apni pabandi qaboul nahain.
Adaroun ko taqat say aazad karanay aur onhain oon kay
daera-e-kaar main kaam karnay ki ijazat milni chahiay. Onhain
is kay liay tein hawaloun say kaam karna ho ga:
a. logoun ko yah bawar karwanay ki zarorat hai kah woh kuch
bhi honay say pehlay insan hain aur her insan barabar hai. Issi
tara her insan ka dosray insan par haq faeq hai. Dukh takleef ya
mosibat main koee bhi ho, os ki madad karna hi insaniat hai.
b. Moashi jonkoun kay liay joun'mar dawa bananay ki saee ki
jani chahiay.
c. Siyasisi aur mazhabi logoun ka daera tang kiya jana
chahiay ta'kah woh insan ko taqseem na karain.
d. Her koee apnay mansabi kaam tak mahdoud rahay. Zarori
hai kah woh pehlay sochay kah ossay kiya karna hai is kay baad
woh os paishay ko ikhtaiar karay. Bai' shumar daktar, anjiniar
waghera malain gay jo nach ganay, iqtadari dafatar, mazhab say
monsalik ho kar os shubay kay mamay khan banay howay hain.
Jo yah mazhab ya khidmat day rahay hain insan ko is ki
zarourat nahain. Eak shakhas kansar ya phir aids main mobtala
hai woh nach ganay taqareer, siyasat ya mazhab ko kiya karay
ossay dawa ki zarouat hai jo in kam'kosoun nay taiar hi nahain
ki aur nahi is janib in ki koee tovajo hai. insan ko aaj insan
bananay ki zarourat hai na'kah wahabi soni shiya bananay say
koee matlab hai.
e. Ghonda qovat ko lagam di ja'ay aur insani akath main os ki
ra'ay bhi dosroun kay barabar honi chahiay na'kah sab ki ra' ay
ko vito ka istamal karkay haraf-e-ghalt ki tara mita kar rakh day.
Agar insani haqouq kay daee aisa nahain kartay ya kam az kam
is qisam ki aawaz nahain othatay to phir onhain insani haqouq
kay daway aur nambar'dari say alag ho jana chahiay Ba'surat
digar log samjhnay par majbour ho jaein gay kah yah bhi khali
zoban kay dhani hain amal sach aur haqiqat say in ka koee
ta'alaq wasta nahain.
Paiat pojari logoun ko mairi batain talakh lagi houn gi laikin
zara giriban main monh daal kar to daikhain onhain maira
kaha sach dikhaee day ga. Onhain is jahan main wah wah aur
jay jay kaar to mil ja'ay gi laikin qiyamat kay rouz oon kay galay
main baad nasibi ka touq ho ga yah'hi nahain aati naslain oon
par phatkar aur lantain bhaijain gi.
Dard walo!
Otho otho,
Khuda kay liay jago aur insan bachao agar aap nay apni si
koshesh na ki to na'siraf apnay sath ziyadti karo gay balkah aati
nasloun par bhi oon kay Na'karda gonahoun kay hawala say
zulm dhao gay.
Otho aur insan bachao mohim shuru kar doo.
Bhalaee kay kamoon main Allah barkat zaroor dalta hai.
Makhlooq e arzi o falki ke hath bai'ikhtiyar oth jatay hain.
Mon Feb 28, 2011 8:51 pm
_________________
I K QAZI
Moderator
Germany
Dr.Sahib Mey ney oopar Unwaan mey thorri si tashih ki hai!!
Merey Khayal Mey Tou Har Afaqi Mazhab Ka Paigham Aur
Falsafa Tamaam Insaniat Ki Bhalai K liye Hota Hai. Asal Mey
Hum Loag Jo Inn Mazahib Ki Taqleed Karnay Walay Hotay Hain
Iss Mey Dandi Mar Lehtay Hain.Yani "Pick & Choose".Jo Cheez
Humaray Matlab Ki Hoti Hai Uss Par Zoar Dehtay Hain Lehkin
Jo Cheez humey Nahih Sajti Uss K Ya Tou Ghalat Tashreeh
Kartay Hain Ya Phir Uss Ka Zikar Hi Goal Kar Jaatay Hain.Jaisey
K Islam Ko Deen qarar Diya Gaya Hai Kyun k Ye Mukamal
Zaabta e Zindagi.Yani Ye Aik Mukamal "Package" Hai.Hum Loag
Sirf Ibadaat Par Zoar Dehtay Hain Ya isi Par Iktefa Kartay Hain
Yani Hum Ney Isey Yahan Tak Mehdood Kar Diya Hai.Jab K
Islam Mey "Al Deen Ul Muhamla" ka Matlab Humaray Mukamal
Muhamalaat Ka Ehaata Karna Hai.Yani Humey Apney Karobaar
Mein,Leh/Dain Mein,Rawaiyon Mein,Rawabat/rishteydarion
Waghaira Mein Islami Taleemaat Aur Ahkaam Ko Mad e Nazar
Rakhna Chahiye.Doosray Insanon K Haqooq Mey Tamaam
Amanaat Shamil Hain.Yani Doosray Insanon K Jan/Maal,
Amlaak,Zindagi,Izaat/Abroo Waghaira Ki Hifazat Hum Par Farz
Hai.(Yahan Zoar Insaan Par Hai Sirf Musalmaan Par
Nahih.Kyun k ALLAH TA'ALA Rab Ul Halimeen Hain.Aur
Humarey Mehboob Paighambar MOHAMMAD(SAW)
"REHMAT ULLIL HALIMEEN HAIN). Aam Ibadaat yani
Namaz,Roza,Zakaat,Hajj Etc Hum par Farz Hain.Lehkin Inn Ka
Tahalur Humari Apni Zaat sey Hai.Aur Ye Banday Aur ALLAH
kA MUhaamla Hai.ALLAH TA'ALA GHAFOOR AUR RAHIM
Hain Wo Iss Mein Kami Baishi Ko Muhaaf Karnay Par Qadar
Hain.Lehkin Doosray Loagon K Haqooq Jis Mein
Jan/Maal,Amlaak,Izat/Abroo Waghaira K Ilawa Kisi Ka Dil
Thoarrna Bhi Shamil Hai.Ko ALLAH TA'ALA Uss Waqt Hi
Muhaaf Karaingain Jab Wo Mutasara Shaks Usay Muhaaf Kar
Dey.Hum apnay Roz Mara K Mushaiday Mey Dekhtay Hain K
Loag Namaaz/Roza Waghaira Ki Pabandagi Tou Kartay
Hain.Lehkin "Haqooq Ul Ibaad" Ka Kam Hi Khayal Rakhtay
Hain.Jo K Humari Imaan Ki Kami Ki Taraf Ishaara Hai.
Read more:
http://www.forumpakistan.com/mazahib-aur-haqooq-ul-ebad-ki
-ehmiat-t86760.html#ixzz4FhWfghxx
_________________
Kafir Koun?!
sarfarazlovesu
Senior Proud Pakistani
taliban chahay jo bhi hon it is only ALLAH who can decide that
who will go to heaven and who will go to hell
baqi shia sardar k kafir honay main koi shak tu hai hi nahi
jo Abu Bakr razi ALLAH ko kafir samjhay woh khud kafir hai!
Tue Jun 07, 2011 10:55 pm
....................................
Koee bhi mosalman hazrat abu bakar, hazrat umar farouq,
hazrat usman ghani, hazrat abu sufyan, hazrat amir moaviya
bin hind, yazeed bin moaviya waghera (1) ka kalma parh kar
mosalman nahain howa aur nahi mosalman ho sakta hai. Saray
ashaba, sulaihein, peeroun faqiroun, sadiqoun waghera ko
tasleem kar lain laikin Hazour Karim (Aap ki khidmat main
un'haad Daroud-o-Salam) ko tasleem na karo ya os tara say na
mano jis tara say mannay ka haq hai, koee shakhas mosalman
ho hi nahain sakta.
kufr os waqt ho ga jab koee baad'bakht Aaqa Karim (Aap ki
khidmat main un'haad Daroud-o-Salam) ki Rasalat aur Dini
haisiat aur martabay (2) say inkar karay ga ya na tasleem karay
ga.
Kufr ka fatwa sadar kartay waqt ihtyat ki zarourat hai.
Is hawala say liaya ja'ay to eak bhi mosalman nazar nahain aa'ay
ga aur yahhi kufr ki pehli aur aakhri khaesh hai. Hanfi, barailvi
waghera moshrik (3), wahabi, salfi, devbandi waghera kafir,
shiya kafir. Bataeay phir mosalman kahaan hain. Molvi aur
baad'bakht morakh nay taqseem kay darwazay khoul kar
yahoud-o-nasara par bara ehsan kiya hai. Is taqseem kay sabab,
aaj joutay khana mosalmanoun ka naseeb sa ban giya hai. Jab
tak yah log tafreeq mita kar akhathay nahain ho jatay jotiyaan
khana in ka moqaddar rahay ga.
Khuda kay liay kisi na'kisi hawala say mosalmanoun kay bahmi
ethaad ka koee rasta nikalain. Mosalmanoun ki taqseem kay
darwazay band karnay ki kosheah karian. Sab ko oon kay aqiday
par rehnay dain bas eak dosray kay liay qorbat ki gonjaesh ka
rasta talashain. Jab tak yah dil say eak dosray ko bardasht
nahain kar laitay, gari patri say otri rahay gi.
Yah waqt jazbati ho kar sochnay ka nahain balkah intihaee
ehtiyat say lafz zoban say nikalain ta'kah dorioun main azafa
honay ki baja'ay kami waqay ho.
Mairay bhai dandi na marain is moamlay ko bhi Allah par chour
dain Woh behtar janta hai kah hazrat abu bakar ya dosray log
kis mazhabi status kay log thay. Hum os waqt thay hi nahain
lihaza woh achay thay ya boray, yah moamlah Allah ka hai is liay
is hawala say khamoshi ziyada behtar hai.
Shiya sadar ka yah biyan malahza farmaein. Koee is tara say
pakistan kay liay bola hai?!
US plans to sabotage Pak nuke facilities: Ahmadinejad
Updated at: 2205 PST, Tuesday, June 07, 2011
TEHRAN: Iranian President Mahmoud Ahmadinejad on
Tuesday accused Washington of planning to sabotage Pakistan's
nuclear facilities, during a media conference in Tehran.
"We have precise information that America wants to sabotage the
Pakistani nuclear facilities in order to control Pakistan and to
weaken the government and people of Pakistan, "the president
said.
The United States would then use the UN Security Council "and
some other international bodies as levers to prepare the ground
for a massive presence (in Pakistan) and weaken the national
sovereignty of Pakistan," he added.
Ahmadinejad said Pakistan is the only Islamic nation with
nuclear weapons, and has close relations with Iran. (AFP)
(http://www.geo.tv/6-7-2011/82226.htm)
____________________
1. koee bhi ashabi; jo waqitun ashabi tha, ossy dushnam karnay
wala baad'tameez, `baad zoban, bai'lihaz, baad'kalaam waghera
zarour kaha ja saktahai, kafir nahain.
2. Aap (Aap ki khidmat main un'haad Daroud-o-Salam) thay,
hain aur ta'abad rahain gay.
3. Shirk kufr say bhi baad'tarein aur mohlak bimari hai.
Wed Jun 08, 2011 9:01 am
_________________
http://www.forumpakistan.com/kafir-koun-t75367.html#ixzz4F
hKp8VLM
Baat to hoti rehni chahiay
Bara ajeeb dour aa giya hai admi apna haq nahain lay sakta.
apnay sath honay wali na'insafi kay khalaaf aawaz nahain otha
sakta. agar koee aawaz othata hai to koee sonta hi nahain, pochta
hi nahain. baz'oqaat apna haq mangay walay ko azaab say
gozarna parta hai. kehtay raho wapsi jawab wasoul nahain hota.
her babu aur os kay na'hanjar afsar ko chup si lagi hoee hai ya
kan hi nahain hain jo joun ringnay ki zahmat gowaray farmay.
baz'oqaat dou kanoun ki tafheim yah samjh main aati hai kah
eak kan sonnay kay liay hota hai aur dosra sona howa nikalnay
kay liay takhleeq kiya giya hai. yah baat kisi eak ki nahain
yahaan to aaway ka aawa hi bigra howa hai. babu ko maloum
hota hai kah sael kiay kar lay ga afsar to os kay hath ka hai yah
afsar ki aish-o-eshrat ossi kay dam say chal rahi hai. woh kabhi
bhi opar say nahain bolay ga jab bolay ga nichay say hi bolay ga.
kuch bhi sahi baat to hoti rehni chahiay.
Wed Jun 29, 2011 2:19 pm
_________________
Miss_Hira
Senior Member Pakistani
i don't understand what you want to explore in your discussion
...
Thu Jun 30, 2011 10:01 am View user's profile Send private
message
DreamzZ
Forum Family Member
Dr Shahib,
I know what you are trying to say but the root of the problem
goes to each and every single one of us , so we have to work on
our selves before we demand it from others.
So now a days every one say phele jaan tey baad main jahan
which is not going to work we should be like the way we are
suppose to be as our beloved prophet Mohammad SAw told us..
If we don't follow the rules and regulations told us so we gonna
see the same issues.
Thu Jun 30, 2011 10:25 am
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aap donoun nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.
Allah aap donoun ko kush rakhay.
koe baat samjh na aa'ay to phir parhain phir samjh na aa'ay to
eak bar phir parhain. yaqinun baat samjh main aa ja'ay gi.
waisay es tehreer main to koe ibhaam hi nahain jo wazahti
tehreer likhi ja'ay.
Thu Jun 30, 2011 3:25 pm
_________________
seemee
Full PK Member
I don't understood what you want to explain in this?
Mon Jul 18, 2011 1:08 pm
sarfarazlovesu
Senior Proud Pakistani
Confused is spreading confusion
Mon Jul 18, 2011 10:41 pm
http://www.forumpakistan.com/baat-to-hoti-rehni-chahiay-t766
78.html#ixzz4FhJuVgao
Woh eak aankh daikhta hai.
woh hi os ehhad ka dajjal hai hum omoman kisi manfi qovat kay
liay alamtun ya tashbian kisi na kisi talmeh ka estamal kartay
rehtay hain. moashi hawala say qaroun ka naam aata hai. zulm
aur jabr kay liay faraoun, yazeed, shadaad waghera ka naam
laitay hain.
dajjal to her dour main raha hai.
aaj kay dajjal ko koun nahain janta?!
jab aakhri Adam aa'ay ga to yah os dour main mosbat ko manfi
bananay kay liay hasab-e-sabiq aa'ay ga. aaj ki tara bachoun,
bohroun kam'zoroun, oratoun ki lashain nazar aaein gi.
goya yah kam'bakht rouz-e-awal say picha karta rouz-e-aakhir
tak apna kirdar ada karay ga.
kiya havas dijali amal nahain hai?
kiya auroun ka haq chein kar apnay paiat par hath phairna
dijali fael nahain hai?
bairehmi dajali kaam nahain hai?
woh eak aankh (manfi) say daikhta hai.
goya jis main bhi manfi anasar apnay kamal ko ponchain gay
wohhi os ehhad ka dajjal hai.
http://www.forumpakistan.com/do-you-know-about-dajjal-t768
41.html#ixzz1SM8APpKo
Faixan
5 Star Member
lol
Insan kabi apni Ghaltio ko nahi manta..
Hamesha Dosro pe blame rakhta he . Dajjal , shetan etc...
Mon Jul 18, 2011 2:23 pm
sarfarazlovesu
Senior Proud Pakistani
Who is the Dajjaal and what are his attributes?
Praise be to Allaah.
Meaning of the word Maseeh (Messiah)
There are over fifty scholarly comments on the meaning of the
word Maseeh (Messiah). They said that this word is applied both
to the Truthful One [True Messiah, i.e., Eesa (Jesus)] and to the
misleading liar [the antichrist or Dajjaal]. The Messiah is
the Truthful One, Eesa ibn Maryam (Jesus the son of Mary),
the Messiah of guidance, who healed those who were born blind
and lepers, and brought the dead to life by Allaah s Leave.
The false messiah (al-maseeh al-dajjaal) is the liar who leads
people astray, the messiah of misguidance who will tempt people