koee bhi ho jo kharabi ki surat/suratain nikalta ya paida karta
ho, os ki nikali gaee ya paida ki gaee kharabi main ta'awan
karna, hamaiet karna, ikhtayar karna kisi tara aur kisi bhi surat
main darust aur jaez nahain.
Paida ki gaee karabi aur os say juray howay andaz, atwar,
hawalay aur rovaeay say nafrat karna os kay khalaaf aawaz
othana ya kisi bhi tariqa say rokna hi insaniat kay zumray main
aata hai. Goya insan say nafrat nahain ki jani chahiay balkah os
say mota'alaq manfi suratoon say nafrat aur baraat karna hi
asooli aur jaez baat hai aur yahhi insan kay liay zaiba hai.
Mojoda halaat mazhab ya kalchar kay paida'karda nahain hain
balkah moashi havas ki paida'war hain. Maghrab, khasusan
amrika ba'qool sari insaf'pasand insaniat, is zimun main
saf-e-awal par nazar aata hai. Mairi is baat ki taeed-o-tardeed
kay liay sarway karwa kar natija daikh lain. Hamari
baad'qismati yah hai kah hamaray wadairay amrika ki dom
banay howay hain. In Wadairoon ki daikha daikhi kamzoor aur
laee lag qisam kay tabqay aur bhook say na'char bhi in ki haan
main haan milatay hain. Kaha jata hai sari danish aur sari
hikmat gora haous say baramad hoti hai. Yah'hi baat ikhtalafaat
kay darwazay kholti hai aur bil'aakhar tasadam ki surat
ikhtayaar kar rahi hai.
Danish aur hikmat kisi ki malkiat nahain hain. In ka ta'alaq
umr, rang, nasl, alaqa, iqtadaar waghera say nahain. Danaee aur
hikmat ki baat kisi bhi monh say nikal sakti hai.
Almia daikhiay tarekh shahoon kay karnamoon say bhari pari
hai aur oon kay qasiday parhti naszar aati hai. Mazeed jahalat
daikhiay pocha ja'ay kah taj mahal kis nay tameer kya to
jawabun kaha ja'ay ga shajahan badsha nay. Halan'kah wo siray
say mistari tha hi nahain. Taj mahal to mistari mazdoroon aur
dosray honar'mandoon ka karnama hai jihain honar'mand
honay ki padash main hath kat diay janay ki saza mili.
Sarmaya bhi koee shajahan ki khoon pasinay ki kamaee ka
nahain tha. Somnath ka mandar kis nay tora?* jawab main kaha
jata hai Mahmood Ghaznavi nay. Woh badshah tha, badsha log
khud kaam thora kartay hain. oon kay pas chamchoon ki kab
kami hoti hai, chahay os nay hath bhi na lagaya ho laikin naam
ossi ka aata.
Sikandar ka gharoor kis kay hatoon pash pash howa? kaha ja'ay
ga Raja Poras kay hatoon.
Mein kehna yah chahta hoon kah Mehnat'karoon/kashoon aur
kaam anjaam dainay waloon ko mowarikh jissay morakh kehna
ziyada monasib lagta hai ko kahein jaga hi nahain daita aaya.
Baat siraf nazar'andaz karnay tak mahdood nahain.
Honar'mandoon, ahal-e-qlam, Asatza karam, moslaihein
wagherahum ko aziat di gaee, onhain soli latkaya giya. Kaam
karnay aur honar'mandi dikhanay kay jurm main oon kay hath
qata kiay gay. Pata nahain kya kuch keh kar onhain zaleel kya
giya. Goya honar, danish, kaam aur sachaee ki batain kabhi
taj/iqtadaar ko khush nahain aaein. Apna kaam nikal kar is liay
mout ki saza daina kah kisi aur ko waisi cheez naseeb na ho
sakay say bhar'kar kya zulm aur ziyadti ho gi.
Agar sab kuch (tajarba/laef xprians) rikard main aa giya hota to
insan aaj taraqi main dou chaar kya char chay qadam aur aagay
hota. Gozray logoon ka tajarba aaj kay honar'mandoon kay
kaam aata.
Aaj ka chaiar holdar bhi kan ka kacha hai aur woh apnay ird
gird jama honay walay nakamoon, kaam'choroon,
mafad'parastoon, khud'gharzoon, gher zima'daroon aur gher
honar'mandoon kay kahay hi ko sach aur darust manta hai aur
oon kay isharoon par raqs karta hai halaankah woh khud ko
marzi ka malik khud mukhtar aur sahib-e-ra'ay samjhta hai.
Agar mein yah kahoon to bhi baat kisi tara ghalt na ho gi kah
gozray kal main woh khud kisi shah ka nakama aur khud'gharz
chamcha tha aur apni hoshyari aur chalaki kay zariay tekht par
qabaz ho giya. Woh riyast main-pawar aur os kay wasael ko apni
zati malkiat aur jaedad samjhta hai. Jamhori badsha bhi riyast
kay logoon ko sheri nahain apni riya hi khayaal karta hai. Woh
chahta hai kah os ka baita ya phir os ka sala, damad waghega hi
aatay kal ko riyast aur riyasat kay takht-o-taj kay bila
shirk-e-gheray waris-o-malik tehrain aur badshahi kay mazy
lotain.
Faraoon aur is ehad kay shah main faraq siraf yah reh giya hai
kah woh khuda kehlata tha yah khuda nahain kehlata laikin
khud ko khuda hi samjhata hai aur is kay kaam faraoon aisay hi
hotay hain. Khuda to Raheem-o-Kareem aur insaaf karnay wala
hai laikin yah logoon kay liay nahain siraf aur siraf apni zaat kay
liay raheem-o-kareem aur monsef hain.
Mein apni kisi tehreer main arz kar chuka hoon kah logoon kay
tajarbay (Laef xpirians) ko rikard main laya ja'ay. Univarastioon
ko keh diya ja'ay kah woh logoon kay tajarba ko jama karain.
Wahaan alag say shoba bana diya ja'ay jo logoon kay tajarbay ko
tehriri toor par akatha karain. Jo tajarba jis sata ka ho os sata ki
sanad jari karain. Jari ki gaee asnaad ko qanoni haisiat di ja'ay.
Hasal kiya giya mowad aaj nahain to aatay kal ki nasloon kay
kaam aa sakay.
Mowarakh badshaoon ki tarikh kay sath sath in honar'mandoon
aur ahal-e- danish kay kar'namoon ki bhi tarikh likhy.
Badshahoon ki tarikh jisay qasida jhout farad aur faraib ki katha
kehna ziyada monasab ho ga, aati nasloon kay kisi kaam ki cheez
nahain.
Kya karain baqaeda parhnay waloon kay liay tehqeeq hi nahain
ibtadaee teleem kay darwazay band kiay ja rahay hain. Taj
nahain chahta kah kami kamein, os ki jotiyaan sidhi karnay
walay aur os ki chilam garam rakhnay walay parh likh kar kisi
ohday ko ja sambhalay. Woh her chotay baray ohday par apnoon
ko hi daikhna chahta hai.
Sikhnay aur parhnay likhnay waloon ko aazad kar diya ja'ay kah
woh apni ra'ay aur jis tara say woh daikh aur samjh rahay hain,
kay motabaq qalm ko harkat dain.
Mein apni asal baat ki taraf aata hoon. Tajarba say motalaq
tehriroon kay evaz siraf kaghaz ka eak porza daina paray ga jo
siraf porza hasal karnay walay kay zindgi main kisi mour par
kaam aa sakay ga. Is kay bar'aqs tehrirain nasloon tak kaam
aaein gi.
Kaee saal tak kolij sakoloon main parhnay walay ki asnaad, kisi
kaam nahain aatein. Hasal ki gaee asnaad meaz kakhaz ka porza
hi rehti hain, bilkul issi tara tajarba kay hawala say di gaee
asnad/cartifikait/digri bhi kaghaz ka eak porza hi rahay gi
jab'kah is kay evz bohat kuch hasal kar liya ja'ay ga.
Talimi amal aaj kay bapari hakamoon kay khayaal main fori
nafa'bakhsh nahain. Woh chahta hai kah ashya ki tara taleem
par invest ki gaee raqam bhi foran say pehlay dhair sara nafa
day ta'kah woh ziyada say ziyada aish ki gozaar sakay. Jo raqam
taleem par kharach ho gi ya hoti hai wo os ki ya os kay baap ki
chori hoe warasat aur jaedaad nahain, riyast kay basioon say tax
kay zariay hasal ki gaee hoti hai.
Zindgi kay is talakh ehad kay baad'naseeb aur riya nama
shehrioon ko bhi samjh laina chahiay kah yah badsah log hain
aur badshah log kisi kay dost hum'dard aur ghum'khar nahain
hotay balkah oon ki kamaee kay dost hotay hain. In ka andaz
baghaly bhaghat jaisa bhi nahain raha kah samjha na ja sakay.
In kay kartoot aur manfi karnamay to khulay aur wazay
log'dushman hain aur is zimun main kisi sata par ibham ki koee
surat mojood nahain. woh aaj ki tarikh khud moratab karain aur
rafta par naaz karna choor dain. Mowarakh to chand takoon ya
in kay haan izzat panay kay liay raat ko din likhy ga. In
Baad'qamashoon ko nabi nahain kahay ga laikin in kay kamoon
ko nabioon say bhi ziyada behtar, kar'aamad, asuli aur saaf
sothra bata'ay ga.
----------------------
* mandar torna ghalt tha ya sahi, yah baat alag say hai.
http://www.forumpakistan.com/apni-khudae-kay-monkar-khud
a-t54242.html#ixzz4FhGj7T9y
Shahista
Senior Member Pakistani
AMEEN..... AMEEN...... AMEEN
Wed Jun 22, 2011 10:41 am
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aap nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.
Allah aap ko kush rakhy.
Thu Jun 23, 2011 1:04 pm
_________________
seemee
Full PK Member
AMEEN..... AMEEN...... AMEEN ...........AMEEN
Sat Jul 09, 2011 1:16 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aap nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.
Allah aap ko kush rakhy.
Mon Jul 11, 2011 3:17 pm
_________________
bartan and me
ameeen...Iss issue k khilaaaf itnii awaaz uthanii chahyea k soi
hue haqoomat ko itna ehsaas zaroor ho jae k masooom logo ka
qatl e aam ho raha hai aur islam k hawalay sa na sahy khudara
apne uhdaay aur zimaydaari ka hy paas rkh lain.
Wed Jul 13, 2011 11:29 am
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
tarikh gowah hai k badshah issi tara k hotay hain.
qoum ka shaour baidar karnay ki zarorat hai kayoun'kah fikri
tabdili ba'shaour log hi la saktay hain.
Aap nay tovajo farmae es k liay ehsan'mand houn.
Allah aap ko kush rakhay
Wed Jul 13, 2011 8:33 pm
_________________
mytony
Green food,god resource. I like the community.
Thu Jul 14, 2011 1:23 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aap nay tovajo farmae es k liay janab ka shukar'gozar houn.
Fri Jul 15, 2011 10:10 am
_________________
http://www.forumpakistan.com/yah-hain-dehshatgard-t76061.h
tml#ixzz4FhIlcoeW
Aaj ki mosalman qoum
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
aaj ki mosalman qoum
mosalmanoon say bhar kar koee ghairat wali qoum ho hi nahain
sakti. in kay sar par pagri rakh dou aur jab tak chaho picha
daba'ay rakho, ouf tak nahain karain gay.
dukh dard taleef aur bardasht koee in say sikhay.
Fri Jun 17, 2011 9:55 am
_________________
Riya_Sister
Forum Family Member
aur aaj kal k musalman in say bar k soi hui qoum koi nahi ho
sakti ... zulm sitam zeati sab bardasht kar lein gay lekin uff tak
nahi karen gay. zulm hote dekh kar apni ankhien band kar lein
gay aur kuch to aisay hain jo dekhtay hain to enjoy karte hain ...
what a nation .... Shame...
Fri Jun 24, 2011 11:29 am
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
shukarriya
Allah aap ko kush rakhy.
izhaar bohat zarori cheez hai
Sat Jun 25, 2011 8:53 pm
_________________
Moiz sheikh
karachi
riya ki thinking pey afsoos hua..
beta bolney sey pehley khud apney gireyban main b jhank loya
karo k tum kiya karti ho Pak k liyeh....
kam az kam kuch acha kar nahi sakti to bol to sakti ho na...
shame on you
i m proud to be Pakistani and i love it as it is..
Achey waqt main to sab saath detey hain
apney woh hain jo burey waqt main b saath dain
Tue Jun 28, 2011 4:33 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
jab tak achay aur boray ki aaghi nahain ho gi islah kaisay ho
sakay gi?
aap k khayaal main ghalt ko bhi sahi kehna chahiay?
humain jab tak apni khamioun ka pata nahain chalay ga gari
kaisay sidi rah par chal sakay gi?
is acha acha hi nay kaam kharab kiya hai goya boraee ko achaee
bata kar boraee ki hosla afzawe ki jani chahiay???????????????
tanqeed noqsan nahain ponchati balkah nikhar aur safaee ka
sabab banti hai.
Tue Jun 28, 2011 6:38 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
hum sab ko PAKISTAN par fakhar hai aur yah hamara dil aur
hamari jan hai.
aap ko kiya moloum is ko hasil karnay k liaya kuch daina para.
lakhoun log bai'ghar howay.
lakhoun logoon nay jan ka nazrana paish kiya.
lakhoon log tanha ho gay.
kya kya zikr main laya ja'ay................????
baat kartay howay bhi kalaija monh ko aata hai.
issi wajah say to dukh hota hai kah yah sab kya aur kayoun ho
raha hai.
baita ji!
yah pak logoon ka molk hai laikin napaki ko nazar'andaz bhi to
nahain kiya ja sakta.
islah k liay her kisi ko kamar kasna paray gi.
Tue Jun 28, 2011 6:48 pm
_________________
Faixan
5 Star Member
kon musalman yar,, aj musalman kahan milen gay apko.. aur
musalman qoom hona to door ki baat...
Thu Jul 07, 2011 11:04 am
sarfarazlovesu
Senior Proud Pakistani
muslmaan milain ge thoray thoray
on their original deen
logo ko woh ajeeb lagain ge
kaisee batain kartay hain yeh log
ghairat ki sharam ki haya ki
ALLAH aur us k rasool ki batain mananay ki ...
Thu Jul 07, 2011 4:46 pm
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
Agar kisi say kaha ja'ay kah mosalman qoum ki tareef biyan karo
to jawabun ossay yah tareef karni chahiay:
Mokhtalif nazriyaat kay mollaoun ka aisa majmoua jo bahmi
mofad aur maal pani kay liay eak dosray ko bora bhala kehtay
rehtay hain bal'kah kafir tak qarar daitay rehtay hain.
Taqseem ko jan-o-eman samjhay bhaitay hain aur taqseem ka
amal puray zour-o-shour say jari-o-sari hai. Woh is qoum ko
taqseem karkay takht ki jaroun ko mazbout karnay ki danista
ba'az oqaat na'danista koshesh kartay hain. Tarikh gowah hai
kah mazhabi nambar'dar takht kay gomashtay hi rahay hain.
Falah aur eslah'kaar in hi kay jari karda gidar parwanoun kay
hawala say zindgi say mehroum hotay rahay hain aur hotay
rahain gay.
Yah kehna bhi shaed ghalt nahain ho ga kah maghrabi khuda
kay kalay ya goray hathoun say kha'ay howay chamkilay aur
palish kiay howay jotoun main apni donyavi kamyabi aur nijat
khayaal kartay hain. Hussain aur Tipu in kay haan baghi kay
laqab say malqoub hotay hain.
Hussain aur Tipu ab is liay wapis nahain aatay kah yah apnay
ban kar ghairoun ki dar parda madad kartay hain aur jab gaiar
kaam nikal janay kay baad in ki pith par puray zour say laat
raseed karkay darwazay say bahar monh kay bal girata hai to
phir woh is baad naseeb qoum kay hiro ban jatay hain.
Halan'kah ab jang oon ki apni hoti hai laikin onhoun nay Islam
ka libada zarour ourh rakha hota hai.
Mowarakh bhi in hi ko qoum ka nijat dahinda batata hai,
Hussain aur Tipu ko motnaziya bana kar haq-e-namak khori
ada karta hai.
Sat Jul 09, 2011 12:41 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
moslmaan milain ge thoray thoray
on their original dein
logo ko woh ajeeb lagain ge
kaisee batain kartay hain yeh log
ghairat ki sharam ki haya ki
ALLAH aur Os k rasool ki batain mananay ki ...
tovajo kay liay shukarriya
aap nay thek farmaya. kuch aisa hi ja raha hai ta'hum acha
karnay walay kisi manfi remark say gabra kar acha karnay say
baz nahain aatay.
Allah oon ki tofiqaat main azafa farma'ay aur hum sab ko naiki
aur rah-e-rast (Sirat-e-mostaqeem) par chalnay ki tofeeq aata
farma'ay.
aap ko izhar kartay rehna chahiay is tara ghalt aur sahi ki
nishan'dahi hoti rehti hai.
Allah aap ko kush rakhy.
Sat Jul 09, 2011 12:55 pm
_________________
http://www.forumpakistan.com/aaj-ki-mosalman-qoum-t76028.
html#ixzz4GKFmsvVo
Pakistan dushmun koun hain
Riyasat apna nazam-e-hakomat chalanay aur apni afradi qovat
ki esta'ad-e-kar main mukhtalif hawaloun aur tariqoun say
azafay, skilled karnay, shaour-o-aaghi say behra'mand karnay,
moashi siyasi aur samaji insaf mayassar karnay, oon ki zindagi
ko aasan aur aasuda bananay aur onhain sehat'mand rakhnay
kay liay mukhtalif qisam kay aeni tariqa say tax nafaz karti hai.
Riyasat shakhas ki haisiat waghera ko bhi es zimun main
mad-e-nazar rakhti hai aur la'yaeni aur gher'mota'alaq tax aed
nahain karti. Ta'kah baichaini parishani aur haisiat ki kamzori
waqo main na aa'ay. Jaez aur monasab hasal kiay ga'ay tax say
riyasat aeni aur riyasti adaroon ko mazboot karti hai ta'kah wo
behtar tariqa say riyast kay logoun ki khidmat sar-anjam day
sakain.
Jis riyasat main moamla es kay bar'akas ho jata hai wahan
kharabi aurbai'insafi kay bai'shomaar rastay bun jatay hain.
maslan:
a. 1. logoun ka maal jo tax kay zariay say hasal kiya giya hota hai,
Houses ki tamer tazein-o-araesh par kharch honay lagta hai.
2. houses ka kichan zarorat say ziyada farakh ho jata hai.
3. houses kay logoun kay paiat bhi qabal-e-mazamat haad tak
bhar jatay hain. es tara es maqolay ko amli shakl mil jati hai:
"kama'ay gi dunyaan khaein gay hum"
b. la'yaeni doroun par bai'daraigh ropay lota'ay jatay hain aur os
ka return qoum ko sefar ki surat main milta hai. haan vadairoun
kay saiar sapatay zarour ho jatay hain.
c. houses ki haisiat logoun kay liay gher'mowassar aur bai'kar ho
kar reh jati hai. logoun ko wahaan say kuch hasal nahain ho
pata.
d. shashas to shakhas, adaray tak khadam nahain makhdoon ho
jatay hain aur wo siraf aur siraf en houses kay liay kaam kartay
hain. logoun ko wahan say dhakay dabao daraway, dhamkiaan
aur jirkiaan milti hain.
e. rishvat ki taraf janay walay rastay ziyada ho jatay hain. log jis
rastay par bhi chaltay hain os ka ekhtatam rishvat kay darwazay
par hota hai.
f. bai'tahasha tax ki vasoli kay ba'vajoud pori nahain parti lihaza
baroni qaraz main nijaat samjhi jati hai. es tara dosroun kay
samnay sharmindgi othana parti hai
halakah damun kay motabaq khud riyasat kay andar mojood
hota aur rehta hai.
g. Molak kay sar’barah qimati libas main malbous ho kar bheek
mangnay jatay hain aur tazheek ka nishana bantay hain.
h. jab houses kay log jinhain misali samjha jana chahiay, ghalt ho
jatay hain to khud logoon kay ghalt honay main dair nahain
lagti.
i. fard zaat kay khoul say nahain nikal pata aur her tariqa say
apnay faeday kay liay tag-o-doo karta hai chahay es say kisi aur
ka ya riyasat ka kitna hi noqsan kayoun na ho.
j. insaaf mazaaq aur bakaou maal ho kar reh jata hai.
k. aaghi kay rastoon par kharch honay wali raqam ko fazoul aur
gher’paidawari samjha janay lagta hai.
aaghi say motalaq adaray tamatar aur aalu ki haisiat ekhtayar
kar laitay hain aur onhain maal'dhar logoun kay hath baich diya
jata hai. es tara:
1- en adaroun ka miyaar gir jata hai.
2- menhgay aur aam admi ki ponch say dour ho jay hain.
natija-e-kar:
a. oon tak aam logoun ki mali hawala say rasaee dam toor daiti.
b. bipari aur taleem say gher motalaq balkah kitab'dushmun
aaghi kay bai'taj badshah ban jatay hain.
c. whaan say milnay wali aaghi, aaghi kay naam par gandgi ki
tikka hoti hai.
d. qarz farahum karnay wali qovatoun kay talimi adaroon ko
miyari aur
boland'paya samjha janay lagta hai aur oon kay qadmoun par
chalnay ki koshesh ki jati hai halankah wo oon kay kalchar kay
motabaq bana'ay gay hotay hain. oon ka nisaab bhi oon kay
mazaj aur zarorat kay motabaq
takeeb-o-tasheel kiya giya hota hai.
e. auroun kay dabao main aa kar riyasti zaroratoun asoloun aur
nazriyati chizoon ko hazaf kar diya jata hai.
f. qaraz'dahinda qovat ki zoban ko bala'tar samjha jata hai aur
ossi main, ossi
kay zair-e-assar aur ossi qoum kay mafadaat kay hawala say
taleem di janay lagti hai.
k. her lamha baiyaqini kay tanoor main jalta aur sulgata rehta
hai.
l. "choor ochakay chudri aur ghundi run pardhan"ban jati hai.
m. gher'aeni taxes ki bhar maar ho jati hai.
n. foj ko apnay mokhalif logoun/fariqoun ya qaraz'dahinda kay
mokhalif logoun/fariqoun kay liay estamal kya jata hai.
Yah to seraf chand eak batain hain jin ka mein nay opar zikr kya
hai.
Baishumaar qorbaniaan day kar hasal kiya giya Pakistan en
qabahatoun ka shakaar ho giya hai. Log sochnay par majboor ho
gay hain kah agar yahhi surat-e-haal aur chalna rehna tha to
essay hasal karnay ki aakhir kya zarorat thi.
Aaj Bharat aur gher muslim molkoun main musalman aabad
hain aur apnay apnay zouq, zarorat, hunar aur halaat kay
motabaq zindgi kar rahay hay. Apna damun bachanay kay liay
manfi asraat kamoun ka kabhi kabhi rola dala jata hai kah ji
woh mar gay khap ga'ay halankah aisi koee baat hoti hi nahain
aur na’hi wahan ki foj apnoun par goliaan barsa rahi hoti hai.
pols chitatar maar rahi hoti hai ya pols moqblay main
mokhalfoun ko mara ja raha hota hai.
Hamaray haan maghrab ki tara kay 16 sala BA ka rola dala ja
raha hai jab'kah hamara pehlay hi 17 sala BA hota hai. pehli tak
aatay aatay 3 saal laga diay jatay hain. es tara abtada mazboot
karnay ki koshesh ki jati hai.
Pehli tak aatay aatay jo 3 saal lag jatay hain kya wo instarakshan
(instruction) ka amal/hissa nahain hain?!
kya yah yahaan kay taleem'yafta yang shehri say amli zindgi kay
2 saal chein lainay ki danista sazesh nahain?!
Shaed yah sazesh es liay ki ja rahi hai kah 17 saal parh kar
taleem'yafta yang shehri nokri mangay ga lihaza ossay mazeed
instarakshan kay amal main olja dou.
Jab yahaan adaray mazboot hoon gay kaam karnay kay midan
khulay aur wasi hoon gay to phir kisi ko bahar ja kar goroon kay
kotoon ko nehlanay ki bhala kya zarorat ho gi. yah bilkul ghalt
aur baibonyad baat hai kah maghrab kay log yahaan kay logoon
say bhar'kar hain. hamaray log:
1. maghrab waloon say kahein ziyada zahein-o-fatein hain. mairi
es baat ka
wazay aur zinda saboot yah kah koee bhi faran made cheez aati
hai to os ki eak nahain kaee naqool market main aa jati hain aur
baz asal say bhi kar'gozari
main behtar aur bhar'kar hoti hain. en naqool kay tiyar karnay
walay shakago return nahain hotay baz to sakool bhi nahain gay
hotay onhoon nay ether odher
say kuch na'kuch sikha hota hai.
2. sabr aur bardast ki ziyada qovaty rakhtay hain.
3. bai'haad mehnati hain.
4. ziyada waqt kaam kar saktay hain aur kartay hain.
5. kaam ko ziyada waqt day saktay hain aur bohat kam moavzay
main daitay bhi hain.
6. hamaray haan aksiriat aisay logoon ki hai jo kabhi ba'qaeda
instarakshan kay amal say gozray hi nahain hotay laikin kaam
ala parhay likhay logoon say bhar'kar,
kar jatay hain.
zara balal ganj kay kisi unparh kharadiay say mil kar to
daikhain aur ossay wo kaam soonmp dain jo maghrab kay kisi
professor/saens'dan nay kiya hota hai. wo kahein behtar aur
kahein paedar kar day ga. mein apni es baat ki sanad kay liay
"naam'dav"* aur ayub abbasi"** ko hawala bananay main koe
aar nahain samjhta.
7. hamari jawan parhi likhi nasal bari la'jawab aur mehnati hai.
wo behtar aur kam'waqt main acha aur pae'dar kaam karnay ki
ehliat rakhti hai. baad'qismati
say ossay mowaqay hasal nahain ho patat.
khuda kay liay:
* es qoom par reham karain aur es kay wasael ayashi aur
baad'mashi main na oraein.
** jawanoon say kaam aur amli zindgi kay 2 saal na chinay jaein.
*** taleem ko biparioun kay hath na baichain.
**** adaroon ko awaam ka khadam banaya ja'ay aur onhain
awaam kay liay kaam karnay par majboor kiya ja'ay.
***** oudhaar ki dokandari band karain.
Bawar rahay takht taj aur waqt kisi ka sagay nahain. Waqt kay
liay opar say nichay aur nichay say opar lana aur lay jana
mushkal ya na'mukin nahain. Pehloun kay hashr say ibrat lain
warna Allah ki lathi bai'aawaz hai aur os kay ghar dair hai,
andhair nahain. Mein en satoor kay zariay ba'ekhtayar tabqoun
ko chitavni daita houn kah oon ka hashr bohat hi bora ho ga
yahhi nahain wo kal ko Allah kay hazoor koon'sa monh lay kar
jaein gay?!
------------------------
* khaka, Chand Humasar az Dr. Molvi Abdul Haq Sahib
** Khaka, Hum'nafsan-e-rafta az Prof. Raseed Ahmad Sadiqi
Sahib
Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
Baray kamray kay qalein par eak chonti kabhi idher aur kabhi
odher bhagay phirti thi. Mein nay ghoor kiya, wo shadeed
parishan thi. Prishani kay alam main wo la'hasil mashaqat ka
shakar ho gaee thi. Mujhy os ki prishani ki tein vajo samjh main
aaein:
• Qalein zamein nahain thi aur wo zamein par chalnay ki adi thi.
• Na'ay mahol aur halaat nay ossay parishan kar rakha tha.
• Os ki mahdood basarat aur basirat nay qalein ko la'mahdood
qarar day diya tha.
Jab soch basarat aur basirat kalein se kay daeray main mahdood
ho jatay hain to insan ki haisiat os chonti say ziyada nahain rehti
aur insan mahdood daeray say bahar nikal nahain pata. Jab
nikalnay ki koshesh karta hai to idher odher bhatakta phirta hai
aur prishanioon main ghir jata hai. Ossay kuch sojhaee nahain
daita kah kiya karay aur kiya na'karay. Kaenaat main karnay ko
to bohat kuch hai laikin aankh ki mahdood kar'gozari kay sabab
woh kuch nahain kar pata jo hona chahiay.
Basarat kay faislay kay motabaq digar hawas apni kar'gozari
samnay latay hain laikin jab kisi hawala say daera tornay main
kam'yaab ho jata hai to ossay pehlay say behtar kar'gozari kay
un'gint mowaqay mayassar aatay hain. Goya woh pehlay say
behtar aur bohat kuch kar gozarta hai. Warna os daeray main
bahar ki kar'gozari momkin hi na thi.
Allah Karim nay Insan kay andar 1,64,0000 saktiaan (powers)
rakh di hain jin main say meaz chand eak ka istamal ho pata
hai. Moqadas Kotab main ghoor karnay ki bar bar takeed aati
hai. Tadabar kay natija main
"La"
ko vajood mayasar aa jata hai. Ta'hum yah baat teh hai kah
ghoor karnay kay natija main hi korray tabdeel hotay hain.
Insan mokhtalif korroon ki sair karta hai. Is say os kay ilm aur
moshahiday main vosat aati hai. Dosri taraf yah bhi hota hai kah
korroon ki tabdili say woh la'madood nahain ho jata. Jab'kah
adyan khasosan Islam insan ko mahdood, mahtaj aur ghulam
nahain daikhna chahta. Mahdood aur ghulam honay ki surat
main insan apnay khaliq tak rasaee hasil nahain kar pata.
Haqiqi Khaliq-o-Malik la'mahdood hai is liay os say qareeb
honay kay liay la'mahdood honay ki zarorat hoti hai.
Ulma Karam Koshesh main rahay hain kah intahaee qareeb aur
intahaee door kay mafaheim tak rasaee hasil kar lain. Ulma
Karam nay ahkamaat ki tashrehaat aur tafheim kay hawala say
daftar kay daftar bhar diay hain. Oon ki masaee jamila apni jaga
laikin wo tafheim-o-tashree jo qaem baz'zat aur her kisi kay liay
qabal-e-qabool ho, abhi tak insan kay hath nahain lag saki. Her
mafhoom her tashree raad ho jati hai ya her kisi kay haan
sharaf-e-qaboliat hasil nahain kar saki balkah in ki mokhalfat
main kahein pur'zoor dalael samnay aa'ay hain. Jinhain parh
kar:
• Pehla mostard ho jata hai.
• Tazabzab janam laita hai.
• Pehlay main tabdiliaan laee jati hain.
• Tashrihaat ki mazeed tashrihaat ho gaee hain. Jis kay sabab
oljhao paida ho gi giya hai.
Foqara la'mahdood honay kay liay apni zaat ki nafi karkay Allah
ya kisi aur ko jo oon kay khayaal main la'mahdood hota hai, ko
asbaat daitay hain aur keh othtay hain:
Toon hain tana toon hain bana, sabh kojh maira toon
Kahay Hussain faqeer namana mein nahein, sabh toon (Shah
Hussain Lahori)
Bhula, Sho hain dohein jahani
Koee na wasda gher
(Bulle Shah Kasuri)
Ab baat zara aagay bharti hai to Mansoor keh othta hai:
"Mein hi haq hoon"
Bulle Shah ka yah kehna bhi qabal-e-tovajo hai:
Haji lok makkay noon janday
maira mahi makka
mein kamli haan
Bulla Sho asaan marna nahein
Disay mar giya koee hoor
Sawal paida hota hai kah yah sab ghoor-o-tadabar kay natija
main hasil hota hai ya hadsati toor par waqo main aata hai ya
ishq is manzal tak lata hai ya is ki koee aur vaja ho sakti hai.
Ustad Ghalib bilkul alag say jawaaz latay hain:
Kuch na tha to Khuda tha kuch na hota to Khuda hota
Doboya mujh ko honay nay na hota mein to kiya hota
Moamla yah hai kah aaghi jab mosbat rastoon par chalti hoee
janoon ki shakal ikhtyar kar laiti hai to hi la'mahdood honay ki
taraf safar ka aaghaz hota hai. Is tara daeroon ki qaid say aazadi
hasil ho jati hai. Mahdood-o-makhsus hona aur ossi ko sab kuch
samjh laina hi Shirk hai. Insan kisi daeray ka mahtaj ya ghulam
ho giya to os nay Shirk kiya.
Insan aazad paida howa hai. Allah insan ki ghulami pasand
nahain karta. Insan siraf aur siraf Allah hi ka hai aur Allah hi
kay liay hai. Allah chahta hai kah insan her midan main
kamyabi-o-kamrani hasil karay. Jab bandgi kay sab darwazay
band ho jaein gay to siraf aur siraf Allah ki bandgi ka darwaza
khola reh ja'ay ga. Is tara woh apnay Khaliq-o-Malik ki tara
bai'karan ho ja'ay ga. Woh ossi nehj par sochay ga jis par os ki
takhleeq hoee. Jein aur gosht kay cells ka pass-word/code daryaft
kar sakay ga. Pass-word/Code ki daryaft say hi la'mahdood hona
momkin hai. Yah la'mahdodiat kaenati ho gi jab’kah Khaliq kay
liay woh meaz os ki khob'surat takhleeq hi rahay ga.
Kaliq apni takhleeq kay mafaheem khoob khoob janta hota hai.
Auroon par yah mafaheem nahain kholtay aur na’hi khol saktay
hain.
Modabar ishq dosroon par foqiat hasil kar laita hai to:
• Khaliq kay qareeb ho jata hai.
• Khaliq ko os ki sifaat kay hawala say jan aur pehchan laita hai.
• Khaliq os say aur woh Khaliq say razi ho jata hai.
• Insan Khud ko jan aur pehchan laita hai.
• Woh ashya ki haiat, mahait, istamalaat, jowahar aur mafaheen
say aaghi hasil kar laita hai.
• Woh apnay andar kay korroon aur shaktioon par tasalat hasil
kar laita hai.
Ghoor karnay aur na'karnay waloon main farq aa jata hai.
Ashq-e-modabar (moman/motaqi) Khalifa ban kar zindagi kay
kanvas par namo'dar hota hai.Woh jan jata hai aur na'jannay
waloon kay liay Allah ki naimat sabat hota hai. Ulma Karam lafz
kay maeni talashtay hain jab’kah yah lafz ki rooh par garift hasil
kar laita hai. Donoon main yahi bonyadi farq hai. Is
Ashq-e-modabar ko Peer keh lain, Bazorg ka naam day dain,
Darvaish, faqeer, Sufi, Bhagat, Amam, Khalifa ya Guru kay naam
say mansoob karain eak hi baat hai.
surindarn
Re: Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
December 13, 2014, 08:41:53 PM »
bahut khoobsurat ehsaas hai.
Dr Maqsood Hasni
Re: Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
December 14, 2014, 03:23:37 AM »
aap ki mohabat aur tovajo ke liay ehsan'mand hoon. aap par
hamaisha Bhagwan ki kirpa bini rahay
http://www.yoindia.com/shayariadab/general-stories/allah-insan
-ki-ghulami-pasand-nahain-karta-t118389.0.html
I K QAZI
Moderator
Germany
Insaan Azad paida huwa he lehkin Maddar/Paddar Azad Azadi
insaanoh ka shewa nahih he.Hum jitne bhi Azad ho jahen hume
nahih bholna chahiye k Iss Zameen par Humae ALLAH TA,ALA
ne Khalifa bana kar bheja he aur ye k Hume Paida karne ka aik
Maqsad he aur wo ye K Hum Itne Azad ho jahe k Iss maqsad jis k
Liye Hume Takhleeq kiya gaya he Bhool jayen yani Quran
Kareem K Mutabiq mafhoom:"Hum Ne Insaan aur Jinnat ko
Ibadat k Liye Takhleeq kiya he".Agarche k Ziada loag Ibadat ko
sirf Paanch bunyadi Arkaan e Islam tak mehdood samajh lehte
hain jab K Is se Maqsad Muhaamlaat hain yani "Al Deen Ul
Muamla"yani doosre Insaanoh ke Huqooq ki Paasdari,Haraam O
Halaal me tafreeq,Apne Huqooq aur Khidmaat,Huqooq aur
Ibadaat (5 Bunyadi Arkaan) k darmiyan tawazan barqarar
rakhna waghaira he.Jahah tak hum Deen Ko Doosroh k
Parchamoh Thale Betth kar Usse Islam K Farogh ka zareeya
samajh lehte hain tho uss me bhi Khud ka Islam ke Taleemaat ka
Illm hona,Shakhsiat parasti aur Shirk Me Tameez,Ibadaat aur
Rahbaniat me tafreeq aur ye k Firqoh ko farogh aur janam na
dehna bunyadi sharaith hain.ALLAH TA,ALA ne Hume QURAN
O SUNNAH ki shikal me Aik Dastoor Muhahiya kar diya he agar
hum Iss k Daire K Andar Rehte huwe Apne Illm ko haasil karne
aur Iss me Izaafa karne k liye Kissi Aalim k Paas jahen tho teak
he wagarna ye Peeri/Mureedi,Mukhtalif jamahathoh/Giroh me
khud ko shamil kar lehna aur Batta dehne se Na sirf Humari
Azaadi Salb ho jaati he balke hum Ummah ko Taqseem karne
aur Shirk ka mojab ban jahte hain.Iss liye Iss silsille me Ehtiat
karne ki Ashad zaroorat he.Me Deen e Fil Mulla ya Peer ki Bajay
Quran O sUnnah ko Kissi Ehl Aalim se Seekhne ko Tarjeeh
doonga.
Sun May 31, 2009 6:16 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
punjab
aap nay tovajo di bari bari meharbani
Thu Jun 04, 2009 7:19 am