easy to read and enjoy it,,,thanks
Tovajo aur mohabat k liay shukarreya.
Mukhtasar likhnay ki koshesh karoon ga.
Aap daikhtay hain kafi likhta hoon. waqt bohat kam milta hai.
English main shaed dobara na likh sakoon ga. Agar koe sahiby
ah zahmat farmaein gay to acha rahay ga.
Mon Jun 15, 2009 10:26 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
bohot aala dr sahab, kia ye app khud he likhtay hai ya phir copy
& paste karte hai kahi say?
shukarreya janab.
khud hi likhta hoon.
_________________
http://www.forumpakistan.com/aaj-orat-ko-orat-hi-bacha-sakti-
hai-t28791.html#ixzz4GHjXqv6P
Koee to os ko samjha'ay
Lut janay kay baad hosh aaya to kiya aaya?!
Bokhar koee bimari nahain, kisi bimari ki alamat hota hai. Is
baat par tib say mota'alaq tamam shoboon main itfaaq hai.
Haan tanaza is baat par hai kah pehlay bukhar ka alaj kiya ja'ay
ya bimari ka koee kamyaab sad-e-baab kiya ja'ay. Faraqein
apnay moaqaf kay liay apnay apnay dalael rakhtay hain.
Asal bimari ko os ki mojoda halat main rakh kar bokhar ka
moalja kisi tara danish'mandi nahain. Adviyaat ki taiz raftari say
bachnay kay liay asal bimari jism ka koee kamzoor organ talash
karkay wahaan daira jama lay gi aur aatay waqtoon main kisi
baray roog maslan kansar ka sabab ban ja'ay gi. Os waqt
na ja'ay mandan na pa'ay raftan
wali baat ho gi. Is hawala say bukhar say pehlay bimari ka
moalja hona chahiay. Dard ka moaja haqiqat sahi laikin dard say
pehlay behtay khoon ki nadi ka rokna az'bas zarori hai.
Mairay samait her koee dehshat'gardi kay tofan ko roknay ki
baat karta hai laikin yah jo ho raha hai aur is ka hami insaniat
ka ghadar hai. Is ka ossay rooz-e-hashar jawab daina paray ga.
Kisi eak shakas ka qatl dar'haqiqat puri insaniat ka qatl hai.
Dehshat'gardi kay ma'algein (Doctors) bokhar otarnay kay liay
garam say garam adviyaat istamal main la rahay hain. Is tara
woh apnay paishay ki tohein kar rahay hain aur Shitan kay hath
kath potli banay howay hain. Bokhar ka moalja eak lambay
choray arsa say puri shad-o-mad kay sath jari hai.
Hath kiya laga hai?
Nakami, na'maradi. yahhi na?!
Her naya din pehlay din say khoof'naak sabat ho raha hai.
Hararat main shidat aati chali jati hai. Apni khift mitanay kay
liay her marnay walay ko dehshat gard ka naam day di jata hai.
Kaha jata hai pehli say ziyada garam dooz mayassar ki ja'ay.
Sawal paida hota hai, goli aasman say chalay ya zamein say, wo
yah nahain daikhti marnay wala dehshat gard hai ya ghotnoon
kay bal chalta howa koee masoon aur fitrat par paida honay wala
bacha hai. Yah wohi bacha hai jis kay liay vaksian istamal main
aati hain.
Goli ka kaam zindgi say mehroom karna hai aur wo apna
nahaiat eman'dari say faraz ada karti hai. Hikmat amli teh
karnay walay kayoon bhool rahay hain kah jang'ju to morchoon
ya hifazti maqamaat par hotay hain jab'kah aam log jin ka
khoon kharabay say koee ta'aluq hi nahain hota nishana bantay
hain. Aakhir onhain kis jurm main mout kay ghat otara ja raha
hai?
In bai;gonahoon ka koon hisab day ga ya kis say manga ja'ay?
Kisi so-called wadairay kay qatl par donyaan jahan kay taftishi
adray harkat main aa jatay hain. Kochehri-o-kochehri ho jatay
hain.
Moalaj kay hathoon qatl honay waloon kay liay koee bolta hi
nahain. Is liay kah dehshat'gard keh kar moalaj ossay bhi zehrila
tika thook day ga.
Dehshat gard moalaj kay hathoon lakhoon log bai'ghar ho gay
hain. In sarkari dehshat gardoon ko koon rokay ga aur kis tara?
Na bolnay walay bhi barabar kay shareek hain. Lagta hai yah
hamaisha kay liay donyaan main aa'ay hain aur inhoon nay
jahan chorna hi nahain.
Talwar kay zoor par kabhi kuch howa hai???
Kisi talwaar'baaz moalaj ko dehshat gardi kay bokhar kay
moaljay ki zima'dari sonpna gidar ko kachroon ka rakha
bhithanay kay motradaf hai. Yah talwar bardar moalaj
ba'zaat-e-khud amun ka vairi hai. Is say bara kar amun'kush
koon ho ga. Yah jahaan jata hai virani lata hai. faslain barbad
karta hai. Phal'dar darakht katta hai. Mahool main aalodgi
phalata hai. Asmat'dari kay rekard torta hai. Bai'gonahoon ka
bari bairehmi aur bai'dardi say khoon bahata hai jab'kah
gona'gar/mujram/dehshat'gard jo alart hota hai, bohat door ja
choka hota hai. Is ki sab'acha ki report khud'faraibi say ziyada
kuch nahain hoti.
Mein issi liay kehta hoon tikay say hath rook kar pinay ki dawa
say afaqay ki surat nikali ja sakti hai. Moaljay nay bukhar ki
shidat main her'chand azafa hi kiya hai. Yahhi nahain moalaj ki
nadani aur bai'waqofi kay sabab bokhar jo choot ki bimari
nahain, choot ki bimari ban gaee hai. Moalaj ko na'ay tanazur
kay hawala say apna soch badalna ho ga warna koee mahfooz
nahain rahay ga. Donyaan haviya ban kar reh ja'ay gi.
Jab mojoda moaljay say na'kami balkah sharam'naak na'kami
hoee hai to is moaljay ka jari rehni kayoon'kar darust aur
monasab ho sakta hai. Tarikh kay is khatar'nak moor our
hat'dharam moalaj ko koee samjha'ay kah is ka teh karda moalja
na'kaam, sharam'naak balkah ba'zaat-e-khud khoof'naak qisam
ki dehshat'gardi hai.
Kaam os waqt ban sakay ga jab dehshat'gardi kay sabab ko
talasha ja'ay ga. Agar moalaj ko yah maloom hai to woh is janib
kayoon nahain aata kah qadmoon kay nishan os kay apnay ghar
tak aa jaein gay. Eak ghar kay das logoon main say eak bach
rehta hai to kiya os say khair ki towaqo ki ja sakti hai?
Kiya woh puri dunyaan ko jala kar khakistar kar dainay ki
bhavna lay kar nahain othay ga?
Kiya os shakas ko mujram ka naam daina monasab aur mabni
ba'haq ho ga?
Goya yah raad-e-amal jo moalaj (jissay moqadas ga'ay ka darja
hasal hai) kay hawala say janam lay rahi hai, main azafa hi hota
chala ja raha hai. Dehshat gardi ko khatam karnay ka jawaz lay
kar bai'ansafi aur baad'mashi panap rahi hai. Aaj dou amoor ki
janib tovajo dainay ki ashad zarorat hai:
1- Bukhar kis bimari kay sabab howa hai, ko talasha ja'ay.
2- Logoon ki rohoon main wazu sajaya ja'ay.
Arwah ko Ganga Jal say ashnaan diya ja'ay. Aab-e-Zamzam kam
nahain para aur nahi Ganga abhi khoshak hoee hai. Is
Ailophaithik moalaj ko raad karkay Biokaimak moalaj ko moqa
diya jana chahiay. Homioon-paithak aur
Biokaimak(Ronaniat/Sufi) waloon kay pas Aab-e-Zamzam bhi
hai aur Ganga Jal bhi.
Khuda kay kay liay koee Gora House kay moqinoon say keh day:
'tumhain apnay talwar bardar moalaj ki sarzanash karni chahiay
warna tomhara yah talwar badar moalaj tomhari moeshat aur
moashtat ko dhimak ki tara chat ka ja'ay ga aur phir Gora House
kay moqinoon ki hadioon ka goda bhi os ka shikam na bhar
sakay ga aur tum os kay monh lagay khoon kay chaskay ka koee
hal na nikal sako gay'
_________________
Asal baad'qismati to yah hai
Shirk gonah hi nahain eak jurm aur kansar say kahein ziyada
aur barh kar mohlak aur khatar'nak bimari bhi hai. Is marz kay
mareez ta'umar:
1- Ehsas-e-kamtari ka shikar rehtay hain.
2- Baad'nasib golami ki zindagi gozartayy hain.
3- Oon ki zati koee ra'ay nahain hoti.
4- Woh apni marzi ka kabhi bhi koee faisla nahain kar patay.
5- Tazabzab oon kay jiwan ka sathi teharta hai.
6- Oon kay hawaas khoof say kabhi aazad nahain ho patay.
Shirak ki jaan'laiwa daldal main mushrak bai'bas aur bai'kas
zindagi basar karta hai. Bil'aakhir tabahi-o-barbadi ka shakar
ho jata hai aur yahhi moshrak ka anjam hota hai.
Asal baad'qismati to yah hai
kah
moshrik issi halat aur surat ko behtar aur sahi samjhta hai ya
issay hi sab say bari sachaee manta hai. Goya os kay dil par
mohar sabt ho jati hai aur woh lotnay waloon main nahain hota.
Woh bhool jata hai kah nadi kay dou kinaray hi haqiqat hain.
Dou kinaroon ka eak hona asool-e-fitrat kay monafi hota hai.
Motradaf lakh acha ondah aur behtarein sahi wo bahar'surat
motradaf kay darjay pay hi faez rehta hai. Ossay kisi surat ya kisi
qimat par asal ki pozishan hasil nahain ho pati.
Bawar rehna chahiay malawat tawazan ki khrabi ka mojab banti
hai. Aaluoda mohool-o-halaat main sanas laina bhi dushwar
hota hai. Khalas zindagi kay liay amrat jab'kah na'khalas zindagi
kay liay ghoon sabat hota hai. Na'khalas saruf ki nazar main
matoob hi rehta hai. Is ziman main chand misalain malahza
hoon:
a. Das mun dudh main 1/2 kilo pani mala dain, dudh asal
nahain rehta
b- Kisi ki eak kanal zamein main say 2 inch par malkiat ka dawa
kharabi ka sabab ban jata hai.
c. Apni munkoha ourat par kisi aur ka ta'aluq qatal-o-gharat ki
taraf lay jata hai.
d. Eqtadar par mamoli si shirkat, moqtadra qowat kisi halat
main bardasht nahain karti.
Allah to phir Allah hai.
Allah kay moqabal kisi aur ko Allah tasleem karna say barh kar
koee zulm nahain ho sakta. Allah nay Insan ko zamein par apna
Khalifa (waris/wali/naeb) teharaya. Ossay izzat aur barkat di.
Ilm say nawaza. Malaek-e-Falki ka sajda insan kay
azeem'tarein/Ahsan' honay ki daleel hai. Sab kuch mil janay kay
ba'vajood yah zamein par motradaf(waris/ wali/ naeb/ khalifa)
aur makhlooq hi rahta hai. Farma'bardari rahay gi to hi Allah ki
behtarein makhlooq yaeni Insan kehla sakay ga.
Insan say acha bhi hota hai aur bora bhi. Goya insan main
donoon tara ki salahiatain/ shaktiyaan mojood hoti hain. Boray
say na'danisagi main acha ya achay say na'danistagi main bora
hona baed az qiyas nahain. Is liay yah kehna kah insan koli toor
par acha ya koli toor par bora karta hai, kisi tara darust baat
nahain.
Dakhna is kay majmoee rujhan ko hota hai. Bora danistagi main
bora karta hai. Is kay bar'akas acha danistagi main bora nahain
karta ya os say bora nahain hota. Acha karna ya acha hona, bora
karna ya bora hona os ki fitrat-e-saniya ban gaee hoti hai.
Donoon insan kehlatay hain laikin apnay amaal kay hawala say
barabar nahain hain. Sabqay lahqay oon ki insaniat/shakhsiat
say nathi ho jatay hain.
Acha karnay walay ko Khuda pasand karta hai aur os say razi ho
jata hai. Boray ki boraee Khuda aur os ki makhlooq ko kush
nahain aati
Acha karnay walay kay liay achay kalmaat shirk nahain hain.
Bilkul issi tara bora karnay walay kay liay boray kalmaat zulm
nahain hain. Haan achaee ki tehsein boray ki boraee ki ninda, na
karna zulm kay zomray main aa'ay ga. Yahaan hi say kharabi
janum laiti. Tehsein hona zarori hai laikin tajawaz darust
nahain. Donoon tara say tehsein na karkay ya tajawaz say kaam
lay kar hum bil'wasta boraee ki hamaet aur madad kar rahay
hotay hain.
Nabi ho ya koee moslahy, Awal-o-Aakhir insan aur Allah ki
makhlooq rehtay hain. Jo acha karta hai her baligh'nazar os ki
aur os ki achaee ki izzat karta hai. Karni bhi wajib hai. Achaee
aur is kay karnay walay say mohabat hona koee gher'fitri baat
nahain. Woh oon kay qareeb honay ki saee karta hai. Hadaet bhi
hasil karta hai. Chon'kah oon ki achaee kay hawala say Allah aur
os ki Falki Makhlooq oon say khush hoti hai. Allah oonhain
barkat daita hai jab'kah Makhlooq-e-Falki dua'go rehti hai. Issi
tara woh Insan kay andar mojood achaee kay qareeb tarein hota
hai. Goya acha insan dou tara kay omoor anjaam dainay ki
pozishan main hota hai:
1- Allah say makhlooq ki tangi tursi kay hawala say dua karta
hai.
Oon kay liay Allah ka fazal aur barkat talab karta hai.
Achae karnay aur phalanay kay hawala say Allah aur os ki
makhlooq-e-falki os kay qareeb'tarein hoti hai.
2- Woh shakas kay batan main poshida achaee ko ojagar karta
hai. Os ki koshesh kay sabab boraee ko maat hoti hai aur achaee
ghalba hasil kar laiti hai.
Ikhtalaf ka jarsoma is moor par phalata aur panpata hai kah
ghair Allah say madad talab ki gaee hai. Maira baap din main
kaee martaba mujh say pani ya koee aur shay mangta hai. Is
mangnay kay hawala say woh moshrak to nahain ho jata.
Acha karnay waloon (soalaihein) say madad talab karnay ya
hadaet kay liay kehnay ya dua mangnay ki darkhast karna, kis
tara shrik kehla sakta hai?!
Mangnay wala ya darkhast karnay wala her hawala say
makhlooq hi rehta hai. Donoon vidi kay vidhan kay nichay hi
rehtay hain.
Akbar badshah, jisay Akbar-e-Azam bhi kehtay hain, oulad kay
liay nangay paoon Hazrat Saleem Chisti Sahib kay pas giya tha.
Hazrat Saleem Chisti Sahib ki dua say Saleem paida howa.
Tarikh main is noeat ki hazaroon misalain mojood hain. Kiya
Akbar Badshah is fael ke hawala se moshrak ho giya ya Hazrat
Saleem Chisti Sahib Khuda ho gay?!
Bulkul nahain.
Aaqa Karim (oon par unhaad darood o salam) ka
Farman-e-Garmi hai
"Dua moman ka hath'yaar hai".
Goya Hazrat Saleem Chisti Sahib Khuda kay darja par faez
nahain ho jatay. Woh to ieraf aur siraf Allah ki makhlooq aur
Allah say hajat rakhnay walay farma'bardar banday thay. Na is
say kam na is say ziyada.
Agar Allah kay siwa talab rakhnay ko shirk ka naam daitay hain
to koee eak bhi na rahay ga jo shirak na karta ho. Insan/Shakhas
ko kort, kachehri, dafatar, dookan'dar, sabzi farosh gharz
un'gint logoon say hajat rehti hai. Bank Bil tarnay ya phir qaraz
lainay waloon say bharay rehtay hain. Sael darwaza
khatkhatatay hain. Molvi Sahiban apnay daras kay bachoon ko
aur kabhi kabhi khud bhi, logoon kay darwazoon par dastak
daitay hain. Yoon talb kartay hain jaisay qarz ki wapsi kay liay
keh rahay hoon. Kiya yah sab shirk hai aur yah sab moshraq
hain. Qatan nahain, bilkul nahain. Talb kay pichay yah baat
zaroor hoti hai kah dainay walay kay pas Allah ka diya bohat
kuch hai aur woh os diay main se day sakta hai.
Rohaniat say motalaq log logoon kay batan main poshida
achaeoon ko ojagar karnay ki pozishan main hain. Allah kay
Hazoor dua'go ho saktay hain. Agar yah sab ho ja'ay to zamein
jannat ka tokra ban ja'ay gi.
Mon May 25, 2009 1:40 pm
_________________
jumakhan abdulkhaliq
kingdom of bahrain
Thanks for sharing Dr.Ji.
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
janab nay tovajo di is k liay mamnoon hoon.
________________
http://www.forumpakistan.com/asal-baadqismati-to-yah-hai-t27
992.html#ixzz4GI9GoxRC
Baght Sufi Faqeer Darvaish Guru Allah lok
Sacha socha aur bai'lag wohi ho sakta hai jo apni zaat say, her
hawala say alag'tar ho kar sochta hai. Jahaan kahein os ki zaat
shamil hoti hai wahaan taseer bhi kam ya khatam ho jati hai
kayoon'kah ahal-e-nazar qiyamat ki nazar rakhtay hain. Dusra
Allah ta'ala ko dhoka ya faraib nahain diya ja sakta.Yahhi nahin
os moqaam par os ki sari bhagti aur tapasya bhang ho jati hai.
Baat yahaan hi khatam nahain ho jati,
Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Guru/Allah lok ki guftagu aur
moamla kisi khas ya aam garo, mazhab, aizam, qoom, qabilay,
konbay, jama'at ya khita-e-arz say nahain hota. Woh sab ka aur
sab kay liay hota hai.Os ki namaendigi ka daera tamam mazahib
aur aizamoon say jura howa hota hai. Osaay mahdood nahain
kiya ja sakta aur na'hi mahdood hona os kay liay mimkin hota
hai. Os kay paas kisi garo, konba, qabila, zaat, qoom,
khita-e-araz, mazhab, rang, nasal ka daera, noqta-e-nazaar ya
samaji-o-tehzibi paimana nahain hota. Os ka tool her kisi kay
liay sucha aur pora, doon kantoon kay darmiyan hota hai.
Baat yahaan tak hi mahdood nahain woh gher insanoon ki jan
dukh, takleef, bhook aur piyas ko mohtaram aur motabar rakhta
hai. Woh sab ka aur sab kay liay hota hai. Woh soch aur fikar
kay hawala say omoom say 40 qadam aagay hota hai. Goya os ki
baat/moamla:
1- Aafaqi aur alohi asoloon par mabni-o-ostawar hota hai.
2- Her zi'nafas ka dukh dard os ka apna dukh dard hota hai.
3- Woh hamaisha insan ki zafar'mandi, aasudgi, khush'hali,
sakoon, aur chain ka khahaan hota hai.
4- Auroon ki bhook, os ki apni bhook hoti hai.
5- Janib'dari ka os kay mazhab main qataee aur koli toor par
dakhal nahain hota.
6- Woh bai'lagh aur omeeq nazar ka hamal hota hai.
6- Woh jo kehta hai, Khuda lagti kehta hai.
7- Woh kisi shakas kay samnay jawab'deh nahain hota. Woh
siraf aur siraf Allah (God) kay hazoor jawab'deh hota hai.
Woh Sacha socha aur bai'lag Baght, /Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah
lok/Guru kaisa jo lalach, khoof, dar, bhook piyas khadshay ya
andaishay ka shakaar ho ja'ay ya os ki qimat lag sakti ho. Woh
na bik sakta hai aur nahi os ki koee qimat lag sakti hai. Halaat ya
waqt kaisa bhi raha ho, hakam kitna hi jabar zalim aur
khoon'khar kayoon na ho ossay apni jan aur apnay maal ki
chinta nahain hoti. Os ka to koee maal hi nahain hota. Woh
samjhta hai kah sab Allah ka hai aur Allah ke liay hi hai. Woh
kalma-e-haq keh daita hai. Is kay nataej os kay liay khah kaisay
bhi rahay hoon. Boray nataej os kay liay sanvi haisiat kay hamal
hotay hain.
Os ki gardan main sarya hota hai aur na'hi kisi ki gardan main
sarya bardasht karta hai . Takabar aur motakabar os ki nigah
main chonti say bhi kam haisiat-o-ehmiat rakhtay hain. Ossay
maloom hota hai kah yah siraf aur siraf Allah ki zaat kay liay
zaiba hain. Darya aur Magar'mach kay monh (USA/UNO) main
reh kar Dr. Mohammad Nur ul Alam kehtay hain:
"The world federation, the United Nations, has been abandoned
by the superpower. Gradually they develop their military in the
name of so called peace. Billions of people are hungry,
drying without food or medicine, all around the world.
Unfortunately,the UN does not look into them. The leaders of
many nations around the world are very weak. Some nations are
leading through military leaders, and others
are playing the role of so called democracy and communism, but
they have not succeeded to establish international security and
peace."
(Statement: Hazrat Sufi Sheikh,Alama Shah Dr. Mohammad Nur
ul Alam Sahib)
Daraj-e-bala her points ka tanqidi nazar say jaeza/motala karain
eak sacha socha aur insan'dost Bhagat/Sufi/Darvash/Faqeer hi is
qisam ki batain kar sakta hai. Puri insani baradri ki moqtada
qovatoon ko daikh lain, oon kay haan yahhi surat nazr aa'ay gi.
Yah tajziya eak balagh nazar ka hi ho sakta hai.
Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok/Guru waghera
darasal Ambya aur Sulaihein ki talimaat phalanay aur insan ki
batni taharat kay hawala say oon kay namaenda hotay hain.
Woh insan kay dukh dard aur pira ko door kartay hain. Boray
waqtoon main onhain hosla aur tasalli daitay hain. Omeed
bandhatay hain. Halaat say nipatnay aur sabr ka daras aur
shiksha daitay hain. Sabar shakar qaem rehnay aur qana'at ki
talqeen kartay hain. Logoon kay dukh dard aur pira kay liay
aansu bahatay hain. Logoon kay liay Allah kay hazoor duaein
kartain. Oon ki bhool chook kay liay tanhaeoon main Allah say
onhain moa'af kar dainay ki istada aur darkhast kartay hain.
Logoon ko acha karnay aur hadait par aanay ki dua kartay hain.
Insanoon ko Eak dosray kay kaam aanay ki talqeen kartay hain.
Zindagi ko aasan sada bana kar khush'haal aasuda aur shanti
kay sath rehnay ka darass daitay hain. Woh chahtay hain logoon
main moa'af aur dar'gozar karnay ka jazba parwan charay.
In logoon ki mojodgi Allah ki insan par bohat bari meharbani
ata kirpa aur naimat hai. Aaj kehat'zada door main bhi in
logoon ki kami waqay nahain hoee. Is kay ba'vajood:
Insan bai'chain aur bai'sakon kayoon hai?
Insan ka khoon kayoon beh raha hai?
Bai'yaqini aur baad itmadi main azafa kayoon ho raha hai?
Yah woh sawal hain jo baar baar samnay aatay hain. Haqiqat yah
hai kah Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok/Guru kay
soang main shitan bhi midan main aa giya hain aur woh apnay
mafaad kay liay logoon ko loot rahay hain. onhain gomrah aur
ko'rarah kar rahay hain. Daikhnay main woh
Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok hi nazar aatay hain
laikin apni haqiqat main oon ka is line say koee ta'aluq wasta hi
nahain hota. Woh darvaishi kay naam par insaniat kay cehray
par siya dhaba hain. Woh dhongi aur pakhandi hain. Woh
bhik'mangay hain. Oon ki misal hathi kay dant khanay kay aur
dikhnay kay aur ki si hai.
Log oon ka libas daikh kar aur oon ki chikni copri batain son kar
dhokha ka jatay hain aur in bhik mangoon ko apni mehnat ki
kamaee thama daitay hain. Yah Khud ko yoon zahir kartay hain
jaisay woh Bagwan kay salay hoon aur sab kuch kar dainay par
qudrat rakhtay hoon.
Mein nay bisioon is qisam kay chaal'baz daikhay hain jo bagli
otha'ay moridoon kay ghar jatay hain aur phir maal akatha
karkay aaram aur ishrat ki gozartay hain. In ka apna koee eman
hota nahain logoon ka bhi eman kharab kartay hain.
Agar in ki kartotoon kay baray eak shabad bhi keh diya ja'ay to
woh essay Allah/God/Bagwan/Eshwar kay hazoor gustakhi aur
tohein ka naam daitay hain. Wahabi ka fatwa khisay main
rakhna nahain bholtay.
Log kehnay walay ki baat par goor karnay aur tehqeeq karnay ki
baja'ay in pakhandioon ka sath daitay hain. Oon kay Haraam
khanay walay chailay chamchay bolnay walay ki bolti band
karkay dam laitay hain. Kitni ajeeb aur afsous'nak baat hai kah
yah bhik managay aaram say kuch kiay kara'ay bagher hi chopri
khaein aur kamanay waloon kay bivi bachay bhook piyas main
soein. Yah zulm aur ziyadti nahain?!
Jis ka rizq khaya ja'ay os kay liay bhi to kuch hona chahiay. In
pakhandioon kay hawala say kuch is tara ka noqsan samnay
aata hai:
1- Harkat kay darwazay band ho jatay hain.
2- Allah ki di hoee tawanaee ka ghalt istamal hota hai.
3- Logoon ki jaieb par la'hasal bojh par jata hai.
4- Mohazab aur mohtaram bhik mangoon ki tadad main aazafa
hota hai.
koee kaam kaaj kiay bagher hi achi khasi doulat hath kar laitay
hain.
5- Tohum parasti main azafa ho jata hai.
6- Chara joee ki baja'ay in logoon kay haan waqt zaya ho jata hai.
yahaan tak kah rafu ka waqt bhi hath say nikal jata hai.
Morshad to woh hai jo hadait ka kaam karay. Saidha rasta sojay.
Naiki ki talqein karay aur badi say rokay. Logoon kay diloon
main Allah ki mohabat ojagar karay ta'kah woh badi ka rasta hi
ikhtayar na karain. Oon ki apni zindagi khobi ka behtarein
namona ho. Libas aur chikni copri batoon say kiya hota hai.
Woh apnay ghar ki dehleez kay andar hoon ya bahar, oon say
pavitarta ki khosh'bu aa'ay. Onhain ijaz, inksaar, maskini,
qana'at aur sabr-o-shukar ka behtarein namona hona chahiay
ta'kah log zahar-o-batan main oon ka rang pakrain.
Yah koee paisay kamanay ka zariya aur paisha nahain. Eak intahaee
zima'dari ka kaam hai. Woh auroon say ziyada Allah kay hazoor
jawab'deh hotay hain ya khud ko samjhtay hain. Oon say na'siraf oon
kay baray main poch goch ho gi bal'kah auroon kay baray main bhi
poch goch ho gi. Woh apnay hi nahain apnay mannay (moridoon)
waloon kay bhi zima'dar hain. Na'mannay waloon kay moamla main
bhi woh bari-ul-zima nahain hain.
Sacha aur socha Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok zindagi ki
rooh hota hai. Agar woh na ho to zindagi, mordar kottay kay post say
aanay wali badbu ki misal ho ja'ay.
Sacha aur socha Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok kay haan
panch chizain zaroor nazar aaein gi:
1- Ijaz inksaar aur maskini main baimisal
2- Haraf-e-Dua os ka asa hota hai
3- Dast-e-Sakha main hatam bhi sharminda reh jata hai. (Kisi dosray
ki bhook ko daikh kar woh kuch kha hi nahain sakta. Apna bhojan os
ki nazar kar daita hai aur khud Allah ki di hoee is tofeeq par
sajda-e-shukar baja lata hai.
4- Maslihat say bala'tar hota hai aur jo kehta ya karta hai doo took aur
abhaan say bala hota hai. kha is main os ka ya os kay kisi apnay ka
noqsan hi kayoon na ho raha ho.
5- Logoon ko tambi (Warning) karta hai aur Allah kay qehar-o-ghazab
say darata hai.
Mein insan hoon aur insan ki dorgat bantay aur os ka khoon behtay
daikh kar dukhi hota hoon. Aisay halaat main agar koee kuch kar raha
hai aur bila tafreeq-o-imtayaz her kisi kay liay dard aur pira rakhta hai
to os ki kayoon qadr aur izzat na ki ja'ay Zara daraj-e-bala morozaat
kay tonazor main siraf yah doo tokray/iqtabas malahza farma lain:
"The Dayemi Complex has become a symbol of succor to the poor,
destitute and distressed."
His Eminency Dr. Alam again warns the Obama Administration that
homosexuality should not be encouraged at all. It is against God the
Almighty's order in the holy bible, the glorious
holy Quran, the holy Torah, and other holy religious books of
Hinduism and Buddhism. So that Obama should carefully handle the
matter of the natural power of Almighty and constitutional power of
himself. If you try to match each other in the name of freedom and
democracy, you have to pay for that. Like Nimrod, the powerful king of
the planet after the biblical flood at the time of Prophey Noah (AS) and
Lout (AS)."
http://www.forumpakistan.com/baght-sufi-faqeer-darvaish-guru-allah
-lok-kay-imtiyazaat-t28496.html#ixzz4GI9RM0XH
Tajarba aur os ehmiat
Tamam aloom ki kitabain dar'asal os ehad kay tajarboon ka
tehriri rikard hain. In kay hawalah say hum na seraf apnay mazi
say aagah hotay hain balkah achay buray ki tameez patay hain.
Yah tajarbay humain amli zindgi main behtar karnay ki
targheeb daitay hain aur ghaltioon say bachatay hain ya kuch
karnay kay dhang say aagha kartay hain. Markoni nay Radio
diya os ki es ejaz kay hawalah say kaam aagay barha aur aaj na
janay kitni chezain vajood pa chuki hain jo khalae lehroon kay
transfer say motalaq hain. Goya mazi kay tajarbay aaj aur aatay
kal ko behtar aur ziyadah sood mand bananay main moavan
sabat hotay hai.
Baad qesmati yah hai kah yah mukhsus aur kursi kay qareeb
logoon kay tajaboon ka rekard hai. Eak aam aadmi bhi zindgi
main bohat kuch banata aur bigarta hai. Bigray ko sahi karta
hai. Nafa noqsan say guzarta hai. Khushyaan samaita hai. Aanso
bahata hai likin os ki zindgi rekard main nahain aa pati. Ya woh
yah nahain janta kah os kay tajarbay samaj kay liay kis qadar
sood mand hain. Kuch log dairiaan likhtay hain likin oon ki
ehmeat maloon na honay kay sabab pakoray samosay baichnay
waloon ki nazar ho jati hain aur hum yah nahain jan patay kah
hum nay kitna qemati sarmaya apni la ilmi kay baes zaya kar
diya hai.
Mukhtalif shoboon say faraght panay walay apna mazi sonana
chahtay hain. Nae nasal ko sonatay bhi hain likin nae nasal
baizari ka ezhar karti hai ya keh kar oon oldmanoon say bhagti
hai kah baba dhengain marta hai. Ossay khabti khayal kiya jata
hai. Ossay estamal shudah tissue paper samjh liya jata hai. Yah
rovaeya qate qate gher sehat mandana hai aur es main hum
khud apna noqsan kar rahay hotay hain. Baba kehta hai chalti
gari say na otarna ya charna tu es main woh ghalt kiya keh raha
hota hai. Baba kehta hai ghusay main na aaya karain es main
koon se ghalt baat hai.
Mein apnay potay ko 20 din daktaroon kay pas lay jata raha. Eak
rooz eak khtoon aae os nay bachay ko daikha aur kaha essay tu
kandi pari hoe hai. Pher os nay os kay galay main kuch kiya subh
ko bacha thek thak tha. Bachi ko mehdah ki takleef hoe achay
achay moalgoon kay pay 3 mah 10 din dhakay kha ay aafaqah na
howa. Eak oldage orat nay os kay pait par hath lagaya. Kehnay
lagi essay tu naaf pari hoe hai. Bachi aadh ghaintay kay baad
thek thi aur Allah kay fazal say aaj tak thek hai. Eak BSc (eng.)
kae din tak eak bigri machine par magh mari karta raha likin
noqs na talash paya eak tajarba kar mistari nay chand mintoon
main machine chalo kar di. Yaqeen na aa ay tu Bilal Gang ya
Hafeez Centre ka chakar laga kar daikh lain. Angraiz log modat
khataum ho janay par nae khareed laitay hain likin yahaan
moddatoon pehlay ki cheez aaj bhi kisi na kisi ghar main chalo
halat main mil ja ay gi. Hum cheez ka kacomar nikal kar
kabariay kay hath baich daitay hain woh ossay thek karkay
dobarah estamal kay qabil bana kar farokhat karta hai. Yah sab
kiya hai Life/work Experience. Yah tu seraf doo teen misalain
hain. Mein mukhtalif shoboon say motalaq es qesam ki saikroon
misalain paish kar sakta hoon. Eak khtoon cooking main master
kar laiti hai likin nani amman sa khana nahain paka sakti.
Achay ostadoon say school main par kar aaghi milti hai oon ka
aur kitabi tajarba transfer hota hai likin jab tak yah ilm shakas
kay apnay tajarbay say nahain guzarta, es ki ehmiat kuch nahain
hoti.
Eak sepoy say subaidar eak clerak se head clark tak kis bunyad
par taraqi milti hai? Section Officer Secy. Kay ohday tak kis
bunyad par jata hai. Salana taraqi kis bunyad par lagti hai. Yah
tajarbay ka ehtaraf hai. Hum es ka ehtaf bhi kartay hain likin jis
qadar faedah hasal kiya ja sakta hai ya kiya jana chahiay, nahain
kartay. Apni baat ki wazahat kay liay eak aur missal darj karta
hoon: aakhbar main eshtihar diya jata hai kah eak Associate
Professor ki asami khali hai aur en koaef kay hamil hazraat
darkhasain gozarain:
Phd+9 sal tajarba+ 3 tehqiqi maqalay
ya
Mphil +11 tajarba+ 5 tehqiqi maqalay
ya
MA +13 sal tatarba + 6 tehqiqi moqalay
Mphil+zaed 2 sal tatajarb+zaed 2 tehqiqi moqalay= PhD
MA+zaed 4 sal tajarba +zaed 3 tehqiqi moqalay = PhD
Mein yahaan 20eoon Maghrab ki Universitoon kay naam daraj
kar sakta hoon jo dakhlay kay hasool main Life Expeience kay
credit daiti hain. Published Papers par bhi digriaan jari karti
hain.
Maghrab main Life/work Experience par bhi digriaan jari ki jati
hain aur wo market main estamal hoti hain. Hamaray haan bhi
es qesam kay edaroon qaem karnay ki zarorat hai. Es say doo
faeday hoon gay :
1- Wo omomi aur khsusi tajarbah jo rekard main nahain aata
rekard main aa ja ay ga aur aaj aur aatay kal kay liay mofeed
sabat ho say ga.
2- Hunar mandoon ko oon ki estadad kay motabaq market
main kaam mil say ga ya woh apni ehliat kay motabaq kaam
hasal kar sakain gay.
Es kaam kay liay jo adaray qaem kiay jaein oon kay liay ala
tajarba kar jo sefaresh shudah na hoon aur HEC kay manzoor
shudah hoon, ki khidmaat hasil ki jaein. Yah adaray:
a- Darkhast gozar/dakhla hasil karnay waloon say os kay
life/work Experience say motalaq pura rekard talab karain.
b- Os tajarbay ko tehriri shakal di ja ay.
c- Oon ki daeriaan mangwae jaein
d- Hasil kiay gay her qesam kay aizazaat ki naqool talab ki
jaein.
e- Os ki field say motalaq sawal nama diya ja ay takh os kay
sinay main mehfooz her qesam ka raz rekard main aa ja ay.
f- Jahaan jahaan kaam kartay rahay hoon whaan say jari
honay walay her noeat kay order talab kiay jaein.
g- Dichrage papers/ faraght nama/namay mungway gaein
Gharz her qesam kay rekard say os ki zehni aur hunar mandi ka
andazah ho sakay ga.
Es main koe shak nahain maghrab kay en adaroon main kuch ya
kuch say ziyadah ghalt bhi ho raha hai. Wo es tara:
Shakas apna Life/work experience bata kar marzi ki digri hasal
kar laita hai, Yah qatan darust nahain. Es amal ko shafaf aur
behtar bananay ki zarorat hai. Wo es tara:
1- Demanod ki gae digri na di ja ay balkah kaam ki janch
partal kay baad ehliat say monasbat rakhti digri di ja ay.
Qaisar Saleem Interflow Consultants Office No 9, 2nd Floor, Al
Jannat Plaza
G 11 Markaz - Islamabad Pakistan
Ph: 0092 51 2220897-8Cell: 0092 3215513271
HEC ki nak kay qareeb baitha farad ki dokan chala raha hai.
Logoon
Ko bari bari batain sona kar aur maghrab ki univarastioon say
apnay talaqaat bata kar oon ki taraf say frad namaendgi kay
kaghzaat dikha kar logoon say paisay ant/thag kar onhain aaj
kal par rakh raha hai.
Aisi kali bhairoon kay sath sakhti say nipta ja ay.
2- Kisi dusri university say hasal ki gae digri ka rekad mehfooz
kiya ja ay ta kah wo hamaray apnay bhi kaam aa sakay.
3- Hamaray haan kay digri holder sahiban kay tehqiqi kaam
ki HEC naqal mehfooz kiaray
4- Hamari apni univarastiaan her sal bohat saray tehqi
maqalay
Likhvati hain aur yah maqalay kiram ka luqmah ban jatay ya
ban rahay hain. Yah ravaeyah qatan darust nahain. En tehqeqi
moqaloon ki naqool HEC kay rekard main honi chahiay.
5- Baz maqalay maz khana puri ya naqal ka palandah hotay
hain sefaresh kay bal botay par oon par digriaan jari ho gae hoti
hain. Es amal say haqeqi tehqeq kis tara samnay aa sakay gi aur
amal daramad ka adarah es ko amli surat day kar tehqeq kay
haqiqi maqsad ko pura kar sakay ga. Maqalay likih kar rakh
chorna koe danesh mandi nahain. Yah qate bai maqsad kaam
hai. Tehqeq ko amli surat milnay say hi taraqi kay darwazay khul
saktay hain aur tehqeq ka asal maqsad bhi yahhi hain.
6- Univarastioon say bahar bhi loog shoqeya ya apni takhliqi
salahitoon kay ezhar kay lia ay likhtay rehtay hain. Oon ka kaam
rasael wagherah main publish hota rehta hai. Oon ki jama bandi
ka maqool zareya hona chahiay. Maqool, kar aamad aur jin main
bikul naya khayal diya giya ho, tehriroon par qaem honay wala
adarah oon ki haisiat aur noeat kay motabaq
certificate/diplomay/digriaan/naqdi enam jari karay takah
logoon kay sinay main poshidah raz aur tajarbaat samay aa
sakain.
Jahaan tak main sajhta hoon shakas kay hunar, tajarbay aur sina
ba sina montaqil honay way raz aashkar ho kar wasi paimanay
par tasaraf main la ay ja sakain. Yah kehna kah maghrab ka
bashindah zaheen-o-fateen hai, say ziyadah bakwas aur
ahmaqah koe aur baat nahain ho gi. Tax kis tara bachaya jata
hai, Gher maqool ko maqool kis tara banaya ja sakta hai, Kabar
main pari cheez kis tara tasaraf main lae ja sakti hai. Ghraz un
haad chezain logoon kay sinay main mehfooz hain oon ki moot
kay sath sab khatum ho jata hai. Kaghaz kay eak purzay ya
chand takoon kay mool agar yah sab mayasar aa ja ay tu soda
mehnga nahain ho ga.
Taleem say juray bishshmool HEC ko zati pasand aur zati aghraz
say bahar nikal kar yah sab karma paray ga. Yahhi nahain
sefareshi nalaeqoon ko choti karwani ho gi. Zabni kalami jama
tafreeq say kuch nahain ho sakay ga. Taleem say jura her koe
apnay pait par hath phair raha hai. Yah tu khuli
kud kushi hai. Chumchoon karchoon aur nalaeqoon ko tu
apnay aaq-o-mola ko salam-o-parnam karma hi hai magar
jannay aur ehliat rakhnay walay kis hisab main sajda-e-bandgi
baja laein. Nahain latay tu dashnam tehartay hain. Baat yahaan
tak hi nahain kamishan khoor en ka moashi samaji aur tazimi,
jis ka kay woh estehqaq rakhtay hain, ka qatal kar rahay hain.
Bala tabqay angraizi hi ko taraqi ka raz samjh rahay hain es soch
main koe sachae aur dam nahain. Yah soch hamari taraqi ki rah
main hamalah say barh kar pathar hai. Hunar mandoon say oon
ki rawan/zati zoban main likhwaya ja ay. Apni zati zoban main
woh behtar toor par ezhar kar sakain gay. Mein en satoor kay
zareay Chairman HEC aur es kay digar moqtadrah hazrat say
estada karta hoon kah woh marozaat-e-bala par sanjidgi say
tovajo dain.
duaa