The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

Jabr, Zindagi, Insan
aur
Asri taqazay
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by پنجاب اکھر, 2017-06-19 02:28:47

Jabr, Zindagi, Insan aur Asri taqazay

Jabr, Zindagi, Insan
aur
Asri taqazay
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

1

Jabr, Zindagi, Insan
aur

Asri taqazay

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

2

Contents

1- Aaqa Karim ki aamad
2- Insan jab paida hota hai
3- Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta
4- Insan Kotta Nahain
5- Jabr zindagi aur taqazay
6- Dr. Mohammad Nur ul Alam (1)
7- Dr. Mohammad Nur ul Alam (2)
8- Musalman Koon Hain?!
9- Mashraqi Punjab aur sikh bradri
10- Janab G Singh-ji say eak Mokalma
11- Dehshat gardi ka khatma kayon'kar ho?! (1)
12- Dehshat gardi ka khatma kayon'kar ho?! (2)
13- Jo larae ka sabab banta ho wo mazhab hi nahain

3

14- Eak karwa sach
15- Shrik eak mohlak aur khatar'nak bimari
16- Lut janay kay baad hosh aaya to kiya aaya?!
17- Eak Jinsi Khilona
18- Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushman
19- Aaj Orat Ko Orat Hi Bacha Sakti Hai

4

Aaqa Karim Ki Aamad

Kiya Aaqa Karim ki aamad kisi hadsay ya kisi waqti
zarorat ka nateja thi?
Nahain,
Bilkul nahain.
Aap ki tashreef aavri bohat pehlay say teh thi aur es
amar say motalaq qadeem ambbiya karam kay haan
paish goeaan mojood hain. Ba toor hawala chand eak ka
tazkira kiay deta hoon:
Jama sap Hazrat Zartusht kay Khalifa-e-Azam thay.
Onhoon nay qaiamat tak kay paish aanay walay hadsoon
ki paish goeaan kein. Oon main Hazoor (Oon par Dhairoon
Darood ho) ka bhi zikar baray wazay alfaaz main mojood
hai, malahza farmaein:
"Aaftaab ka kitabi hath ba janab zohra aur zohra ka
gohar wala hath aatarad ki taraf aur aatarad ka rukh

5

janab-e-zohal mah-o-mushtari yak ja. Jab aisa ho to
samjh lo kah sab kaam thek ho gay. Zamana (moashra,
halaat) darust ho ja ay ga.
Badshah adal karay ga.(1)
pher eak qeran* paray ga jis main Olad-e-Hasham
say eak mard-e-bazurg paida ho ga jo qad main maiana
hai rang main gora na kala (saanvla/gandmi), khoob
surat, khush kalaam, sehar biyan dawa-e-nabovat karay
ga.
Talwaar os ki burhan ho gi. Apnay mazhab ki zanjir bohat
say logoon kay galoon main
dalay ga. Os ka mazhab sathoon walaet main ja ay ga.
-------os ki Olad-e-narena na rahay gi albata larki say
naam chalay ga.
Os ka deen den ba den taraqi karay ga." (2)
Doo teen hawalay Bible say dararj karta hoon:

6

1- "Kiya tum nay Kitab-e-Moqadas main kabhi nahain
parha kah jis pathar ko mimaroon nay rad kiya**

wohi konay kay seray ka pathar ho giya(3)

yah Khuda'wand ki taraf say howa

aur hamari nazar main ajeeb hai?

Es liay mein tum say kehta hoon kah Khuda ki badshahi
tum say lay li ja ay gi aur os qoom ko jo os kay phal la ay
gi, day de

ja ay gi" (4)

2- "Phir mein nay aasman ko khola howa dekha aur kiya
dekhta hoon kah eak safaid ghora hai aur os par eak
sawar hai (5) jo sach aur ba haq kehlat hai aur woh rasti
kay sath ensaaf aur larae karta hai. Os ki aankhain aag
kay sholay hain aur os kay sar par bohat say taj hain (6)
aur os ka naam laikha howea hai."(7)

3- "Mein nay yah batain tumharay sath reh kar tum say
kein. Laikin madad gar yaeni Rooh-ul-Qodas jisay baap

7

mairay Naam say bhijhay ga*** wohhi tumhain sab
batain sikhay ga aur jo kuch mein nay tum say kaha hai
wo sab tumhain yaad dala ay ga.(8)

"The Gospel of Barnabas" kay bhi doo tein hawalay daikh
lain:

1- " As for me, I am now come to the world to prepare the
way for the messanger of God, who shall bring salvation
to the world." (9)

2- " I tell you that thither shall come {even}the
messanger of God, to behold the justice of God. There
upon hell shall tremble at his presence." (10)

3- "He is Mohammad, messanger of God, and when he
comth into the world, Even as the rain maketh the earth
to bear fruit when for along time it hath not rained, even
so shall he be occasion of good works among men,
though the abundant mercy which he shall bring. For he
is a white cloud full of the mercy of God, which marcy
God shall sprinkle upon the faithful like rain." (11)

8

Sawal paida hota hai kah aap Arab main aur kisi
makhsous ehad main hi kaioon tashreef la’ ay?

"Khabeer" aur "Baseer", Allah kay doo sifati naam hain.
Allah say ziyada koon jany ga:

1. kab kiya hona hai

2. Kab kiya karna hai ya

3. kab kiya hona chahiay

En omoor ki Allah kay say basarat aur baserat kisay ho
gi. Zara Bible Moqadas kay es jumlay par ghoor karain:

"is liay mein tum say kehta hoon kah Khuda ki badshahi
tum say lay li ja’ay gi aur os qoom ko jo os kah phal la ay
ga, dai de ja ay gi."

Allah sar kashi pasand nahain karta. Tawazan ki kharabi
os kay takhleeq kiay howay kaenati nazam ko darham
barham karti hai. Es liay her seh omoor ki zaroorat kay
tehat Aap ka tashreef lana lazam qarar pata hai.

9

Qiyamat barpa karnay kay liay koe daleel aur hujat bhi to
hona chahiay thi ta kah insan kay paas shakaet ki
gonjaesh hi na rahay.
Soo gaz rassa seray pay ghanth, Aap to hamesha say aur
hamesha kay liay hain.
Zara ghoor karain; Kalma taeba jo Musalmi ki ebtada aur
jar hai, yoon hai:
La : Nahain
Ela : Mabood(12)
Ella : Seva
Allah : Allah (13)
Allah kay siwa koe (bhi) Mabood nahaim
Mohammad : Hamad kiya giya, jiss ki hamd ki gae ho (14)
Rasool : tarseel karnay wala
Allah : Allah

10

Mohammad Allah kay rasool
Allah aur Mohammad (Oon par Daroodho) ) kay liay koe
tha, hai ya ga ka segha mojood hi nahain. Goya oon
(Donoon) ka hamaisha say hona sabat hai.
Woh kab nahain thay aur kab nahain hoon gay?!
Woh to "assr" (zamana) hain.
Hum "assr" ko kiya janain. Hum to issay dinoon,
mahenoon, saloon aur sadioon wala waqt samjhtay hain
jab kah "assr" in say bala aur alag cheez hai. (15)
Tasleem ki baat dusri hai. Assr ko tasleem na karnay say
os par kiya faraq paray ga?!
Kuch bhi to nahain, haan tasleem karnay ya na karnay
walay par zaroor assar moratab ho ga.
Hum asar (Allah) kay liay hain.
Kitaab parho gay to aaghi milay gi nahain parho gay to
kitaab ka kiya bigray ga.

11

Jotay jahar kar pehno gay to noqsan say bach jao gay
warna jotoon ki sehhat par kiya assar paray ga.

Chori nahaion karo gay to pols kay jotay nahain khao gay,
bai izzati nahain ho gi, ghar walay dar ba dar nahahin
hoon gay, moashray ka tawazan kharab nahain ho ga.

Zana na karnay say:

1- la shaoor ko noqsan nahain ho ga

2- Damagh khoof aur dar say kamzoor honay say bachay
ga

3- Viraj zaya nahain ho ga jis kay sabab jisam mutwazan
rahay ga

4- Gher kay ghar tumhara bacha na honay ki surat main
"mama" kehlanay say mehfooz raho gay

Ab yah sab kartay ho to asar ko kiya faeda ho ga, nahain
kartay ho to os ka ossay kiya noqsan ho ga, kuch bhi
nahain. Wo to waisa hi rahay ga jaisa kah wo hai.

12

Tasleem to yah hai:

1- Zoban say iqrar karo

2- Dil say mano kah jo eqrar kar rahay ho wo ossi tara
say hai aur bar haq hai

3- Amal her doo amoor kay motabaq ho Asar ko, waqt
yah phir khita-e-arz say makhsus nahain kiya ja sakta
kaioon kah es ka ta alaq hameshgi say hai. Kalaam
malahza farma lain es ka mokhtab Insan hai na kah koe
makhsus Qoom ya khita-e-arz kay log. Goya asar****
kay jitna qareeb jao gay otna hi nikhro gay, phalo gay,
pholo gay, taraqi karo gay. asar***** ki mohabat jab
eshq ka roop ekhtayar karti hai to Iqbal ka yah kaha
samjh main aa jata hai:

Ki Mohammad say wafa to nay to Hum(16) teray hain

Yah jahan cheez hai kiya, loh-o-qalam teray hain

13

Hawashi
1- Nosherwaan aadal badshah1ka ehad
2- Jama sap Nama, p.15
asal kitab yand main hai Issay eak fazal irani nay, naam
daraj nahain, farsi main tarjama kiya jabkah Urdu
tarjama Mohammad-ul-Wahdi
nay kiya aur yah kita daftar nazam-ul-mashaekh dehli
nay motalia-e-aam-o-khas
kay liay 1912 main pesh ki.
3- Aakhri Nabi
4- Anjeel Mati baab No. 21 v. no. 43, 44, yah baat Anjeel
Murqas kay baab No. 12
v. No. 10,11 main bhi daraj hai. Kitab-e-Moqadas, Bible
Society Anarkali Lahore, 1972
5- Maraj shareef

14

6- Aap ki Shareat kisi eak qoom, khita-e-arz ya kisi eak
ehad tak mahdood nahain. Aap ka peghaam her ba shaoor
makhlooq kay liay hai aur os ki aata at oon sab par wajab
hai.

7- Makashfa baab 19 V. No. 11, 12 13 . Kitab-e-Moqadas,
Bible Society Anarkali Lahore, 1972

8- Yohanna, baab No. 14 v. 25, 26, 27 Kitab-e-Moqadas,
Baebal Society Anarkali Lahore, 1972

9- The Gospel of Barnabas chp.72 p.91 Oxford at
clearendon press 1907

10- The Gospel of Barnabas chp.136 p.175 Oxford at
clearendon press 1907

11- The Gospel of Barnabas chp.163 p.212 Oxford at
clearendon press 1907

12- Jis ki ebadat ki ja ay

13- Esm-e-zaat

15

14- Already hamd wala, yaeni aaj hi nahain
15- Es ko ashab-e-Kaf, Hazrat Ozer (pbh)aur Hazoor ki
meraj kay tanazar
main dekhain gay to moamla wazay ho ja ay ga
16- Allah
* 20 saal
** Hazrat hajra aur Hazrat Ismaeel (pbuh)
*** Aap nay jumla ambia Karam ki tasdeeq ki aur oon ki
talemaat ko bar haq kaha.
Meem Mase aur Mahammad donoon kay sath hai. M+ASE,
Mo+Hammad. Sura Fateya main Hamd kay sath al ka
sabqa hai jo ossay makhsus banata hai essi tara hamd
kay sath meem ki jurt ossay mukhus suft kay darjay par
faez karti hai.
**** Allah aur Mohammad
*****jo sab kay liay aur sab oon kay liay hain

16

Insan jab paida hota hai

Insan jab paida hota hai os ka dil golab ki pati ki tara
naram nazok komal aur khush'bu say labraiz hota hai
jab'kah damagh koray kaghaz ki tara sofaid ojla shafaaf
aur baidagh hota hata. Os ki moskarahatain her qisam ki
tameez-o-imtayaaz say bala'tar hoti hain. woh sab ka aur
sab kay liay hota hai. Salamti aur dosti os ki
fitrat/saresht main dakhal hoti hai. Os kay dil aur damgh
main kisi kay liay nafrat boghaz hasad ya janib'dari
nahain hoti. Woh ossi tara say hota hai jaisay insan ko
hona chaheay.

Jab Insan paida hota hai Ahsan aur Khlipha kay darjay
par faez hota hai. Tafreeq aur dehshat gardi qisam ki
chizoon say na'aashna hota hai. Waqt halaat society
mahool mafadaat madi bhook aur os kay so called apnay
ossay insan nahain rehnay daitay. Woh soni wahabi shiya
barailvi mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala gora

17

mochi nae raja malk kambu rajpoot molvi pandat padri
ghreeb ameer aman'pasand dehshat'gard qatil maqtool
Khoda na'janay kiya kuch, ho jata hai. Os ki zindagi en
daeroon main ta'dam-e-marg moqaied rehti hai. Sar
othata hai ya samajio-mazhabi nazriyaat waghera
daeroon say nikalnay ki koshesh karta hai to baghi
tehrata hai. Log os kay zahir ko malahza kartay hain aur
yah daikhnay ki zahmat nahain otatay kah os kay
mun/andar/batan main kiya chal rahai. Woh zinagi bhar
til til qatal hota hai aur auroon ko mukhtalif hawaloon say
masloob karta rehta hai. Eak waqt aata hai jab os kay liay
yah sab Zindagi ka roop ekhtayar kar jata hai. Os kay
nazdeek yahhi zindagi hoti hai.

Kamzoroon ki gardan marotay waqt os kay andar say koe
aawaz boland nahain hoti.* Os kay insan kay darjay say
gir kar seraf aur seraf wahabi shiya barailvi mashraqi
maghrabi sikh esae hindu kala gora raja malak kabo
rajpoot mochi nae darzi molvi pandat padri ghreeb

18

ameer dehshat'gard qatil maqtool ban janay ki zima'dari
kis kay sar par rakhi ja'ay?!
1- Os kay ghar waloon par?
2- Samaj society mahool ya insan kay tabeer yafta
mazhab par?
3- Amir-e-shihar par jo saray wasael samait kar ossay
gholami ki zindagi karnay par majboor karta hai?
4- Boray halaat-o-waqiyaat kay rad-e-amal par?
5- Aaghi kay darwazay band kar dainay waloon par?
6- Ustaad/Guru kay moashi-o-samaji aur os ki self
respect kay qataloon par?
7- Khud os par kah os nay rasta ekhtayar kartay waqt
apni samjh bojh say kaam na liaya?
8- ya phir hasab-e-ravaet taqdeer par?
9- ya phir samaji aur riyasti zulm-o-jabr kay nazam par?
Aakhar insan kay andar kay insan ka bai'dardi say khoon

19

bahanay aur tafreeq kay darwazay kholnay ka alzaam kis
ko diya ja'ay. Jis ki taraf ongli othein gay kobray saanp ki
tara dasnay ko aa'ay ga. Jis say sawal karo gay khod ko
sacha socha bata'ay ga. Agar apnay apnay hawalay say
sab sachay aur naji hain to phir ghalt koon hai.

Kiya qatil mujram hai ya maqtool ya phir donoon?

Insan, insan kayoon nahain raha. Jis say sawal karo gay
barmala kahay ga mein pehlay falaan hoon os kay baad
insan hoon. Hazrat Sufi Sheik Baba Ustad Goru Nanak
Sahib ka yah kaha kisi tara ghalt nahain ho sakta:

There is no shortage of those who preach and teach.

kathnaa kathee na aavai tot.

Batan ki taharat kay sabab aur es hawla say mota'alaq
log mojood hain aur Woh soni wahabi shiya barailvi
mashraqi maghrabi sikh esae hindu kala mochi nae darzi
gora raja mochi nae darzi malk kambo raj'poot molvi
pandat padri ghreeb ameer dehshat'gard qatil maqtool

20

ko phir say golaab ki pati aur lathay ki tara kora aur
bai'dagh bana saktay hain. Woh aisa saboon rakhtay hain
jo diloon kay zang ko saaf kar sakta hai. Os kay baad kan
son sakain gay aankhoon ki roshnae dhanag say yaeni
ossi tara say daikhay gi jis say tara say daikha jana
chahiay. Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur ul
Alam Sahib es waqt alam-e-insani ki rohani namaendgi ka
fariza sar anjam day rahay hain es hawala jumla rohani
taleem say mota'alqein ko oon kay sath chal kar
alam-e-insani ki rohani tarbiat ka kaam karna chahiay
ta'kah sukh aasudgi aur sakoon ka saman paida ho saky.

--------------------

* oon kay dil zang'aloda ho jatay hain.

21

Allah Insan Ki Ghulami Pasand Nahain Karta

Baray kamray kay qalein par eak chonti kabhi edher aur
kabhi odher bhagay phirti thi. Mein nay ghoor kiya, wo
shadeed parishan thi. Prishani kay alam main wo la'hasil
mashaqat ka shakar ho gae thi. Mujhy os ki prishani ki
teen vajo samjh main aaein:

Qalein zamein nahain thi aur wo zamein par chalnay
ki adi thi.

Na'ay mahol aur halaat nay ossay parishan kar
rakha tha.

Os ki mahdood basarat aur basirat nay qalein ko
la'mahdood qarar day diya tha.
Jab soch basarat aur basirat kay daeray mahdood ho
jatay hain to insan ki haisiat os chonti say ziyada nahain
rehti aur insan mahdood daeray say bahar nikal nahain
pata. Jab nikalnay ki koshesh karta hai to edher odher

22

bhatakta phirta hai aur prishanioon main ghir jata hai.
Ossay kuch sojhae nahain daita kah kiya karay aur kiya
na'karay.

Kaenaat main karnay ko to bohat kuch hai likin aankh ki
mahdood kar'gozari kay sabab woh kuch nahain kar pata
jo hona chahiay.

Basarat kay faislay kay motabaq digar hawas apni
kar'gozari samnay latay hain Likin jab kisi hawala say
daera tornay main kam'yaab ho jata hai to ossay pehlay
say behtar kar'gozari kay un'gint movaqay mayassar
aatay hain. Goya woh pehlay say behtar aur bohat kuch
kar gozarta hai. Warna os daeray main bahar ki
kar'gozari momkin hi na thi.

Allah Karim nay Insan kay andar 1,64,0000 saktiaan
(powers) rakh di hain jin main say meaz chand eak ka
estamal ho pata hai. Moqadas Kotab main ghoor karnay ki
bar bar takeed aati hai. Tadabar kay natija main "La" ko
vajood mayasar aa jata hai. Ta'hum yah baat teh hai kah

23

ghoor karnay kay natija main hi korray tabdeel hotay
hain.

Insan mokhtalif korroon ki sair karta hai. Es say os kay
ilm aur moshahiday main vosat aati hai. Dosri taraf yah
bhi hota hai kah korroon ki tabdili say woh la'madood
nahain ho jata. Jab'kah adyan khasosan Islam insan ko
mahdood mahtaj aur ghulam nahain daikhna chahta.
Mahdood aur ghulam honay ki surat main insan apnay
khaliq tak rasae hasil nahain kar pata. Haqiqi
Khaliq-o-Malik la'mahdood hai es liay os say qareeb
honay kay liay la'mahdood honay ki zarorat hoti hai.
Shaed essi hawala say yah shaiar kaha giya hai:

Khodi ko kar boland itna kah her taqdeer say pehlay

Khuda khud banday say pochay bata tairi raza kiya hai

Ulma Karam Koshesh main rahay hain kah intahae qareeb
aur intahae door kay mafaheem tak rasae hasil kar lain.
Ulma Karam nay ahkamaat ki tashreh-o-tafheem kay
hawala say daftar kay daftar bhar diay hain. Oon ki

24

masae jamila apni jaga likin wo tafheem-o-tashre jo qaem
bazzat aur her kisi kay liay qabal-e-qabool ho, abhi tak
insan kay hath nahain lag saki. Her mafhoom her tashre
raad ho jati hai ya her kisi kay haan sharaf-e-qaboliat
hasil nahain kar saki balkah en ki mokhalfat main kahein
pur'zoor dalael samnay aa'ay hain. Jinhain parh kar:

Pehla mostard ho jata hai.

Tazabzab janam laita hai.

Pehlay main tabdiliaan lae jati hain.

Tashrihaat ki mazeed tashrihaat ho gae hain. Jis kay
sabab oljhao paida ho gi giya hai.

Foqara la'mahdood honay kay liay apni zaat ki nafi karkay
Allah ya kisi aur ko jo oon kay khayaal main la'mahdood
hota hai, ko asbaat daitay hain aur keh othtay hain:

Toon hain tana toon hain bana, sabh kojh maira toon
Kahay Hussain faqeer namana mein nahein, sabh toon
(Shah Hussain Lahori)

25

Bhula, Sho hain dohein jahani Koe na wasda gher (Bulle
Shah Kasuri)
Ab baat zara aagay bharti hai to Mansoor keh othta hai:

"Mein hi haq hoon"
Bulle Shah ka yah kehna bhi qabal-e-tovajo hai:
Haji lok makkay noon janday
maira mahi makka
mein kamli haan
Bulla Sho asaan marna nahein
Goor piya koee koe hoor
Sawal paida hota hai kah yah sab ghoor-o-tadabar kay
natija main hasil hota hai ya waqo main aata hai ya ishq is
manzal tak lata hai ya is ki koe aur waja ho sakti hai.
Iqbal Sialkoti nay kaha tha:

Bai'khatr aatesh-e-namrood main kood para eshq

26

Aqal mehv-e-tamasha-e-lab-e-baam hai abhi

Ustad Ghalib bilkul alag say jawaaz latay hain:

Kuch na tha to Khoda tha kuch na hota to Khuda hota

Doboya mujh ko honay nay na hota mein to kiya hota

Moamla yah hai kah aaghi jab mosbat rastoon par chalti
hoe janoon ki shakal ekhtyar kar laiti hai to hi la'mahdood
honay ki taraf safar ka aaghaz hota hai. Es tara daeroon
ki qaid say aazadi hasil ho jati hai. Mahdood-o-makhsus
hona aur ossi ko sab kuch samjh laina hi Shirk hai. Insan
kisi daeray ka mahtaj ya ghulam ho giya to os nay Shirk
kiya.

Insan aazad paida howa hai. Allah insan ki ghulami pasand
nahain karta. Insan seraf aur seraf Allah hi ka hai aur
Allah hi kay liay hai. Allah chahta hai kah insan her midan
main kamyabi-o-kamrani hasil karay. Jab bandgi kay sab
darwazay band ho jaein gay to seraf aur seraf Allah ki
bandgi ka darwaza khola reh ja'ay ga. Es tara woh apnay

27

Khaliq-o-Malik ki tara bai'karan ho ja'ay ga. Woh ossi nehj
par sochay ga jis par os ki takhleeq hoe. Jein aur gosht
kay cell ka pass-word/code daryaft kar sakay ga.
Pass-word/Code ki daryaft say hi la'mahdood hona
momkin hai. Yah la'mahdodiat kaenati ho gi jab kah Khaliq
kay liay woh meaz os ki khob'surat takhleeq hi rahay ga.

Kaliq apni takhleeq kay mafaheem khoob khoob janta hota
hai. Auroon par yah mafaheem nahain kholtay aur na hi
khol saktay hain.

Modabar ishq dosroon par foqiat hasil kar laita hai to:

Khaliq kay qareeb ho jata hai.

Khaliq ko os ki sifaat kay hawala say jan aur pehchan
laita hai.

Khaliq os say aur woh Khaliq say razi ho jata hai.

Insan Khud ko jan aur pehcan laita hai.

Woh ashya ki haiat, mahait, istamalaat, jowahar aur
mafaheen say aaghi hasil kar laita hai.

28

Woh apnay andar kay korroon aur shaktioon par tasalat
hasil kar laita hai.

Ghoor karnay aur na'karnay waloon main farq aa jata hai.
Ashq-e-modabar (moman/motaqi) Khalifa ban kar
zindagi kay kanwas par namo'dar hota hai.Woh jan jata
hai aur na'jannay waloon kay liay Allah ki naimat sabat
hota hai. Ulma Karam lafz kay maeni talashtay hain jab
kah yah lafz ki rooh par garift hasil kar laita hai. Donoon
main yahi bonyadi farq hai.

Es Ashq-e-modabar ko Peer keh lain. Bazorg ka naam
day dain, Darvaish, faqeer, Sufi, Bhagat, Amaam, Khalifa
ya Guru kay naam say mansoob karain eak hi baat hai.
Waqt giya nahain, abhi kuch ziyada bigra nahain insan
dost halqay Hazrat Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur
ul Alam Sahib kay parcham talay aa kar insaniat ki
khidmat karain aur insani tafreeq kay tamam darwazay
band kar dain.

29

Insan Kotta Nahain

Insan Kotta Nahain Kottay ki firat hai, jab wo kisi dosray
kottay kay monh main haddi daikhta hai to pehlay os par
bhonkta hai phir os say haddi chein lainay ki koshesh
karta hai. Es tara donoon main ghomsan ka run parta hai.
Yahaan tak kah wo haddi ko bhi bhool jatay hain. Donoon
lar lar kar bai'hal ho jatay hain. Darein'asna koe tisra
kota haddi lay kar chalta banta hai aur larae ka
moqam-o-midan manzar aur naak naqsha hi badal jata
hai. Goya larae ka silsala es china jhapti kay hawala say
kabhi khatam nahain ho pata.

Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai. Kottay ki
koe bhi adat insan main hona insaniat ki kholi toheen aur
tazleel hai. Sari kaenaat insan kay tasaraf ki cheez hai
aur kaenat hai hi insan kay liay. Allah nay insan ko
Khalifah kay darjay par faez kiya hai. Goya es hawala say,

1. insan kaenat ka Amin hai.

30

2. Es ka behtar aur barh kar estamal
3. kaenat ki tazein aur hifazat ka fariza sar'anjam daita
hai.
4. Maday ko tasaraf main la kar apni danish ka saboot
faraham karta hai.
5. Es ki kavish say sukh, aasudgi aur kheer ko
panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain.
Es hawala say insan kay paas:

Vasael-e-qudrat wafar mojood hain.
Mehnat ka onsar es ki fitrat ka khasa hai.
Honar gur saliqa tariqa ki giraan qadar naimat say
sarfaraz hai.
Takhleeq kay liay namonay pehlay say hi kaenaat
main mojood hain.
Holy kotab ki saurat main Hadait mayassar hai.
Hasad say barh'kar dunyaan main koe bori aur

31

na'pasandida cheez nahain. Yah khamioon aur kharabioon
ki NANI hai. Yah bhi keh saktay hain kah hasad Shitan ka
jorwaan bhai hai. Yah wo bala hai jo jhagray kharay karti
hai aur chein lainay kay jazboon ko oksati hai.

Insan ki sar'bolandi doo hawaloon say wazay aur
mosalam hai:

Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi mehsus
karta hai. Jis kay sabab barkat say nawaza jata hai.

Mayassar na honay ki surat main mehnat aur kohesh
karta hai.

Yah bhi pehlay say teh'shoda haqiqat hai:

1- Insan nay wasael talashay hain aur estamal main la
raha hai.

2- Bohat say wasael say motalaq ilm hasal kiya hai likin
oon ka talashna aur estamal main lana baqi hai.

3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift karna
aur oon ka istamal talashna abhi baqi hai.

32

Baad'qismati yahaan say hi shoro hoti hai kah insan
mayassar ko mil bant kar nahain kha raha. Auroon ko
shamil karnay ki soch, sochnay ko bhi taiyar nahain aur
nahi es kay hissay bikhray karna chahta hai. Halan'kah
woh koli ya jozvi toor par kisi cheez ka haqiqi malik hi
nahain. "Mairi maira" kay lach nay aag ka darya kabhi
khoshak honay nahain diya. Essi tara jin ko mayassar
nahain woh her hila bahana aur harba say chein lainay
par otray rahay hain.Yah andaz-o-rovaeya qate
sehat'mand nahain. Yahhi nahain es aavaizash say
mayassar bhi tabahi-o-barnadi ka shakar hai. Agar yahhi
surat-e-hal baqi rahi to aatay kal kay insan kay paas,
agar kuch baqi raha to rakh main bhoja howa khoon. Woh
es khoon ko daikh kar na ro sakay ga na'hi moskarahat
os kay laboon par phoot sakay gi Kiya yah monasab
nahain kah insan maloon ko daryaft kay hisar main la kar
estamal main la'ay. Issi tara Na'maloom wasael ko ilm
main la'ay ta'kah yah ya es ki aati nasalain aaj kay
na'maloom aur kal kay maloom ki talash main nikal

33

parain. Insan kay hath main abi to chand patyaan aae
hain jin kay mokamal tasarfaat par bhi puri girift nahain
kar paya aur itna bara aur sharam'naak hangama khara
kiay howay hai.

Issay abhi to mojood kay ziyada say ziyada tasarfaat
talashna hain. Maloom magar estamal main na aanay
walay wasael ki talash main nikalna hai. Agar insan
mojood par os ki mojoda halat aur estamalaat par kat
mara to talash ka amal kaisay jari reh pa'ay ga. Tail, gass
waghera kay elawa bhi energy say motalaq bohat sari
chizain kaenat main mojood hain, oon ki talash abhi baqi
hai.

Insan to taqat kay bal botay par taleem kay shobay say
motalaq wasael bhi khisay karna chahta hai. Asool,
qanoon aur zabtay apni hi rakhsha kay liay bananay ki
koshesh main masroof hai. Taleem aur research kay
shobay ko kamzoor aur apni marzi-o-mansha ka bananay
say maloom magar dastaras say bahar tak rasae aur

34

na'maloom ko maloom main lanay ka amal kamzoor'tar
hota ja raha hai. Woh samjh raha hai mojood hi sab kuch
hai aur essay samait laina hi ghanimat hai.
1- Taleem aur taleem say motalaq logoon ko mazboot
bananay ki es liay ziyada zarorat hai kah: Mojood kay
mazeed kamalaat, fazael aur estamalaat daryaft ki'ay ja
sakain.
2- Maloom magar estamal main na honay walay wasael
par dastaras kay gur aur honar talashay ja sakain.
3- Na'maloom ko maloom ki sar'had main laya ja sakay.
Yah baat bhi mojoda tanazor main thos haqiqat hai:

kuch logoon kay psas wasael hain.
Kuch log mehnat kar saktay hain.
Kuch ilm-o-danish rakhtay hain.
En main say 1,2 ko 3 kay isharay par kaam karna chahiay.
Jab tak yah tinoon motwazi aur bahmi ta'awan say nahain

35

chalin gay, gari na chal sakay gi. Pehlay say mojood par
kottoon ki se larae ka silsala kabhi rok na pa'ay ga.
Moeshat ko sahara yah tinoon mil kar hi day saktay hain.

Amrika nay aman kay qayaam aur dehshat'gardi kay
khatmay kay naam par puri dunyaan ko aag main jhoon
rakha hai. Diloon kay hal to Allah hi janta hai ho sakta hai
kah os ki es koshesh main kahaan tak khaus aur insan
dosti ka amal dakhal hai. Ho sakta hai, kisi sata par os
kay haan mukhlasi ka onsar bhi mojood ho likin dunyaan
essay aqwam-e-alam kay wasael par qabza karnay ka
naam day rahi hai.

Amrika apnay wasael aman qaem karnay aur
dehshat'gardi ko khatam karnay ya momkin hai pehlay
say mojood wasael par qabay ki koshesh kar raha hai aur
es aag main apnay wasael jhonk raha hai. Natija-e-kar
Boqool Payamber-e-Aman, Ghos-e-Zaman,
Fakher-e-Sufiya, Bashar-e-Bai badal, Efat-e-Insaniat,
Peer-e-Tariqat, Hadi-eMazahib-e-Alam

36

Sultan-ul-Oliya-o-Foqara, best follower of Hazrat
Mohammad (oo par darood ho), Izzat Ma aab Hazrat
Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib

"The single superpower, the United States of America, is
facing a great economic crisis,

the greatest economic crisis in its history."

Amrika, qomoon ko apnay masael khud say hal karnay
day aur dunyaan ka mamay kha na banay balkah khud
maloom wasael magar adam daryaat ki talash main
niklay ta kah aati nasloon ka bhi kuch to bhala ho sakay.
Woh kabhi bhi mojoda koshesh main kamyaab nahain ho
sakay ga kayoon'kah Mir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho
sakata.

37

Jabr zindagi aur taqazay

Jabr zindagi ki her kush'gowari chein laita hai aur aatay
kal kay liay intahae khatar nak hota hai. Jabr Sakoon aur
aasodgi kay liay ghon ka darja rakhta hai.
Mazhab/Ism/Nazriyaat say shakas ka jazbati reshta aur
ta'alaq hota hai. Mazhab kay moamla main, khasosan
jabran mazhab philanay kay ziman main es kay nataej aati
sadyoon ka gehrao kar laitay hain. Es say mojoda
lamhoon kay liay shaed kuch faeda mil ja'ay likin zara sa
khalao milnay par es hawala say dil-o-damagh main paida
honay wala raad-e-amal kalastar bomb say kisi tara kam
taba'kon nahain hota. Hindustan par musalmanoon nay
sadyoon tak hakomat ki. Manfi surat-e-hal ka tanasab
kam raha likin izzat, mohabat aur yahaan kay gher
musalmanoon ka sacha sath bhi mayassar aaya.
Reshta'dariyaan banein. Rava dari parwan chari.

Hum Bar-e-Sagher waloon ki nafasyati kamzori yah hai

38

kah hum apnay hero ko Insan nahain rehnay daitay.
Ossay Fareshta qisam ki cheez bana daitay hain. Dusra
woh shakas kaisa bhi ho os kay baad kidar ko nazar
andaz karkay mehiz taital ka sath daitay hain. Os main
khobiyaan hoon na'hoon likin ossay khobiyoon ka majmoa
sabat kar daitay hain. Halan'kah yah rovaeya kisi tara
darust nahain. Jahaan insaaf na ho ga wahaan sakoon ka
samaan paida hi nahain ho sakta. Bai'ansafi aur sakoon
eak sath nahain chal saktay bal kah yah eak dusray kay
jani dushman hain.

Bar-e-Sagher say musalmanoon ki hakomat khatam
honay kay jahaan aur bohat saray sabab rahay hoon gay
wahan Aurang-Zaib Badshah es almiay ka aham'tarein
kirdar hai. Os ki na'ehli eak taraf os ki so called Islam-
dosti nay zawaal ko dawat di. Mazhab main jabr ko kab
jaga mili hai. Mazhab ka ta'alaq dil say hai. Jis cheez kay
sath dil ki raza shamal na ho os ki jarain kab mazboot
hoti hain. Manafqat ko panpanay kay mowaqay mayassar

39

aatay hain. Mazhab koe apni marzi aur mansha ki cheez
nahein. Zair-e-hawala Shakhas nay apni marzi ka
zabar'dasti Islam nafaz karnay ki koshesh ki. Os ki os
zabar'dasti ka aaj tak bogtan nahain ho saka. Musalman
os par ya os kay kirdar par ongli rakhnay nahain daitay
kah woh musalman badshah tha. Chon chon kar
khobiyaan, jo shaed ossay ya os kay door ko bhi maloom
na hoon gi samnay latay hain. Sawal paida hota hai:

1- Halaat aisay thay jo Mukhus kisam kay Islam ka
motahamal ho patay?

2- Mussalman aksariat main thay?

3- Musalman, gher musalmanoon say ziyada kamatay
thay?

4- Kiya karobar-e-hayat aur defance main gher
musalam pichay thay jo oon par jazya nafaz kiya jata?

5- Yah Devtaoon ki sar zamein hai, kiya yah mumkin tha
kah log angothioon main tasaveer walay naginay jrna

40

foran band kar daitay?

6- Molvi, Pandat ya Padri ki shariat thek sahi likin
hamaisha ahal-e-tariqat hi kamyaab howay hain. Yah
badshah oon kay pichay lath lay kar par giya aur os nay
Rohani paishwaoon ka jina haram kar diya.

7- Kiya Hindustan Islami molak tha?

Mashaik hazraat kay liay yah dharti jahanam ban gae.
Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Goru Gobind Singh Sahib
(R) ka kiya juram aur qasoor tha? Aurang'zaibi tarikh es
ka jawab dainay say qasar-o-ajiz hai. Sach sach hai aur
sach ko monh say bhi tasleem kar lainay main kiya barae
hai. Woh Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Dara Shako (R)
kay hami thay. Es kay alava oon ka kiya qasoor tha. Izzat
Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Goru Gobind Sahib(R), Izzat
Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Syed Vaji-o-Din/Syed
Badar-ud-Din almaroof Peer Bodoo Shah Sahib (R)jo
dargah Shah Abdul Wahaab kay gadi nasheen thay kay
paas aa gay. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi Syed

41

Vaji-o-Din/Syed Badar-ud-Din almaroof Peer Bodoo Shah
Sahib nay eak hi kaaz kay sabab oon ka sath diya. Yah
moamla aisay hi hai jaisay Eak nadi kay doo kinaray
(mazhab aur rohaniat) eak sath chaltay hain aur eak jaga
khatam hotay hain likin en ka malaap kabhi bhi nahain ho
pata.

Sufi Shara say bahar nahain hota aur jo shara say bahar
ya os ka monkar hai woh sufi ho hi nahain sakta. Mazhab
ka thaikay'dar shara rakhta hai likin Tariqat say bohat
door hota hai. Sufi/Darvaish/Bhagat/Peer/Faqeer
diloon par hakomat karta hai jabah Mazhab ka thaikay'dar
jism par bhi hakomat qaem karnay say qasar-o-ajiz raha
hai. Eak pathar eak golaab. Hazrat Sheik Sufi Syed Ali
Hajvairi Al'maroof Data Ganj Bakhsh Sahib (R) ko
dunyaan say othay eak arsa ho giya hai woh aaj bhi
logoon kay diloon par hakomat kartay hain. Aurang'zaib ki
kis dil main, os ehad main ya es ehad main hokomat hai!?

Bawar rahay siyasat say maira koe ta'alaq ya dil'chaspi

42

nahain. Mein nay eak goshay mein baith kar zindagi
gozari hai aur siyasat kay qafas say yah mujhay kahein
ziyada aziz hai. Maira masla yah hai kah mein insan ka
khoon behtay daikh kar bai'skoon hota hoon. Sath saal
kay bachay kay hath main tray daikh kar parishan hota
hoon. Mein desambar ki sardi main raat 11 bajay galyoon
main 10 sala bachay ki "Anday Garam" ki aawazain
bardast nahain kar sakta. Mujhy en kay mazhab rang
khoon qoom nasl alaqa waghera say koe laina daina
nahain. Mujhay oon ki pira bai'kal karti hai.

Mein poray vasooq aur zima'dari say kehta hoon:

'Taj ya mazhab kay baray pait walay say shakhas kay liay
khir ki towaqo nahain.

Mazhab kay baray pait walay mazhabi lambar'dar samait
tamam adaray Taj kay

gamashtay hain.'

Agar aaj koe insan ko bacha sakta hai, ossay jazba,

43

mohabat, rava dari, qana'at sabr bardasht eman ki shakti
day sakta hai to woh sufi kay siwa koe aur nahain. Izzat
Ma'ab Hazrat Pope John Paul Sahib la'yaeni nahain
howay. Izzat Ma'ab Hazrat Dalae Lama Sahib ki maniviat
ossi shidat say mojood hai. Izzat Ma'ab Hazrat Sheik Sufi
Goru Nanak Sahib(R) kay sachay bhagat hi Insan ki jan
mal aur izzat ko bacha saktay hain. In naik tinat hazraat
ki aaj bhi diloon par hakomat hai. In mohtaram Mashaekh
Sahiban kay pas UNO ka plate Forum Mojood hai jahaan
Rohaniat kay Azeem Paishwa Bashar-e-Baibadal
Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah Dr.
Mohammad Nur ul Alam Sahib mojood hain. Mein en
Rohaniat say motalaq mohtaram Hazraat say gozaresh
karta hoon kah insan ko bachaein aur os ki pira ka
madawa karain. Yahhi nahain insan ki aakhrat main
najaat kay hawala say bhi puray zoor-o-shoor say sae
farmaein. Yaad rehna chahiay:

Baishak Mout bar'haq hai aur qabr ka azab bhi dard'nak

44

sonnay main aaya hai. Yah bhi jhoot nahain kah baray
logoon (Sufi/Darvaish/Bhagat/Peer/Faqeerka/Guru) ka
os rooz Hisaab bhi bara ho ga.

Dr. Mohammad Nur ul Alam Sacha socha aur bai'lag
Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah lok/Guru wohi ho
sakta hai jo apni zaat say, her hawala say alag'tar sochta
hai. Jahaan kahein os ki zaat shamil hoti hai wahaan
taseer bhi kam ya khatam ho jati hai. Kayoon'kah
ahal-e-nazar qiyamat ki nazar rakhtay hain. Dusra Allah
ta'ala ko dhoka ya faraib nahain diya ja sakta.Yahhi nahin
os moqaam par os ki sari bhagti aur tapasya bhang ho
jati hai. Yahhi nahain, os ki guftagu aur moamla kisi khas
ya aam garo, mazhab, ism, qoom, qabilay konbay, jama'at
ya khita-e-arz say mota alaq nahain hota. Woh sab ka aur
sab kay liay hota hai. Os ki namaendi ka daera tamam
mazahib aur isms say jura howa hota hai. Osaay
mahdood nahain kiya ja sakta aur na'hi mahdood hona os
kay liay mikin hota hai. Os kay paas kisi garo, konba,

45

qabila, zaat, qoom khita-e-araz, mazhab rang nasl ka
daera, noqta-e-nazaar ya samaji-o-tehzibi paimana
nahain hota.

Os ka tool her kisi kay liay aur pura, doon kantoon kay
darmiyan hota hai. Baat yahaan tak hi mahdood nahain
woh gher insanoon ki jan aur bhook aur piyas ko
mohtaram aur motabar rakhta hai. Woh sab ka aur sab
kay liay hota hai. Woh soch aur fikar kay hawala say
omoom say 40 qadam aagay hota hai. Goya os ki
baat/moamla:

1- Aafaqi aur alohi asoloon par mabni-o-ostawar hota
hai

2- Her zi'nafas ka dukh dard os ka apna dukh dard hota
hai.

3- Woh hamaisha insan ki zafar'mandi, aasodgi,
khush'hali, sakoon, aur chain ka khahaan

hota hai.

46

4-Auroon ki bhook, os ki apni bhook hoti hai.

4- Janab'dari ka os kay mazhab main qatae aur koli
toor par dakhal nahain hota.

5- Woh balagh aur omeeq nazar ka hamal hota hai.

6- Woh jo kehta hai, Khuda lagti kehta hai.

7- Woh kisi shakas kay samnay jawab'deh nahain hota.
Woh seraf aur seraf Allah (God)

kay hazoor jawab'deh hota hai.

Woh Sacha socha aur bai'lag
Baght/Sufi/Faqeer/Darvaish/Allah lok/Guru kaisa jo
lalach, khoof, dar, bhook piyas khadshay ya andaishay ka
shakaar ho ja'ay ya os ki qimat lag sakti ho. Woh na biik
sakta hai aur nahi os ki koe qimat lag sakti hai.

Halaat ya waqt kaisa bhi raha ho, hakam kitna hi jabar
zalim aur khoon'khar kayoon na ho ossay apni jan aur
apnay maal ki chinta nahain hoti. Woh kalma-e-haq keh
daita ho. Es kay nataej os kay liay kha kaisay bhi rahay

47

hoon. Boray nataej os kay liay sanvi haisiat kay hamal
hotay hai.

Os ki gardan main sarya hota hai aur na'hi kisi ki gardan
main sarya bardasht karta hai.Takabar aur motakabar os
ki nigah main chonti say bhi kam haisiat-o-ehmiat
rakhtay hain. Ossay maloom hota hai kah yah seraf aur
seraf Allah ki zaat kay liay zaiba hain. Jab mein yah kehta
hoon jumla insani baradri kay rohani Qaedein
Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh,
Alama Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib ki qiyadat
main insan ki rohani taleem ka ehtamam/bandobast
karain aur insan ko dukhoon say nijat kay liay koshesh
karain to es ka matlab yah hota hai kah mosoof main yah
gon/khobiyaan es gay guzray door main bhi mojood hain
mojood hain.

Darya aur Magar'mach kay monh (USA/UNO) main reh
kar Dr. Mohammad Nur ul Alam kehta hai:

"The world federation, the United Nations, has been

48

abandoned by the superpower. Gradually they develop
their military in the name of so called peace. Billions of
people are hungry, drying without food or medicine, all
around the world. Unfortunately, 4567the UN does not
look into them. The leaders of many nations around the
world are very weak. Some nations are leading through
military leaders, and others are (:) playing the role of so
called democracy and communism, but they have not
succeeded to establish international security and
peace." (Statement: Bashar-e-Baibadal
Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh, Alama Shah Dr.
Mohammad Nur ul Alam Sahib)

Daraj-e-bala her 7 points ka tanqidi nazar say
jaeza/motala karain eak sacha socha aur insan'dost
Bhagat/Sufi/Darvash/Faqeer/Guru hi es qisam ki batain
kar sakta hai. Puri insani baradri ki moqtada qovatoon ko
daikh lain, oon kay haan yahhi surat nazr aa'ay gi. Yah
tajziya eak balagh nazar ka hi ho sakta hai.

49

Dr. Mohammad Nur ul Alam (2)

Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok
waghera darasal Ambya ki talimaat phalanay aur insan ki
batni taharat kay hawala say oon kay namaenda hotay
hain. Woh insan kay dukh dard aur pira ko door kartay
hain. Boray waqtoon main onhain hosla aur tasalli daitay
hain. Omeed bandhatay hain. Halaat say nipatnay ka
daras saliqa aur skakti datay hain. Sabr shukr qaem
rehnay aur qana'at ki talqeen kartay hain. Logoon kay
dukh dard aur pira kay liay aansu bahatay hain. Logoon
kay liay Allah kay hazoor duaein kartain. Oon ki bhool
chook kay liay tanhaeoon main Allah say onhain moa'af
kar dainay ki estada kartay hain. Logoon ko acha karnay
aur hadait par aanay ki dua kartay hain. Insanoon ko Eak
dusray kay kaam aanay ki talqeen kartay hain.

Zindagi ko aasan sada bana kar khush'haal aasuda aur
shanti kay sath rehnay ka darass daitay hain. Woh

50

chahtay hain logoon main moa'af aur da'gozar karnay ka
jazba parwan charay. En logoon ki mojodgi Allah ki insan
par bohat bari meharbani ata aur naimat hai. Aaj
kehat'zada door main bhi en logoon ki kami waqay nahain
hoe. Es kay ba'vajood:

Insan baichain aur baisakon kayoon hai?

Insan ka khoon kayoon beh raha hai?

Bai'yaqini aur baad etmadi main azafa kayoon ho
raha hai?

Yah woh sawal hain jo baar baar samnay aatay hain.
Haqiqat yah hai kah
Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok kay
soang main shitan bhi midan main aa giya hain aur woh
apnay mafaad kay liay logoon ko loot rahay hain. onhain
gomrah aur korarah kar rahay hain. Daikhnay main woh
Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok hi
nazar aatay hain likin apni haqiqat main oon ka es line
say koe ta'alq wasta hi nahain hota. Woh darvaishi kay


Click to View FlipBook Version