The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

Jabr, Zindagi, Insan
aur
Asri taqazay
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by پنجاب اکھر, 2017-06-19 02:28:47

Jabr, Zindagi, Insan aur Asri taqazay

Jabr, Zindagi, Insan
aur
Asri taqazay
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

51

naam par insaniat kay cehray oar siya dhaba hain. Woh
dhongi aur pakhandi hain. Woh bhik'mangay hain. Oon ki
misal hathi kay dant khanay kay dikhnay kay aur ki si hai.
Log oon ka libas daikh kar aur oon ki chikni copri batain
son kar dhokha ka jatay hain aur in bhik mangoon ko apni
mehnat ki kamae thama daitay hain.

Khud ko yoon zahir kartay hain jaisay woh Bagwan kay
salay hoon aur sab kuch kar dainay par qudrat rakhtay
hoon. Mein nay bisioon es qisam kay chal'baz daikhay
hain jo bagli otha'ay moridoon kay ghar jatay hain aur
phir maal akatha karkay aaram aur ishrat ki gozartay
hain. In ka apna koe eman hota nahain logoon ka bhi eman
kharab kartay hain. Agar in ki kartotoon kay baray eak
shabad bhi keh diya ja'ay to woh essay
Allah/God/Bagwan/Eshwar kay hazoor gustakhi aur
tohein ka naam daitay hain. Wahabi ka fatwa khisay main
rakhna nahain bholtay. Log kehnay walay ki baat par goor
karnay aur tehqeeq karnay ki baja'ay en pakhandioon ka

52

sath daitay hain.

Oon kay Haram khanay walay chailay chamchay boolnay
walay ki bolti band karkay dam laitay hain. Kitni ajeeb aur
afsus'nak baat hai kah yah bhik managay aaram say kuch
kiay kara'ay bagher hi chopri khaein aur kamanay waloon
kay bivi bachay bhook piyas main suein. Yah zulm aur
ziyadti nahain?! Jis ka rizq khaya ja'ay os kay liay bhi to
kuch hona chahiay. En pakhandioon kay hawala say kuch
es tara ka noqsan samnay aata hai:

1- Harkat kay darwazay band ho jatay hain.

2- Allah ki di hoe tawanae ka ghalt estamal hota hai.

3- Logoon ki jaieb par la'hasal bojh par jata hai.

4- Mohazab aur mohtaram bhik mangoon ki tadad main
aazafa hota hai. koe kaam kaj kiay bagher hi achi khasi
dolat hath kar laitay hain.

5- Tohum parasti main azafa ho jata hai.

6- Chara joe ki baja'ay en logoon kay haan waqt zaya ho

53

jata hai. yahaan tak kah rafu ka waqt bhi hath say nikal
jata hai.

Morshad to woh hai jo hadait ka kaam karay. Saidha
rasta sojay. Naiki ki talqeen karay aur badi say rokay.
Logoon kay diloon main Allah ki mohabat ojagar karay
ta'kah woh badi ka rasta hi ekhtayar na karain. Oon ki
apni zindagi khobi ka behtarein namona hoti hai. Libas
aur chikni copri batoon say kiya hota hai. Woh apnay
ghar ki dehleez kay andar hoon ya bahar, oon say
pavitarta ki khosh'bu aa'ay.

Onhain ijaz, inksaar, maskini, qana'at aur sabr-o-shukar
ka behtarein namona hona chahiay ta'kah log
zahar-o-batan main oon ka rang pakrain. Yah koe paisay
kamanay ka zariya aur paisha nahain. Eak entahae
zima'dari ka kaam hai. Woh auroon say ziyada Allah kay
hazoor jawab'deh hotay hain ya khud ko samjhtay hain.
Onn say na'seraf oon kay baray main poch goch ho gi
auroon kay baray main bhi poch goch ho gi. Woh apnay hi

54

nahain apnay mannay (moridoon) waloon kay bhi
zima'dar hain. Na'mannay waloon kay moamla main bhi
woh bari-ul-zima nahain hain.

Sacha aur socha
Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok
zindagi ki rooh hota hai. Agar woh na ho to zindagi
mordar kottay kay post say aanay wali badbu ki misal ho
ja'ay. Sacha aur socha
Guru/Baght/Sufi/Peer/Faqeer/Darvaish/Allah lok kay
haan panch chizain zaroor nazar aaein gi:

1- Ijaz inksaar aur maskini main baimisal

2- Haraf-e-Dua os ka asa hota hai

3- Dast-e-Sakha main hatam bhi sharminda reh jata
hai. (Kisi dosray ki bhook ko daikh kar woh kha hi nahain
sakta. Apna bhojan os ki nazar kar daita hai aur khud
Allah ki di hoe es tofeeq par sajda-e-shukar baja lata hai.

4- Maslihat say bala'tar hota hai aur jo kehta ya karta

55

hai doo took aur abhaan say bala tar hota hai. khah es
main os ka ya os kay kisi apnay ka noqsan hi kayoon na
ho raha ho.

5- Logoon ko tambe (Warning) karta hai aur Allah kay
qehar-o-ghazab say darata hai.

Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Insaniat Hazrat Sufi Sheikh,
Alama Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib kay haan
hamain yah chizain milti hain. Es hawala say oon say
insaniat la'tadaad omidain bandhay howay hai. Insani
sakoon-e-qalab kay liay onhoon nay mukhtalif molkoon
kay safar ekhtayar kiay. Dr. Kofi anan say molaqaat ki.
Insani haqooq aur aman kay hawala say oon ki kidmaat
hairat'nak hi nahain naqabale-yaqeen bhi hain. Baad main
aanay wali tehriroon main tafsili tazkara karoon ga.
Alama Shah Sufi Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib say
mein zindagi main kabhi mila nahain. Mairi oon say koe
dosti ya salam dua ya khat-o-kitabat ka reshta ya ta'alaq
nahain. Mojhy oon say koe lalach matlab ya kaam nahain

56

aur nahi kisi labh ka irada rakhta hoon. Es kay ba'vajood
mein oon ki kidmaat ka motarif hoon aur intahae izzat
aur qadar ki nigah say daikhta hoon.

Mein insan hoon aur insan ki dorgat bantay aur os ka
khoon behtay daikh kar dukhi hota hoon. Aisay halaat
main agar koe kuch kar raha hai aur bila
tafreeq-o-imtayaz her kisi kay liay dard aur pira rakhta
hai to os ki kayoon qadr aur izzat na ki ja'ay Zara
daraj-e-bala morozaat kay tonazor main seraf yah doo
tokray/iqtabas malahza farma lain:

"The Dayemi Complex has become a symbol of succor to
the poor, destitute and distressed."

Tambi/warning ka andaz daikhain, yah kisi aam admi ka
andaz nahain ho sakta. Es main kahein maslihat nazar
nahain aati. Qatae doo took aur Allah say daranay ka
andaz hai:

"His Eminency Dr. Alam again warns the Obama
Administration that homosexuality

57

should not be encouraged at all. It is against God the
Almighty's order in the holy bible,
the glorious holy Quran, the holy Torah, and other holy
religious books of Hinduism and Buddhism. So that
Obama should carefully handle the matter of the natural
power
of Almighty and constitutional power of himself.
If you try to match each other in the name of freedom
and democracy, you have to pay
for that. Like Nimrod, the powerful king of the planet
after the biblical flood at the time
of Prophey Noah (AS) and Lout (AS)."

58

Musalman Koon Hain?!

Is amar ko eak thos haqiqat ka darja hasil hai kah Ulma
karam nay "Islam" kay asoloon zabtoon aur
tariqah-e-kar ki tashri -o-tabeer kay hawala say
hosala'afza aur qabal-e-qadar khidmaat sar-anjam di
hain. Ba sad ofsus es kay ba'vajood woh gher'musalmoon
kay diloom ko raam nahain kar sakay aur nahi koe naram
gosha paida kar sakay hain. Essi tara almi baradri say
molaqaat karnay walay Islam kay hawalas say koe thos
noqta-e-nazar paish kar sakay hain. Goya oon ki sae bhi
la'hasal rahi hai. Yahi waja hai kah lafz musalman gali
qisam ki cheez ho kar reh giya hai. Ab to Gher'Muslam es
naam say cher se khatay hain aur essay fasadi jhagralu
aur dehshat'gard qisam ki cheez samjhnay lagay hain.

Eak dehshast'gard ko khatam karnay kay liay bohat saray
bai'gonahoon ko bhi mout ki nind sola daitay hain. Es say
baad'tarein baat yah kah es par onhain koe dukh afsus ya

59

ta'asaf nahain hota.oon kay khayaal main yah bhi
dehshat'gard thay jihain maar kar onhoon nay insaniat ki
khidmat sar'anjam di hai. goya oon kay nazdeek
musalman aur dehshat doo mutradaf alfaz/chizain hain.
Musalmanoon kay nazdeek yah thek nahain, ziyadti hai.
zobani keh dainay say kiya hota hai. Es ko sabat karnay ki
zarorat hai. Yah haqiqat wazay karna lazam hai kah
Islam, Salamti ka mutradaf lafz hai. Islam aur
dehshat'gardi , doo alag aur motzaad chizain hain.
Mafaheem kay hawala say Islam salamti say ebarat hai.
Jahaan salamti nahain wahaan Islam kahaan? Yah doon
ossi tara eak sath nahain chal saktay jis tara aag aur
pabi eak sath nahain chal saktay.

Islam kay naam par qatal-o-gharat ka saman paida
karnay walay musalman nahain hain. Ga'ay ka naam bakri
rakh dain wo kis tara bakri ho sakti hai. ya shaiar ki khaal
orh lainay wala gadha shaiar kaisay ho sakta hai. Khaal
daikh kar gadhay ko shaiar kehnay walay ki soch main

60

kaein na'kahein khalal zaroor hai ya wo la'yaeni ghalt
fehmi ka shakar ho giya hai. Sojh bojh rakhnay walay par
lazam hai kah woh os ki ghalt fehmi ko door karay warna
es say bai'intaha kharabiyaan janam lay rahi hain aur lain
gi.

Woh shakas jo apna maal jan izzat koja auroon kay maal
jan aur izzat ko bhi otna hi aziz rehta ho jitna woh apnay
maal jan aur izzat ko aziz rakhta hai, wohhi musalman
hai. kisi dosray ki adam mojodgi main bila kahay os ki
hifazat karta hai wohhi musalman hai. os ka dastar'khan
bila'tameez-o-imtiyaz farakh rehta hai wohi musalman
hai. Shab ki duaoon ko apnay tak mahdood nahain rakhta
auroon ko bhi os main shamil karta hai wohi musalman
hai. Apni piyas ko dosray darjay par rakhta hai aur her
dukhi insan kay liay dua ka halqa dararaz karta hai, wohhi
musalman hai.

jo shakhs kisi dusray kay maal jan aur izzat ko halaqat
main dalta hai, woh musalman ho hi nahain sakta, koe aur

61

hai. Gun'bardar ossay os kay kidar kay hawala say
shanakht karay na'kah naam ko os ki waja-e-shanakht
qarar day. Agar woh aisa nahain karta to woh musalman,
jo salmti chahta hai par ziyadti ka motakab ho raha hai.
Isam rang nasl alaqa qoom zoban qabila konba waghera
say motalaq cheez nahin. salamti chahnay wala koe bhi
hai os ki shanakht Isalm hai. Salamti ka amin khud ko
shiya soni wahabi syed sheik raj'poot jat, araqi, pakistani
japani chini bharti irani lohaar tarkhan mochi nae sikh
hindu* khah khuch bhi keh lay es say kuch faraq nahain
parta, bahar'toor woh musalman hai. Kirdar -o-Amal
la'yaeni cheez nahain hain. lughat main achay ya boray ka
sabqa musalman kay liay nahain hai. Acha musalman
bora musalman kala musalman falaan alaqa ka musalman
ahmqana estalahain hain. Musalman bas musalman hai.
Es say ziyada ya es say kam nahain.

shalwaar gitay say opar ya nichay ho es say kiya faraq
parta hai. Darhi lambi choti darmiyani ya nahain hai ki

62

koe maneviat nahain. Chon kah dari lanbi hai lihaza yah
dehshat'gard hai bai'maeni baat hai. Mairay khayaal main
aaj kay bicharay aur ghareeb Islam ko en kharafaat say
door hi rakha ja'ay to acha hai. yah bhi Islam
arsa-e-daraz say gitay godoon ki zad main hai. Es ko ab
es hawala say munsalik nahain kiya jana chahiay. Salamti
ka daera mahdood nahain. Dusra salamti chahnay wala
pehlay insan hain phir kuch aur hain. Na woh sarapa
fareshta hain aur nah hi sarapa shitan hain. On say acha
bhi hota hai aur bora bi, kabhi danista aur kabhi
na'danista.On ki kisi borae ka sabab koe dusra salamti
chnay wala onhain qatal karnay ka haq nahain rakhta.
Saza daina qanoon ka kaam hai jo qanoon kay hawala say
hona chaheay. Haan dusra salamti ka khahaan os borae
ko khatam karnay ki koshesh kary na'kah borae kay
mortakib shakas ko khatam karay.

Woh shakas musalman kehlanay ka qate haq nahain
rakhta jo borae ki bajay insan ko qatal karnay ka

63

rujhan/rovaeya rakhta hai. Sufiya karam aur batni
taharat kay qael logoon nay insan kay andar ki taharat
par zoor diya aur es kay liay chara bhi kiya. Jin kay
sabab bori soch ki hosala shikni hoe. Gonah aur juram ko
oon kay ya oon say motalqeen kay haan bohat kam
daikhtay hain. Wahaan yah oljhao nahain kah shalwar
gitay kay opar ho ya nichay. Wo jahaan bhi hai thek hai.
Haan os kay hawala say satar'poshi hoe hai aur wo os ki
sinaf say motalaq hi hai na'kah sinaf-e-mukhtalif kay
motabaq hai. Agar kahein en hazraat kay haan koe borae
ki surat nazar aati hai to wahaan afsoos aur ta'asaf ki
aag bhi dikhae daiti hai. Apni zaat kay moamla main hum
onhain behtarein mosaf patay hain.

Fakhar-e-Insaniat, Bashar-e-baibadal, Hazrat Alama Sufi
Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam salamti ka
parchar karnay waloon ki rah kay rahi hain. Onhoon nay
insan ki khidmat main zindagi ka her lamha mukhsus kar
rakha hai. Woh seraf oon musalmanoon kay haqiqi

64

namaenda hain jo salamti ka parcham otha'ay howay
hain. Woh insan ki izzat jan maal ko motabar aur mohtam
jantay hain. Tamam mosalmanoon (salamti chanay wloon)
ko oon kay hath mazboot karna chahiay ta'kah woh her
jan'dar ki jan ki salamti ko motabar karnay main apni sari
rohani-o-jismani qovatoon ko saraf kar dain aur insan
sukh ka sans lay sakay aur sakoon ki nind soo sakay.

Insan maday say takhleeq howa jis kay sabab os ki
sochain bhi maday say wabasta ho gaein. Es tara Unseen
par itbar oth giya. woh koe cheez khareed karta hai to
sasti kay sath sath achi pai'dar aur khoob'surat ko bhi
mad-e-nazar rakhta hai. Ta'alqaat ki ostawari main bhi
yahhi paimana mad-e-nazar rehta hai kah jis say ta'alaq
banaya ja raha hai woh kaisa hai aur os say kiya labh
othaya ja sakta hai. Goya soch ka mehwar bhi mada rehta
hai.

Pojiwar kay moamla main insan bara ehsas waqay howa
hai. Woh ossay bhi daikhnay ka khaesh'mand raha hai. Es

65

moqaam par os ki soch teen hisoon main taqseem ho gae:

1- Jo dikhae nahain daita os kay vajood par kaisay
kayoon aur kis bonyad par yaqeen kar

liya ja'ay. Ird gird kay log eak say hain lihaza onhain
Pojiwar man lainay ka sawal hi nahain othta. Ashya
dastaras main rehti hain lihza ashya Pojiwar nahain ho
saktein. Goya koe Pojiwar siray say hai hi nahain.

2- Ambya kehtay hain kah koe Pojiwar hai aur ossay
daikha nahain ja sakta. Lihaza

Unseen God ko tasleem karkay ossay Pojiwar qarar day
diya ja'ay, es main koe mazaheqa nahain

3- Khuda ka vajood hai aur os ki Existence sifati
hawalay say hamaray samnay hoti

rehti hai.

Pehlay tabqay kay log zair-e-behas nahain hain. Essi tara
dusra tabqa bhi mobahas say bahar hai. Yahaan baat
seraf taisray tabqay say motalaq hai. Es main Musalmain,

66

Hindu aur Esae dakhal hain:

Bohat say Musalman hazraat Allah ta'ala ko 99 sifaat**
kay hawala say janta aur penchanta hai aur woh en sifaat
ko insanoon main talashta hai. Jahaan kaein kisi main koe
sift nazar aati hai wahaan os sift kay hawala say naam
bhi day daita hai ta'hum woh ossay Pojiwar qarar nahain
daita likin os ki izzat, taqreem aur mohabat Pojiwar ki si
dainay lagta hai. Khayaal karta hai kah woh os ki madi
khashaat ko pura kar sakta hai ya Allah say pura karwa
sakta hai. Yah mohabat taqreem aur izzat ka jazba aur
khayaal os shakas kay marnay kay baad bhi ossi tara
baqi rakhta hai.

Hindu Allah Ta'ala ki sifaat ko Devtaoon say mansoob
karta hai. Chonkh devta nazar main aanay wali cheez
nahain hain es liay onhain botoon ki surat main majassam
kar laita hai. woh oon botoon ki poja nahain kar raha hota
balkah oon say mansoob sift kay hamal davta ki poja kar
raha hota hai ya yoon keh lain mutshakal boot kay hawala

67

say os sift kay hamil devta ko pokar raha hota hai.

Oom kiya hai yahi?

Yah toheed ki taqseem nahain, par'tu hai ya hain. Insalaak
liay bhi hain. Agar teen eak nahain to kaenaat ka chalna
mohal hai. Yah apni origan main eak hai aur vidhi kay
bagher God ka vajood bai'maeni hain to baikar ya eak
teen main teen apni asal main eak hi ka kay vidhan say
isalaak rakhtay aur la'yaeni teharta hai.

Esaeoon kay haan bhi taslees ka falsafa bunyadi cheez
hai. Wo eak ko teen main aur teen ko apni haqiqat main
eak mantay hain. Musalm hoon ya Hindu ya Esae yahaan
bhi madi hajaat kay hawala say wabasta hotay hain. Koe
baita mang raha hai to koe maraz say khalasi . Es tara ki
un'haad hajaat os main malavas hoti hain. Shaed hi koe
aisa ho jo God ko bila hajat man raha ho.

Madi shoch asal haqiqat tak rasae say manay rakhti hai.
Pojiwar gher madi hai lihaza jism say jori soch os tak
ponch nahain sakti. Lihaza Khuda hissoon bikhroon main

68

hota rahay ga. Khuda ki taqseem ossay maday say door
na janay day gi. Madi soch mafaad say zara edhar odhar
nahain ho sakati. Goya maira mari aur tashadad amal
nahain rok sakay ga. Insan ka khoon essi tara behta
rahay ga aur insan ko ki ghalt aur maday say wabasta
soch say nikalna opar say koe nahain aa'ay ga. Es hawala
say insan kay batan/rooh ki taharat az bas zarori hai.
rooh ki taharat kay sabab insan ka qatal rok ja'ay ga.

Rooh/batan ki taharat maday say wabasta koe bhi band
na kar sakay ga. Yah kaam batan ki taharat say wabasta
log hi kar saktay hain. Hazrat Pope John Paul Sahib jo
na'seraf Esae mazhab kay namenda hain balkah Rohani
Paishwa bhi hain. Aisi surat Hazrat Dalae Lama Sahib kay
sath hai. Hindu Dhram kay logoon kay haan Rohaniat say
wasta logoon ki kami nahain. Agar yah sab es waqt kay
Rohani Paishwa Bashar-e-Baibadal Fakhar-e-Isaniat
Hazrat Shah Sheik Sufi Dr. Nur-ul-Alam Sahib kay shana
ba'shana ho jaein to insan ko maday ki kathoor garift say

69

nikala ja sakta hai aur es tara insan kay asal pojiwar ki
janib marajat mokin ho sakti hai. Yah sab Allah kay
hazoor surkh'ro ho saktay hain warna her qatl honay
wala Qiyamat kay rooz in kay ru'ba'ru poray
ghaiz-o-ghossa kay sath khara ho ga. Os rooz Allah ki
sakht garfit say koe kisi ko na bacha sakay ga.

--------------------------------------

*(Hindustan ka rehnay wala),

**Asal haqiqat yah hai kah woh un'haad sifaat ka malik
hai. Agar os ki sifaat ginti main aa jaein to os par garift
mushkal nahain rehti.

70

Mashraqi Punjab aur sikh bradri

Mashraqi Punjab dunyaan ki bohat bari aabadi ki walaet
hai. Zara'ay aur wasael-equdrat kay hawala say bhi
dunyan kay kisi kitay say kisi tara kam nahain. Es alaqa
kay moqimi hazraat Hazrat Goru Nanakji Dev kay
pairu'kar hain. Mazajan aur adtan sachay sochay kharay
baat kay pakkay aur haad darja jafa'kash hain.
Dast-e-sawal daraaz karna, oon ki adat aur fitrat main
dakhal hi nahain. Onhain alag say koe
mazhab/dharam/ism kay log samjh liya giya hai ya oon ki
pehchan kisi alag say dharam kay hawala say ki jati hai.

Sikh kay maeni sikhnay wala, jan'kari ka talib, aaghi kay
amal say gozarnay wala, jo honar sikh raha ho,
talib-e-ilm waghera honar dainay walay kay liay yahaan
lafaz Nabi ya Rasool siray say mostamal nahain. Honar ya
aaghi dainay walay kay liay ziyada'tar ostad aur goru
alfaz estamal main aatay hain. Goru woh jo gur janta ho,

71

atkal say waqif, tajarba'kar, kisi okar main os okar say
bach nikalnay ka rasta batanay wala, hal nikalnay wala,
hadait dainay wala kah yoon karo aur yoon na'karo,
murshad, ostad waghera maeni mostamal hain.

Agar Goru aur Sikh ko aam feham zoban main kaha ja'ay
to ostad shagid kaha ja sakta hai. Bawar rehna chahiay
kah Ostad rohani baap ka darja rakhta hai es liay gur
sikhanay kay hawala say liya ja'ay to baad'diyanti ki os
say towaqo nahain ki ja sakti. Es garo kay haan doo
chizain bari wazay nazar aati hain

1- Toheed jo adyan ki konji hai

2- Tasawaf jo taharat aur tariqat ka la'jawab
zariya-o-wasila hai

Yah garo dunyaan kay kisi mazhab kay qareeb ya
taqriban qareeb nazar nahain aata. Haan samaji masharti
ya moashi hawala say kahein kahein mamaslatain nazar
aati hain to yah koe alag say ya nae cheez/baat nahain
aur yah vasaibi qorbat ka natija hain.

72

Pakistan kay moqimi Esae mazhab ki bohat sari rasumaat
mosalmanoon ki se rakhtay hain es kay ba'vajood woh
Esae hi hain. Bohat saray mazhabi kalmaat oon kay haan
takya-e-kalaam main bhi dakhal hain. Es kay ba'vajood
oonhain Hazarat Esa (AS) kay pairu honay ka dawa hai.
Es vasaibi sanjhoon kay sabab sikhoon ko Hindu ya
Hinduism kay motalaq qarar nahain diya ja sakta yah
sara sar zulm aur ziyadti hai. Asal haqiqat yah hai kah
yah log Sufi silsalay say motalaq hain aur es silsalay kay
bani laeq-e-izzat-o-ehtaram Hazrat Goru Nanak-ji Dav
hain. Mohammad Aasaf Khan nay Bhai Gordas
(1559-1637) kay hawala say kaha hai :

"Guru Nanak ji hi odasi (safar) samay asa (lath) hath tay
kitab kach rakhday san.

Ais kitab vich ooh apniyaan rachna toon wakh bhagtaan
tay sufiyaan da kalaam

daraj kar day san"(1)

Agar koe onhain Guru Nanak keh lay ya Sufi Nanak keh

73

lay ya Sheik Nanak keh lay es say kuch farq nahain parta.
Onhoon nay Makka ka safar ekhtayar kiya baghdaad main
qayam farmya. Jumla Sufya kay silsalay Hazrat
Mohammad (Oon par Darood ho) ki taraf phirtay hain aur
Aap (Oon par Darood ho) ki mohabat oon ka
matma-e-nazar qarar pati hai. Bilkul essi tara Guru
Garanth Sahib ka her shabad Sufiya ki taraf safar
ekhtayar karta nazar aata hai. Agar Sufiya Musalman aur
rohani paishwa hain to Sikh Baradri ko aur os kay
Mohtaram aur Laeq-e-izzat Goru Sahiban ko kis asool aur
rule kay tehat Non-Muslim/Kafar kaha ja sakta hai.

Her Sufi garo apnay libas aur nazaryati toor par apni
alag say identity rakhta/qaem karta hai. Yahhi Surat
Goru Garanth Sahib say motalaq logoon kay sath nathi
hai. Baba Fareed Sahib (R) kay shalok aur Shah Hussain
Sahib (R) Lahori ki kafiyaan mosalmanoon kay haan
mohtram hain ossi tara Sri Garanth Sahib ka her shabad
Toheed aur tasawaf say labraiz nazar aata hai es liay wo

74

mohtam hai. Es silsalay kay log sikh kehlatay hain jabkah
yahhi surat digar silsaloon kay sath bhi paivast hai.
Maslan silsala Qadarya, Silsala Chistaya, Silsala
Soharvardiya, Silsala Shitarya waghera.

Sufiya Karam kay rohani amal ko jari rakhnay kay liay
oon kay Khalifa/Gadi'nasheen/Divan Sahiban kay namoon
say malqoob hazraat moqarar hotay rehtay hain aur es
tara yah silsalay jari-o-sari rahay hain aur yah amal
sadyoon par moheet nazar aata hai. Sikh silsala kay bani
Harat Goru Nanak Dev/Hazrat Sufi Nanak Sahib kay
silsalay ko jari rakhnay kay liay Hazrat Goru (Kulfa)
Sahiban tashreef latay rahay aur onhoon nay
sikhnay/shiksha kay amal ko jari rakha. En Sahiban
ba'safa nay Guru Garanth Sahib ki tadveen bhi ki, es main
la'jawab azafay bhi kiay. Goya oon kay mohtram shabad
Guru Garanth Sahib kay pannoon ki zinat banay.

Hazrat Syedna Zain-ul-Abidein (AS) nay jani doshman ki
haad'darja mehman navazi ki. Es liay mehman'navazi aur

75

khatar'dari ko kisi kay din'dar honay ki vaja qarar nahain
diya ja sakta. Yah amal salamti pasandoon
(Muslamanoon) kay haan aisi koe nae baat nahain.
Hamait, es say bilkul alag cheez hai. Es silsalay kay Guru
Gobind Sahib ko Syedoon nay na'seraf panah di balkah
oon kay moaqaf ki hamait aur takreem bhi ki. yah Syed
bunyadi toor par Sufi thay. Guru Sahib ki Hamait-o-taed
es amar ki kholi daleel hai kah sikh koe alag say dharam
nahain balkah sufi silsalay ki eak kari hai.

Lafz "Baba-ji" hamaray haan ziyada'tar batoor ehtaram
aur mohabat sufya kay liay estamal main hota aaya hai
aur yah eatalahi marakab urf-e-aam ka darja rakhta hai.
Mein nay baray borhoon kay monh say "Baba Goru
Nanak" aksar sona hai. Maira apna ta'alaq bhi Syed
Family say hai. Mairay walid mohtaram, Hazrat Ghulam
Hazoor Shah sahib al'maroof "Baba Shukar Allah" sahib
Punjabi zoban kay sufi shair thay. Mein nay kae martaba
oon kay monh say "Baba Guru Nanak" sona. woh "Baba-ji

76

Guru Nanak" Sahib kay liay bara ehtaram rakhtay thay.
Onhain Siri Guru Garanth Sahib ki bohat sari baniyaan
zobani yaad thein. Oon hi ki zobani maloom para kah sikh
giyarvein shareef ka doodh nikaltay thay. Dass Moharam
ko sikh sahiban pani aur doodh sharbat ki sabilain lagaya
kartay thay. Her doo motzakra chizain samaji ravait
nahain hain. En ka ta'alaq khalastan mazhab say hai. Mein
aaj kay Amrat'sar/Mashraqi Punjab say
ba'chasham-e-khud aaghi nahain rakhta kah aaj bhi yah
surat wahaan mojood hai ya nahain.

Hazrat Goru Nanak Dev say yah bool mansoob chalay
aatay hain:

kalma kahaan tay kal(2) poway bin kamioon vi na

Hindu kahaan tay marya musalman vi na

Yahaan woh so-called musalman marad hai jo sair ka
teen pao tolta hai. Allah ki zamein par fasad aur dehshat
gardi phalata hain.

77

Gulbargha aur kae dosri jagoon par sufioon nay apnay
mazhab ko parda main rakh kar insaniat ki khidmat
sar'anjam di. Syed Sahiban takya main rahay aur yah
surat aaj bhi mojood hai. Ta'hum bonyadi baat jo es bool
ka lob-e-labab hai wo "bin kamioon vi na" hai. Baba-ji(3)
nay apna intasaab parda main rakha. Sikhanay kay amal
ko libasi hawala say digar sufiya say alag rakha ta'hum
digar sufiya kay kalaam ko apnay haan namayaan jaga
day kar yah sabat kar diya kah woh oon say alag nahain
hain.

Musalmaanoon kay haan eak acha khasa tabqa bari
aqidat say Bazorgoon kay mazaroon par hazri daita
nazar aata hai. Sikh na'seraf Hazrat Nanak Sahib kay
Darbar par hazri daitay hain balkah digar sufiya kay
Darbaroon par bhi mohabat aur ehtaram say hazri daitay
hai. Musalman en sufiya ko khuda nahain samjhtay balkah
ohain mukhlooq samjhtay hain. Musalmanoon ka Allah eak
hai yahi surat sikh silsalay main hai. Siri Garanth sahib

78

kay ibtadae yah shabad malahza hoon:

"One Universal Creator God. The Name Is Truth. "

Sikhoon kay haan bhi yahi surat hai. woh Hazrat Goru
Nanak Dev ko Allah nahain, Guru mantay hain aur onhain
Allah ka manzoor-o-maqbool samjhtay hain. Sufiya kay
hawala say musalmanoon ka nazariya aur
noqata-e-nazar es say mukhtalif nahain.

"Dayemi Complex Bangladesh" kabi kisi kay liay tang
nahain para. Sikhoon kay liay bhi es kay darwazay kholay
rahay hain. Fakhar-e-Insaniat, Bashar-e-baibadal,
Rahabar-e-Shariat Hazrat Alama Sufi Shah Sheik Dr.
Mohammad Nur-ul-Islam es waqat alam-e-insani kay
Rohani Paishwa hain. Es hawala say oon ka Sikh silsalay
say bhi gehra ta'alaq banta hai. Goya jahaan woh digar
Rohani sisaloon kay paishwa hain wahaan Sikh Silsalay
kay bhi Guru tehtay hain. Sikh silsalay ko mojoda almi
halaat main faiz othanay kay moqay mayasar hain.
---------------------------------------------------------------

79

----------
1-Akhya Baba Fareed Nay p.47, Pakistan Punjabi Adbi
Board, Lahore 2001
2-larae,

80

Janab G Singh-ji say eak Mokalma

Respected Dr Maqsood Hasni Ji I applaud you to have
positive views in context of Sufism and Sikhism but your
statement above in brown fonts is hard to swallow
because Sufis are coming from Islam and practicing it
right way; however, Sikhism is not coming from any
existing religion, people try to link it with their religions
but facts expressed in Sri Guru Granth Sahib dispute
that strongly. Guru Nanak (Sahib)declares in Sidh gosht
(one of his main Bani )that he has searched for those
persons who are truly into the Almighty guided by Guru,
religion is insignificant in his eyes. If ever he questions
others, it is the dishonesty and hypocrisy displayed by
various religious and sectarian- viewsgurs. So your
calling Nanak (Sahib) House as a one of Sufi chain is a
mistake. Sufis were considered true Muslims and treated
with extreme respect by Nanak (Sahib)house. Use of

81

word "Baba" doesn t prove any sufi-link because this
word was commonly used for those who were wise like in
Sikh History, there was a wise Sikh called Baba Budda
and so on. Sufis practiced Holy Quran and give priority to
the Almighty instead of indulging in self satisfying urges,
Sikhism doesn t take anything from Holy Quran
particularly at all. Isn t it enough to have so much
respect for each other as Sikhs and Sufis? Is it
necessary to convert each others in words? Thanks for
sharing your thoughts.

With regards

G Singh

G Singh Sahib,

Aap nay mairi morozaat par tovajo di, ghoor farmaya aur
jawab say nawaza es ehsan kay liay shukar'gozar hoon.

Mahajar alfaz jab kisi dusri zoban/walaet main dakhil
hotay hain to wo apni asal halat, haiat, surat maniviat ya

82

estamal barqarar nahain rakh patay. Es ki waja kalchar
ki tabdili hai. Onhain ekhtayari zoban/walaet ki nahv,
mazaj aur zarorat ko paish-e-nazar rakhna hota hai.
Agar wo ekhtayari zoban/walaet kay asoloon, zabtoon
aur fikri zaroratoon ka khayaal nahain kartay to onhain
ekhtayari zoban/walaet main lambi umer mayassar
nahain aati. Onhain bahar'surat ehtayari zoban/walaet ki
ongli pakarna hi parti hai aur yah oon ki fitri zarorat,
majbori aur kamzori hoti hai.

Peer

Farsi say bar-e-sagher ki zobanoon main dakhal howa.
Yahaan aa kar es ki maniviat yaksar tabdeel ho kar reh
gae. Hamaray haan yah lafz ba toor "Rohani Shakas"
estamal hota hai. Maslan Peer Abdul Qadir Jilani (RA)
Peer Mehar Ali Shah (RA) Peer Khushi Mohamad waghera
waghera.

Darvaish

dar aur vaish say marakab hai. Yah lafz bhi apni assal

83

maniviat say bohat door ho giya hai. Bazurg
Farsi say bar-e-sagher ki zobanoon main warad howa
hai. Es kay assal maeni borah (old) kay hain likin yah lafz
Oliya Karam kay liay estamal hota hai.
Faqeer
Arbi say aaya hai. Yah doo maenoon main mustamal hai:
1- Sahib-e-faqar, jo taqva ekhtayar karta hai.
2- Bhik mangnay wala goya yah lafz phakeer kay liay
estamal hota hai. Maktobi shakal Arbi wali rehti hai.
Mint'maar ko koe Angraiz angraizi ka lafz kabi aur kisi
halat main nahain manay ga.
Baba
Arbi kay lafz zaeef kay motradaf hai. Moqami ho giya hai
aur kae maenoon main estamal hota hai: taya, dada nana
waghera reshtoon kay liay estamal hota hai. Borhay (old
man) kay liay bola jata hai

84

Syed family kay her mard khah woh abhi paida howa ho,
kay liay bhi boltay hain. Baba batoor reshta estamal hota
hai. Maslan Baba jani halan'kah walid sahib 22 saal say
ziyada umar kay nahain hotay Ba toor sabqa ya lahqa
ehtaraman bolnay main aata hai' Maslan Baba Bulle Shah,
Baba Fareed, Rehman Baba waghera waghera

Koe nazriya, Fakri nazam ya Mazhab jo insan ki taqseem
karkay fasaad aur jhagray ka darwaza nahain kholta aur
jo kholta hai nafrat ka nishana banta hai. Yah thos aur
atal haqiqat hai kah insan, insan ka aur inan ki kidmat aur
kaam aanay kay liay hai. Her kisi kay dukh sokh ka sathi
hai. Taqseem say, aamar aur estabdai qovatain estakam
paarti hain aur manfi halqoon ko panpanay ka moqa milta
hai. Shitan ki ban aati hai. Insan ki taqseem aur tafreeq
say estabdadi qovatain wasael, zehan, aur mehnat par
qabaz ho jati hain. Yahaan tak kah wo insani danish ko bhi
mati bana laiti hain. Es tara estahsal kay darwazay khol
jatay hain.

85

Tasavaaf aur es say motalaq logoon kay motalaq kae
nazreay miltay hain: 12

Tasavaaf ko Islam nahain samjha jata aur es say motalaq
motzaad nazriay mojood hain.

Yah log naam kay mosalman hain likin Islami Shara say
door hain.

Yah rohaniat say motalaq log hain.

Nammay log yah field ekhtayar kartay hain aur bai'amli
paida kartay hain.

waghera waghera

Bahar'toor jo bhi sahi in kay liay unhaad ehtaram aur
mohabat mojood rahi hai. Sufiya kay nazdeek:

Bari zaat seraf Allah/God/Bhagwan/Ehvar/oom ki hi hai.
Insanoon main rawa'dari aur bhai charay ki fiza paida
honi chahay. Insanoon main mohabat kay jazbaat ko
parwan charna chaheay. Ejaz aur inksar sufi'ism ka
imtiyazi wasaf hai. Sufi khud ko namana hi samjhta hai.

86

Mashaekh, ilm/aaghi ki dolat say mala mal hotay hain es
kay ba'vajood ejz oon ka khasa rehta hai. Dast-e-sawal
daraz karna oon kay mazhab main nahain hota. Jo hasal
karta hai logoon main taqseem kar daita hai.

Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat takabar say door bhagtay
hain. Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat ko ilm hota hai kah
takabar rooh ko kha jata hai. Ab
Sufi/Darvaish/Faqeer/Bhagat aur Alim ka diyanat'dari
say moazna kar lain woh to apnay sewa kisi aur ko
salamti wala/sachay mazhab par samjhta hi nahain. Her
gher kay liay kafar ka fatwa/parwana os ki ghutli main
mojood rehta hai. Moqadas Guru Garanth Sahib mairay
samnay pari hai. Mujhy es main say seraf eak lafz nikal
kar dikha dain jo:

Takabar ki hosla'afzae karta ho. Mohabat aur bhai charay
say door lay jata ho. Khoon kharabay ki dawat daita ho.
Insan ko Insan say door kar dainay par aamada karta ho.
Daan aur kirpa ko mukhsus karta ho.

87

Aap ka moaqaf hai:

"Sikhism doesn t take anything from Holy Quran"*

Aap ka yah bhi kehna hai:

"Sufis were considered true Muslims-----"

Yah bhi aap hi ka kehna hai:

" Sufis ---- treated with extreme respect by Nanak
(Sahib )house."

Ghoor farma lain aap kiya keh rahay hain. Sri Guru
Garanth Sahib main Kitnay Mashaikh ka kalaam shamil
hai, aap khud hi farma dain to acha rahay ga. Hazrat
Guru Nanak Sahib (RA) ki aakhri rasomaat par tanaza
khara howa. Es say kis amar ki nishan'Dahi hoti hai?!

Hazrat Guru Nanak Sahib (RA) mairi aur aap ki soch say
kahein baray thay. woh sab kay aur sab kay liay thay.
Khuda kay liay Hazrat Guru Nanak Sahib ko mahdood na
karain. Oon say jo mohabat karta hai ya onhain izzat aur
ehtaram ki nazar say daikhta hai ya woh jin say mohabat

88

kartay, woh sab apis main mota'aq hain. Jo bhi hawala
mojood hai, insan qareeb to aata hai. Insan ko aaj eak
dusray kay qareeb aanay ki zarorat hai. Guru Garanth
Sahib, Kalaam Baba fareed, Kalaam Shah Hussain,
Kulyaat-e-Bulle Shah ka taqaza yahhi hai kah insan
tamam tafreqaat say bala ho kar, dusray insan kay
qareeb aa'ay. Insan ki taqseem kay darwazay band
karnay ki sae ki jani chahiay. Insani taqseem kay sabab
aamar qowatoon ko shakti mil rahi hai jo aaj aur aatay
kal kay liay khatar'nak haqiqat hai. Jahan kahein koe
sanjh milti hai, os kay hawala say insan ko qareeb lanay
ki koshesh honi chahiay. Hazrat Alama Shah Sufi Dr.
Mohammad Nur ul Alam Sahib eak gher motnaza shaksiat
kay hamil hain, oon kay hawala say dorioon ko mitaya ja
sakta hai aur mitaya jana chaheay.

---------------------

* is par baad main tafsili baat ho gi

89

Dehshat gardi ka khatma kayon'kar ho?! (1)

Dehshat gardi aur ossay kochalnay kay hawala say jo
toofan-e-baad'tamizi barpa hai es say insaniat aur
makhlooq-e-falki bhi sharminda aur prishan ho gae ho gi.
Shitan khush ho ga kah mein nay os insan ko ko'rah kar
diya hai ya woh azkhud ko'rah ho giya hai jissay sajda na
karnay ki surat main raenda-e-dargah hona os ka
moqdar tehra.

Aaj dard-e-Dil rakhnay waloon ko midan main otarna
chahiay aur qatal-o-gharat ko roknay kay hawala say
apni se koshesh karni chahiay. Ba'surat-e-digar woh bhi
es ehad kay mujram aur gonah'gar tehrain gay. Aati
naslain oon par lanat bhaijain gi. Ab waqt aa giya hai kah
Mashaekh aur tamam adyan kay motadil Ulma Karam
apna kirdar ada karain. Logoon ko Guru Nanak , Rehman
Baba, Shah Abdul Latif Bhatae, Bulle Shah, Shah Hussain,
Saein Sachal Sarmast waghera ka kalaam sonaein.

90

Onhain aman aur shanti ka dars dain. Sach ko sach
kahein. Yah zindagi hamaisha ki nahain. Her kisi nay eak
din Jahan chorna hai.

Achae ko zobani kalami manna maneviat nahain rakhta,
es ka amli saboot bhi milna chahiay. Gharoon main
rehnay walay bai'ghar ho kar roti kay chand tokroon ko
taras gay hain. Pait bhar kar khanay waloon kay halaq
say loqmay kayoon'kar gozartay hai.

Eak shakas bhi bhook say soya to es ki Amir-e-Waqt say
poch ho gi. Logoon say cheen kar nahain, Amir-e-Waqt
apni gira-e-khud say day sab jantay hain kah os ka khisa
moflas aur qalash nahain.

Amir-e-Waqt ko bholna nahain chahiay kah Bhook say
barh kar koe andhi taqat nahain. Yah bhokay piyasay aur
bai'chat kab tak bhook bardast karain gay---------kab
tak?!

Bhook piyas eak haad tak bardast ho sakti hai. Bardasht
kay baad kae aur mahaz khol jaein gay. Phir kiya ho ga,

91

es amar ka tasawar bhi larza bar andam kar daita hai.
Kiya en bhook kay maroon kay manfi amaal ko bhi
dehshat'gardi ya shidat pasandi ka naam day kar qatal
kiya ja'ay ga ya en kay hatoon roti khatay qatal hoon gay.
Ghar aur roti pani to pehli aur aakhri zarorat hai. Bhook
say nijat ki sochna bhi dehshat gardi say kam nahain.
Yahaan Hazrat Paighambar-e-Islam (Oon par Darood ho)
kay chand Hosn Paroon ko darj karnay ki sa'adat hasal
kar raha hoon aur yah farmodaat amal ka taqaza kartay
hain:

"Tum main say intahae na'pasandida woh hain jo
choghal'khoor hain aur dostoon main tafreeq paida
karnay walay hain" (Tibrani)

"Tum (sakht'kalami) ka aisa jawab doo jo bohat acha ho.
(aisa karnay say) tum daikho gay jis main aur tum main
dushmani thi goya woh tumhara garam'josh dost
hai----------" (Muslim)

"Jo tumharay sath baad'akhlaqi karta hai os kay sath

92

bord'bari say paish aao aur jo tum say ziyadti karta hai
ossay moaf kar doo aur jo tumhain mehroom rakhta hai
ossay doo aur jo tum say qata ta'alaq karta hai os say
sila-e-rehmi karo" (Tibrani)
"Jab tak tum eak dosray* say meharban nahain ho jatay
os waqt tak tum eman'dar nahain ho saktay" (Tibrani)
"Narmi jis cheez main bhi ho ossay mazaein kar daiti hai
aur jis cheez say ossay khatam kar diya ja'ay ossay
mayoob bana daiti hai." (Muslim)
---------------------------------
* Awamun'nas par meharban hona morad hai

93

Dehshat gardi ka khatama kaiyoon kar Ho?! (2)

Aaj ki insani nasl itni bai his nahain hoe aur na hi bai
rahro, baiadab, khud ghrz aur khud sari ka shakar hoe
hai kah woh apnay rohani paishwaoon, bazurgoon aur
baroon ko khatar main na lati ho.

Mada itna bhi motabar aur mohtaram nahain howa jitna
kah daikhnay aur samjhnay main aa raha hai. Jo dikhae
day raha hai wohi sab kuch ya yahhi aakhri haqiqat
nahain hai. Es kay pichay bohat kuch aur bhi hai. Jis ki
tafheem abhi baqi hai. Aqab ki tafheem aur pazirae aaj ki
pehli tarji kay darjay par faez hai. Yah baat puray vasooq
aur yaqeen say kahi ja sakti hai kah es aqab ki talash
zahir parast na kar sakain gay aur na hi os tak oon ki
rasae mumkinaat main hai.

Aaj ki nasl apnay rohani bazurgoon ka na seraf ehtaram
karti hai bal kah oon kay kahay par amal karna apnay liay
baes-e-sa adat bhi samjhti hai. Hazrat Maha atma Budh,

94

Hazrat Zar tusht, Hazrat Essa Mashi, Hazrat Barahma
Dev, Hazrat Shive Shankar, Hazrat Vishnu, Hazrat Guru
Nanak Dev, Hazrat Bahaulla, Sachaoon kay masadaq
Harat Mohammad (oom par darood ponchay) ki
mohabatoon aur rahmatoon kay sar chashmoon* say log
aaj bhi faiz yaab hotay hain.

Daikhnay main aisa lagta hai kah in bigray halaat ka ab
kuch nahain ho sakta ya ho sakay ga. Aisi soch qate
shatani hai aur kaj amli par dalalat karti hai. Log to rasta
daikh rahain kah koe aa ay aur oon ki ghael rohoon kay
zakhmoon par rahmat ka marum rakhay. Yah hi nahain
oonhain rasta sojha ay, oon kay diloon ko thandak aur
farhat bukhshy, taqseem aur taqseem dar taqseem kay
darwazay band karay. "Woh bhi hain" kay tasawar ko
ojagar karay.

Aisay main Shayukh Hazraat nay midan-e-amal main
qadam na rakha to yah bohat bari ghalti aur bhool ho gi.
Dehshat gardi ka kansar zoor pakarta ja ay ga aur

95

aakhar-e-kar 3rd. stage par aa kar insani rohoon ki mout
ka sabab ban ja ay ga. Phir seraf mout, insan ki mout ho
gi. Kuch sojhae na day ga.

Jumla Shaukh par wazay rehna chahiaykah woh Aaj kay
Amin aur MASIHA hain. Logoon kay dard ka hal oon kay
paas hai. Aati nasloon ki fikri-o-qalbi hayat-o-mout oon
kay hath main hai. Oon kay paas dawa aur jarahat ka
saman ba surat rohani shakti mojood hai. Agar insan baqi
na raha to oon ki izzat, mohabat aur ehtaram kab baqi
rahay ga. Agar yah zulm aur borae ka hath nahain rook
saktay zoban say keh nahain saktay to kam az kam zulm
aur borae say nafrat ki soch ko to diloon main faroogh
day saktay hain. Diloon kay phirnay say soch kay halqay
az khud mur jaein gay.

Yah sachae kay Mohtarum Qazi hain. Inhain "Insan
Bachao" ka faisla daina hi ho ga. In kay faislay par aaj
amal daramad ho ya na ho, in kay faislay ki haisiat aur
ehmiat, jab tak insan baqi hai motabar aur mohtaram

96

rahay gi.

Lafz Jihad qabal-e-Dashnaam tehra hai. Es ki
tashri-o-tabeer kay hawala say gher janib dari aur eman
dari say kaam nahain liya ja raha. Jihad koshesh,
tag-o-doo, sae, struggle waghera ka motradaf lafz hai.
Tarikh kay sab pannay es amar ki kholi goahi dain gay
kah kisi Eslah konida nay talwaar say kaam nahain liya.
Onhoon nay bari bord bari hosla mandi say pathar kha
ay. Kuch to bari shan say daar tak bhi ponchay. Zehar ko
amrat samjh kar nosh-e-jan kiya. Haan jab kabhi nobat
aae to difa main talwaar bhi othae.

Aaj insan ko tazabzab aur khoof ki soli say otarna hai.
Tazabzab aur khoof hi insan ko talwaar othanay par
majboor kar raha hai. Jab insan par khol ja ay ga kah
woh jis ko marnay ja raha woh os ka apna partu hai aur
kisi aur ka qatal khud os ka apna qatal hai to woh kabhi
tawaar nahain otha ay ga. Her insan dusray kay liay
motabar aur mohtaram tehray ga. Soch main taharat aur

97

pakizgi Shani Dev nahain, Barahma ji kay povitar boloon
say hi aana mokin hai. Sukhan-e-Hafif hi raishmiat paida
kar sakta hai. Guru Garanth Sahib kay Shabd
hosan-e-kalaam ki vaja ban saktay hain.

Jab insan insan kay liay motabar aur mohtaram ho ga to
hi woh sarapa Quran ho sakay ga. Rang nasal alaqa zoban
qabila firqa, mazhab waghera ki tafreeq khatam honay
say insan, insan kay qareeb aa sakta hai. Yah qorbat
reshta darioon main tabdeel ho gi. Bawar rahay lahu,
lahu hota hai aur yah her hawala say motabar aur
mohtam hai. Es ka behtay rehna thek nahain. Yah ragoon
main dorta phirta hi acha lagta hai. Kholasa-e-kalaam :

1-Ulma** karam tafreeq ka rasta choor kar aur mukhsus
halqoon aur daeroon say nikal kar insan kay diloon ko
phairain.

2-Puri dunyaan main Rohani assambliaan qaem ki jaein.

3-Ulma-o-Shayookh zindagi ko sada aasan aur qana at
pasandi ka daras dain. Cheen kar aish-o-aaram ki

98

gozarna konsi laeq-e-tehseen baat hai.

4-Ambya aur Solaihein zalim ko os kay zulm ka baar baar
ehsas dalatay rahay hain, Ulma-o-Shayookh bhi oon ki
sonnat par amal karain

5-Mahaireen-e-Lisanyaat zobanoon main tehzibi, samaji
aur lisani sanjhain talash karain.

6-Jumla mazahib kay ulma mazahib main mushtarik
qadroon ko talashain

7-Insani zidagi kay es khatar naak moor par Hazrat
Amam-e-Kaba, Hazrat Pop John Paul, Hazrat Dalae Lama
aur es status kay digar akabrein apni zima darioon ka
ehsas karain aur insan ko bachaein.

Mein nahain samjhta Ulma-o-Shaukh ka Payaber-e-Aman,
Ghos-e-Zaman, Fakher-eSufiya, Bashar-e-Bai badal,
Efat-e-Insaniat, Peer-e-Tariqat, Hadi-e-Mazahib-e-Alam
Sultan-ul-Oliya-o-Foqara, best follower of Hazrat
Mohammad (Darood upon Him), Izzat Ma aab Hazrat

99

Alama Sheikh Shah Sufi Dr. Mohammad Nur-ulAlam Sahib
kay parcham talay sae-e-masalsal bai kar aur la yaeni ho
kar reh ja ay gi. Aatay kal kay liay kuch to warsa choor
kar jana hi ho ga. Yah aatay kal ka haq hai. Aatay kal kay
log bhi hosn sakoon aur aasodgi ka haq rakhtay hain. Yah
oon par koe ehsan nahain hamara farz hai. Woh hamaray
bachay hoon gay. Hamain onhain kuch to acha tarkay
main day kar marna chahiay warna hamari aur kottay ki
mout main kiya faraq reh ja ay ga. Onhain bangla, kothi,
kar waghera say ziyada ehtaram, shanakht, sakoon achi
ravayaat, achay sanskar ki ziyada zarorat ho gi.
---------------------------------

Jumla Hazrat Aal-e-Mohammad, Hazrat Abdul Qadir jilani,
Hazrat syed Ali Hajvairi, Harat Shams Tabraizi, Hazrat
Shams Sabzvari, Hazrat Fareed-ud-Din, Hazrat Shah
Hussain Lahori, Hazrat Nazam-ud-Din olya, Hazrat
Qotab-o-Din Bukhtayar Kaki, Hazrat Boo Ali Qalandar,
Hazrat Lal Shabaz Qalandar, Hazrat Rehman Baba, Hazrat

100

Abdul Lateef Bhatae, Harat Shuchal Sarmast, Harat
Sultan Bahoo, Hazrat, Shukarulla Qasoori (Syed Ghulam
Hazoor), Hazrat Bulle Shah Qasoori, Hazrat Daem Hazori
Qasoori, Hazrat Molana Roum, Hazrat Hafiz shirazi

Jo larae ka sabab banta ho wo mazhab hi nahain

Mosawar tasveer ko mowassar aur jazab-e-nazar
bananay kay liay rangoon kay estamal main kamal hikmat
aur maharat say kaam laita hai.

Shair apni shairi kay liay lafzoon kay chanao main bari
ehtayat aur bareek'bini say kaam lata hai. Khayaal aur
jazba kitna hi behtarein aur ala darjay ka kayoon na ho,
agar ossay os kay status kay motabaq aur mail khatay
alfaz mayassar nahain aaein gay to qari motasar na ho
sakay ga. Goya onda khayaal aur jazbay kay sath onda
alfaz ka estamal hona bhi lazam hai.

Acha moqarar apni rang'bazi say hi majma loot sakta hai.

Ba'zahar tarekh waqiyaat kay tasalsal aur hisabi kitabi


Click to View FlipBook Version