The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

Jabr, Zindagi, Insan
aur
Asri taqazay
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by پنجاب اکھر, 2017-06-19 02:28:47

Jabr, Zindagi, Insan aur Asri taqazay

Jabr, Zindagi, Insan
aur
Asri taqazay
Maqsood Hasni
Abuzar Barqi Kutab’khana
June 2017

101

tateeb-o-tanzeem ka naam hai. Rang'bazi ya khoob'surat
aur shaerana alfaz ka es say koe ta'alaq wasta hi nahai.

Baad'qismati say yahaan bhi rang'bazi ko bara amal
dakhal raha hai. Mowarakh kamal hoshyari aur
chabak'dasti say kaam laitay howay kuch ko kuch bana
kar paish karta hai aur kisi ko kanoon kan khabar bhi
nahain ho pati. Aatay waqtoon main essay haqiqat aur
gozray kal ki sachae ki tasveer samjhtay howay qabool
kar liya jata hai. Agar koe es riya'kari ko kolnay ki
koshesh karta hai to os garo kay motalqeen essay
gostakhi par mahmool kartay howay wo jota parait
kartay hain kah woh aati naloon ko bhi es qisam ki
hamaqat karnay say mana kar daita hai. Yah andaz aur
toor intahae gher sehat mandana aur gher'zima'darana
hai.

Mowarakh qari kay zehan par garift karnay kay liay
mukhsus qisam ki estalahaat estamal main lata hai.
Maslan Mazhabi jangain, tehzibi tasadam, Salibi jagain

102

waghera waghera. Estamal ki gae in estalahaat ka oon
tarikhi waqyaat say seray say koe wasta aur ta'alaq hi
nahain hota. Korsi walay tose-e-hakomat ya apni hoqmat
bachanay kay liay taqat ka estamal kartay aa'ay hain. Oon
ka kiya aur fatouhaat waghera hi ko tarikh kaha jata hai.

Koe tarikh ki kitab dikha dain, jis main os alaqa ya
hakomat main rehnay walay shakas ko bhi
mozo-e-kalaam banaya gaya ho.

Fara'oon, kis mazhab ki jang lar raha tha, Ma'asoom
Israeli bachoon ka kiya juram tha jis kay hawala say woh
onhain khanjar ki nook par rakhay howay tha?!

Hazrat Mosa (AS) ka kiya qasoor aur jurm tha?

Kis mazhab ko bachanay kay liay Fara'oon oon kay dar'pai
tha?

Namrood ki larae kis mazhab kay liay thi?

Hazrat Esa (AS) ko kis mazhab ko bachanay kay liay
saleeb tak laya giya?

103

Hajaj bin Yosaf nay kis mazhab ko bachanay kay liay
qatal-o-gharat ka bazar garam kiay rakha?

En sab laraeoon ka ta'alaq kisi mazhab say nahain tha.
Yah to korsi bachanay kay liay talwaar otha'ay phirtay
thay. Yahhi sach hai aur es kay siwa kuch bhi sach
nahain.

Mazhab agar larae ka bazar garam karta hai to wo
mazhab hi nahain. Yah to insani khoon ko ehtam daita hai
aur os ka behna darust nahain samjhta. Tehzeebi jangoon
kay mozo ko kisi dosray waqt kay liay otha rakhta hoon.
Yahaan seraf mazhab kay motalaq chand morozaat paish
karta hoon.

Donyaan ka koe mazhab tasadam ka rasta nahain kholta.
Donyaan ka koe mazhab nahain kehta kah bai gonahoon
ka khoon bahao. Oon ki amlaak par qabza karkay aish aur
mooj ki gozaro. Dushman ya kamzoor khandanoon par
tasalat hasal karkay onhain ghulam banao aur oon say
aazad jinay ka haq cheen lo. Mazhab kay naam par es

104

qisam ka koe bhi faial intahae ghalazat aur os mazhab ki
toheen kay motradaf hai.

Mazhab insan ko insan kay qareeb lata hai. Eak dosray
kay dukh sukh main shareek honay ka hokam lagata hai.
Zarorat'mand ki madad karnay ka hukam daita hai.
Logoon kay liay aasaniyaan paida karnay par zoor daita
hai. Mazhab, mohazab Society ki tashkeel karta hai.
Socoety ko ghalazat say bachanay ki koshesh karta hai.
Zindagi karnay ka saliqa ata karta hai. Wo kisi ka
dushman nahain. Wo to sab ka dost aur khair'kha hota
hai.

Kisi molak main esae hakomat ho Holy Bible kab kehti hai
kah oon ka jina haram kar doo. Gita, Garanth, Ramaen,
Quran main kahan likha hai kah logoon ki zindagi bai
sakoon kar doo aur oon say insani haqooq cheen lo?!

Agar koe mazhab insan dushman hai to ossay mazhab ka
naam daina lafz mazhab ki toheein hai. Ossay tehreek ya
kisi makhsus garo kay tahafaz ka kala qanoon kaha ja

105

sakta hai.

Asal main howa yah hai kah mazhab kay ahkamaat ki alag
alag ashkas nay tafheem ki hai. Yah tafhimaat shariat ka
darja ekhtayar kar gae hain. En tafheem konindgan ko
Amam ka naam diya jata hai. Yah naam aasmani nahain
askhas ka diya howa hai lihaza en ki shariatoon ko kisi
aasmani kitab ya ahkaam ka darja hasil nahain aur nahi
yah haraf-e-aakhar ya kisi kaji say pak hain. Agar yah
aasmani hoon to eak dosray say motsadam na hoon. Yah
sab tafhimaat asal shariat nahain hain bakah shakhsi
tafhimaat hain. Es liay kisi motsadam moamlay par
jhagray ki rah nikal aa'ay to es ko mazhabi jang ka naam
daina darust nahin. Bal'kah shakhasi shariat ki larae ka
naam daina ziyada monosab ho ga.

Yah Mosa (AS), Daood (AS), Esa (AS), aur Mohammad
(oon par darood ho) ki sharit ki larae nahain. Mosa (AS),
Daood (AS), Esa (AS), aur Mohammad (oon par darood
ho) ki sharit apni asal main eak hi hai aur insan ki

106

khair'kha aur ossay barkat ata karti hai. yah bhai charay
ko faroogh daiti hai. Tafreeq ko mita kar insan ko os ka
asal moqm daiti hai. Insan ki jan mal aur os ki izzat ki
amin hai.

Yahi surat Hindu-mat, Budh-mat, waghera kay sath
da'paish hai. Marzi, mukhsus halaat, zarorat, mukhsus
khita-e-araz, mukhsus ehad aur insani soch say ta'alaq
rakhti shariatain hain lihaza in ka tasadam Quran, Toraat,
Zaboor ya Ajeel ka tasadam nahain. Bhagvat Gita,
Ramaein, Siri Garanth sahib waghera say joray asal
ahkamaat insan ka noqsan nahain, bhala kartay hain.
Batni taharat aur qalbi safae ko zarori qarar daitay hain.

Kisi baat/hukam ki apni marzi, soch aur zarorat kay
motabaq tashre ko asal shariat kayoon'kar tehraya ja
sakta hai. Yah batan ki safae na karti hoon ya soch main
mosbat tabdili na lati hoon to in kay asal honay par asrar
kiay jana tabahi kay motradaf hai. Batni taharat soch
badalti hai. Monh hath pair dho lainay aur makhsus

107

mazhabi libas pehhan lainay say kiya hota hai. Dil aur
soch main mosbat tabdili to nahain aati.

Shakas, Mollaan Padri Pandat waghera ki shariat say
bai'zaar aur na'omeed ho giya hai.

Batni safae ka aaj wahad zariya Rohaniyaat say motalaq
log hi hain. Aaj oon ki aazmaesh ka waqt aa giya hai. Es
liay onhain Hazrat Allama Sufi Sheikh Shah Dr.Mohammad
Nur-ul-Alam kay sath mil kar insan ki khidmat karni
chahiay. Tasadam ki rahoon ko band karaein. Logoon ko
tafriqaat mita kar eak dosray kay qareeb laein. Yahhi aaj
ki sab say bari sachae hai.

Aaj kay insan ki halat daikh kar,

Hisas tabqay na seraf es par ghoor kartay hain balkah
dukhi bhi hotay hain aur wo khud ko bay bass samjhtay
hain. Aman aur insani sakoon kay liay apni se kosheshain
bhi kartay hain. Mafad parast tabqay aman aur sakoon
kay kaiam kay liay talwar otha rahay hain. Jab kah
haqiqat yah hai kah bai sakoni kay wo khud zima dar hain

108

aur raad amal ko khatam karnay kay liay gilay sokay sab
ko ragra diya jar raha hai. Wo khud ko mehfooz karna
chahtay hain aur kisi dusray say onhain koe gharaz
nahain. Wo jantay hain bil aakhir mout oon ki ho gi.
Chinay ga ay wasael wapis chalay jaein gay.

Ansted University kay bani member Dr. Roger Haw
samaji zimadari ka ehsas karnay aur nibhanay kay
hawala say kaam kar rahay hain jab kah Dr. Adam B.
Bodomo samaji sanjhoon kay hawala say apnay hisa ka
kirdar ada kar rahay hain. Mairay nazdeek her doo
omoor kay sath lisani mamaslatoon aur wahdatoon ko
talashnay ki bhi zarorat hai. Goya aman sakoon aur
wahdae-e-insani kay liay in tinoon omoor par bhar poor
kaam karna aaj ki pehli tarji qarar pae jani chaheay. Es
tara insan taqseem dar taqseem kay amal say nijaat pa
sakta hai. Ba surat digar aatay kal ka insan, insan nahain
darinda ho ga. Bawar rehna chahiay aatay door ki
shabashi ya lanat, gozray door kay sar aati hai.

109

Yah baat itni bareek aur mohbam nahain jo insan ki samjh
main na aa sakay. Adaray shah kay gamashtay hotay hain
aur her acha bora os ki khush nodi kay liay sar anjaam
daitay hain. Onhoon nay kabhi aur kisi bhi door main
logoon kay liay kuch nahain kiya halankah wo logoon ki
behbood kay liay qiyaam main aatay hain. Shah aur os
kay adaray hamaisha say awaam ki jaib ka bojh rahay
hain. Jab tak insan samjh nahain jata yah bojh rahain gay.
Logoon ki mehnat ki kamae par shah aur os kay
gamashtay aish ki gozartay rahain gay. Logoon ko chota
gosht daikhnay ko naseeb nahain hota likin shah ki
moqadas ga ay ko haftay main doo bar mayasar aata hai.
Ajeeb andhair hai mehnat karnay waloon ki izzat karnay
ki baja ay onhain shah ki gholami karnay par majboor
kiya jata hai. Inkar ki surat main in ki gardanain jisam ka
hisa nahain rehtein.

Mein samjhta hoon es main shah aur os kay ghamashtoon
ka koe qasoor nahain. Yah sara qasoor in mehnat

110

kashoon ka hai. Yah moti se baat aakhar aaj tak oon ki
samjh main kayoon nahain aae. Dunyaan ki sari laraeaan
shah kay liay lari gae hain. Warna aam admi ka kisi
dosray molak kay aam aadmi say kiya masla hai. Dunyaan
kay her khitay ka aam admi kayoon nahain daikhta
moamla shah ka hai lihaza wo jananay aur os ka kaam
janay. Os ki madad aur ta awan kaisa aur kayoon?!
Sarkain bana raha ho, hospital tameer kar raha ho,
yatimoon kay liay koe project bana raha ho koe bhi kaam
jo insan kay liay faeda mand ho to es hawala say madad
ka jawaz nikalta hai.

Aisa koon sa adara hai jahan say aam admi ko faiz mil
pata hai. Darkhast dahinda hi ko dhar liaya jata hai ya
phir woh insaf ki hasoli kay liay airiaan ragar ragar kar
mar jata hai.

Molvi pandat, padri waghera kabhi danista aur hamaisha
adat say majboor ho kar insanoon ko taqseem kartay
rehtay hain. Barah-e- rast na sahi yah bhi shah kay

111

madad gar hain.

Mein kehta hoon hindo, muslim asae, yahodi, sikh
waghera say pehlay her koe insan hai. Yahhi kora-e-arz
par os ki shanakht hai. Es kay baad hi os ki koe sanvi
shanakht aati hai. Ba toor insan, insan ko insan kay
qareeb tareen hona chahiay. Apnay masael khud say hal
karay. Apni zaroratain khud say puri karay. Dukh main
eak dosray ka kaam aa ay. Insan, insan ki khud say
hifazat ka zima lay. Essay shah aur os kay gamashtoon ki
zarorat hi nahain rehni chahiay. Jab insan, insan kay
qareeb aa ja ay ga to koe masla hi baqi na rahay ga. Aaj
insan ko shah aur os kay gamashtoon ki zarorat nahain
hai. Insan ko insan ki zarorat hai. Shah aur os kay
gamashtay badi ka khuda hain. Inhain taiyagnay ki sakht
zarorat hai.

Insano!

Aao shah aur os kay gamashtoon ka galap choro aur apni
madad aap kay asool ekhtayaar karo. Mein yaqeen say

112

kehta hoon in say tomhain kabhi kuch nahain mil pa ay ga.
Yah apna olu sidha karnay kay siwa kuch nahain jantay
aur nahi janna chahtay hain. Aaj kay halaat main
ehal-e-dard aur ehal-e-danish ka faraz hai kah wo
insanoon ko eak dosray kay qareeb laein. Insan ko
taqseem kay her harbay say bachanay ki sae karain.
Samaji aur lisani sanjhoon ko talash kar dorioon ko

nazdikioon main tabdeel kiya ja sakta hai. Shaed oon ki
kosheshain insan ko shah aur os kay gamashtoon say bacha
sakain. Mein janat hoon yah bara karwa sach hai likin es ko
janay bagher aman aur sakoon ka sans nahain liya ja sakta.

Shirk eak mohlak aur khatar'nak bimari

Shirk gonah hi nahain eak jurm aur kansar say kahein
ziyada aur barh kar mohlak aur khatar'nak bimari bhi hai.
Es marz kay mareez ta'umar:
1- Ehsas-e-kamtari ka shikar rehtay hain.
2- Baad'nasib golami ki zindagi gozartayy hain.

113

3- Oon ki zati koe ra'ay nahain hoti.

4- Woh apni marzi ka kabhi bi koe faisla nahain kar patay.

5- Tazabzab oon kay jiwan ka sathi teharta hai.

6- Oon kay hawaas khoof say kabhi aazad nahain ho
patay.

Shirak ki jaan'laiwa daldal main mushrak bai'bas aur
bai'kas zindagi basar karta hai. Bil'aakhir
tabahi-o-barbadi ka shakar ho jata hai aur yahhi
moshrak ka anjam hota hai.

Asal baad'qismati to yah hai kah moshrik essi halat aur
surat ko behtar aur sahi samjhta hai ya essay hi sab say
bari sachae manta hai. Goya os kay dil par mohar sabt ho
jati hai aur woh lotnay waloon main nahain hota. Woh
bhool jata hai kah nadi kay doo kinaray hi haqiqat hain.
Doo kinaroon ka eak hona asool-e-fitrat kay monafi hota
hai.

Motradaf lakh acha ondah aur behtarein sahi wo

114

bahar'surat motradaf kay darjay pay hi faez rehta hai.
Ossay kisi surat ya kisi qimat par asal ki position hasil
nahain ho pati.

Bawar rehna chahiay malawat tawazan ki khrabi ka
mojab banti hai. Aaloda mohool-o-halaat main sanas laina
bhi dushwar hota hai. Khalas zindagi kay liay amrat
jab'kah na'khalas zindagi kay liay ghon sabat hota hai.
Na'khalas saruf ki nazar main matoob hi rehta hai. Es
ziman main chand misalain malahza hoon:

a. Das mun dudh main 1/2 kilo pani mala dain, dudh asal
nahain rehta

b- Kisi ki eak kanal zamein main say 2 inch par malkiat ka
dawa kharabi

ka sabab ban jata hai.

c. Apni mankoha orat par kisi aur ka ta'alaq
qatal-o-gharat ki taraf

lay jata hai.

115

d. Eqtadar par mamoli se shirkat, moqtadra qovat kisi
halat main bardasht

nahain karti.

Allah to phir Allah hai. Allah kay moqabal kisi aur ko Allah
tasleem karna say barh kar koe zulm nahain ho sakta.
Allah nay Insan ko zamein par apna Khalifa
(waris/wali/naeb) teharaya. Ossay izzat aur barkat di.
Ilm say nawaza. Malaek-e-Falki ka sajda insan kay
Azeem'tarein/Ahsan honay ki daleel hai. Sab kuch mil
janay kay ba'vajood yah zamein par motradsf
(waris/wali/naeb/khalifa) aur makhlooq hi rahta hai.
Farma'bardari rahay gi to hi Allah ki behtarein makhlooq
yaeni Insan kehla sakay ga.

Insan say acha bhi hota hai aur bora bhi. Goya insan main
donoon tara ki salahiatain/shaktiyaan mojood hoti hain.
Boray say na'danisatgi main acha ya achay say
na'danistagi main bora hona baed az qiyas nahain. Es liay
yah kehna kah insan koli toor par acha ya koli toor par

116

bora karta hai, kisi tara darust baat nahain. Dakhna es
kay majmoe rujhan ko hota hai. Bora danistagi main bora
karta hai. Es kay bar'akas acha danistagi main bora
nahain karta ya os say bora nahain hota. Acha karna ya
acha hona, bora karna ya bora hona os ki fitrat-e-saniya
ban gae hoti hai. Donoon insan kehlatay hain likin apnay
amaal kay hawala say barabar nahain hain. Sabqay
lahqay oon ki insaniat/shakhsiat say nathi ho jatay hain.

Acha karnay walay ko Khuda pasand karta hai aur os say
razi ho jata hai.Boray ki borae Khuda aur os ki makhlooq
ko kush nahain aati

Acha karnay walay kay liay achay kalmaat shirk nahain
hain. Bilkul essi tara bora karnay walay kay liay boray
kalmaat zulm nahain hain. Haan achae ki tehseen boray ki
borae ki ninda, na karna zulm kay zomray main aa'ay ga.
Yahaan hi say kharabi janum laiti. Tehsein hona zarori hai
likin tajawaz darust nahain. Donoon tara say tehsein na
karkay ya tajawaz say kaam lay kar hum bil'wasta borae

117

ki hamaet aur madad kar rahay hotay hain.

Nabi ho ya koe moslahy, Awal-o-Aakhir insan aur Allah ki
makhlooq rehtay hain. Jo acha karta hai her baligh'nazar
os ki aur os ki achae ki izzat karta hai. Karni bhi wajib hai.
Achae aur es kay karnay walay say mohabat hona koe
gher'fitri baat nahain. Woh oon kay qareeb honay ki sae
karta hai. Hadaet bhi hasil karta hai. Chon'kah oon ki
achae kay hawala say Allah aur os ki Falki Makhlooq oon
say khush hoti hai. Allah oonhain barkat daita hai jab'kah
Makhlooq-e-Falki dua'go rehti hai.Essi tara woh Insan kay
andar mojood achae kay qareeb tarein hota hai. Goya
acha insan doo tara kay omoor sar anjaam dainay ki
position main hota hai:

1- Allah say makhlooq ki tangi tursi kay hawala say dua
karta hai.

Oon kay liay Allah ka fazal aur barkat talab karta hai.
Achae karnay aur phalanay kay hawala say Allah aur os
ki makhlooq-e-falki os kay qareeb'tarein hoti hai.

118

2- Woh shakas kay batan main poshida achae ko ojagar
karta hai. Os ki koshesh kay sabab borae ko maat hoti hai
aur achae ghalba hasil kar laiti hai.

Ekhtalaf ka jarsoma es moor par phalata aur panpata hai
kah gher Allah say madad talab ki gae hai. Maira baap din
main kae martaba mujh say pani ya koe aur shay mangta
hai. Es mangnay kay hawala say woh moshrak to nahain
ho jata ya mujhy makhlooq kay Rab honay ka darja to
hasil nahain ho jata.

Acha karnay waloon (soalaihein) say madad talab karnay
ya hadaet kay liay kehnay ya dua mangnay ki darkhast
karna, kis tara shrik kehla sakta hai?! Mangnay wala ya
darkhast karnay wala her hawala say makhlooq hi rehta
hai. Donoon vidi kay vidhan kay nichay hi rehtay hain.
Akbar Badshah, jisay Akbar-e-Azam bhi kehtay hain,
olaad kay liay nangay paoon Hazrat Saleem Chisti Sahib
kay paas giya tha. Hazrat Saleem Chisti Sahib ki dua say
Saleem paida howa. Tarikh main es noeat ki hazaroon

119

misalain mojood hain. Kiya Akbar Badshah moshrak ho
giya ya Hazrat Saleem Chisti Sahib Khuda ho gay?!

Aaqa Karim (oon par darood ho) ka Farman-e-Garmi hai:

"Dua moman ka hath'yaar hai".

Goya Hazrat Saleem Chisti Sahib Khuda kay darja par
faez nahain ho jatay. Woh to seraf aur seraf Allah ki
makhlooq aur Allah say hajat rakhnay walay
farma'bardar banday thay. Na es say kam na es say
ziyada.

Agar Allah kay siwa talab rakhnay ko shirk ka naam
daitay hain to koe eak bhi na rahay ga jo shirak na karta
ho. Insan/Shakhas ko kort, kachehri, dafatar,
dookan'dar, sabzi farosh gharz un'gint logoon say hajat
rehti hai. Bank Bil tarnay ya phir qaraz lainay waloon say
bharay rehtay hain. Sael darwaza khatkhatatay hain.
Molvi Sahiban apnay daras kay bachoon ko aur kabhi
kabhi khud bhi logoon kay darwazoon par dastak daitay
hain. Yoon talb kartay hain jaisay qarz ki wapsi kay liay

120

keh rahay hoon. Kiya yah sab shirk hai aur yah sab
moshraq hain. Qatan nahain, bilkul nahain. Talb kay
pichay yah baat zaroor hoti hai kah dainay walay kay pas
Allah ka diya bohat kuch hai aur woh day sakta hai.

Rohaniat say motalaq logoon ko Hazrat Alama Shah Sufi
Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib jo es waqt
alam-e-insani ki rohani namaendgi ka fariza sar anjam
day ray hain, ki sar'kardgi main midan-e-amal main
otarna chahiay. woh logoon kay batan main poshida
achaeoon ko ojagar karnay ki position main hain. Allah
kay Hazoor dua'go ho saktay hain. Agar yah sab ho ja'ay
to zamein jannat ka tokra ban ja'ay gi.

121

Lut janay kay baad hosh aaya to kiya aaya?!

Bokhar koe bimari nahain, kisi bimari ki alamat hota hai.
Es baat par tib say motalaq tamam shoboon main etfaaq
mojood hai. Haan tanaza es baat par hai kah pehlay
bukhar ka alaj kiya ja'ay ya bimari ka koe kamyaab
sad-e-baab kiya ja'ay. Faraqeen apnay moaqaf kay liay
apnay apnay thos dalael rakhtay hain.

Asal bimari ko os ki mojoda halat main rakh kar bokhar
ka moalja kisi tara danish'mandi nahain. Adviyaat ki taiz
raftari say bachnay kay liay asal bimari jism ka koe
kamzoor organ talash karkay wahaan daira jama lay gi
aur aatay waqtoon main kisi baray roog maslan kansar
ka sabab ban ja'ay gi. Os waqt na ja'ay mandan na pa'ay
raftan wali baat ho gi. Es hawala say bukhar say pehlay
bimari ka moalja hona chahiay. Dard ka moalja haqiqat
sahi likin dard say pehlay behtay khoon ki nadi ka rokna
azbas zarori hai.

122

Mairay samait her koe dehshat'gardi kay foran roknay ki
baat karta hai likin yah jo ho raha hai aur es ka hami
insaniat ka ghadar aur khola dushman hai. Es ka ossay
rooz-e-hashar jawab daina paray ga. Kisi eak shakas ka
qatl dar'haqiqat puri insaniat ka qatl hai. Dehshat'gardi
kay ma'algein bokhar otarnay kay liay garam say garam
adviyaat estamal main la rahay hain. Es tara woh apnay
paishay ki toheen kar rahay hain aur Shitan kay hath kath
potli banay howay hain. Bokhar ka moalja eak lambay
choray arsa say puri shad-o-mad kay sath jari hai. Hath
kiya laga hai? nakami, na'maradi.

Yahhi na!

Her naya din pehlay din say khoof' naak sabat ho raha
hai. Hararat main shidat aati chali jati hai. Apni khift
mitanay kay liay her marnay walay ko dehshat gard ka
naam day di jata hai. Kaha jata hai pehli say ziyada garam
dose mayassar ki ja'ay. Yah sara sar hamaqat hai.

Sawal paida hota hai, goli aasman say chalay ya zamein

123

say, wo yah nahain daikhti marnay wala dehshat gard hai
ya ghotnoon kay bal chalta howa koe masoon aur fitrat
par paida honay wala bacha. Yah wohi bacha hai jis kay
liay vaksian estamal main aati hain. Goli ka kaam zindagi
say mehroom karna hai aur wo apna nahaiat eman'dari
say faraz ada karti hai. Hikmat amli teh karnay walay
kayoon bhool rahay hain kah jang'ju to morchoon ya
hifazti maqamaat par hotay hain jab'kah aam log jin ka
khoon kharabay say koe ta'alaq hi nahain hota, nishana
bantay hain.

Aakhir onhain kis jurm main mout kay ghat otara ja raha
hai?!

En bai, gonahoon kay khoon ka koon hisab day ga ya kis
say manga ja'ay???

Kisi so called aur baad ma ash-o-baad kirdar wadairay
kay qatl par dunyaan jahan kay taftishi adray harkat main
aa jatay hain. Kochehri-o-kochehri ho jatay hain. Moalaj
kay hathoon qatl honay waloon kay liay koe bolta hi

124

nahain. Es liay keh dehshat'gard keh kar moalaj ossay bhi
zehrila tika thook day ga. Dehshat gard moalaj kay
hathoon lakhoon log bai'ghar ho gay hain. En sarkari
dehshat gardoon ko koon rokay ga aur kis tara? Na
bolnay walay bhi barabar kay shareek hain. Lagta hai yah
hamaisha kay liay dunyaan main aa'ay hain aur inhoon
nay jahan chorna hi nahain.

Talwar kay zoor par kabhi kuch howa hai???

Kisi talwaar'baaz moalaj ko dehshat gardi kay bokhar kay
moaljay ki zima'dari sonpna gidar ko kachroon ka rakha
bhithanay kay mutradaf hai. Yah talwar bardar moalaj
ba'zaat-e-khud aman kay vairi hai. Es say bara aman ka
dushman koon ho ga. Yah jahaan jata hai virani lata hai.
faslain barbad karta hai. Phal'dar darakht katta hai.
Mahool main aalodgi phalata hai. Asmat'dari kay record
torta hai. Bai'gonahoon ka bari bairehmi aur bai'dardi
say khoon bahata hai jabkah
gona'gar/mujram/dehshat'gard jo alart hota hai, bohat

125

door ja choka hota hai. Es ki sab'acha ki report
khud'faraibi say ziyada nahain hoti. Mein essi liay kehta
hoon tikay say hath rook kar pinay ki dawa say afaqay ki
surat nikal sakti hai.

Moaljay nay bukhar ki shidat main her'chand azafa hi kiya
hai. Yahhi nahain moalaj ki nadani aur baiwaqofi kay
sabab bokhar jo choot ki bimari nahain, choot ki bimari
ban gae hai. Moalaj ko na'ay tanazor kay hawala say apna
soch badalna ho ga warna koe mahfooz nahain rahay ga.
Dunyaan haviya ban kar reh ja'ay gi. Jab mojoda moaljay
say na'kami balkah sharam'naak na'kami hoe hai to es
moaljay ka jari rehni kayoon'kar darust aur manasab ho
sakta hai.

Tarikh kay es khatar'nak moor our hat'dharam moalaj ko
koe samjha'ay kah es ka teh karda moalja na'kaam,
sharam'naak balkah ba'zaat-e-khud khoof'naak qisam ki
dehshat'gardi hai.

Kaam os waqt ban sakay ga jab dehshat'gardi kay sabab

126

ko talasha ja'ay ga. Agar moalaj ko yah maloom hai to
woh es liay es janib nahain aata kah qadmoon kay nishan
os kay apnay ghar tak aa jaein gay.

Eak ghar kay das logoon main say eak bach rehta hai to
kiya os say kheer ki towaqo ki ja sakti hai?

Kiya woh puri dunyaan ko jala kar khakisar kar dainay ki
bhavna lay kar nahain othay ga?

Kiya os shakas ko mujram ka naam daina monasab aur
mabni ba'haq ho ga?

Goya ya raad-e-amli jo moalaj (jissay moqadas ga'ay ka
darja hasal hai) kay hawala say janam lay rahi hai, main
azafa hi hota chala ja raha hai. Dehshat gardi ko khatam
karnay ka jawaz lay kar bai'ansafi aur baad'mashi panap
rahi hai.

Aaj doo amoor ki janib tovajo dainay ki ashad zarorat hai:

1- Bukhar kis bimari kay sabab howa hai ko talasha ja'ay.

2- Logoon ki rohoon main wazu sajaya ja'ay. Arwah ko

127

Ganga Jal say ashnaan diya ja'ay.

Aab-e-Zamzam kam nahain para aur nahi Ganga abhi
khoshak hoe hai. Es Ailophaithik moalaj ko raad karkay
Biokaimak moalaj ko moqa diya jana chahiay.
Homioon-paithak aur Biokaimak waloon kay pas
Aab-e-Zamzam bhi hai aur Ganga Jal bhi. Rohaniat
waloon ko apni nadyoon ka rokh UNO main baithay azeem
Rohani Paishwa ki janib moor daina chahiay. Gora House
kay moqinoon ko talwar bardar moalaj ki sarzanish karni
chahiay warna yah talwar badar oon ki moeshat ko
dhimak ki tara chat jaein ga

128

Eak Jinsi Khilona

Hum jo daikh rahay hotay hain, zarori nahain apni haqiqat
main ossi tara say ho jis tara say hum daikh son ya
mehsus kar rahay hotay hain. Shakhas aur os kay baz
kamoon ko samjhna itna aasan nahain hota. Shakhas to
kaenaat ka eak makhfi raaz hai jissay daryaft karna abhi
baqi hai. Hamara raad'amal daikhay sonay ya mehsus
kiay kay motabaq hota hai. kisi baat ya moamlay ki asal
tak rasae kay bagher raad'amal boray ya bar'aks nataej
ka hamil ho sakta hai. kisi shakhas kay kahay ya kiay ki
asal tak rasae ka eak zareya body language ka janna bhi
kar'aamad hatyar hai.

Cehra insan kay batan ka aaena hota hai. Yah insan kay
andar ka haal ahwal chopnay nahain daita. Dukh kay
moqa par shadeed dukh ka izhaar batni bhi hai ya meaz
dikhawa hai, chehra parnay kay baad poshida nahain
rehta. Qehqahay moskarahatain aur khushi asli hai ya

129

naqli, insan ka cehra wazay kar daita hai.

Inter-net par Jahan tamam aloom-o-fanoon kay motalaq
chizain wafar mil jati hain wahan date sites bhi
bai'shamar mojood hain. Mujhy en date sites ko qareeb
say daikhnay ka itafaq howa hai. Yah sites Rosi khatein
say motalaq hain. Mein nay bohat sari khatein kay
cehroon aur oon kay messages ka bari bareek'bini say
motala kiya hai. Mein apna motala yahan bari eman'dari
aur puri zima'dari say paish kar raha hoon:

Orat khof' nak haad tak tanhae ka shakar hai.

Bai'chargi baibasi aur baikasi aazadi kay naam

par os kay hawalay kar di gae hai.

Dar, khoof, haras, khadsha, bai'yaqini, mausi,
andaisha aur la'yaeniat ki qaid main moqayad ho kar reh
gae hai.

Adam tahafaz ka bori tara shakar ho gae hai.

Ossay apna aata kal kho giya mehsus hota hai.

130

Woh andhairoon ki qaid main hai.
Os kay aagay pichay kuch bhi nahain.
Jis kay natija main os ki jinib say teen tara kay rovaeay
samnay aa'ay hain:
1- Os nay apni zaat say intaqam laina shoro kar diya hai.
Khud aziyati say ossay
sakoon milta hai.
2- Nashay main kho kar tamam talkhioon ko bhool janay
ki na'kaam sae main masroof hai.
3- Kae rang roop ekhtayaar karkay apnay
tashna-e-takmeel khaboon ki tabeer hasil karnay
ki koshesh main masroof hai.
Rosi khatein kay hawala say mairi samjh main teen batain
aae hain:
a- Afghanisstan ki jang main marnay walay mardoon
kay manfi asraat abhi khatan nahain howay.

131

b- Mard zehni aur jismani toor par kamzoor par ga'ay
hain.

c- Oratoon ki shara-e-padaesh main azafa howa hai.

Kuch logoon ka kehna hai kah yah oratain adi ho gae hain.
Na'ay mardoon say jinsi malaap ka chaska nashay ki si
surat ekhtayar kar giya hai aur ab en ka koe alaj momkin
hi nahain. Yah essi tara hi rahain gi. Chon'kah yah
na'qabal-e-etamad hain aur yah eak mard par ektafa na
kar sakain gi lihaza inhain jiwan sathi banana hamaqat
say ziyada nahain.

Yahaan maira eak sawal hai kah yah oratain mard kay
bagher jinsi taskeen hasil kar laiti hain?!

Yaqenan nahain,

Aisay main en oratoon say jinsi milaap karnay walay
mardoon ko kiya kahna chahiay?!

Kiya woh bhi adi ho gay hain?

Goya tali eak hath say nahain, donoon hatoon say baj rahi

132

hai. Es hawala say mein ba'toor mard, mardoon ki kisi
qisam ki waqalat kay liay raza'mand nahain hoon. Maira
es baat par esraar hai kah mard ki khud'kharzi kay
hawala say orat tanha ho gae hai. Aaj donyaan ka her
mard Dallar kamanay ki fikr main hai. Es kaam kay
hawala say woh sab samaji-o-akhlaqi taqazay bhool giya
hai.Orat os kay liay shay say ziyada nahain rahi. Aisi shay
jo estamal kay baad os kay liay na'kara ho jati hai.

Orat shay nahain,

shakas hai. Shakas aur shay main zamein aur aasman ka
faraq hai. Orat ko tahafaz aur khush'kon mostaqbal ki
zarorat hai.

a- Ossay eak mostaqil sathi chahiay ta'kah:

b- Ossay mostaqil toor par jinsi taskein ki saholat
mayassar aasakay.

c- Os ki moashi zaroratain puri hoon.

d- Os kay bachoon ka koe baap bhi ho aur bachoon kay

133

mostaqbal kay liay fikar'mand ho.
e- Koe aisa bhi ho jo os ka apna ho aur jis say woh apna
dukh sukh bant sakay.
f- Koe aisa bhi ho jis say woh tovaqaat wabasta kar
sakay.
g- Koe aisa bhi ho jis say woh piyar karay.
h- Os kay naz nakhray othanay wala os ka apna ho jis
say apnay reshtay ka ta'araf kara sakay.
i- Bai'chint ho kar olaad ki parwaresh kar sakay.
Yah bhi sonnay main aata hai kah yah to orat ki aazadi
hai.
Ha'ay!
yah kasi aazadi hai jis nay shakas (orat) ko sex toy, aish
aur aaraesh-o-namaesh ka zariya bana kar rakh diya hai.
Bhok bhi bohat bari bala hai. Bhok shakas ko jaez na'jaez
akhlaq gher'akhlaq asool aur gher'asool say kosoon door

134

lay jati hai. Bhok kisi ki dost nahain. Es ka hal roti aur
seraf roti hi hai. Ghaliban bhok bhi orat ko es janib lay
aae hai. Jis kay natija main woh darust aur na'darust ko
bholnay par majboor ho gae hai.

Jinsi lutaf'andozi kay liay to her mard midan main aa jata
hai likin jiwan sathi bananay kay liay koe taiyar nahain.
Wahan wazay'dari aaray aa jati hai. Inter-net par jism
faroshi kay aday khol gay hain. Orat ko kamae ka zariya
bana liya giya hai. Es karobar kay malik sharif izzat'day
aur mohtaram fard hain. Hamaray haan en kay liay lafz
"dalla" oon kay kaam ko "dalla'giri" aur hasil honay wali
kamae ko "dalali" ka naam diya jata tha. Yah society kay
ghaleez tarein aur ghatya qisam kay log samjhay jatay
thay. Oon ki izzat -0 thi.

Daikhna yah hai kah:

yah oratain aazad ho gae hain ya ayash ho gae hain
ya jism faroshi ki adi?

Yah sab kuch essi tara say chaltay rehna chahiay?

135

Kiya orat ko bai bas, majboor aur tanha choor daina
chahiay?

Kiya orat ka essi tara sex toy banay rehna thek hai?

Sawal yah bhi othta hai:

Es qisam ki oratoon ki kokh say janam lainay wali olaad jo
baap kay bagher parwan charay gi, aatay kal ko os ki
shaksiat adhori na reh ja'ay gi?!

Aakhir en sawalaat par koe ghoor karnay ko kayoon
taiyar nahain. Bai'waqar, ehtaram say mehroom kamae
ka zariya, eak shay, aur sex toy say khir ki towaqo
hamaqat nahain????????

14 soo saal pehlay Islam nay 4 shadioon ki ijazat di. Es
ijazat ka koe to maqsad aur jawaz ho ga. Allah ko ilm tha
kah mard orat ka ginti main tawazan bigar ja'ay ga. Es
tara oratoon ka ghar bas sakay ga aur onhain samaji
moqam hasal ho sakay ga. Eak bazari aur chalti orat ka
moashray main bhala kia moqam hai. Yah bji kah onhain

136

tahafaz mayassar aa ssakay ga?

Adyaan, khasusan Islam nay orat ko izzat ehtaram aur
tahafaz diya hai. Olma-e-adyaan ko eak say ziyada
shadioon kay moamla main khul kar aur ossi tara say
baat karni chahiay jis tara say baat karnay ka haq hai. Es
tara fahashi kay darwazay band ho sakain gay.

Fahashi kharabioon aur boraeoon ki jar hai. Es kay sabab
zindagi ka tawazan bigar raha hai.

Orat,

orat kay liay dil bara karay ta'kah orat ko sex toy honay
say bachaya ja sakay aur woh por'itmad mata/maan
sabat ho sakay. Yahhi nahain orat ki shakhsi anna ko
tahafaz faraham kiya ja sakay.

Es ehad kay Azeem Rohani Paishwa aur Qaid Hazrat Alama
Shah Sufi Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib say mairi iltamas
hai kah woh es maslay ki janib sanjidgi say tovajo dain aur koe
manosab aur maqool lahya-e-amal teh farmaein.

137

Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushman

Aankh say sonnay,
kan say bolnay
aur monh say daikhnay ki koshesh ya khaesh yaqenan
fitrat kay sath gustakhi ho gi.
Gurday dharak nahain saktay,
Dil say pishaab karnay kay ozo ka kaam laina hamaqat
aur na'dani say ziyada kuch nahain.
Yah na'seraf fitrat kay khalaf zulm, ziyadti aur sazish ho
gi balkah en aza ko bhi mout kay ghaat otarna ho ga. Baz
log fitrat kay dushman afaal ko seraf aur seraf chand
lamhoon ki lazat aur lutaf ko rawa rakhtay hain. Es lutaf
lazzat ya ilati majbori ki pusht par un'haad noqsanaat ki
ghatri mojood hoti hai. Waqt gozar janay kay baad her
qisam ka dawa daru bai'asar bai'maeni aur la'yaeni
teharta hai.

138

Aaj kay taraqi pasand aur mafadi ehad main bhi ghalt ho
raha hai aur shakas apna hi noqsan kiay ja raha hai to es
say barh kar koe hairat ki baat nahain ho sakti.

Aaj chahar soo jamhoriat ka charcha aur bool bala
daikhnay sonnay main aa raha hai aur jamhoriat ko her
dukh dard aur aazadi ka madawa samjh liya giya hai
jabkah es say bhar'kar koe na'maqool aur gher fitri
cheez nahain. Eak misal say apnay moaqaf ki wazahat
karna chahoon ga:

Mudat hoe hai yaar ko mehmaan kiay howay

Josh-e-qadah say bazm charaghaan kiay howay

Yah shaiar Ustad Ghalib ka hai. Agar sari dunyaan issay
Mir Sahib ka shaiar keh day to bhi yah shaiar Mir Sahib
ka nahain ho sakta. Jumhoriat ka kamal hai kah wo issay
Mir Sahib say mansoob kar sakti hai. Jamhoriat das main
say 6 kay kahay ko darust qarar daiti. Es main baat ko
nahain ginti ko darust mana jata hai. Jamhoriat yah
nahain daikhti kah ghalt ko darust qarar dainay ka

139

prinaam kiya ho ga aur anjaam ka bhogtaan kaisay ho
sakay ga.

Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hi hai likin os kaam
ka barsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya aazad honay ki
haisiat say honay ki noeat qate mukhtalif hai. Os ghalt kay
hawala say ghalt'kar hi motasar nahain hotay balkah oon
ki ghalt'kari society ko bhi lay dobti hai. Hum'jinsi ko koe
bhi haisiat dainay walay shaed nahain jantay kah es ka
shakas aur society par kiya asar ho ga aur yah choot ki
haisiat ekhtayar kar gae to puri insani baradri ka kiya ho
ga. Chand mobtala ashkas ki shakasi aazadi ko lay kar ya
ossay vote power samjh kar puri society ka baira gharaq
nahain hona chahiay.

Es ghalt'kari kay noqsanaat kay ziman main chand
morozaat paish karta hoon:

Eak discharage say eak karoor aur sola lakh kay qareeb
ya ziyada saparm ka akhraj hota hai. Her saparm main
insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Goya mobtala

140

eak karoor sola lakh insanoon ki shakti jo os main mojood
hoti hai say la'yaeni mehroom ho giya.

Ourat par dischrage honay say eak ya eak say ziyada
insan janum laitay aur kaenaat kay hosn main azafay ka
sabab bantay. Fitri amal say kuch to output samnay aata
jabkah hum'jins say jinsi khail koe output samnay nahain
lata. Orat say malaap fitri amal hai jabkah hum jinsi say
malaap gher fitri. Gher fitri amal mosbat nataej say
hum'kinar nahain karta. Es kay manfi nataej baramad
hotay hain. Jo shakhasi aur samaji hawala say khoof'naak
sabat ho saktay hain.

Hum'jinsi say fael kay saparm kamzoor partay hain phir
eak waqt aisa bhi aata hai kah wo mar jatay hain. Fael kay
aala-e-tanasol main jhakao aur taiar'pan aa jata hai. Fael
kay aala-e-tanasal ki bala-o-zarein varidain kamzoor par
jati hain. Pinas ki jild phat jati hai jis kay zariay kae
bimarioon kay jaraseem dakhal ho saktay hain. Sozak aisi
na'morad bimari lahaq ho sakti hai.

141

Zarorat parnay par sinaf-e-mokhlif say malaap ki surat
main pachidigiaan rah pa jati hain.
Mada manviya/viraj bai'tara ki kharabioon ka shakar ho
jata hai.
Fariqain aala-e-tanasol ko chosnay ka kaam bhi kartay
hain. Yah surat sehhat kay liay intahae khatar'nak hoti
hai.
Jaryan aur sorat-e-anzal ka lahaq hona yaqini ho jata
hai. Sorat-e-anzal kay liay adviyaat estamal main lae jati
hai.
En adviyaat say:

1-Qovat-e-bardasht khatam ho jati hai.
2-Janoni halat ho jati hai.
3- Gorday matasar hotay hain.
4- Dil ki bimariyaan janum lay laiti hain.
5-Fariqain apni hi nazroon say gir jatay hain aur

142

os kay baad baihisi ki surat paida ho jati hai.

6-Yaad'dasht ko noqsan ponchta hai.

7-Nafasyati bimariyaan rah pati hain.

8-Chirchara'pun paida ho jata hai.

9-Anis ghalazat ki jaga hai. Aala-e-tanasol

ghalazat say aaloda hota hai. Fozlay say es nazok

ozo ka touch hona, khir ki khabar nahain la sakta.

Fitri amal ki surat main utaras zarorat kay motabaq
saparm lay laiti hai baqi nikal bahar karti hai. Hamal na
teharnay ki surat main bhi saparm andam-nihani main
rok nahain patay. Androni nazam onhain andar roknay
nahain daita. Es kay bar'akas pith main saparm dakhal ho
jaein to bahar nahain nikal patay kayoon'kah Qodrat nay
es ka koe intazam hi nahain kiya. Her saparm main insan
bannay ki salahiat mojood hoti hai. Jab wo andar hi mar
jatay hain to oon ki haisiat mordar ki se hoti hai. Morda
jism main kiray paida ho jatay hain aur yah kiray apna

143

thikana bana laitay hain. En ki khorak saparm (admi)
banti hai. Es hawala say onhain adam'khoor kehna ziyada
monasab ho ga. Agar onhain khorak mayassar nahain
aati to wo mobtala ko hi khana shoro kar daitay hain jis
kay sabab ossay sakht parishni la'haq hoti hai. Yah
parishni os main wehshat paida kar daiti hai. Phir woh
shakar kay liay nikal parta hai. Woh her surat aur her
qimat par shakar hasal karta hai. Baz jo adi nahain hotay
lalach main aa kar nishana ban jatay hain. Es tara woh
bhi moashray kay liay gher mofeed ho jatay hain.

Fael hi nahain mafool bhi bachoon ko nishana banata hai.
Oon ki nafasyati aur illati majbori kay hawala say
takhreeb'kari ko moqa mil jata hai. Oon ka zaihan
takhreeb ka ghonsla ban jata hai. Mafool ki izzat-e-nafas
es adat kay baes bai'mout mari jati hai.

Shakar honay waloon main khoof aur intaqami jazba
parwan charta hai jo aagay chal kar na'seraf onhain
balkah samaj aur moashray ka satyanas mar kar rakh

144

daita hai. Yah illat-e-baad aati nasal ko bhi motaqil ho jati
hai. Dunyan ka koe mazhab ya akhlaqi nazam es
fael-e-baad ki ijazat nahain daita ta'hum jamhoriat es ki
toseeq karnay par zaroor qodrat rakhti hai aur hum'jins
shadioon ki bhi ijazat day sakti hai.

Agar mard, mard kay sath masroof raha to oratoon ka
(jin ki din ba'din tadaad barh rahi hai) kiya ho ga?!

Moalja:

Bakray ki bareek nali, jis main taza goda mojood ho
panch sat baar anis main rakhi ja'ay. Her bar nae nali li
ja'ay. Kuch waqt rakhnay kay baad jab yah nali nikalain
gay to kiroon say pur ho gi.

Rohaniat kay Azeem paishwa His Eminency Hazrat Sufi
Sheik Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib nay Amriki
Sadar aur os ki intazamiya ko motnabay kiya hai:

" Homosexuality should not be encouraged at all. It is
against God the Almighty's

145

order in the holy bible, the glorious holy Quran, the holy
Torah, and other holy

religious books of Hinduism and Buddhism. So that
Obama should carefully handle

the matter of the natural power of Almighty and
constitutional power of himself.

If you try to match each other in the name of freedom
and democracy, you have to pay

for that. Like Nimrod, the powerful king of the planet
after the biblical flood at the time

of Prophey Noah (AS) and Lout (AS)."

Ulma karam Church aur Rohaniat say motalaq logoon ko
bhi es janib tovajo daini chahiay. Es tara insaniat ko es
fael-e-baad kay manfi asraat say mafooz rakha ja sakta
hai.

146

Aaj Ourat Ko Orat Hi Bacha Sakti Hai

Allah nay,
Ourat ka hirday kaloon say nazok, golab ki patioo say
komal aur raisham say ziyada malaem takhleeq farmaya
hai.
Ourat ka koe bhi qanoni roop qabal tazheek nahain. Maan
hai to os kay qadmoon say jannat mansoob ki jati hai.
Behan ya baiti hai to mohabat ki potli aur priwar ki
izzat-o-aabru teharti hai.
Bivi hai to wafa aur kidmat ki baimisal tasveer.
Goya Ourat ka her roop mohtaram aur motabar hai. Orat
moashray aur qomoon ki izzat aur aati nasloon ki amin
bhi hai .
Jiwan kay saray kay saray rang essi kay hawala say
jazab-e-nazar aur shokh hain likin aaj orat namaesh aur

147

mazaq ban gae hai. Kiya yah khud tamasha bani hai ya
issi mofad'parast anasar nay tamasha bana diya hai?!
Khud koon mazaq banta hai. Halaat aur waqt ossay mazaq
bana daitay hain. Ta'hum panch vaju wazay hain:
1- Ourat ki shara padaesh ziyada ho gae hai.
2- Mard, jo pehlay hi tadaad main kam hain talwar ki zad
main hain.
3- Ahal-e-Sarvat essay apni jagir samjhtay howay es ki
izzat ko kiray mokoray ya tissue paper say ziyada nhain
samjhtay.
4- Bhok aur zaroyaat-e-zindagi nay es ghareeb kay hath
paoon bandh diay hain.
5- Roshan khayali kay naam par mediay nay taqazoon ka
satyanas maar
kar rakh diya hai.
Aaj Moqtadra qovatoon ki oratain, ouratain hain baqi

148

taboon ki oratain kiray makoray ya Moqtadra qovatoon
kay paltu janwaroon say bhi bai'hasiat hain. Her aata din
orat ko tanha la'char aur baibas bana raha hai. Oon kay
khaab bhi oon say mazaq kartay nazar hain. Agar halaat
essi dagar par rahay to aata kal zindagi kay hosn ko
barbad kar day ga.

Moqtadra qovatoon/tabqoon ki oratain pehlay bhi
ba'ekhtyar thein ab bhi hain. Batoor orat aaj woh orat
kay taqadas aur ehtaram ko sahara day sakti hain.

Ammaan Hawa nay Babay Adam ko apni marzi kay
motabaq dhal hi liya halan'kah woh Nabi thay.
Balam'baoor nay orat kay kehnay par apnay hi hathoon
khud apni sari tapasya bhang kar dali. Jahangir Badshah
Malka Noor Jahan kay samnay Dom halata tha. Os kay
insaf ka bool bala Malka Sahiba ka marhoon-e-minnat tha.
Shah Jahan nay Hindustan kay mehnat'kash tabqay ki
mehnat aur dolat Taj Mohal ki tameer par laga kar sabat
kar diya kah woh orat say mohabat karta tha aur os kay

149

sanay miyaoon say ziyada nahain tha. Izat Ma'ab Hazrat
Siri Ram Chandar Davi ko ban'bas orat kay kahay par
mila tha. Tarekh es qisam ki misaloon say bhari pari hai.

Koe bhi yah mannay kay liay taiar nahain kah Moqtadra
qovatoon ki oratain la'yaeni aur bai'ekhtayar ho gae hain.
Woh bohat kuch karnay ki position main hain. Aaj woh
dunyan ki bai'bas bai'kaas aur tanha orat ko tanhae kay
naag ka luqma bannay say bacha sakti hain. Dehshat'gard
ya shar'pasand anasar ki maan, bhen, baiti aur bivi ossay
os kay es qatal-o-gharat kay khail ko puri diyanat'dari
say rook sakti hain.

Moqtadra Qovatoon ki ouratain apnay mardoon ka hath
rokain. Woh oon kay hawas par qabza aur hakomat rakhti
hain to kiya oon kay hath nahain rook saktein. Apni
bachioon ki taraf eak nazar to daikhain aur faisla karain
marnay waloon ki bachiaan, bachiaan nahain hain?!

Oon kay koe arman aur khaab nahain hain?!

Mardoon ka yah qatal-e-aam oratoon ki tadaad main

150

mazeed azafay ka sabab banay ga aur bai'ghar oratain
oonhi kay mardoon ki shamain sajaein gi aur phir yah illat
nasha ki surat ekhtayar kar lay ga. Tab woh kuch na kar
paein gi. Aaj onhain waqar hasil hai likin phir woh apni
tamkanat kho dain gi. Orat ki bohtaat oon ki ajara'dari
par atom'bomb say kisi toor par kam na ho ga.

Woh inter-net istamal karti hain. Donyan kay motasara
alaqoon ki oratain apni tanhae roti chat aur saharay kay
liay mardoon ko mailain karti hain. Woh ghalt nahain hain
kiya karain, kidhar ko jaein?!

Aaj orat ko orat hi bacha sakti hai. Baray Houses main
baithnay walay mardoon ki oratain apni hum'jinsoon kay
liay na'sahi, apnay aur apni bachioon kay mostaqbal kay
liay qatal-o-ghrat kay en rasya hazrat ki khabar lain.
Onhain Khuda ka khoof dalaein, apni mohabat k wasta
dain.

Baitiaan, bai'sahara baitioon par raham karkay apnay
waldain ko es khoon aur karb'nak dhoein ki holi say


Click to View FlipBook Version