The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.
Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by , 2016-08-05 23:32:07

das-moqale

das-moqale

maqsoodhas Maqsood Hasni
sni

ke

das moqalaat

Tadvein
Prof. Niamat Ali Mortazai
Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016

Farist

1- Kiya yah sach nahain?!
2- Dehshat gardi ka khatama kayoon kar Ho?! 3-
Dehshat 3- gardi aur os kay khatmay ki tadbeer

4- Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushmun
5- Wasael aur oon ka mojoda andaz-e-tasaruf

6- Aaj ourat ko ourat bacha saktu hai
7- Koee to os ko samjha'ay

8- Asal baad'qismati to yah hai
9- Aaj ki mosalman qoum

10- Pakistan dushmun koun hain

Kiya yah sach nahain?!

Mosbat ikhtalafaat fikri balidgi kay liay yaqinun
baray kaam ki cheez hai. Eslah-e-ahwal kay liay in
ki mojodgi zarori hai. In hi kay hawala say tameez-

o-imtiyaaz ki surtain samnay aati hain. Insan
sadyoon say taqseem dar taqseem kay amal say
gozarta aa raha hai. Is say bari baad qismati yah
hai kah yah amal din ba din bharta hi chala ja raha
hai. Mafad parast anasar inhain mazeed barha
rahay hain. Natija-e-kar insan ka laho bai'waqar ho
giya hai. Insan mehaz in kay hath ka khilona ho
giya hai. Aakhar yah sab kiya aur kayoon hai?????

Ehsas tabqay na'seraf is par ghoor kartay hain
bal'kah dukhi bhi hotay hain aur wo khud ko
baibass samjhtay hain. Amun aur insani sakoon
kay liay apni si kosheshain bhi kartay hain. Mafad
parast tabqay amun aur sakoon kay kiyam kay liay
talwar otha rahay hain. Jab kah haqiqat yah hai
kah bai'sakoni kay wo khud zima'dar hain aur raad

amal ko khatam karnay kay liay gilay sokay sab ko
ragra diya ja raha hai. Wo khud ko mehfooz karna
chahtay hain hain. Wo jantay hain bil'aakhir mout
oon ki ho gi. Chinay ga'ay wasael wapis chalay jaein
gay.

Ansted University kay bani member Dr. Roger Haw
samaji zimadari ka ehsas karnay aur nibhanay kay
hawala say kaam kar rahay hain jab kah Dr. Adam
B. Bodomo samaji sanjhoon kay hawala say apnay
hissa ka kirdar ada kar rahay hain. Mairay nazdeek
her doo omoor kay sath lisani mamaslatoon aur
wahdatoon ko talashnay ki bhi zarorat hai. Goya
aman sakoon aur wahdat-e-insani kay liay in
tinoon omoor par bhar'poor kaam karna aaj ki
pehli tarji qarar paee jani chaheay. Is tara insan

taqseem dar'taqseem kay amal say najaat pa sakta
hai. Ba'surat digar aatay kal ka insan, insan nahain
darinda ho ga. Bawar rehna chahiay aatay door ki
shabashi ya lanat, gozray door kay sar aati hai.

Yah baat itni bareek aur mohbam nahain jo insan
ki samjh main na aa sakay. Adaray shah kay
gomashtay hotay hain aur her acha bora os ki
khush'nodi kay liay anjaam daitay hain. Onhoon
nay kabhi aur kisi bhi door main logoon kay liay
kuch nahain kiya halankah wo logoon ki behbood
kay liay qiyaam main aatay hain. Shah aur os kay
adaray hamaisha say awaam ki jaib ka bojh rahay
hain. Jab tak insan samjh nahain jata bojh rahain
gay. Logoon ki mehnat ki kamaee par shah aur os
kay gamashtay aish ki gozartay rahain gay. Taj

Mohal tameer hotay rahain ge. Hasib e sabq sach
likhna aur sach kehna jum e azeem qarar pa'ay ga.
Logoon ko chota gosht daikhnay ko naseeb nahain
hota laikin shah ki is moqadas ga'ay ko haftay
main doo bar mayasar aata hai. Ajeeb andhair hai
mehnat karnay waloon ki izzat karnay ki baja'ay
onhain shah ki gholami karnay par majboor kiya
jata hai. Inkar ki surat main in ki gardanain jisam
ka hisa nahain rehtein.

Mein samjhta hoon is main shah aur os kay
ghamashtoon ka koee qasoor nahain. Yah sara
qasoor in mehnat kashoon ka hai. Yah moti si baat
aakhar aaj tak in ki samjh main kayoon nahain
aaee. Donyaan ki sari laraeaan shah kay liay lari
gaee hain. Warna aam admi ka kisi dosray molak

kay aam aadmi say kiya masla ho sakta hai.
Donyaan kay her khitay ka aam admi kayoon
nahain daikhta moamla shah ka hai lihaza wo
jananay aur os ka kaam janay. Os ki madad aur
ta'awan kaisa aur kis hisab main. Sarkain bana
raha ho, hospital tameer kar raha ho, yatimoon kay
liay koee project bana raha ho koee bhi kaam jo
insan kay liay faeda mand ho to is hawala say
madad ka jawaz nikalta hai.

Aisa koonsa adara hai jahan say aam admi ko faiz
mil pata hai. Darkhast dahinda hi ko dhar liay jata
hai ya phir wo insaf ki hasoli kay liay airiaan ragar
ragar kar mar jata hai.

Molvi pandat, padri waghera kabhi danista aur

hamaisha adat say majboor insanoon ko taqseem
kartay rehtay hain. Barah-e- rast na sahi yah bhi
shah kay madad'gar hain.

Mein kehta hoon hind, muslim asaee, yahodi, sikh
waghera say pehlay her koee insan hai. Yahhi kora-
e-arz par os ki shanakht hai. Is kay baad hi os ki
koee sanvi shanakht aati hai. Ba toor insan, insan
ko insan kay qareeb tareen hona chahiay. Apnay
masael khud say hal karay. Apni zaroratain khud
say puri karain. Dukh main eak dosray ka kaam
aaein. Insan, insan ki khud say hifazat ka zima lay.
Issay shah aur os kay gamashtoon ki zarorat hi
nahain rehni chahiay. Jab insan, insan kay qareeb
aa ja ay ga to koee masla hi baqi na rahay ga. Aaj
insan ko shah aur os kay gamashtoon ki zarorat

nahain hai. Insan ko insan ki zarorat hai. Shah aur
os kay gamashtay badi ka khuda hain. inhain
taiyagnay ki zarorat hai.

Insano aao!

Shah aur os kay gamashtoon ka galap choro aur
apni madad aap ka asool ikhtayaar karo. Mein
yaqein say kehta hoon in say tomhain kabhi kuch
nahain mil pa'ay ga. Yah apna olu sidha karnay
kay siwa kuch nahain jantay aur nahi janna
chahtay hain. Aaj kay halaat main ehal-e-dard aur
ehal-e-danish ka faraz hai kah wo insanoon ko eak
dosray kay qareeb laein. Insan ko taqseem kay her
harbay say bachanay ki saee karain. Samaji aur
lisani sanjhoon ko talash kar dorioon ko

nazdikioon main tabdeel kiya ja sakta hai. Shaed
oon ki kosheshain insan ko shah aur os kay
gamashtoon say bacha sakain. Mein janat hoon yah
bara karwa sach hai laikin is ko janay bagher amun
aur sakoon ka sans nahain liya ja sakta.
____________

Dehshat gardi ka khatama kayyoon kar Ho?!

Aaj ki insani nasl itni bai his nahain hoee aur na hi
bai'rahro, bai'adab, khud'ghrz aur khud'sari ka
shakar hoee hai kah woh apnay rohani paishwaoon,
bazurgoon aur baroon ko khatar main na lati ho.
Mada itna bhi motabar aur mohtaram nahain
howa jitna kah daikhnay aur samjhnay main aa

raha hai. Jo dikhae day raha hai wohi sab kuch
nahain ya yahhi aakhri haqiqat hai. Is kay pichay
bohat kuch aur bhi hai. Jis ki tafheem abhi baqi hai.
Aqab ki tafheem aur paziraee aaj ki pehli tarji kay
darjay par faez hai. Yah baat poray yaqein say kahi
ja sakti hai kah is aqab ki talash zahir parast na kar
sakain gay aur nahi os tak oon ki rasaee
momkinaat main hai. Sachi baat to yahh hai kah
wo aisa karna bhi nahain cahtay.

Aaj ki nasl apnay rohani bazurgoon ka na'seraf
ehtaram karti hai bal'kah oon kay kahay par amal
karna apnay liay baes-e-sa'adat samjhti hai. Hazrat
Maha atma Budh, Hazrat Zar tusht Hazrat Essa
Mashi, Hazrat Barahma Dev, Hazrat Shive, Hazrat
Vishnu, hazrat Goru Nanak Dev, Hazrat Bahaulla,

Sachaoon kay mosadaq Hazrat syedna Mohammad
mein na'cheez fani saad hazar bar oon ke qadmoon
ki matti par nisar ki mohabatoon aur rahmatoon
kay sar chashmoon* say log aaj bhi faiz yaab hotay
hain.

Daikhnay main aisa lagta hai kah in bigray halaat
ka ab kuch nahain ho sakta ya ho sakay ga. Aisi
soch qatee shatani hai aur kaj amli par dalalat karti
hai. Log to rasta daikh rahain kah koee aa'ay aur
oon ki ghael rohoon kay zakhmoon par marum
rakhay. Yahhi nahain onhain rasta sojha'ay, oon
kay diloon ko thandak aur farhat bukhshy,
taqseem aur taqseem dar taqseem kay darwazay
band karay.

Woh bhi hain

kay tasawar ko ojagar karay.

Aisay main Shayukh nay midan-e-amal main
qadam na rakha to yah bohat bari ghalti aur bhool
ho gi. Dehshat gardi ka kansar zour pakarta ja'ay
ga aur aakhar-e-kar 3rd. stage par aa ja'ay ga. Phir
siraf aur siraf mout, insan ki mout ho gi. Kuch
sojhaee na day ga. Jumla adyan Shaukh par wazay
rehna chahiay kah woh Aaj kay Amin aur MASIHA
hain. Logoon kay dard ka hal oon kay pas hai. Aati
nasloon ki fikri-o-qalbi hayat-o- mout oon kay hath
main hai. Oon kay pas dawa aur jarahat ka saman
ba surat rohani shakti mojood hai. Agar insan baqi
na raha to oon ki izzat, mohabat aur ehtaram kab

baqi rahay ga. Agar yah zulm aur boraee ka hath
nahain rook saktay zoban say keh nahain saktay to
kam az kam zulm aur boraee say nafrat ki soch ko
to diloon main faroogh day saktay hain. Diloon kay
phirnay say soch kay halqay az khud mur jaein gay.

Yah sachaee kay Mohtarum Qazi hain. Inhain
Insan Bachao ka faisla inhain daina hi ho ga. In kay
faislay par aaj amal daramad ho ya na ho, in kay
faislay ki haisiat aur ehmiat, jab tak insan baqi hai
motabar aur mohtaram rahay gi.

Lafz Jihad qabal-e-Dashnaam tehra hai. Is ki
tashri-o-tabeer kay hawala say gher janib dari aur
eman dari say kaam nahain liya ja raha. Jihad
koshesh, tag-o-doo, saee, struggle waghera ka

motradaf lafz hai. Tarikh kay sab pannay is amar
ki khuli goahi dain gay kah kisi Eslah konida nay
talwaar say kaam nahain liya. Onhoon nay bari
bord bari hosla mandi say pathar kha'ay. Kuch to
bari shan say daar tak bhi ga'ay. Zehar ko amrat
samjh kar nosh-e-jan kiya. Dehkti aag oon ke hosle
past na kar saki. Woh jantay thay kah sab Allah ka
hai aur Allah ke liay hi hai. Haan jab kabhi nobat
aaee to difa main talwaar zaroor othaee, difa main
alaqa fata karnay ke liay nahain.

Aaj insan ko tazabzab aur khoof ki soli say otarna
hai. Tazabzab aur khoof hi insan ko talwaar
othanay par majboor kar raha hai. Jab insan par
khol ja'ay ga kah woh jis ko marnay ja raha woh os
ka apna partu hai aur kisi aur ka qatal khud os ka

apna qatal hai to woh kabhi tawaar nahain otha'ay
ga. Her insan dosray kay liay motabar aur
mohtaram tehray ga.

Soch main taharat aur pakizgi Shani Dev nahain,
Barahma ji kay povitar boloon say hi aana mokin
hai. Sukhan-e-Hafif hi raishmiat paida kar sakta
hai. Goru Garanth Sahib kay Shabd hosan-e-
kalaam ki vaja ban saktay hain. Jab insan insan kay
liay motabar aur mohtaram ho ga to hi woh sarapa
Quran ho sakay ga.

Rang nasal alaqa zoban qabila firqa, mazhab
waghera ki tafreeq khatam honay say insan, insan
kay qareeb aa sakta hai. Yah qorbat reshta darioon
main tabdeel ho gi.

Bawar rahay laho, laho hota hai aur yah her hawala
say motabar aur mohtam hai. Is ka behtay rehna
thek nahain. Yah ragoon main dorta phirta hi acha
lagta hai.

Kholasa-e-kalaam :

1- Ulma karam tafreeq ka rasta choor kar aur
mukhsous halqoon aur daeroon say nikal kar insan
kay diloon ko phairain.

2- Puri donyaan main Rohani assambliaan qaem
ki jaein.

3- Ulma-o-Shayookh zindagi ko sada aasan aur
qana'at pasandi ka daras dain. Chein kar aish-o-
aaram ki gozarna konsi laeq-e-tehsein baat hai.

4- Ambiya aur Solaihein zalim ko os kay zulm ka

baar baar ehsas dalatay rahay hain, Ulma-o-
Shayookh bhi oon ki sonnat par amal karain

5- Mahaireen-e-Lisanyaat zobanoon main
tehzibi, samaji aur lisani sanjhain talash karain.

6- Jumla mazahib kay ulma mazahib main
mushtarik qadroon ko talashain

7- Insani zidagi kay is khatar'naak moor par
Hazrat Amam-e-Kaba, Hazrat Pop John Paul,
Hazrat Dalaee Lama aur is status kay digar
akabrein apni zima'darioon ka ehsas karain aur
insan ko bachaein

Aatay kal kay liay kuch to warsa choor kar jana hi
ho ga. Yah aatay kal ka haq hai. Aatay kal kay log
bhi hosn sakoon aur asudgi ka haq rakhtay hain.

Yah oon par koee ehsan nahain hamara farz hai.
Woh hamaray hi bachay hoon gay. Hamain onhain
kuch to acha tarkay main day kar marna chahiay
warna hamari aur kottay ki mout main kiya faraq
reh ja'ay ga. Onhain bangla, kothi, kar waghera say
ziyada ehtaram, shanakht, sakoon achi ravayaat,
achay sanskar ki ziyada zarorat ho gi.

----------------------------------

Dehshat gardi aur os kay khatmay ki tadbeer

Dehshat gardi aur ossay kochalnay kay hawala say
jo toofan-e-baad'tamizi barpa hai is say insaniat
aur makhlooq-e-falki bhi sharminda sharminda ho

gaee ho gi. Shitan khush ho ga kah mein nay os
insan ko ko'rah kar diya hai ya woh azkhud ko'rah
ho giya hai jissay sajda na karnay ki surat main
raenda-e-dargah hona os ka moqdar tehra.

Aaj dard-e-Dil rakhnay waloon ko midan main
otarna chahiay aur qatal-o-gharat ko roknay kay
hawala say apni si koshesh karni chahiay. Ba'surat-
e-digar woh bhi is ehad kay mujram aur gonah'gar
tehrain gay. Aati naslain oon par lanat bhaijain gi.
Ab waqt aa giya hai kah Mashaekh aur tamam
adyan kay motadil Ulma Karam apna kirdar ada
karain. Logoon ko Guru Nanak , Rehman Baba,
Shah Abdul Latif Bhatae, Bulle Shah, Shah
Hussain, Saein Sachal Sarmast waghera ka kalaam
sonaein. Onhain aman aur shanti ka dars dain.

Sach ko sach kahein. Yah zindagi hamaisha ki
nahain. Her kisi nay eak din Jahan chorna hai.
Marna thos aur atal haqiqat hai. Almi dehshat'gard

babar aish kosh kah donya dobara naist

kay pairo hain

Achaee ko zobani kalami manna maniviat nahain
rakhta, is ka amli saboot bhi milna chahiay.
Gharoon main rehnay walay bai'ghar ho kar roti
kay chand tokroon ko taras gay hain. Pait bhar kar
khanay waloon kay halaq say loqmay kayoon'kar
gozartay hain.

Eak shakas bhi bhook say soya to is ki amir-e-waqt
say poch ho gi. Logoon say chein kar nahain, Amir-
e-waqt apni gira-e-khud say day sab jantay hain

kah os ka khisa moflas aur qalash nahain.

Amir-e-waqt ko bholna nahain chahiay kah Bhook
say barh kar koee andhi taqat nahain. Yah bhokay
piyasay aur bai'chat kab tak bhook bardast karain
gay---------kab tak........ akhir kab tak?!

Bhook piyas eak haad tak bardast ho sakti hai.
Bardasht kay baad kaee aur mahaz khol jaein gay.
Phir kiya ho ga, is amar ka tasawar bhi larza bar
andam kar daita hai. Kiya in bhook kay maroon
kay manfi amaal ko bhi dehshat'gardi ya shidat
pasandi ka naam day kar qatal kiya ja'ay ga ya in
kay hatoon roti khatay qatal hoon gay. Ghar aur
roti pani to pehli aur aakhri zarorat hai. Bhook say
nijat ki sochna bhi dehshat gardi say kam nahain.

Yahaan Hazrat Paighambar-e-Islam (Oon par
unhaad Darood o salaam) kay chand Hosn Paroon
ko darj karnay ki sa'adat hasal kar raha hoon aur
yah farmodaat amal ka taqaza kartay hain:

"Tum main say intahaee na'pasandida woh hain jo
choghal'khoor hain aur dostoon main tafreeq paida
karnay walay hain"

(Tibrani)

"Tum (sakht'kalami) ka aisa jawab doo jo bohat
acha ho. (aisa karnay say) tum daikho gay jis main
aur tum main dushmani thi goya woh tumhara
garam'josh dost hai----------"

(Muslim)

"Jo tumharay sath baad'akhlaqi karta hai os kay

sath bord'bari say paish aao aur jo tum say ziyadti
karta hai ossay moaf kar doo aur jo tumhain
mehroom rakhta hai ossay doo aur jo tum say qata
ta'alaq karta hai os say sila-e-rehmi karo"
(Tibrani)
"Jab tak tum eak dosray* say meharban nahain ho
jatay os waqt tak tum eman'dar nahain ho saktay"
(Tibrani)
"Narmi jis cheez main bhi ho ossay mazaein kar
daiti hai aur jis cheez say ossay khatam kar diya
ja'ay ossay mayoob bana daiti hai." (Muslim)
---------------------------------
* Awamun'nas par meharban hona morad hai

Thu Jun 04, 2009 7:36 am
_________________
urfi67
Forum Family Member
Dr,,,as usual very nice sharing
Thu Jun 04, 2009 2:14 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
shukarreya janab
_________________

http://www.forumpakistan.com/dehshat-gardi-
aur-os-kay-khatmay-ki-tadbeer-
t28428.html#ixzz4GHj7a0c6

Hum'jinsi Insaniat ki Kholi Dushman

Aankh say sonnay,
kan say bolnay
aur monh say daikhnay ki koshesh ya khaesh
yaqinun fitrat kay sath gustakhi ho gi.
Gurday dharak nahain saktay,
dil say pishaab karnay kay ozo ka kaam laina
hamaqat aur na'dani say ziyada kuch nahain.

Yah na'siraf fitrat kay khalaf zulm, ziyadti aur
sazish ho gi balkah in aza ko bhi mout kay ghaat
otarna ho ga. Baz log fitrat kay dushman afaal ko
siraf aur siraf chand lamhoon ki lazat aur lutaf ko
rawa rakhtay hain. Is lutaf lazzat ya ilati majbori ki
pusht par un'haad noqsanaat ki ghatri mojood hoti
hai. Waqt gozar janay kay baad her qisam ka dawa
daru bai'asar bai'maeni aur la'yaeni teharta hai.

Aaj kay taraqi pasand aur mafadi ehad main bhi
ghalt ho raha hai aur shakas apna hi noqsan kiay
ja raha hai to is say barh kar koee hairat ki baat
nahain ho sakti.

Aaj chahar soo jamhoriat ka charcha aur bool bala
daikhnay sonnay main aa raha hai aur jamhoriat

ko her dukh dard aur aazadi ka madawa samjh liya
giya hai jabkah is say bhar'kar koee na'maqool aur
gher fitri cheez hinahain. Eak misal say apnay
moaqaf ki wazahat karna chahoon ga:

Mudat hoee hai yaar ko mehmaan kiay howay

Josh-e-qadah say bazm charaghaan kiay howay

Yah shaiar Ustad Ghalib ka hai. Agar sari donyaan
issay Mir Sahib ka shaiar keh day to bhi yah shaiar
Mir Sahib ka nahain ho sakta. Jamhoriat ka kamal
hai kah wo issay Mir Sahib say mansoob kar sakti
hai. Jamhoriat das main say 6 kay kahay ko darust
qarar daiti. Is main baat ko nahain ginti ko darust
mana jata hai. Jamhoriat yah nahain daikhti kah
ghalt ko darust qarar dainay ka prinaam kiya ho

ga aur anjaam ka bhogtaan kaisay ho sakay ga.

Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hai laikin os
kaam ka barsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya
aazad honay ki haisiat say honay ki noeat qatee
mukhtalif hai. Os ghalt kay hawala say ghalt'kar hi
motasar nahain hotay balkah oon ki ghalt'kari
society ko bhi lay dobti hai.

Hum'jinsi ko koee bhi haisiat dainay walay shaed
nahain jantay kah is ka shakas aur society par kiya
asar ho ga aur yah choot ki haisiat ikhtayar kar
gaee to puri insani baradri ka kiya ho ga. Chand
mobtala ashkas ki shakasi aazadi ko lay kar ya
ossay vote power samjh kar puri society ka baira
gharaq nahain hona chahiay.

Is ghalt'kari kay noqsanaat kay ziman main chand
morozaat paish karta hoon:

Eak discharage say eak karoor aur sola lakh kay
qareeb saparm ka akhraj hota hai. Her saparm
main insan bannay ki salahiat hoti hai. Goya
mobtala eak karoor sola lakh insanoon ki shakti jo
os main mojood hoti hai say la'yaeni mehroom ho
giya.Ourat par dischrage honay say eak ya eak say
ziyada insan janum laitay aur kaenaat kay hosn
main azafay ka sabab bantay. Fitri amal say kuch
to output samnay aata jabkah hum'jins say jinsi
khail koee output samnay nahain lata. Ourat say
malaap fitri amal hai jabkah humjins say malaap
gher fitri. Gher fitri amal mosbat nataej say
hum'kinar nahain karta. Is kay manfi nataej

baramad hotay hain. Jo shakhasi aur samaji hawala
say khoof'naak sabat ho saktay hain.

Hum'jinsi say fael kay saparm kamzoor partay hain
phir eak waqt aisa bhi aata hai kah wo mar jatay
hain. Fael kay aala-e-tanasol main jhakao aur
taiar'pan aa jata hai. Fael kay aala-e-tanasal ki
bala-o-zarein varidain kamzoor par jati hain. Pinas
ki jild phat jati hai jis kay zariay kaee bimarioon
kay jaraseem dakhal ho saktay hain. Sozak aisi
na'morad bimari lahaq ho sakti hai.

Zarorat parnay par sinaf-e-mokhlif say malaap ki
surat main pachidigiaan rah pa jati hain.

Mada manviya bai'tara ki kharabioon ka shakar ho
jata hai.

Fariqain aala-e-tanasol ko chosnay ka kaam bhi
kartay hain. Yah surat sehhat kay liay intahaee
khatar'nak hoti hai.
Jaryan aur surat-e-anzal ka lahaq hona yaqini ho
jata hai. Surat-e-anzal kay liay adviyaat istamal
main laee jati hai. In adviyaat say:
1-Qovat-e-bardasht khatam ho jati hai.
2- Janoni halat ho jati hai.
3- Gorday matasar hotay hain.
4- Dil ki bimariyaan janum lay laiti hain.
5- Fariqain apni hi nazroon say gir jatay hain aur
os kay baad baihisi ki surat paida ho jati hai.
6-Yaad'dasht ko noqsan ponchta hai.

7- Nafasyati bimariyaan rah pati hain.

8-Chirchara'pun paida ho jata hai.

9- Anis ghalazat ki jaga hai. Aala-e-tanasol
ghalazat say aaloda hota hai. Fozlay say is nazok
ozo ka touch hona, khir ki khabar nahain la sakta.

Fitri amal ki surat main utaras zarorat kay
motabaq saparm lay laiti hai baqi nikal bahar karti
hai. Hamal na teharnay ki surat main bhi saparm
andam-nihani main rok nahain patay. Androni
nazam onhain andar roknay nahain daita. Is kay
bar'akas pith main saparm dakhal ho jaein to
bahar nahain nikal patay kayoon'kah Qudrat nay
is ka koee intazam hi nahain kiya. Her saparm
main insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Jab

wo andar hi mar jatay hain to oon ki haisiat
mordar ki si hoti hai. Morda jism main kiray paida
ho jatay hain aur yah kiray apna thikana bana
laitay hain. In ki khorak saparm (admi) banti hai.
Is hawala say onhain adam'khoor kehna ziyada
monasab ho ga. Agar onhain khorak mayassar
nahain aati to wo mobtala ko hi khana shoru kar
daitay hain jis kay sabab ossay sakht parishni
la'haq hoti hai. Yah parishni os main wehshat
paida kar daiti hai. Phir woh shakar kay liay nikal
parta hai. Woh her surat aur her qimat par shakar
hasal karta hai. Baz jo adi nahain hotay lalach
main aa kar nishana ban jatay hain. Is tara woh bhi
moashray kay liay gher mofeed ho jatay hain.

Fael hi nahain mafool bhi bachoon ko nishana

banata hai. Oon ki nafasyati aur illati majbori kay
hawala say takhreeb'kari ko moqa mil jata hai. Oon
ka zaihan takhreeb ka ghonsla bun jata hai. Mafool
ki izzat-e-nafas is adat kay baes bai'mout mari jati
hai.

Shakar honay waloon main khoof aur intaqami
jazba parwan charta hai jo aagay chal kar na'siraf
onhain balkah samaj aur moashray ka satyanas
mar kar rakh daita hai. Yah illat-e-baad aati nasal
ko bhi motaqil ho jati hai. Donyan ka koee mazhab
ya akhlaqi nazam is fael-e-baad ki ijazat nahain
daita ta'hum jamhoriat is ki toseeq karnay par
zaroor qodrat rakhti hai aur hum'jins shadioon ki
ijazat day sakti hai.

Agar mard, mard kay sath masroof raha to
ouratoon ka (jin ki din ba'din tadaad barh rahi hai)
kiya ho ga?!

Moalja:

Bakray ki bareek nali, jis main taza goda mojood ho
panch sat baar anis main rakhi ja'ay. Her bar naee
nali li ja'ay. Kuch waqt rakhnay kay baad jab yah
nali nikalain gay to kiroon say por ho gi.

Rohaniat kay Azeem paishwa His Eminency Hazrat
Sufi Sheik Shah Dr. Mohammad Nur ul Alam Sahib
nay Amriki Sadar aur os ki intazamiya ko
motnabay kiya hai:

" Homosexuality should not be encouraged at all. It
is against God the Almighty's order in the holy

bible, the glorious holy Quran, the holy Torah, and
other holy religious books of Hinduism and
Buddhism. So that Obama should carefully handle
the matter of the natural power of Almighty and
constitutional power of himself. If you try to match
each other in the name of freedom and democracy,
you have to pay for that. Like Nimrod, the powerful
king of the planet after the biblical flood at the time
of Prophey Noah (AS) and Lout (AS)."

Ulma karam Church aur Rohaniat say motalaq
logoon ko bhi is janib tovajo daini chahiay. is tara
insaniat ko is fael-e-baad kay manfi asraat say
mafooz rakha ja sakta hai.

Thu Jun 04, 2009 7:30 am

_________________
urfi67
Forum Family Member
nice sharing
Thu Jun 04, 2009 2:19 pm
_________________
Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani
punjab
shukarya janab
Thu Jun 04, 2009 8:31 pm
_________________

http://www.forumpakistan.com/humjinsi-
insaniat-ki-khoofnak-dushman-
t28427.html#ixzz4GHjFQCu9

Wasael aur oon ka mojoda andaz-e-tasaruf

Kottay ki firat hai, jab wo kisi dosray kottay kay
monh main haddi daikhta hai to pehlay os par
bhonkta hai phir os say haddi chein lainay ki
koshesh karta hai. Is tara donoon main ghomsan
ka run parta hai. Yahaan tak kah wo haddi ko bhi
bhool jatay hain. Donoon lar lar kar bai'hal ho jatay
hain. Darein'asna koee tisra haddi lay kar chalta
banta hai aur laraee ka moqam-o-midan aur naak

naqsha hi badal jata hai. Goya laraee ka silsala is
china jhapti kay hawala say kabhi khatam nahain
ho pata.

Insan Allah Ta'ala ki azeem tarein mukhlooq hai.
Kottay ki koee bhi adat insan main hona insaniat ki
kholi tohein hai. Sari kaenaat insan kay tasaraf ki
cheez hai aur kaenat hai hi insan kay liay. Allah
nay insan ko Khalifah kay darjay par faez kiya hai.
Goya is hawala say, insan Kaenat ka Amin hai. Is ka
behtar barh kar istamal kaenat ki tazein aur
hifazat ka fariza anjam daita hai. Maday ko tasaraf
main la kar apni danish ka saboot faraham karta
hai. Is ki kavish say sukh, aasudgi aur khair ko
panpanay kay mowaqay mayassar aatay hain. Is

hawala say insan kay paas:
Vasael-e-qudrat wafar mojood hain.
Mehnat ka onsar os ki fitrat ka khasa hai.
Honar gur saliqa tariqa ki giraan qadar naimat say
sarfaraz hai.
Takhleeq kay liay namonay pehlay say hi kaenaat
main mojood hain.
Holy kotab ki surat main Hadait mayassar hai.
Hasad say barh'kar donyaan main koee bori aur
na'pasandida cheez nahain. Yah khamioon aur
kharabioon ki NANI hai. Yah bhi keh saktay hain,
hasad Shitan ka jorwaan bhai hai. Yah wo bala hai
jo jhagray kharay karti hai aur chein lainay kay

jazboon ko oksati hai. Insan ki sar'bolandi dou
hawaloon say wazay aur mosalam hai:
Mayassar main auroon ko shareek karkay khoshi
mehsuos karta hai. Jis kay sabab barkat say nawaza
jata hai.
Mayassar na honay ki surat main mehnat aur
kohesh karta hai.
Yah bhi pehlay say teh'shoda haqiqat hai:
1- Insan nay wasael talashay hain aur istamal main
la raha hai.
2- Bohat say wasael say motalaq ilm hasal kiya hai
laikin oon ka talashna aur istamal main lana abhi
baqi hai.

3- Un'gint wasael ka ilm main lana, oon par garift
karna aur oon ka istamal talashna abhi baqi hai.

Baad'qismati yahaan say hi shuro hoti hai kah
insan mayassar ko mil bant kar nahain kha raha.
Auroon ko shamil karnay ki soch, sochnay ko bhi
taiyar nahain aur nahi is kay hissay bikhray karna
chahta hai. Halan'kah woh koli ya jozvi toor par kisi
cheez ka haqiqi malik hi nahain. "Mairi maira" kay
lalch nay aag ka darya kabhi khoshak honay
nahain diya.

Issi tara jin ko mayassar nahain woh her hila
bahana aur harba say chein lainay par otray rahay
hain.Yah andaz-o-rovaeya qatee sehat'mand
nahain. Yahhi nahain is aavaizash say mayassar

bhi tabahi-o-barnadi ka shakar hai. Agar yahhi
surat-e-hal baqi rahi to aatay kal kay insan kay
paas, agar baqi raha to rakh main bhoja khoon hi
ho ga. Woh is khoon ko daikh kar na ru sakay ga
na'hi moskarahat os kay hontoon par phoot sakay
gi.

Kiya yah monasab nahain kah insan maloom ko
daryfat kay hisar main la kar istamal main la'ay.
Issi tara Na'maloom wasael ko ilm main la'ay ta'kah
yah ya is ki aati nasalain aaj kay na'maloom aur kal
kay maloom ki talash main nikal parain. Insan kay
hath main abhi jo chand patyaan aaee hain jin kay
mokamal tasarfaat par bhi puri girift nahain kar
paya aur itna bara aur sharam'naak hangama

khara kiay howay hai.

Issay abhi to mojood kay ziyada say ziyada
tasarfaat talashna hain. Maloom magar istamal
main na aanay walay wasael ki talash main nikalna
hai. Agar insan mojood par os ki mojoda halat aur
istamalaat par kat mara to talash ka amal kaisay
jari reh pa'ay ga. Tail, gass waghera kay elawa bhi
energy say motalaq chizain kaenat main mojood
hain, oon ki talash abhi baqi hai.

Insan to taqat kay bal botay par taleem kay shobay
say mota'aluq wasael bhi khisay karna chahta hai.
Asool, qanoon aur zabtay apni hi rakhsha kay liay

main masroof hai auroon ki khaak madad karain
gay. Taleem aur research kay shobay ko kamzoor
aur apni marzi-o-mansha ka bananay say maloom
magar dastaras say bahar tak rasaee aur
na'maloom ko maloom main lanay ka amal
kamzoor'tar hota ja raha hai. Woh samjh raha hai
mojood hi sab kuch hai aur issay samait laina hi
ghanimat hai. Taleem aur taleem say mota'aluq
logoon ko mazboot bananay ki is liay ziyada
zarorat hai kah:

Mojood kay mazeed kamalaat, fazael aur
istamalaat daryaft ki'ay ja sakain.

Maloom magar istamal main na honay walay
wasael par dastaras kay gur aur honar talashay ja

sakain.
Na'maloom ko maloom ki sar'had main laya ja
sakay.
yah baat bhi kah mojoda tanazur main thos
haqiqat hai:
1-kuch logoon kay psas wasael hain.
2-Kuch log mehnat kar saktay hain.
3-Kuch ilm-o-danish rakhtay hain.
In main say 1,2 ko 3 kay isharay par kaam karna
chahiay. Jab'kah haqiqat yah kah 3, 1 kay isharay
par nachnay par majboor hain. Jab tak yah tinoon
motwazi aur bahmi ta'awan say nahain chalin gay,
taraqi ki gari na chal sakay gi. Pehlay say mojood

par kottoon ki si laraee ka silsala kabhi rok na
pa'ay ga. Moeshat moashrat aur tehzeeb-o-
tamadan ko sahara yah tinoon mil kar hi day
saktay hain. Amrika nay amun kay qayaam aur
dehshat'gardi kay khatmay kay naam par puri
donyaan ko aag main jhoon rakha hai. Diloon kay
hal to Allah hi janta hai ho sakta hai, kisi sata par
os kay haan mukhlasi ka onsar bhi mojood ho
laikin donyaan issay aqwam-e-alam kay wasael par
qabza karnay ka naam day rahi hai. Amrika apnay
wasael amun qaem karnay aur dehshat'gardi ko
khatam karnay ya momkin hai pehlay say mojood
wasael par qabay ki koshesh kar raha hai aur is aag
main apnay wasael jhonk raha hai. Natija-e-kar
Boqool Hazrat Alama Sheikh Shah Sufi Dr.

Mohammad Nur-ul Alam Sahib

"The single superpower, the United States of
America, is facing a great economic crisis, the
greatest economic crisis in its history."

Amrika qomoon ko apnay masael khud say hal
karnay day aur khud maloom wasael magar adam
daryaat ki talash main niklay takah aati nasloon ka
bhi kuch bhala ho sakay. Woh kabhi bhi mojoda
koshesh main kamyaab nahain ho sakay ga
kayoon'kah Mir Ja'afar kabhi kisi ka nahain ho
saka.

Fri Jun 05, 2009 8:16 am

_________________


Click to View FlipBook Version