The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.
Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by , 2016-08-05 23:32:07

das-moqale

das-moqale

kabhi ba'qaeda instarakshan kay amal say gozray
hi nahain hotay laikin kaam ala parhay likhay
logoon say bhar'kar,
kar jatay hain.
zara balal ganj kay kisi unparh kharadiay say mil
kar to daikhain aur ossay wo kaam soonmp dain jo
maghrab kay kisi professor/saens'dan nay kiya
hota hai. wo kahein behtar aur kahein paedar kar
day ga. mein apni es baat ki sanad kay liay
"naam'dav"* aur ayub abbasi"** ko hawala bananay
main koe aar nahain samjhta.

7. hamari jawan parhi likhi nasal bari la'jawab aur

mehnati hai. wo behtar aur kam'waqt main acha
aur pae'dar kaam karnay ki ehliat rakhti hai.
baad'qismati
say ossay mowaqay hasal nahain ho patat.
khuda kay liay:

* es qoom par reham karain aur es kay wasael
ayashi aur baad'mashi main na oraein.
** jawanoon say kaam aur amli zindgi kay 2 saal na
chinay jaein.
*** taleem ko biparioun kay hath na baichain.
**** adaroon ko awaam ka khadam banaya ja'ay
aur onhain awaam kay liay kaam karnay par
majboor kiya ja'ay.
***** oudhaar ki dokandari band karain.
Bawar rahay takht taj aur waqt kisi ka sagay
nahain. Waqt kay liay opar say nichay aur nichay
say opar lana aur lay jana mushkal ya na'mukin

nahain. Pehloun kay hashr say ibrat lain warna
Allah ki lathi bai'aawaz hai aur os kay ghar dair

hai, andhair nahain. Mein en satoor kay zariay
ba'ekhtayar tabqoun ko chitavni daita houn kah
oon ka hashr bohat hi bora ho ga yahhi nahain wo

kal ko Allah kay hazoor koon'sa monh lay kar jaein
gay?!
------------------------
* khaka, Chand Humasar az Dr. Molvi Abdul Haq
Sahib
** Khaka, Hum'nafsan-e-rafta az Prof. Raseed
Ahmad Sadiqi Sahib

Maqsood Hasni
ke

das moqalaat

Tadvein
Prof. Niamat Ali Mortazai
Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016


Click to View FlipBook Version