The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

pehla-admi-kon-tha_2015_12_10_15_03_38_466

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by , 2015-12-10 09:08:41

pehla-admi-kon-tha_2015_12_10_15_03_38_466

pehla-admi-kon-tha_2015_12_10_15_03_38_466

eve (Hawa).

Kuch loug lilith ko meaz ibrani haqaet ka
naam daitay hain yaeni haqiqi tour par
lilith ka koee vajoud hi na tha.
Eak kehna yah bhi hai:
Lilith a myth, a demon goddess, a
biblical figure.

Lambay baloun wali Malka Saba jo jin thi
par bhi qiyas kiya jata kah woh lilith thi.

Kaha jata hai kah lilith eak bar Hazrat
Suliman say mili

aur kaha main woman spirt houn. Is
rovaet kay motabiq yah Malka

Saba/Balqees hi rahi ho gi. Yah bhi
imkan main dakhil hai kah Hazrat
Suliman kay dour ki aurat ya jin rahi ho

gi.

Kaha jata hai kah porani Baebal ka
aaghaz hi lilith aur Adam say hota hai.

Lilith ka baita Hormin battlements of
mohaza ki taraf chala giya jab domonic
hakomat ko pata chala to onhoun nay

ossay qatil kar diya

Lilith say achi bori, donoun tara ki batain
parhnay ko milti hain. Os say motalaq
kaha jata hai:

1. She was made like a soft sweet
woman.

2. She who ever desire to sport with
her Lord.

3. Malaem lambay baloun wali khoub
surat ourat.

4. Faost kay motabiq chamkilay
lambay baloun

aur ajeeb libas wali ourat.
5. Woh jo admi ko os kay gonahoun

kay sabab
saza daiti hai.
6. woh eak devi thi.
7. Khatein ki shakassi aur jinsi aazadi

ki alamat.
8. Strong will lady.
9. Lilith devi thi. Adam ki Lilith say jo

ould hoee
aur Hindustan main aae woh os ki maan

kehlae issi hawala say yahaan ossay
devi ka

darja hasil howa
11. Adam ki tabay farman na rahi aur od

kar
chali gae.
12. Zalim aur na farman aurat.
13. Baad mazaj bigri female/aurat/jin.
14. Noumaloud bachoun ko noqsan
ponchati hai. Aaj
bhi yahodioun main lilith issi hawala say
marouf hai.
Un'parh Mosalman is ki shar say
bachnay kay
liay apnay nou'moloud bachoun kay
galay main
chandi ka kanda daltay hain. Os kay
darmiyan

main saleeb hoti hai. Yah woh jahalat
aur

un janmay main kartay hain.
15. Yah mard ki takhliqi salahiat ko zaya

kar daiti hai
aur aurat ko banjh bana daiti hai.
16. Adam ko chournay kay baad os nay

fareshtoun say
jinsi ta'alaqaat ostawaar kar liay.
17. Adam ko chournay kay baad lilith

nay Shitan say
shadi kar li. Jinsi ta'alqaat bana liay.

Goya aag aur
matti ka jinsi milaap howa.
19. nazroun say ghaeb ho janay wali
20. os kay 784 bachay jin/shitan howay.
21. Lilith kay Adam say bhi kaee bachay

howay.
22. ollu say bhi is ki nisbat jori jati hai.
23. Lilith behtarein bivi thi jisay matoub

karkay
bhola diya giya.
24. woh bala ki zahein, shazour aur

khoub'surat aurat thi.
pila jism, surakh cehra aur kalay lambay

baal.

Kahani sonna aur sonana insan ki
bonyadi fitrat main dakhil hai. Woh
zindgi kay dukh sukh say chand lamhay
dour reh kar sab kuch bhula daina ki
koshesh karta hai. Aisi kahani jis main

zindgi ki talkhi
mojoud na ho ossay achi lagti hai aur
woh os main dilchaspi bhi laita hai laikin
woh kahani jo foq-ul-fitrat waqiaat par
ostawaar ho wo kahani ossay ziyada
khush aati hai aur woh os main ziyada

dilchaspi laita hai.

Issi tara khamb sar'daar bana bhi is ki
adat ka hissa hai. Woh mamoli baat ko
barha charha kar kuch ka kuch bana
daita hai. Eak kahani jab agay chalti hai
to dosra os main mazeed azafay karta
hai. Goya yah na teharnay wala silsala

hai. Yahaan tak kah asal ko tashna
moshkal hi nahain na momkin ho jata

hai.

Insan ki yah bhi adat hai kah woh apnay
nazriay aur garohi daeray say bahar
nilkalna pasand nahain karta. Os kay
nazriay aur garoh mail khati batain

na'seraf achi lagti hain balkah oon main
sachae bhi nazar

aati hai. Os kay nazriay aur garoh say
gher'mota'alaq batain ossay ghalt aur

bai'bonyaad lagti hain. Ba'az oqaat
onhain sonnay say pehlay hi teh kar laita

hai kah chounkah yah baat falaan
nazriay say motalaq shakas nay ki hai is

liay darust ho hi nahain sakti. Yahaan
tak kah woh os baat ko sonnay bagher
hi os kay ghalt honay ka fatwa sadar kar

daita hai.

Insan ki adat ka hissa hai kah woh apnay
mokhlaifein ki batoun ko darust nahain

manta bal'kah oon batoun ko apnay
khalaaf sazesh samjhta hai. Momkin hai
kah woh baat darust ho, os main koee
aqal aur Danish ki baat mojoud ho. Yah
bhi momkin hai kah os main say sulah

ka koee pehlu mojoud ho.

Admi ki yah bhi adat hai kah woh jis ka
mokhalif hota hai os main ossay

donyaan jahan kay noqas nazar aatay
hain. Yah moamla yahaan tak chala jata
hai kah mokhlif sarapa shitan hi lagnay
lagta hai. Boray naam ka koee na'koee

sabqa ya lahqa os kay naam kay sath
jour daitay hain bal'kah moshaba aein

moshaba'baihi bun jata hai.

Yaqinun yah rovaeya aur andaz darust
nahain. Yahhi surat kisi kay acha lagnay
ki hai. Acha lagnay wala fareshtoun say

bhi bazi lay jata hai. Humain os main
siray say koee boraee nazar hi nahain
aati aur hum os kay khalaf koee baat

sonnay kay liay bhi tayar nahain hotay.

Charail eak dastani kardar aur ghara
garaya naam hai. Yah chir say bana hai

masdar chirna hai. Is kay siwa kuch
nahain. Jo Auratain nakhoon barha laiti
hain, jin kay baal bai'suray houn, holya

aein ghain ho os ko bhi ista'aratan
charail hi kaha jata hai.
`

Sanp ka sou saal baad insani shakal
main aa jana issi tara somundri auratain,
pari, dio, jal'pari waghera ki kahaniyaan
sonnay ko milti rehti hain halan'kah in ka

haqiqat say dour ka bhi wasta nahain.

Mosavroun, kahani karoun, shaeroun,
majasma sazoun, mahakat karoun

waghera ka kamal yah kah onhoun nay
janay kiya kuch zaib-dastan kay liay
barha diya.

Lilith kay mota'alaq jo batain somnay

main aati hain oon ki haisiat eak kahani
say ziyada nahain. Woh amman Hawa ki
sokan thi aur hum khud ko amman Hawa
ki ould samjhtay hain is liay os ki sokan
kay mota'alaq ghalt salt soch laitay aur

kehtay rehtay hain. Mimkin hai yah
amman Hawa Sahib nay yah sab

mashhoor kar diya ho. Sokan hamaisha
charail hi maloum hoti hai. Jab'kah

haqiqat yah hai kah Lilith sokan nahain
hai bal'kah Hawa os ki sokan bun kar
Baba sahib ki zindgi main aee. Yah'hi
nahain howa amman sahib nay Adam ki

dosri bivi bhi bhaga di aur os kay
mota'alaq kuch bhi nahain milta. Chalu
Lilith ki tara kuch bora hi hath lag jata.

Lafz charail ziddui, hat dharam, laraki
bivi, jo jan hi na chorary aur chipak ja'ay,
sonkan, jis khatoun say lagti phabti ho,

khawand ki dashta mashoqa ya chori
chupay najaez marasam qaem houn, jo
baat par ari rahay waghera mafaheem

kay liay bhi istamal hota hai.

Lilith Adam kay pas na rahi laikin
Amman Hawa kab pas rahi. Amman

Hawa aur Babay Adam ki qabrain
dour dour hain. Maroof chala aata hai
kah Aman Hawa kay kehnay kay sabab

jannat say nakala giya aur 130 saal
donoun eak dosray say alag rahay. Pehli

donoun aratoun kay dour main jannat
say nahain nikala giya laikin Hawa sahib

kay ehad-e-azdavajiat main yah
surat-e-haal paish aee.

Hawa ka tarjama Eve milta hai. Eve,
Hawa ka tarjama nahain hai. Yah donoun

lafz motradaf nahain hain. Logoun nay
Eves istamal kiya hai. Yah lafz bivi/tivi

teinvi ka motradaf hai. Ho sakta hai
waqiaat gud mud ho gay houn aur sab
kuch Lilith kay sar par rakh diya giya ho.
Os ka acha Eve ko Hawa samjh kar os

kay damun ki zinat bun giya ho.

Mein 60 saal say ziyada umr ka admi
houn. Mein nay aaj tak charail, pari,
bhout, waghera aisi koee cheez nahain
daikhi Ya koee auorat od gae ho ya od
sakti ho mein na kabhi daikha aur na

kbhi sona hai.

Lilith aur Adam kay darmiyan sex par,
sonkan kay hawala say ya kisi aur baat

par jhagra ho giya ho ga jis par woh
ghussa ho kar challi gaee. Ghalibun
dosri bivi kay moamla main bhi aisa
howa ho ga. Betar Allah hi janta hai.

Tamam qissoun main churi Lilith ki
garden par aee hai. Churi rakhtay
moamlay kay tamam pehluon ko

mad-e-nazar nahain raka gaya.

yah bhi ho sakta hai kah phal khanay par
jhagra howa ho aur in dou bibioun nay
Hawa kay kehnay ko sokan honay kay

hawala say raad kar diya ho. Omumun
sounkan ki zed main acha aur behtar

amal bhi raad kar diya jata hai.
Is takrar main baat bhar gaee ho aur yah

donoun, lilith aur unnamed Adam aur
Hawa ko chour kar chali gaee houn.

Amman Hawa ko insanoun ki maan kaha
jata hai. Angraizi lafz EVE mosufa kay
liay istamal main aata hai. Yah lafz Bivi
ka motradif hai ya Bivi/Tinvi ka angraizi

roup hai. Yah hawa ka tarjma nahain hai.
Amman Hawa sahib kay liay mokhtalif
batain kahi jati hain.
Maslan
woh Adam ki bachi
hoee matti say banaee gaee.
1. Woh Aasmani aurat (Hour) thi.

2. ossay Adam ki pasli say banaya giya.
3. Woh devi thi

4. woh pehloun main say eak thi
5. Serpent in the tree was Eve's father.

6. Woh jinnoun main say thi.

7. os nay Adam ko phal khanay par
majbour kiya jis kay sabab onhain jannat

badar hona para
8. Os say Adam kay tein ouladain

bataee jati hain:
1) Qabeel
2) Habeel

3) Shaiat (AS)
in ka mazar baras (Sarhind) main hai.

Yah baat ziyada motabar lagti hai kah
Hawa (Eva) pehloun main say thi.

ADAM KI OULADAIN

Baitay

Is kay mota'alaq mokhtalif rovayaat hain.
Eak rovaet yah hai kah oon ki 2 ouladain

hoein yaeni habeel aur Qabeel.
Eak rovaet kay motabiq oon ki tein
ouladain bataee jati hain yaeni Habeel,

Qabeel aur Shaiat (AS).
Eak rovaet kay motabiq oon ki 41 (23
larkay aur 18 larkiaan) ouladaion thein.

Eak rovaet kay motabiq oon ki 120
ouladain thein.

Eak tehqeeq kay motabiq 24 larkay aur
20 Larkiaan hain

Janab-e-Noubaha/Noubaba ko bhi
tabqa-e-Adam main shumar kiya jata hai

aur in ki aakhri yaad'gar khori lubana
zila Gujrat main bataee jati hai.

In kay mota'alaq kuch wazay nahain kah
woh Aadam kay kiya lagtay thay. Oon ka

ta'alaq Adam kay ehad say hai.
Baitay thay, bhai thay susrali thay.
Is zimun main kuch naam daryaft howay

hain jo darj-e-khidmat hain:

1) Ghalagh 2) Haris 3) Bazd, 4)
Annaq/Hannaq/Ouk 5) atiqa 6) Qabeel 7)
Nashal Ashush 9) Samoud 10) Qumras
11) Bouad 12) Qu 13) Qein, 14) Zarvat 15)










Click to View FlipBook Version