The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Maqsood Hasni
Free abuzar Barqi Kutab’khana
July 2017

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by پنجاب اکھر, 2017-07-24 13:37:01

Arbi ke pakistani zobanoon par

Arbi ke pakistani zobanoon par lisanyati asraat
Maqsood Hasni
Free abuzar Barqi Kutab’khana
July 2017

51

lolak waghera

11- Bohat se Islami kalmay takya-e-kalam ban gay hain.
Maslan

Ji bismillah, bismillah karo, Alhamdolillah, Allah hafiz,
Mashallah, Inshallah waghera
12- Dr. Sabir Aafaqi ki nazam “khud itmadi” ka eak band
malahza farmaein is se Arbi lafzoon kay istamal ka
andaza ho ja’ay ga:
Allah tairo nasir bandya o malik tay Qader bandya

Rehiay daem shaker bandya shak na kariay Sabir bandya

Jay toon os naan yaad kariay ko

Rab sachay amdad kareay ko

13- Shadi khushi kay gitoon aur marag kay bain aur
nohoon masin Arbi alfaz ka bila’takallaf istamal hota
rehta hai.

52

MIWATI

1- Miwati main bohat se Arbi alfaz apni assal ashkal,
daisi istamal aur ba’daisi mafaheem main mostamal hain.
Maslan
mulak, aseel, maal, eid, mahal, sakhi waghera
2- Tabdeli-e-ashkal kay sath un’gint Arbi alfaz miwati
main dakhil ho gay hain. Maslan
Munjal (manzal), Koom (qoom), khaphan (kafan), jakhman
(zakhm), kismet (qismat), majboran (majbori se), tablig
(taligh), jalso (jalsah), kheso (qessa), ojaro(ojalah), okhat
(oqat), halwo (halwa), faslo (fasla) waghera
3- Mivati main Arbi alfaz jur kar marakbaat tashkeel

53

patay rehtasy hain. Maslan
Baqar’eid, baqreed donoon tara se mostamal hai. Kismit
ko maro, donyan ko mal, yah asloob Gojri ka bhi hai. Sakhi
marad ko sath, Gojri main bhi issi toor se boltay hain.
Sangat aseel, khair-o-sar (shar)

4- Mivati main aawazoon kay tabadal ki kaee suratain
hain aur yahhi ravaiya Arbi kay sath hai. Maslan

a. hy maqsura ki tabadal aawaz wao hai. Maslan jalso
(jalsah), khiso (qessah), arso (arsah), (qisso qissa)
b. Punjab kay mivatioon ki thisri aur chothi nasal “alaf”
ki aawaz ko bhi wao main tabdeel kar daiti/rahi hai.
Maslan ando (anda)

c. Pari mivati main hay maqsura kay liay alaf ya alaf ki
se aawaz nikaltay hain. Maslan jalsa/jalso, sadma’sadmo,
waghera

d. Zaal ki aawaz ka mivati jeem tabadal hai. Maslan
Jomo (zima), jikar (zikr), jael (zaiel) wagherah

54

e. Soad ki aawaz kay liay seen mostamal hai. Maslan
sab/saeb saeb (Sahib)
Khaso/khasa/kha’asa (khsah)
Khalas/khalis
Sadko/sadka
Sadmo/sadma (sadmah)
f- Zawaad kay liay jeen ki aawaz bool chal main aati hai.
Maslan jaep/jaeph, oojo (wazo),
jabta/jabita/japto/jaebta (zabta), japt/japti/jabat/jabti
(zabt/zabti),
jaeya/jaya jamun/ja’amun
g- Zaal ki aawaz jeem main tabdeel ho jati hai. Maslan
jakaat/ja’akaat (zakat), japran/ja’aphran (zafran)
h- Sheen ki aawaz ki mutbadal aawaz seen hai. Maslan
bashr se baser, shahi se sahi, Shrab se sarab/sa’araab,

55

sharbat se sarbat, shubah se suba/subo
saruko/sarika/sarika/sariko

i- Qaaf ki aawaz ko kaaf main tabdeel kar daitay hain.
Maslan

shooq se sook wagherah

j- Khy ki aawaz kaaf main tabdeel ho jati hai. Maslan
khalipha/khalipho/khaelipha/kha’alipho (khalifa)
wagherah

k- Fay ki aawaz phay main badal daitay hain. Maslan
aphraat/aphar’at/aphraat, phitno/phitna (fitnah),
pharman (farmaan), phursat (fursat), pharaj(faraz)

l- Ghasi ki aawaz gaaf main tabdeel kar daitay hain.

m- Qaaf ki aawaz ka tabadal khay bhi hai. Maslan
khissop, khasbo (qesba), tuphan(tufan)
n- To’ay ki mutbadal aawaz tay hai. Maslan tuphan
(tufan), tarj (tarz)

56

o- Mivati mohavroon main Arbi alfaz ka istamal hota
rehta hai. Maslan khapun (kafun) pharan, daphan karan,
pharaib dain, tuphan avan, kismit ajman, kismat jagan,
phitno jagan, taliph pharman, honslo totan, sakal bigran
p- Bohat se Arbi tamihaat mivati shaeri main raej ho
gaee hain
q- Arbi istalahaat ki mivati main kami nahain.
r- Mardana aur zanana namoon main Arbi alfaz dakhal
ho gay hain.
Maslan
Mohammad Sariph, basir Ahmadf, Sadeek khan, Deen bibi,
jannat Bibi, Noor Boibi
s- Bar-e-Sagheer ki dosri zobanoon ki tara mivati main
“noon” ka hashvi istama aam se baat hai. Maslan
honslo wagherah

57


Click to View FlipBook Version