The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.
Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by , 2016-05-04 11:46:04

16353771-Suraj-Ko-Rok-Lo

16353771-Suraj-Ko-Rok-Lo

Suraj ko rook lo
Nasi Ghazlain
Oct.1991
Az: Maqsood Hasni
Jama ‘bandi: Dr. Mohammad Abdullah Qazi

Maqsood Hasni ki nasri ghazaloon ko parh kar mehsus hota hai kah en tamam
ghazaloon kay apnay apnay daeray aur paikar hain aur sabhi na'seraf haal balkah
gozashta lakhoon bars ko apnay andar samaitay howay hain. Yoon lagta hai kah eak
malamti darvaish shair kisi baray shehar kay chook main khara aur ba'aawaz-e-
boland logoon ko apni taraf motvajo kara raha hai aur takhleeq-e-kaenat ko mozo
bana kar apni kahani shoro kar daita hai. Kafi saray rah'geer akathay ho jatay
hain balkah eak doo bar to taraifak aur sarak balak hotay hotay reh jati hai.
Maqsood Hasni kabhi dil ka kaha man lay to ghar ka rasta bhool jata hai. Kabi
suraj ko zamana'sazi ka daras daita hai. Kabi 7 faraounoon kay moqablay main Mosa
ko la khara karta hai. Kabi kofay kay bazaroon main oon logoon ki aqal par matam
karta hai jo aksariat ko daleel-e-haq banatay hain. Kabhi sitaroon ko talqeen
karta hai kah mairi qabr par charaghaan na karo. Kabhi hobal kay faladi bazuoon

kay moqabil simaab pehhan kar maqtal main otarta haai. Kabhi bijli kay jhatkoon ko
shakast dainay kay liay dastanay pehan laita hai. Kabhi kehta hai Ababiloon kay
par kaat kar hosn ki raksha kaisay ho gi. Kabhi jaili shanakhti kard banwanay aur
bananay waloon ko bai'naqab karta hai. Kabhi na'humwar aur un'daikhay rastoon say
Khizr ka kaam laita hai. kabhi Bush ko amaam banta daikh kar gharoon say roshni
kay janazay othtay daikhta hai. Kabhi kehta hai kah marnay waloon ki siskiaan
sonay nahain daitein. Kabhi suraj ko shehar-e-eshq main janay say rokta hai. Kabhi
shoor zamein main golab bo kar khushbu ki tamanna karnay waloon ko ahmaq qarar
daita hai. Kabhi ogli hoe ghaza khanay waloon par nazar parti hai to bai'sakhta
pokarta hai kah aakhir enhain kiya ho giya hai.
Ab aap hi es sarsari nazar say andaza lagaein kah Maqsood Hasni ki nasri ghazlain
mozu kay etbar say kitni achoti hain. Lehjay ki kaat aur tanz ki gehrae ka miyar
kaisa hai. Qari kiya mehsus karta hai. Estaray aur alamtain kitnay khobsurat andaz
main aae hain.
Mostaqbal main itni fusat kisay ho gi kah farsoda taweel ghazloon aur nazmoon ko
parhay. Agli sadi to Maqsood Hasni jaisay mukhtasaran aur pur'asar shoara ki sadi
hai. Baqool-e-Ghalib
Sadiq hoon apnay qool ka Ghalib Khuda gowah
Kehta hoon sach kah jhoot ki adat nahain mujhy
Dr. Alama Baidil Haidri

Janab Maqsood Hasni eak ba'kamal shair hain onhanoon nay apni nazmoon main zindagi
kay tajarbaat ko makhsus jazbaat-o-ehsasaat aur fikar-o-shaoor ki hum'aahangi kay
sath biyan kiya hai. Oon kay kalaam main yak'rangi aur yaksaniat nahain hai. Oon
ki shaeri kay ozan-o-aahang main oon kay mazaaj aur oftad-e-taba kay asraat hain.
Onhoon nay apni shaeri main moashray ki tasveer’kari aur paikar tarashi ki hai.
Hamara mojoda samaj aur nazam-e-hayaat jis shakast-o-raikht say dochar hai Maqsood
Hasni ki shaeri main es ki akasi nazar aati hai. Yahhi waja hai kah woh apnay
ashar say rokh-e-hayaat ki naqab koshae kartay hain.
Oon ki shaeri ki sab say bari khobi yah hai kah oon kay haan ehsas-e-dard'mandi
hai. Woh jazbay aur ehsas ki tarjamani kartay hain. Onhoon nay dakhli aur kharji
kafiat ki aamaizash say apni shaeri ki amarat tameer ki hai.
Dr. Waqar Ahamd Rizvi

Maqsood Hasni Sahib ki shaeri parh kar andaza hota hai kah yah moashray kay masael
aur insan kay dukhoon ko mehsus kartay hain aur phir os ka izhar apnay ashar main
adbi nazaktoon aur jamalyati khobioon kay sath bhar'poor andaz main kartay hain.
Aisa hi adab, mein samjhta hoon logoon main shaoor paida kar sakta hai. Dr.

Mobarik Ali

Maqsood Hasni Sahib Kay majmoa-e-kalam "Suraj Ko Rook Lo" ka mein nay josta josta
motala kiya hai. Oon ki shaeri ehad-e-hazar kay hisaes aur ba'shaoor takhleeq'kar
ki shaeri hai. Zaat mahool aur kaenat ki masalas oon kay fikri aur takhliqi
rovaeoon ki asas hai.

Woh zindagi kay masael ko dil ki dharkanoon main mehsus karnay aur dil ki
dharkanoon ko zindagi ki bonyadi qadrain bananay ka fun jantay hain. Nadar
tashbioon, esta'aroon aur alamatoon nay oon ki shaeri ko tazgi aur tawanae ata ki
hai. Oon ki shaeri bila'shoba ehad-e-hazar ki eak sehat'mand aawaz hai.

Dr. Gohar Noshahi

(1)

Sach say tomhain qata ta'alaq karna ho ga
Es ka zoban par aana
Soraj ka sawa naizay par aana hai

Intakhabi postar parh kar yoon laga
Shaihar main kae paighambar otar aa'ay hain

Hojray main baith kar rah-e-eshq main
Mar mitnay ki baat to karta hai wa'az
Bara moshkil hai talwar ki dhar par aana

Mosa ka kiya kamal, paighambri sath thi
Ek hum hain na paighambri hai na asa mila hai

Bach kar kahaan jata baat kayoon barhti
Agar maira bhi koe giriban hota

Jala kar jali rehti to afsus na hota
Khud bhi na rahi sahar honay tak

Mein Farhad nahin jo khud'koshi kar loon ga
Mohabat aur hisab,
Doo mazmoon rahay hain mairi nazar main

(2)

Zindagi mango day doon ga
Anna ki shakast mujhy manzoor nahain

Rindoon nay sukh ka sans liya
Jab say tumhara ajara nahain raha sharab par

Mairay mohsan nay yah hukam lagaya hai
Es ka hosh main aana thek nahain
Meh'khanay par apna haq jata'ay ga

Jin makanoon kay darwazay band rehtay hain
Roshan'dan wahan hawaoon ka asra hotay hain

Aa jao ab to bam par
Wo raat adhori hoti hai
Chand jis raat nahain hota

Hosn bin khoshbu kis kaam ki
Chah main thora dudh mila dia hota

(3)
Woh jin aankhoon main bas ga'ay
Wo aankhain salamat rahein,
Mein kaisay yaqeen kar loon
Mohabat ka ehtaram karo
Magar kisi kay qareeb'tar na raho
Mun main zihar liay phirtay hain log
Itni bhari dhandli aur kahan ho gi?!
Kisi ka mar mitna sar'kashi,
Mita daina jahan ada tehra
Dar par paray diwanoon ki qadr karo
Kiya karo gay ,
Hussain aa giya agar koe aur
Ab apni ravash ko badlo
Roshni koon khariday ga tumhari
Roshni kay agar khareed'dar na rahay

(4)

Aankhoon main haan zoban par nahain nahain
Dil ki baat kisay samjhoon?!
Faislay ki saleeb par yoon na latka mujhy
Sajda main jo gir ga'ay koon janta hai oon ko
Mein bhi agar sajda main gir jata
Tairi kawashoon main monfarid hota kaisay???
Jis baat main koe baat hoti hai
Yahaan wohi baat bori baat hoti hai
Dil tortay nahain mairay shaihar kay fatwa'gar
Raqeeb to kafir tha hi
Musalman bhi to musalman nahain raha
Chal oth yahaan kiya rakha hai
Wada-e-farda nahain hota
Jin tiloon main tail hota hai

(5)
Makhlooq ka woh kab Khuda raha hai
Yahaan to hakomat kar raha hai koe aur
Bhook sehna aa giya hai naind nahain aati

Sochta hoon, Khuda to nahain ho giya kahein
Sharab main wo lutaf kahaan tha
Jo lutaf aansu pinay main aaya
Aqal ko kiya maloom mein kiya hoon
Janoon mujhy mairi zaat tak lay aaya
Yah bhi day doo kayoon bacha rakhi hai
Mujhy jana nahain wa,az ki dunya main
Mairay eshq ko paimanoon par na rakho
Intahaoon ko koe naap saka hai?!

(6)
Marnay waloon par rona kar day band
Martay ko bacha
Jawab aa'ay ga, mat soch
oth, agla khat likh
Mat baith, qaafla aa'ay ga kal

Tu aaj hi chal
Maqtal say aanay waloon ki
kiya piyas bhoja'ay ga
saat somandar, jal
Auroon ko choor
waqt ka kehna hai
Apni keh, apni kar
Esa masloob howa ho ga
Tu bhi to latka howa hai
Os ki mohabat ek hamaqat
Os kay hath main khisht
Zira pehan,hath main pathar rakh
Na ro chop ho ja
Os ka sina to pathar

(7)
Jin rastoon par chal kar aaya tha
Wo rastay darya ki nazr howay
Aur rasta mairay ghar ko jata nahain
Kitnay zabt ki baat hai
Darya qadmoon main behta hai
Piyas bhi hai, piya yaad nahain
Choor aaein gay to kiya lay jaein gay?

Aanay wala aa'ay ga, oth darwaza khool
Jin aankhoon main dam kham ho ga
Daikh lain gay kan son lain gay
Tairgi kay dar par sholoon ki dastak
Waqt say pehlay suraj ki tamana na kar
Andhairoon main daikhna sikh
Ya phir apna suraj nikal

(8)
Kis omeed par sachae paish karoon
Bhook barh gae ho to
Bhair ka bacha sacha nahain hota
Os ki dawat-e-khas ka shukarreya
Magar aur bhi hain hamam main
Tairi taskein main mira eman jata hai
Raat ko subh kehna,
Dastoor ho jis adalat ka
Wahaan jawab kab aata hai kisi dastak ka

Jis karwaan ka ho woh ameer
Wahaan latairay lainay aaein gay kiya
Faresht-e-Ajal ko bhi sakon mil sakay ga
Her aankh main na bas
Kisi eak ka ho ja
Towaef taras jati hai ghar kay liay
Raat ko subh keh kar zindagi milay
Koon kehta hai wo zindagi, zindagi hai

(9)
Jahaan hosinoon ki hakomat ho
wahaan jan-o-khudi eak sat rahain
Mein nahain manta, yah ho nahain sakta
Miray dil main tiray siwa koe nahain
Magar tumhain apna nahain sakta
Miray kandhoon par bojh hai behan ki doli ka
Bahaar ki rotoon ko hum apna samjh baitay thay
Raqeeb ka aangan bhi bhar giya tha
Kaloon say golaboon say
Zulm par agar yoonhi kamar'basta rehna hai
Hath kaat doo mazlomoon ka

Kahein oth na jaein Khuda ki bargah main
Miri barbadi faqt sitaroon ka khail nahain
Kuch Qasoor miray etamad ka bhi hai
Dastaar chin janay ka gham na kar
Yah dastaar di hoe ossi k thi

(10)
Pehlay hi woh kab kuch kam tha
Botal toti to aur bhi ghazab'nak howa
Os say bachnay ka koe aur tariqa soch
Aza mozmahal honay ka gham kayoon karain
Subh ko raat hona hi tha aakhir
Jin aankhoon say barha pi chokay hain
Oon aankhoon main nasha nahain raha
Shaed musalman ho giya hai Saqi
Jhoot ko jhoot manwana ho agar
Jhoot ko sach kehtay raho masalsal
Mahboob oltay paoon chalnay lagay hain
Mairay qatl par motasaf na ho
Qatal karna kab jurm raha hai

Koe moaziz jabein dagh-e-qatl say bai'aieb nahain

(11)
Jo tum say milein wo salamat rahein
Wo aankhain pathar ki thein
Phool bohat nazuk hotay hain
Ai bolbal-e-khush goftar oon par reham kar
Eshq zabardasti ka koe kaam nahain
Oon somondar aankhoon main doob janay ki baat na kar
Zindagi to atya-e-Khuda'wandi hai
Mangay say milta nahain kae bar
Lafz aazad hotay hain
En ka qafiya tang na kar
Ghazal koe moflis ki qabar nahain
Jin lafzoon say lahu ki khushbu aa'ay
Oon lafzoon ko shaeri mantay hain log
Magar shaeroon main lahu kab hota hai

(12)

Yah kaisi raat aae hai
Aankhoon main naind nahain dil main shoor macha hai
Andhaira nahain to ojala kahaan hai?!

Insani ghosht agar qasaab baichta hai
To koon si qiyamat hai
Woh bhi to mujhy kha'ay ja raha hai aahista aahista

Os ki mohabat main sab kuch har diya
Woh to bashinda tha chand sitaroon ka

Agar mairi jabein main sajday hotay
Raqeeb kayoon midan mar giya hota

Yahhi kuch hai es kay siwa kuch nahain
chand sitaray mairi dastaras main nahain hain
Mohabat main sach kehna aur sach sonna sikho

(13)

Bahar roshni bikhar gae thi
Makaan ka moqein doob raha tha
Anna ki tariki main

Zulfoon main sitaray jarnay wala
Sitaroon kay bhaid kab janta tha

Shab-e-hijr woh itna roay
Ansoon main beh gae
Tasveer mairi

Khamoshi daleel nahain man janay ki
Os ki aankhoon main jhank daikho
Aankh kay sahil par aa giya hai
Dil ka ghobar sara

Andhairoon say ghabra kar
Bacha pochta raha mujh say
Abbu subh kab ho gi

Jis aankh main nami obhar rahi thi
Ai ashk'shanas! bata,
Os aankh main kiya kami thi

(14)

Orat ko hijra shaiar ko nasar kehna
yah baat nahain koe aqal ki

Umr gozar di gher ban kar
Ab aa giya hai fatiya kehnay ko

Marnay walay taira shukarreya
Zindagi ka ehsas tha kab mujh ko

Waqt naam nahain subh-o-shaam ka
koe khail nahain shaam say sahar karna

Arozio! ab tumhari khair nahain lagti
Ehsas ki aankhoon main lahu hai
Paband-e-arooz baat hai baikar si

(15)

Apnay hosn par kayoon na woh naz karain
Molvi bhi oon kay ashqoon main hai

Kabhi aa'ay nahain wada nibhanay miray ghar
Go jhoot say onhain sakht nafrat hai

Sham say pehlay agar shaam ka goman gozray
Darwazay kholay rakhna sakht hamaqat hai

Kanch ki sarak par tum chalnay niklay ho
Ehtayat ka taaza yahhi hai
Mun ka sara bojh halka kar lo

Aas ki kashti doob rahi hai
Bora waqt aur kaisa hota hai?!
Gothli ab na rakh sambhal

(16)

Paoon katay chal rahay hoon jis karwwn kay sath
Mujhy chalna nahain os karwaan kay sath

Waqt ki bahoon main abhi zindagi hai
Rehnay doo Ghari abhi miray hath par

Miray sar ki dastaar lay kar to ja rahay ho
Es shaihar kay log bojh otha sakain gay mairi dastaar ka?!

Mohlat-e-parwaz mil bhi gae to kiya hasil
Taiz hawaein kab ornay dain gi parinday ko

Jo kandhay otha na saktay hoon apnay sar ka bojh
Oon kandhoon par tu nay rakh diya hai
Saray ghar ka bojh

Woh ek qatra hai tum somondar ho
Yah tumhain kis nay keh diya hai,
Her Bil main hath dala nahain kartay

(17)

Aankh yoonhi kab chalakti hai
Raat kay os kinaray par
Rehta hai mairay armanoon ka qatil

Ta'alaq shart hai
Jo door hota hai
Kab door hota hai

Ab zaat kay khool say niklo
jism kab sath hota hai
Khush'bu kay safar main

Aankh na kholay jis mosam main
Tu hota hai os mosam main

Sharaab main zehar milanay ka takalaf na kar
Hum to zindagi say bohat door baithay hain

Abhi band na kar meh'khnay ka darwaza
Abhi khola nahain Kaba-o-Kalisa ka darwaza

(18)

Mein kisi wafa jafa ko manta nahain
Hilay hain kisi ko mitanay kay liay

Taras kha kar ab mairi jholi na bharna
Bhook to jinay ka aasra hai

Yaqeen dolat sahi, mein nahain karta
Esa kay hawari kab dar tak aa'ay thay

Jin aankhoon ko somondar tum kehtay ho
Oon aankhoon ka pani mar giya hai

pilanay ka agar yahhi taira andaz raha
Mairi bari shaed subh tak aa'ay

Jin zarroon main roshni ho gi
Wohhi zindagi ki mang sajaein gay

Mein nahain sonta, kisi aur ko ja kar sona
Choor yah behar-o-radeef kay qissay poranay

(19)

Yah tairay eshq ka hi kamal hai
Moqadar samjh liya hai mein nay
Jo aankh bhata nahain dil ko pasand nahain

Apnay ashkoon main bhago diya mein nay
Es shaihar ki subh bai'noor ko
Shabnam samjh kar log nangay niklay

Miray her khaab main tu hota hai
Magar zindagi main maira nahain ho ga
Olti hoti hai her khaab ki tabeer

Mujh say kuch karnay ki towaqo na rakh
"Karna" zindagi say mansoob hota hai

Khoof ki fasl bu kar
Ahal-e-shaihar say sonay ki towaqo
Damagh ka khalal lagta hai

(20)

Othta nahain os ka sar
Jis pait main otar ja'ay
Gher ki kamae ka to'am

Qatil dard ki kasak say aashna nahain
Wohhi mohtaram tehray ga
Jo khanjar ki dhar say os ko gozaray ga

Agar khusb'bu bant daita
Golshan main hi dafan hota
Shalaktay sagar salamat nahain rehtay

Ulfat nahain, na sahi
Nafrat hi karo mujh say
Tujh say ek ta'alaq ka haq'dar hoon mein

Par katnay ki bhala kiya zarorat hai
Qafas main lay aa'ay gi
Paoon ki jhanjar os ko

(21)

Hosn kisy motasar nahain karta
Phir bhi ehtayat achi hai
Golab main chopa hota hai sanp aksar

Eshq main----,
Jan dainay ki baat na kar
Zindagi mout tairay hath main kab hai

Farda ki baat na kar
Maira moqadar aaj hi
Mairi jholi main dal day

Agar zulm taira maslak hai
Chop ki talqein na kar
Bolna maira maslak hai, bolnay day

Kitnay roop aur dharo gay
Mein tumhain janta hoon
Otha doo ab naqaab cehray say

(22)

Haq goe ki fasl bu kar
Pathar tikay miray hath aa'ay

Kisi ki bai'kasi ko log
Sarkashi ka naam daitay hain

Mein nay jis shakas ki khatir
Dasht-e-tanhae main umr gozar di
Woh mira hi sar katnay ki fikr main tha

Mein nay zinjeer-e-adal halae to
Alhaad ka ta'ana her zoban par tha

Mango to bhook moqadar banti hai
Chein lainay waloon ko
Suraj salam kehnay ko,
Aangan main otar aata hai

Jab hath par hat dharay baitha raha
Mairay dushmanoon nay
Apnoon ki saf main la khara kiya mujhy

Tum kehtay ho taraqi hoe hai
Mein kehta hoon,
Zist ki her kal olta chalnay lagi hai

(23)
Aankhain dikha kar na apna matlab nikal
Anna ka qatl log gowara nahain kartay
Tujh say mohabat karkay yoon mehsus howa
Kiroon bhara amrood kha giya hoon mein
Tairay karam ki haad ka kiya shamar karoon
Mujhy ghar ki zarorat say mobarra kar diya tu nay
Tairay ghulam malik-e-sharaq-o-gharab hotay hain
Es aaghi nay bhair* kar diya shairoon ko
Yoon baikar na samjho
Ek jahaan aabad hota hai
Palkoon kay sitaroon main
Bohat banta tha woh apnay aap main
Jaieb main dal kar lay giya ossay ek shaks

------------------------------
*sheep

(24)
Oon ka ta'alaq bi ajeeb tara ka hai
Oon kay her sitam main nae ada hoti hai

Os ki bai'basi ko mojza na kaho
Mairay lahu say bhara tha jaam os nay
Zindaan say kuch aisa manoos howa tha
Sochta hoon aazad fazaein,
Nuoch na lain kahein bal-o-par miray
Jin qatroon ko bai'waqar samjha tha mein
Wohi qatray sehra kar gay darya ko
Apna qatl moaf to kar doon likin
Kaloon ka khoon os par rawa ho ja'ay ga
Apni mohabat ka yaqeen dalanay kay liay
Apna charawa bana diya os nay
Go mein bhi os ki mohabat ka davai'dar

(25)
Shaihar kay sab charagh bujh gay
Jao hawaoon say keh doo
Ek dil jal raha hai abhi sar-e-bazaar
Sehat ki jo dua day raha hai
Shak nahain os kay khaloos par

Woh kiya janay, kiya day raha hai mujhy
Os kay khanjar main janay kiya baat thi
Dar-e-zest par dastak daina pari mujh ko
Urmr bhar mira aashyana jalaya
Aaj mein nay khud aashyana jala diya hai
Bijlioon ko jalanay kay liay
Dostoon par maira shikwa fazool tha
Woh to day rahay thay
Mairay khaloos ki saza mujhy

(26)
Daras-e-Aazadi daita phirta hai jo nagar nagar
Kaat daita hai par
Jo parinda khala par haq jatata dikhae day
Panap sakti nahain wo mohabat,
Aaqa-o-Ghulam ka khail jo dikhae day
Dua-o-baad'dua kay bich,

Monh kholay kharay hain, apnay aur gher bhi
Oon ka jina mosibat, marna aafat dikhae day
Jina aasan nahain
Karam main bhi jab makar-o-faraib dikhae day
Andar say khali hota hai wo makan
Jo bahar say taj mahal dikhae day
Bhignay say kayoon dartay ho?!
Barsata nahain wo badil
Jo her pal garjta dikhae day

(27)
Jana mujhy ho rasta Hazrat Khizr bataein
Es say bhar kar tohein-e-manzal kiya ho gi
Jao na apna waqt barbad na karo
Jahan jinay ka azam baqi ho
Masiha ki wahan zarorat nahain hoti
Khizr say rah-o-rasm barhaein kis liay
Khuda janay kahaan lay ja'ay
Aadmi woh aglay door ka tha

Mahboob kay esharay par
Jan day daina shart-e-mohabat hai to
Majnoon ko aisi mohabat mobarik rahay
Raqeeb to moft main baad'naam hai
Jo jaieb bhari ho notoon say
Mahboob os jaieb main basaira kartay hain

(28)
Jo qadam meh'qaday say bahar hota hai
Wohi qadam to maira apna hota hai
Jab bhi tairi mohabat ka goman gozra hai
Mein kab hota hoon tu hi wahaan hota hai
Meh ki zarorat onhain hoti hai
Jinhain apnay honay ka gomaan hota hai
Jis ki hadain hoon wo eshq nahain hota
Eshq adraak ki hadoon say siwa hota hai
Eshq ka bhala kiya ta'alq dil say
Dil to eak lothara bai'zobaan hota hai

(29)

Aasman ko apnay qehar-o-sitm par naz tha
Ossay khanjar chalata daikh kar
Sharam say pani pani ho giya

Qabilay ko lay ja chokay hain
Ab tu bhi ja
Tumhari jodae ka zakhm
Ehsas-e-tanhae nahain honay day ga

Ji sakoon ga---------?!
Koon keh sakta tha
Chalna para to rastay Khizr thay mairay liay

Yah to bata koe paimana bhi hai tiray paas
Mujh ko etraz nahain
Lay lay mairi chahtoon ka hisaab

Mein hoon, mujhy maloom na tha
Tira dasna raas aa raha hai aahista aahista
Khidmat kaho,
Saiyad ki meharbani
Matlab say khali nahain hoti

(30)
Aasman par viraniaan daikh kar
Os ka aanchal bohat yaad aaya mujh ko
Baadlo!
Suraj say door raho
Mein phigla nahain saka os ka dil
Oon baraf aankhoon main,
Suraj na otaro
Zamein ab tofan-e-Noh ki mothamal nahain ho sakti
Apnay eshq par tumhain naz sahi
Magar os say door raho
Tum Maqsood ho, Braheen nahain
Apni shanakht ka khayaal aaya to
Pehla jhoot aaena bool raha tha

(31)

Ashaq ki aql par afsoos na kar
Mahboob ki bai'wafe mein bhi
Wafa os ko nazar aati hai

Sat Faraonoon kay moqabil
Ab kab koe Mosa khara hai

Her su sapaidi bikhar gae ho to
Rozay say koe kab rehta hai

Sehra main bakhair doo jali hadoon ko
Mahboob ki rakh bhi,
Ab oon ko gowara nahain rahi

Qofl-e-sakaat ab kholay ga kaisay
Chabi lay giya hai koe
Jaieb main daal kar

Band pinjray kay panchi ki
Dobti sansain bhi
Ab to--------,
Darati hain Hazrat Saiyad ko

Haq phirta raha Maqsood

Kofa kay bazaroon main
Log aksariat ko daleel-e-haq banatay rahay
Hosein aur chanchal koe aur bhi ho
Mahboob kab gowara kartay hain

(32)
Umr bhar towaaf kiya tairay meh'khanay ka
Ab lay raha hoon apnay eshq ka emtihan
Meh'khana karay towaaf mairay aagay
Ja, kab rokta hoon,
Itna to bata ja mein nay kiya hai kya
Umr bhr sochnay ki yoon saza na day mujh ko
Barsoon gul-e-ashr golab tehra
Kuch to khuda ka khoof kar nasay
Taira chehra nahain raha pehlay jaisa
jo baat yaqeen say gozar ja'ay
Ossay kehnay ka faeda kiya
Mujhy tumhara ehtaram sahi
Ho na sakay ga magar mujh say
Zameer ka soda
Wo gainday ka phool na tha
Zulfoon main barood saja rakha tha
Kiya kiya saman kiay os nay mairi mout kay

(33)

Nae fasal oganay kay bahanay
Di mairay shabab ki saza mujhy

Aankhain rakhnay ko keh gay hain
par ja'ay na kahein mairi nazar
Khoon main dobi aastein par

Badil thay na mosam sawan ka tha
To phir,
Logoon ka daman kaisay bheeg giya

Jab say insan biknay laga hai
Her aankh main rehtay hain
Kanch kay taj mahal

Jab say Bush ko amaam kiya hai
Ghar ghar say,
Roshni ka janaza othnay laga hai

(34)

Tu lakhoon main eak sahi
Hosn par itna na itra
Hamala ko sar kiya hai logoon nay

Hubal ko tum khuda samjho to samjho
Shirk ab mujh say nahain ho ga
Musalman ho giya hoon main

Os kay bazo foladi hain to kiya
Mein bhi simaab pehan kar
Maqtal'gah main otroon ga

Tairay lambay hath------,
Ab kah kha jaein gay
Bhokhay piyasay log

Jism main bijli bhar kay aata hai
aanay doo----Aanay doo,
Mein nay pehan liay hain rabar kay dastanay

(35)

jab her soo mout ka manzar ho
Ababiloon kay par kaat kar
Hosn ki rkhsha kaisay ho gi?!

Tum mairay apnay ho,
Kaisay yaqeen kar loon
Shanakhti kard jaili bannay lagay hain

Tum kiya jano chand sitaray
Tariki say laray hain
Phir ja kar latay hain,
Sharaq say suraj nikal kar

Sochoon par pehra tha
Hont silay howay thay
Odhar koe khanjar aazma tha

Woh jo miray andar tha
Mein os ko, khud ko
Qarya qarya dhond raha tha

(36)

Jab tak roshni aasman say aati rahay gi
Tairi rooh bai'noor rahay gi
Jognu ko phir misal bana'ay ga koon?????

Ghaza otaar kar rubaru aao
Dil ka koe ta'alaq bhi banay
Asli cehray aiyar nahain hotay

Mira haq hai to day doo
Na doo gay to lay loon ga
bhik main milti kalaan
Kab kush rahi hain mujh ko

Khud say bai'wafae ka sadma kuch aisa howa
Aankhoon nay,Shab'nam ki zarorat say
Bala'tar kar diya mujh ko

Eak pathar ka sina chirain
nikalain lal-o-gohar
Aag bhi
Ek tu, pathar ka pathar

(37)

Subh ko kalar par sajay rehtay hain
Ratain darwazay par basar hoti hain
Tamiz-e-rooz-o-shab nahain rahi ab mujh ko

Aankhoon main kajil palkoon par afshaan
Kitna bara jhoot bola hai,
Woh "aankhoon par bitha lain gay mujh ko"

Jab say aankhoon main basay hain
Faza main likhi tehrirain
Kab nazar aati hain mujh ko

Kahay par, kab etabaar raha hai
Aankhain mil jaein to
Tairay cehray ki her tehreer parhoon

Aaj khol kar bars paro
Yah aa'ay rooz ka barsana
Mar dalay ga ek din mujh ko

(38)

Aqidat ki hadoon ko lagam doo
Ek rooz kahein os ko
Sajda na rawa ho ja'ay

Jis kay jism main kushbu ki bijliaan thein
Wohi to tha
Tahi'daman jo kar giya mujh ko

Saqiya! Hum kayoon mint'kash hoon tiray
Gham-e-doraan main wo nasha hai
Jo nasha nahain tairi sharaab main

Jao ossi say nibah karo
Hum kab adi hain
Ogli ghaza khanay kay

Janay kiya ho giya hai zamanay ko
Hadees-e-dilbari bhool giya hai aur
Jawani sharat-e-payambri ban gae hai

Hosh kab tha
Zanu par os kay jab maira sar tha
Hosh aaya to zanu tha na sar tha

(39)

Jab say dil ka kaha mana hai
Ghar kay sab rastay bhool giya hoon
Shaam hoe hai shaam say pehlay

Aag ho kah hosn ki tajaliaan
Apni asal main yah donoon
Jala dainay ka kaam karti hain

Sitaray , roshni laitay rahay jis say
Wo to tairgi bach raha tha
Chandi par sonay ka pani charha kar

Shahein ho kah kargas
Khala kay donoon mahtaj rahay hain
Dil makan ki hadoon say bahir rehta hai

Suraj say kaho
Oon ki aankhoon say sabaq lay
Zamana'sazi ka yahhi taqaza hai

(40)

Mairi nadani to zara daikho
Jo bai'kasi kay kichar main para tha
Mein dhondta raha ossay sitarroon main

Mairi qabr par charaghaan na karo
Roshni bacha lo
Edhar hi aa raha hai mahboob tumhara

Mehromi-e-dil ki baat na kar
Viran kayoon chaman hota
Sinay main agar dil hota

Bai’kar main ashkoon ko zaya na kar
Tairi mihabat main jo mar raha hai
Tofa main kuch to ossay daina ho ga

Aksar haal-e-dil keh daita hoon
Mein to apna raaz, raaz nahain rakh sakta
Gher ko apna kahoon to kahoon kaisay

(41)
Suraj ko rook lo
Shaihar-e-eshq ko janay wala
Koe sar salamat nahain raha
Mairay jism ka her aza dagh dala
Yah bhi os ki nafrat ka ejaj hai
Ab bhi janaza mira othnay nahain daita
Rokta, koon rokta os ko
Mein nay daikh liya tha
Her hath os kay hath tha
Os ki aankhoon mein sharab ki masti kab thi
Lahu pi kar aa raha tha
Apnay hi chahnay waloon ka
Devtaoon say woh kuch kam na tha
Dajjaal ki yah khaslat agar os mein na hoti
Ossi aankh daikhta raha* mairay raqeeb ko bi
-----------------
* dajjal yak chasham ho ga

(42)

Hes-e-naz-o-ada chein kar
Hosn ko zindagi bakhsh di
Yoon bojha charagh, kisi mazaar ka
Jaal daikh liya tha mein nay
Moqadar main qaid likhi thi, warna
Su-e-zindagi Qadam oth bhi gay thay
Dast-e-shafqat khinch lo bara karam ho ga
Yaad aa janay doo
Mein bhi kabhi apnay paoon chala tha
Woh miri dulhan hoti to koe baat bhi hoti
Bhool to yahhi hoe hai
Apnay lahu say sajata raha mein os kay hath
Badloon ka bharosa kiya
Chaman ki kalyaan piyasi hain
Mahboob kay lahu say oon ki piyas
Tuhain bhojana ho gi

(43)
Pichli rafaqat say mujhy inkar nahain
Tum toba karo kah jatay ho

Humain to jina hai koe din aur
Woh maira shreek-e-safar tha
Kuch to os par haq tha
Inkar sahi, hisa to mila
Nadeem-o-Wazir ko kayoon parhta
Ghiz-o-ghazab main ek chehra
Diwan-e-Mir-o-Mirza say kam na tha
Apnay qatl ka alzam mein kis ko doon
Qatloon ki saaf main
Khud mein bhi to tha
Hosn shanasi koe khail nahain
Her aankh ek paimana hoti hai
Jabreel bhi sajda main shamil tha

(44)
Taira miray ghar aana miri izza'afzae sahi
Kamar toor di hai mehngae nay achay bhaloon ki
Ab khaab main aaya karo, yahhi kafi hai
Jab tak miltay rahay bazaroon main
Oon ki her ada achi lagti thi magar

Jab say mairi duniya main aa'ay hain
Jan say jan-e-bawarchi khana ho gya hoon mein
Maira aalu sa sar daikh kar log samjhtay hain
mujh par danish meharban ho gae hai
Eshq main maira sar kay kabal chalna onhein yaad nahain
Jin zulfoon main dil atak giya tha
Wo daraz zulfain ja ponchi hain
Shrif Darae kalinar ki dokan par
Mein bivi say kab darta hoon
Kaanp jata hoon
Jab koe tofa pokar othta hai:
"Mein to tiray jotay tira sar hoon"

(45)
Tairi mohabat main ehsas jaga hai
Kafan bantay hain jin pholoon say
Khushbu hoti nahain oon pholoon main
Iraday to pahar hotay hain
Hawaoon main itni sakat kahaan
Phir dain rokh paharoon ka
Aaftab agar mairi dastaras main hota

Bicha daita os ko tirgi kay dar par
Lay liya tha os nay mairay fareshtay say qalam
Likh diya apna hisaab mairay hisaab main
Aur sitam dhao agar dha sako
Mein wo darya hoon,
Jis kay moqadar main sirabi nahain
Lahu ki botal kiya karay gi os jism main
Zindagi ka ehsas nahain jis jism main

(46)
Qalam ki azmat ko man bhi laitay to kiya hota
Wo hath to qalam tha jis hath qalam tha
Qanoon ki yah majbori hai
Jab jis kay hath aata hai
Os ka ossay hona hota hai
Daras-e-sadaqat say pehlay wa'az
Ja Karbala say ja kar
Sadaqat ki qimat to poch
Go sab rastay Farat ko jatay hain

Jo pani Asghar ka na ban saka
Maira ban sakay ga?!

((47)
Khush aamdeed magar zulmatoon ka safar hai
Ankhoon main apni rakh kar charagh niklo
Shahidoon ki kahaniaan tairi zoban par hain
Tum bhi to kabhi lahu pehan kar niklo
Auroon ka tamasha daikhnay walo
Kabhi khud bhi ban kar tamasha niklo
Jab kabhi pani main mahtaab otray
Tum apnay mun main piyas otar kar niklo
Lafzoon main to darya qaid kartay ho
Maza jab hai diwaar-e-makar gira kar niklo

(48)

Zindagi kay khail zindagi tak hain
Tariki main doob janay walay
Kab subh tak hain

Umr bhar dukh jin ka moqadar raha
Zinda dukh ki dosti tak hain

Aati nasl ko koon batla'ay ga
Wo padaeshi aleel kayoon hain?
Johar nikli ghaza khatay rahay hain oon kay aslaaf

(49)

Rakh aaya hai woh jis diwar par aankhain
Paar os kay sehra ka maskan hai

Zamein kay waraso otho kuch to karo warna
Darinday kha jaein gay zamein ki ronaqain
Janay Esa kab aasman say otray

Karbala ki khaak say namood-e-subh ho gi
Koon rook sakta hai rasta Hussain ka

Wo aankhain jo kasi par pathar barsati hain
Log hain kah Budh kay bhikshu hoon jaisay

Raiat kay darya main piyas og aae hai
Phir koe Zainab nangay sar aa gae ho jaisay

Agar ab bhi koe jinay ka jawaz hai to
Anna ki hiddat mairay sinay main koe otar day

(50)

Os aankh main kiya kami thi
jis aankh main nami thi

Zirra pehhan kar aatay to koe baat bhi thi
Tum to golaab pehhan kar aa gay ho
Mordoon ki shaihar main kab kami thi

Farishtoon ko gonah ki lazzat kiya maloom
Essi liay oon ko
Khalafat-e-arzi mili nahain thi

Khaloos ko palkoon par saja kar latay
Dil ko bhala koon daikhta hai
Shaihar'dari phail gae thi

Jis kap main cha'ay nahain hoti
Hont os kap ka moqadar nahain bantay
Yah rasam to shoru say chali aati hai


Click to View FlipBook Version