(51)
Mein koon hoon yah faisla woh kar raha tha
Jo apni zaat say door hat giya tha
Oon sharaab aankhoon nay aisa sehar kiya
Bhook ka sara khomar chat giya
Badloon ki aaghosh main bijliaan thein
Bujh giya mairay jism main jo sharar tha
Kanch jismoon ko "yoonhi" samjhnay wala
Zakhm zakhm ongliaan liay phirta tha
Dastaras main tairay jab kaenaat ho gi
Yaad rakh mein kahein aur chala jaoon ga
Mairi mohabat ka emtihan lainay wala
Mohabat ki abjad say na’aashna tha
“Toor aaya hoon fakhtaoon kay sab anday”
Yah bool, pathar ka jism bool raha tha
Mairay inkar ki dastan to likh di os nay
Os kay hath par lahu, mowarakh likh na saka
(52)
Chragh othwa kar bijli lagwa di hai
Maira baita kab janta tha yah
Bijlioon ka daraya howa hoon mein
Jin qandiloon par koe charagh na tha
Wo qandilain jal othi hain,
Tairgi say dar kar
Jin wadioon par tairi rahmatain barsi hain
Daikhna og aaeingay wahaan
Insanoon kay sar
Sar jhoka kar sar bacha lain gay
Es basti main woh log nahain rehtay
Sar-e-mehfil jhoot khool daita magar
Maravat ki qaba thi mairay badan par
Zamanay bhar ki zillatain seh kar
Jo naafratain mein nay pali thein
Aaj bacha gaein mairay jhonpray ko
Maira qatl tum par dushwaar nahain tha magar
Piyas umr bhar sonay na daiti tum ko
(53)
Raat kay sinay main bu giya hai jo fasl
Ogain gay suraj ab her khilyan main
Darya ko bhala pani ki kiya talab thi
Woh to admi ka zaraf daikh raha tha
Bolbal ki baiqarari yoonhi na thi
Daikh raha tha wo
Lala-o-gul main qatil ki aankhain
Geroon ki tara woh mairi qabr par aa’ay
Kuch to takallaf kiya hota
“pagal hoon” chara’gar ka fatwa tha
Edher mein haad-e-jabr aazma raha tha
Kehnay ko to sab keh daitay hain
Bara mushkil hai karbala ka rasta
Hussain kay koch main iraday thay
Bai’irada aa giya hoon mein
Piyas kay darwazay tak
Pul toot jaein agar
Kinaroon kay rabtay nahain rehtay
(54)
Umr bhar ki riaiztoon ka sila
Dasht-e-tanhae mila
Os mehfal say jo bhi otha
Yaad main apni woh
Ansuoon ki mala choor giya
Lahu ka sina cheer kar
Hawaoon ka jab gozar howa
Koe zinda, zinda na raha
Haan miti ka ek diya jalta raha
Apni fatha ka yaqein tha jis ko
Os ki kaaman main
Ek teer bhi na bacha tha
Jab mein poncha
Meh’khana rindoon say ata para tha
Saqi ka magar ata pata na tha
Pait ka jahanum jab bharak otha
Qadmoon ko bach kar
Bisakhiaan woh khareed raha tha
Sanp bachay say aziz’tar tha os ko
Apnay hathoon woh os ko
Dudh pila raha tha
Roshni ki talash say pehlay
Chahar soo woh
Andhairay phila giya tha
Basharat ka darwaza khool day
Zulm aakhir zulm hai
Maat kha hi ja’ay ga
Zulm ki haad to daikh lainay doo
Hosla barhay ga
jitna woh aazma’ay ga
(55)
Dhoop ki tamazat main piyas liay khara tha
Kash os sa abar, araz-e-bimaar par otray
Adawatoon ki manzil hai ranjashoon ka yah safar hai
Golab ki khushbu ban kar koe qalab-pur’aazar par otray
Bond bond darya kiya jis jism ko maan nay
Mar na ja’ay gi wo maan
Bai’sabab wo lahu, talwaar ki dhar par otray
Jis chonch main ek nasl ki baqa ho
Qiyamat hai, os chonch par koe oqaab otray
(56)
Phool to ponchay thay apni umr ko
Matam to ghonchoon par barpa hai
Paimanay ehtaraman tehar gay hain
Abhi abhi koe mehfal say otha hai
Fareshtay daad daitay hoon gay
Ablees insan say maat kha giya hai
Subh dastak dainay aagae hai
Jaam mujh tak ponch giya hai
Visaal to nishan-e-manzil hai
Warna manzil par kab koe poncha hai
(57)
Mein baharoon ki talash main kayoon nikloon
Wo khud aaein gi mairay ghar par
Agar oon ko mairi zarorat ho gi
Shaoor-e-sitam logoon kay moqadar main nahain
Radha hi Bagwan rahay gi
Koon jamhoor ki taal sakay ga
Bachoon ko na sikhao Majnoon kay atwaar
Oon ki manzil apni hai
Onhain lafzoon ki gira kholnay doo
Shaihar-e-bai’basar ka yah ravaj kaisa hai
Edhar shoor zamein ka mazaj daikhna aaya
Other kae faslain kaat ga’ay log
Khala main phala kar hath
Bohat sharminda howa
Bantnay wala to mujh main hi tha
(58)
Jin darwazoon par dastak di thi
Wo kholtay nahain ko-e-yaar ki janib
Apnay honay ka yaqeen tha mujh ko
Chalan lay giya kocha-e-daar ki janib
Jis gulistan main baharoon ka basaira tha
Lay gae hawa ossay Sehra-e-bai’kinar ki janib
Wo nazr kab nazr rehti hai
Oth jati hai jo sarkar ki janib
(59)
Oon ki bai’wafae ka gila karta raha dil
Khud say baiwafae ossay yaad nahain
Jahaan aa tehra hai qafla-e-sabr-o-qarar
Jaltay hain khird kay baal-o-par wahaan
Mujhy maloon na tha tumain jald jana hai
Warna kayoon bachata pachtawa apnay liay
Jab bhi otra hai chand mairay aangan main
Lay aa’ay hain taraqi ki dulhan saja kar
Pehlay se koe dawa doo
Tabeeb ko magar marz yaad nahain
Woh mujhy mairi oqaat batatay hain
Jin ki apni koe oqaat nahain
Ek tasalsal sa hai qisa ha’ay eshq main
Aakhir kab tak taqleed-e-majnoon-o-farhaad karain
(60)
Jis jurm ki saza bhogat raha hoon
Wo jurm to ahal-e-karam nay kiya tha
Teh mein janay nahain daitein
Lehrain mairi lash ko
Day raha hai darya doob janay ki saza
Mairi zindagi main aag bhar di thi os nay
Ab rooz aata hai mairi qabr par deep jalanay* kay liay
Pura shaihar sajda main tha
Jo ghart-e-chaman tha
Saleeb par latka howa tha
Ameer-e-shaihar par sab ko naz tha
Khareed raha tha wo roshni bach kar aankhain
Fareshtay sajda main kayoon na girtay
Aadam ko apnay honay par yaqeen tha
Essay maira taghafil na samjho
Aaoon ga ab mein tumharay paas
Dha kar aasman ko
-----------------
*aag
(61)
Baat aankhoon ki hoti to koe baat bhi thi
Moamla dil say aan para hai
Daktar ki fees nahain rahi mairi basaat main
Mohabat main faraib say kaam na lo
Sachae kay sab rastay hain
Hussain kay rastay say ja miltay hain
Mohabat say jab koe maira naam laita hai
Samjh jata hoon mein
Emtihan ki pul’sarat say gozarnay wala hoon
Jis lahu main surki hoti hai
Wo lahu darta nahain
Karbala koch kar janay say
Woh gohray bach kar sota raha
Edhar raat kha gae roshni ko
Apna haq lay na saka aur khud’koshi kar li
Mein qais-o-farhad nahain jo sar-e-daar aaoon ga
(62)
Mohabat kab paas’dar rahi hai
Qadroon ki taqazoon ki
Izhaar ko faqt ek bahana chahiay
Jin aankhoon kay hum ghulam thay
Wo aankhain to girvi pari thein
Eak sath ki tajuri main
Jis aanchal main panah chahi thi
Os aanchal kay her taar main
Hydrogan thi Fasphoras tha
Jo shaihar lahu lahu tha
Pholoon ka kho’gar
Os shaihar ko ghar banata kaisay?!
Majnoon ki taqleed na kar
“Shosha” say kocha-e-mahboob main ja
Eak kiya,
Sab mahboob tumharay hoon gay
Nahain, nahain yah kaisay yaqein kar loon
Aansu palkoon par bai’sabab aaya nahain kartay
(63)
Mujh par reham karnay ka tumhain kiya haq hai
Zest kay moqabil khara hoon jan janay tak
Jo aag main kood giya Khaleel tha
Mairay liay aag,
Aag rahay gi yaqein aanay tak
Yaqeen karnay na karnay say kiya faraq parta hai
Khuda moamma hi rahay ga rubaru aanay tak
Sharaab main agar nasha hota
Tujhy bhool jata, hosh aanay tak
Hakayaat-e-majnoon sonnay ki kisay forsat hai
Zinda ho to, Zindagi ki koe baat karo
Abhi para rehnay doo maira janaza oon kay dar par
Yoon ja na sakain gay woh miray raqeeb kay dar par
(64)
Mein takhleeq’kar hoon
Mairay sabr ki haad tum nay kab daikhi hai
Tum dhatay chalo mein banata jaoon ga
Log samjhy khatam hoe eshq ki kahani
Kacha ghara darya lay kar
Darya main otar giya
Mohabat ko yoon roswa na kar
Tairi zoban moravat main rahi
Dil ki baat to aankhoon main thi
Baikar galyoon main dhondta raha
Choor to miray apnay dil main tha
Chop ho ja, apni nasiat apnay paas hi rakh
Agar wo jalna tarak kar dain gay
Onhain parwana koon kahay ga
(65)
Mairay khaab jin aankhoon main paltay rahay
Oon aankhoon ko binae ki zarorat na rahi
Choor loot kar lay gay
Zindagi aur saman-e-zindagi
Charagh-e-shab apni bai’basri par rota raha
Jalaad!
Khaak taira yah kamal hai
Aman pasandoon ko
Marnay waloon ki sisakiaan sonay nahai daitein
Jabreel ka ab yahaan koe kaam nahain
Zamein ka vadairayahhi kehta hai:
“Linkan” ki kitaab kafi hai insan kay liay
Her phool ki ragoon main zehar bhar di
Marnay walay bhi nafrat ki fasl kata karain
(66)
Eak bar hi qatal kar doo
Apnay sakht jan ashaq ko
Ya phir rosvae ka gila na kiya karo
Lay jao mujhy koe itaraz nahain
Par itna bata doon
Ronay kay siwa es dil ko koe kaam nahain
Shoor zamein main golaab bu kar
Khush’bu ki jo tamanna kartay hain
Oon say barh kar koe ahmaq ho ga?!
Nasha sharab ka ho kah shabab ka
Mabood bana daita hai insan ko
Maslihat pasand insanoon ka
Naqaab othany ka takallaf na kar
Tairay atwaar say mein nay
Parh liay hain
Tairay cehray kay sab khad-o-khaal
Mairi dunyaan main na aao
Pehlay hi say dara howa hoon
Jan lay lay na kahein taira yah surkh libas