pal pal tere
Namr is dil se --X2
Tere lahu ke
paak bahav mei
Mujhko shudh ker de --X2
Is shareer
mandir me hardum
Teri prasannta rahe --X2
Mere jeevan me prabhu
Mere Jeevan me....
6. PAVITRA AATMA AA
Pavitra aatma aa Pavitra aatma aa
Mujhe le jaao yeshu ke charno mai,
pavitra aatma aa
Sirf tere liye
yeshu tere liye
Sirf tere liye
yeshu tere liye
Sirf tere liye
yeshu tere liye
mai haath uthata hu
1. Ghutne tika kar sir jhukakar,
haath uthata tere liye --X2
Sirf tere liye
yeshu tere liye
Sirf tere liye
yeshu tere liye
Sirf tere liye
Page | 51
yeshu tere liye
mai sir jhukata hu
2. Yeshu he marg hai
yeshu he satya hai
Yeshu he jeewan hai,
yeshu mera prabhu
7. ANAND KI BHARPURI
Yeh jeevan hai Tera Prabhuji
Tu hi raj kare, ho Teri marzi --X2
Sang Tere, hum gaate jaayein
Aaye museebat, muskuraayein --X2
Tere bhavan mein
anand ki bharpuri hai
Yeshu ki sang to
jeevan mein santushti hai --X2
Kroos par sab hui samapti
Haara shaitan,
mili paapon se mukti –X2
Teri maut se mili hai azaadi
Rok sake na humein
ab koi shakti
Tere bhavan mein…
Bharpuri bharpuri,
anand ki bharpuri
Page | 52
Santushti santushti,
Yeshu mein santushti
Mera pyaala
umad umadte bhare
Mera jeevan Yeshu,
Tu khushi se bhare
Tere bhavan mein…
8. TU BADE, MAIN GHATU
Tere Naam ke liye,
Jiye hum – X4
Tu Bade, Main ghatu
Mere jeevan se
mahima tujhe miley – X2
1. Stutiyon ke
beech mein,
Viraajmaan Prabhu,
Tu bade aur
main ghatu – X2
Tu Bade, Main ghatu . . .
Yeshu Naam
mein hai Changayii . .
Yeshu Naam
mein hai Rihaayii . .
Yeshu Naam
mein hai Bhalaayii . .
Page | 53
Yeshu Naam
mein hai Sachhaii . . – X2
Tu Bade, Main ghatu
Mere jeevan se mahima tujhe miley – X2
Tu Mera hai,
Mai Tera hoon – X4
Hai Khuda, mere khuda,
Mera jeevan,
tera khuda – X2
YESHU
Tu Bade, Main Ghatu . . .
9. NACHOONGA GAOONGA
Nachoonga Gaoonga paglon ke samaan
Hosh mein na rahoonga mera Raaja hai mahaan -X2
Nachoonga, khoke apna swaabhimaan
log kahe ish moorkhta
Gaoonga, mera Raaja hai mahaan
na na na na na na, hey –X2
Nachoonga, khoke apna swaabhimaan
log kahe ise moorkhta
Gaoonga, mera Raaja hai mahaan
Nachoonga, paglon ke samaan
Gaoonga, mera Raaja hai Mahaan
Page | 54
10. YESHU MASHI TERE JAISA HAI KOI NAHI
1. Yeshu mashi tere jaisa hai koi nahi
tere charno mai jhuke aasman
aur mahima gaye (zameen) –X2
Chorous:
2. Hum gaye ho-sanna
Tu rajao ka hai raja
teri mahima howe sadha
tu hai prabhu humara khuda - X2
3. Pyare pita tune hum se kitna pyar kiya
Hume paapo se
chudane ko
Apne bete ko kurban kiya
11. YESHU TERA NAAM SABSE UNCHA HAI
Jis naam me hai mukti,
jis naam me hai shakti
Jis naam me hai shanti, deta wo naam changaai
Jis naam me hai zindagi, yeshu hai wo naam
Jis naam me hai bandagi, yeshu hai wo naam
Yeshu tera naam
sabse uncha hai - X4
Bimari se gareebi se, shraapo se hai chudata
Page | 55
Wo naam hai jo andho ko roshni bhi hai deta
Jis naam me hai zindagi, yeshu hai wo naam
Jis naam me hai bandagi, yeshu hai wo naam
Yeshu tera naam sabse uncha hai – X4
12. YESHU TERA PYAAR
Apne haathon se
mujhe chalaata
Apnee chaaon mein mujhe chupata
Apne ashishon se barpur karta
Apne vaadon ko
poora tu karta
Anugrah ka pita hai tu
Ashisho ka soda hai tu
Daya ka daata hai tu
Shaanti ka
raajkumaar hai tu
Yeshu tera pyaar
kitana mahaan
Besh- keemti
tera balidaan
Apne seene se
mujhe lagaata
Apne aatma se
mujhe tu bharta
Mere bojh ko tu uthaata
Saare dard ko tu mitaata
Page | 56
Ab tak hamein
sambhaale rakha
Ant tak tu
sambhaale rakhna
Shooney se hamein
hazaar kiya
Shukriya tera
sada sarvada
Dhanye hai tera naam
Pavitr hai tera naam
Sarvottam hai tera naam
Shaalom hai
tera naam -X2
13. ZINDAGI TERE NAAM
Chorus: Zindagi yeh meri
Hai Teri hi amanat
Jab talak saans hai
Main Karun Teri Ibadat
Zindagi kar diya
Tere naam YESHUA
Zindagi kar diya
Tere naam
Zindagi kar diya
Tere naam YESHUA
Zindagi kar diya
Tere naam
1. Chala Jaa Raha tha
Gum-namiyon main
Page | 57
Naa thi koi
Zindagi Yeh meri
Viraniyaan thi
tanhaiyaan thi
Mushkil main thi
Zindagi yeh Meri
Tu jo mila hai aise masiha
Jaise mili roshni
Tu jo mila hai aise masiha
Jaise mili roshni..Roshni
2. Paaney se tujhko
Paa liya sab kuch
Ab hai na koi kami..Kami
Dil bhi hain tera
Dhadkan bhi teri
Saansein bhi hai ab teri..bas teri
Ab jo Chal raha hoon
Teri daya hai
Tera anugrah Mahan
Ab jo Chal raha hoon
Teri daya hai
Tera anugrah Mahan
3. Mera Aaghaaz Tu hai
Mera Anjaam Tu hai
Tu Mera Rahnuma
Mera Rehbar bhi Tu hai
Mera jeena bhi tu hai
Page | 58
Aur marna bhi tu hai
Mere saanso ka
chalna bhi
Bas tu he tu hai. .
Haan Bas tu he tu hai . .
14. HAI TUJSA KOI NAHI
Teri Jai howe sadaa
Sanatan tak tu raj kare
Hai tujhsa koi nahi
Sinhasan pe virajman
Dharti gaye teri gungaan
Hai tujhsa koi nahi
[Pre-Chorus]
Ghutno pe aate hai
Jai te-ri gaate hain- X2
[Chorus]
Tu mahaan, mahaan, mahaan hai
Tu mahaan, mahaan, mahaan hai
Hai tujhsa koi nahi
1. Parmeshwar hai tu
Jag udhaar hai tu
Srishti ka rachaita
khuda mera tu
Parmeshwar hai tu
Jag udhaar hai tu
Srishti ka racheta
khuda mera tu
Alpha hai tu omega bhi tu
Page | 59
Saare mandal ka
badshah hai tu
2. Jisne dekha
Yeshu teri aur
Paayega shifa tujh se woh
Yahova rafa
Elohim hai tu
Sang rehnewala
khuda hai tu
15. DHANYAVAAD KE SAATH STUTI GAOONGA
Dhanyavaad ke saath stuti gaoonga
he yeshu mere khuda
upakaar tere hai beshumaar
koti koti stuti
dhanyavaad -X2
Yogyata se badh ke diya
hai apni daya se
tune mujhe X2
maangane se jyaada
mila mujhe
aabhaari hun
prabhu main X2
Dhanyavaad ke saath stuti gaoonga
he yeshu mere khuda
upakaar tere hai beshumaar
koti koti stuti dhanyavaad
Page | 60
Tu hai sachcha zinda khuda
tujh par hi
bharosa mera X2
seva puri karke
paun inaam
prabhu aisa
do varadaan X2
Dhanyavaad ke
saath stuti gaoonga
he yeshu mere khuda
upakaar tere hai beshumaar
koti koti
stuti dhanyavaad X2
koti koti
stuti dhanyavaad X2...
16. NA TO BAL SE
Na to bal se na shaki se
Par teri aatma ke duara
Na to bal se na shaki se,
Par teri aatma ke duara
Yeh pahaad hat jaega yah pahaad hat jaega
Yah pahaad tal jaega par teri aatma ke dvaara
Ye rogi changey hoga ,
ye rogi changey hoga
Ye rogi changey hoga ,
ye rogi changey hoga
Page | 61
17. AWAZ UTHAYENGE
Awaz Uthayenge ,
Hum saaz bajayenge
Hai Yeshu mahan apna,
Ye geet sunayenge ‘Awaz’ –X2
1. Sansar ki sundarta mein,
Yeh roop to tera hai,
In chand sitaron mein,
ye aksh to tera hai,
Mahima ki teri batein,
Ham sabko batayenge
Hai Yesu mahan apna,
Yeh geet sunayenge ‘Awaz’
2. Dil tera khazana hai,
Ek pak mohabbat ka
Thah pa na saka koyi,
Saagar hai ye ulphat ka
Ham teri mohabbat se,
Dil apna sajayenge
Hai Yeshu mahan apna,
Ye geet sunayenge ‘Awaz’
3. Na dekh saka hamko,
Tu pap ke saagar mein,
Aur banke
manushya aaya,
Aakash se sansar mein
Mukti ka thu data hai,
Ham sabko batayenge,
Hai Yeshu mahan apna,
Page | 62
Yeh geet sunayenge ‘Awaz’
18. AARADHNA MAI HAI CHUTKARA
Aaradhna mai hai chutkara,
Aaradhna mai hai changaii
Sharir praan aatma mai shanty aanand deta hai
jaan se pyara prabhu
Prarthna kare
aradhna kare,
Wo aacha hai
kitna bhala hai – X2
Chutkara paaye
humesha – X2
1. Mangoge tho tumhe milega, dhundoge
tum paaooge –X2
Khatkhatao khulengi swarg ki aashishe
paao tum usse aabhi.
Prarthna karo niranter, prarthna karo
vishwas se – X2
Dharmi jan ki prarthna visvas ki prarthna
kholti hai sare bandhan ko
Page | 63
19. YESHU AA (TERE PAAS AATA HU)
Tere paas aata hu,
yeshu tere paas – X2
Har pal meri har saans,
teri mahi ma gaati rahe
Har din meri har baat,
teri stuti kerti rahe
Yeshu aa ………..X3
20. MUKTI DILAYE YESHU NAAM
Mukti Dilaye
Yeshu Naam
Shanti dilaye
Yeshu naam X2
1. Yeshu daya ka
behta sagar X2
Yeshu hai data mahan
2. Charan mein tu ne janam liya Yeshu -X2
Suli pe kiya vishram -X2
3. Hum sabke papo
ko mitane -X2
Yeshu hua balidan –X2
Page | 64
4.Krus par aapna
khun bahaya –X2
Sara chukaya daam –X2
5.Hum par bhi
Yeshu kripa karna –X2
Hum hai paapi nihal –X2
21. CHOO MUJE CHOO
Choo muje choo pavitra aatma muje choo..
Mere mann ko ,
mere mann ko,
Mere rooh ko ,
mere rooh ko,
Mere badhan ko choo…X2
Choo muje choo pavitra aatma muje choo..
Bharde bharde pavitra aatma Bharde
22. CHARWAHE NACHE JHUM KE
Charwahe nache
jhum ke , ho….ho.. X2
Aaj sabhi ga rahe, surmila rahe.. X2
Milke kare
vandana oh…X2
Charwahe….
Page | 65
1. Raja ka janam hua,
paye khabar
Shanti wo laya
iss bhu par…X2
Ishwar manushya bana bal yeshu janma
Aaya mukti data bankar ..
Charwahe …
2. Pavan gaushala kahe Bethlehem mein
Ek naya raja
jahan janma ..2X
Ishwar manushya bana bal yeshu janma
Aaya mukti data banker ..
Charwahe …
3. Humko sandesh mila devdut se
Mariam ne janma balo yeshu..X2
Ishwar manushya bana bal yeshu janma
Aaya mukti data bankar ..
Charwahe …
23. SIYON DESH, HAMARA HAI DESH
Chorus:
Siyon Desh,
Hamara Hai Desh,
Rahte hain
ham Pardesh Jayenge ham apne desh
(Halleluya ) -X4
Page | 66
1. Dukh jo hamare yahan,
na honge phir waha -X2
Sare dukhon ka
anth hoga -X2
Dukh ke ansu
Yeshu ponchhega –X2
2. Mann na lagayen yahan,
Jana hai hamko waha –X2
Yahan ke dukhon ka
anth hoga -X2
Wahan ke sukhon ka
anth na hoga -X2
3. Ayegga Yeshu yahan,
le jayega hamko waha X2
wada Yeshu ka
pura hoga -X2
Ananth jiwan hamko milega -X2
24. RAB KI HOVE SANNA HAMESHA
Rab Ki Hove
Sanna Hamesha
Rab ki hove sanna X2
Rab ki hove madasarai, Uski naam ki sanna
Uski naam ki sanna hamesha, Rab ki
hove sanna
Rab ke ghar mein hove shittaish,
Uski hamdo sanna
Uski hamdo sanna, hamesha Rab ki
hove sanna
Kamo main hai woh kaisa kadir, Uski kudrat bata
Page | 67
Uski kudrat bata hamesha, Rab ki
hove sanna
Jai ke jor se phukon narsinge, Barbat bin baja
Barbat bin baja hamesha, Rab ki hove sanna…
Tarddar sajon par ragani chhedo,
Daf aur Tabla baja
Daf aur Tabla baja hamesha,
Rab ki hove sanna…
Sare milkar tali bajao, Gao rab ki sanna.
Gao rab ki
sanna hamesha,
Rab ki hove sanna...
25. NEELE AASMAN KE PAR JAYENGE
Neele Aasman Ke
Par Jayenge
Mera Yeshu
rehta wahan -X2
Ham milenge,
badalon par -X2
Dekhenge sara jahan
Neele aasman.....
1. Uska koi bhi wada
na hota aadhura
Har ek wada uska
hota hai pura
Uska koi bhi wada -X2
Uske Aane ka wada
bhi hoga pura
Page | 68
Dekhega sara jahan ...
Hum milenge.....
2. Yeh vishwas hai mera
Jo hoga pura,
Sapna yeh mera,
Nahi rahega aadhura
Yeh vishwas
hai mera -X2
Uske sang hum rahenge apne Yesu ke pass
Dekhega Sara jahan… Hum milenge…
26. KHUSI KHUSI MANAO
Khusi Khusi Manao –X2
Bolo bolo Masiha ki jai, jai jai -X2
Mere liye aaya,
Mere liye jiya -X2
Mere liye
Yeshu ne dukh uthaya
Mere liye mara Gaya, mere liye gara Gaya -X2
Mere liye phir ji utha, Mera hai Masih -X2
Mai Masihka hun,
hum Masih ke hai
Kushi, khusi....
Page | 69
27. BOLO JAI MILKAR JAI
Bolo Jai Milkar Jai, Bolo Jai Yeshu Ki Jai -X2
Bolo Jai Jai Jai.
1. Prem tere ki yahi rit,
Mann main bharde
apni prit -X2
Tere prem ke
gaye geet -X2
2. Krus par apna khun baha
Muj paapi ko di shifa -X2
Mann mere tu bol sada -X2
3. Teri kudrat ki yeh shan
Khud hi daata,
khud hi daan- X2
4. Pure kar
man ke arman -X2
Khidmat apni
lay mujhsay
Is mandir may
Tuhi basay -X2
Hind mein
tera nam rahe -X2
Page | 70
28. AAJ KA DIN YAHOWAH NE BANAYA HAI
Aaj ka Din Yahowah Ne Banaya Hai
Hum isme, Aanandith – Aanandith ho.
2. Prabhu ko mahima milay
Chahe ho mera apman -X2
Who badeh main ghantoon
Rahe usi ka diyan - X2
3. Stuti prasansa Karen
Kyon na kuch hota rahe -X2
Usko hum bhate rahe
Chahe jahan bhi rahen –X2
1. Aata hoon tere paas
Mujko hai tujse aas –X2
Mujhko kabul karle
Papo se sudh karle –X2
29.ANUGRAHAKAARI PRIYA PRABHUJI
Chorus:
Anugrahakaari
Priya Prabhuji
Teri sharan mein
hum atein hain
Tan mann dhan thujko
bhet chadaake
Karte hain hum tuje sashtaang pranam
1. Har din Thu hamen
Aasishen detha
Girne se humko bachake
Thu raktha—X2
Jeevan ke is lambe
Page | 71
Safar mein
Tere vachen hi
raah dikhata
Anugrahakaari….
2. Sankat, klesh tho
aaten rahenge
Par tere anugrah
kaafi hai har pal—2
Hum tere kadmon mein
chalthe rahenge
Jeet hamari hogi
aakhir zarur
Anugrahakaari….
3. Seva Yeshu se
hum ko mili hein
Mitti ke barthan leke
khazaane hai swarg ka—X2
Toot jaaye tho bhi
parva nahin hai
Mahima hum tujko
dethe rahenge—X2
Anugrahakaari….
30.YESHU HAI SACHAE GADERIYA
Yeshu Hai Sachae Gaderiya
Ooski hum bhede hain
Hari charaiyon mein huma charatha hai
Ghati paharo mai
lai chalta hai
Jaha par sukdhai jal ke jharne hai –X2
Mujhe kisi ka ab to dar nahi hai- ha ha ha
Page | 72
Kyun ki Yeshu mera jo mera sathi hai X2
shankat mai meri
raksha vo karta hai
Shaitan se hume
bachata hai -X2
31. USNE DAKRAS AUR TEL UNDHELA
Usne Dakras Aur
Tel Undhela
Mere aatama ko
changa kiya
Yariho ke kinare
Adam hua bada
Usne dakras aur
tel undhela
Yeshu Yeshu Yeshu maine tujhko pa liya-X3
Maine Yeshu Ko pa liya
32.KARTE HAI TERI HUM STUTI
Karte Hai Teri Hum Stuti
Hriday ki gahrayo se
Yeshu tu hi hai, tu hi hai hamara Prabhu –X2
Mahima ho Teri,
mahima ho Teri –X2
Atma aur sachai se,
Teri aaradhna karenga
Oocha aur oocha,
sabse oocha rahe tera naam –X2
Mahima ho Teri,
mahima ho Teri –X2
Page | 73
Aaye hai Teri charno mai,
stuti prashansa karenga
Yeshu tu hi hai,
tu hi hai hamara Prabhu –X2
Mahima ho Teri,
mahima ho Teri –X2
33.TERA PYAR HAIN MAHAN
Tera Pyar Hain Mahan, Tera Pyar Hai yahan
Mein Jo pehle murda tha tu ne dali mujhme jan
Kyo Na bolu phir mein teri jai jaikar –X2
Cho- Jai jaikar –X2
Tu ne mere liye kya kuch Na kiya –X2
Meri Surat bheegdi thi mera dil bhi tha khali
Tune sicha tha khun se, taki aaye haryali -X2
Aaye jeevan mein khushi, aye abdi zindagi
Tu hai zinda shafiya,
tu ne yah hai kiya –X2
Apni ruh se bhar diya, apni Shakti mujhko di
Ta ki du main gawahi, Teri jee uthne ki - X2
Page | 74
34. DUNIYA KE KONE KONE MEIN
Duniya ke kone
kone mein
Ghunj raha
Yeshu ka naam –X2
Kesa pyara
Yeshu ka naam
Duniya mein hallelujah
Bharat ke kone kone me
Ghunj raha Yeshu ka naam -X
Kesa pyara
Yeshu ka naam
Bharat mein hallelujah
35.YESHU KE PICHE MAI CHALNE LAGA
Yeshu Ke Piche Mai Chalne Laga –X3
Na lautunga,
na lautunga –X2
Sansar ko chodkar
sabhi ko lekar -X3
Na lautunga,
na lautunga –X2
Ghar koi mere
sath na ave –X3
Na lautunga,
na lautunga –X2
Page | 75
36. CHHOD DE
Cho- Chhod de chhode ,
apne aap ka bharosa
kar mashi pe bharosa
vo tuje janta hai
1. Do-chaar din
ki hai teri,
Yeh rang, roop aur yeh javaani,
Yah dhan-daulat aur shauharat,
Ho jayegi ek din pani,
Chalne wale saansen bhi theher jayenge
2. Duniya ki taakat ka,
kabhi bhi bharosa na karna,
Jhootha pyaar
jhootha jag saara,
Kisi par bharosa na kar,
Kachche dhaagon ka yeh
bandhan toot jaega
3. Apni phikr too
kabhee na kar,
Teri phikr to
maseeh karega,
Jahaan mein ek hai
vo sahaara,
Saaree mushkilen maseeh aasaan karega,
Sukh shaanti ke,
ye ghar lekar jaega
Page | 76
37. KUCH HAI JO MERE ANDHAR
Kuch hai jo mere andhar
Kaam karta hai woh bahar
Jivan mera badal gaya –X2
Woh mera jivan badal gaya
Yeshu mere andhar
Kaam kerta hai woh bahar
Jivan mera badal gaya –X2
Woh mera jivan badal gaya
Aatma mere andhar
Kaam kerta hai woh bahar
Jivan mera badal gaya –X2
Woh mera jivan badal gaya
38. TERI JAI HO YESHU
Teri jai Teri jai teri jai teri jai teri jai teri
jai ho yeshu. X2
Mera himat tuhi hai ….
Meri taqat tuhi hai…..
Oh mera
jeevan tuhi hai.. . –X2
Jab andheri rahon se hokar
Chal na pare toh bhi
mai na darunga
mai na darunga ... –X2
Mera gerbhi tuhi hai
Tuj mai hi mai cheap jaoga
Page | 77
Mera bero sha…tuhi hai
39. AAJA RE
Dar pe tere aaye hai hum jhukaaye
Ye sir ko tere saaamne
Sab kuch bhoolake
Hum haatho ko jode hue aae paas tere
Aaja re Aaja re
Oh YESHU mere
Aaja re Aaja re
Intezaar hai tera re
Hum pure dil se tujhe hi pukaare
Jaha bhi hai tu aaja re
Haatho me tere hume tu sambhaale
Ab tu kahi aja re
Har naam se uncha hai
Tera naam jo meetha hai
Tera naam jo succhaa hai
Tera naam jo pyaara hai
Tera naam jo acchaa hai
Tera naam jo yahaan hai
Tera naam tera naam
YESHU naam
Page | 78
40. SAARI MAHIMA
Saari mahima
Saara aadar
Laate hai tujhko –X2
Dil ke kareeb hai vo
Mere kareeb hai
Jaaun kaha ye to bata
Tere siva jaaun kaha
Cho-
Kyunki tu hai
Tu hai
Tu hai
Tu hai yahaan
Dil ke kareeb
Mera PRABHU
Aur nahi dujaa
Kyunki tu hai
Tu hai
Tu hai
Tu hai yahaan
41. AZAAD HOON
1. Tu hi hai woh Jo
Mujhko chudata
Tu hi hai who
Jo mujhko sambhalta
Dekhta hoon main jab
Tere kroos ki or
Tu hi hai who
Page | 79
Jo mujhko bachata
Main azaad hoon
Main azaad tere lahoo se hua hoon
2. Tu hi hai who
Jo mujhko uthata
Tu hi hai who
Jo mujhko chalata
Dekhta hoon main jab
Tere kroos ki or
Tu hi hai woh
Jo mujhko daudata
Toote saare bandhan
Azaad main hua hoon
Main azaad tere
lahoo se hua hoon
42. HEY SWARGIYA PITA
Hey Swargiya Pita
Tere Naam Ki Stuti Ho
Hey Jeevandaata
Tere Sanmukh Aate Hum
Aaradhana …
Ho… Aaradhana
Aaradhana …
Ho…Aaradhana
Tere Siva Koi Nahi
Aaradhana Ke Yogya
Page | 80
Tere Saman Koi Nahi
Swarg Mein Ya
Prithvi Mein
43. GIN GIN KE STUTI KAROON
1. Gin gin ke stuti karoon,
Be shumar tere daano ke liye
Ab tak Tu ne sambhaala mujhe
Apni bahon mein liye hue
Gin gin ke…
2. Tere kshatru ka nishana,
tujh par hoga na safal –X2
Aankhon ki putali jaise
woh rakhega tujhe har pal –X2
Gin gin ke…
3. Aandhiyan ban kea aye,
zindagi ke fikar –X2
Kaun hai tera khevanhara
hai bharosa tera ki dhar
Gin gin ke…
4. Aaye jo tujhko mitane,
Ve shastra honge be-asar- X2
Tera rachane wala tujh par,
rakhata hai apni nazar -X2
Gin gin ke
Page | 81
44. JO KRUSH PE KURBAN HAI
Chorus: Jo krus pe kurbaan hai,
wo mera masiha hai
Har zakham jo uska hai, wo mere gunaah
ka hai – X2
1. Is duniya me le aaye,
mere he gunaah usko
Mere he gunaah usko
Ye zulm-o-sitam us per maine he karaya hai
Maine he karaya hai
2. Insaan hai wo kaamil,
aur sachha khuda wo hai
Aur sachha khuda wo hai
Wo pyar ka dariya hai,
aur sachaai ka rasta hai
Aur sachaai ka rasta hai
3. Dene ko mujhe jeewan, khud maut sahi usne
Khud maut sahi usne
Kya khoob hai kurbaani, kya pyaar anokha hai
Kya pyaar anokha hai
Page | 82
45. PYAR MILTA HAI
Pyar milta hai, Udhaar milta hai –X2
baichain dil ko karaar milta hai –X2
Yeshu ke naam se ...
Aandho ko drishti milti hai, laachar shanti paate
bandhan me jo jakde hai, wo santi paate –X2
Her gum ki dawa Yeshu, Yeshu masiha hai
Aao tu chale aao, jeewan yaha hai –X2
46. US KROOS KI KYA BAAT HAI
Us kroos ki kya baat hai jisne hai humko bachaya
yeshu mashi ne tere liyemere liye lahu bahaya –X2
1. jab mai gunaho me dooba hua tha
us kroos per mera naam likha tha
yeshu ne apna khoon baha ker
us naam ko hai mitaya
yeshu masih ne tere liye
mere liye apna lahu bahaya
2. jab wo chadhaya tha us kroos per
masih ne kaha aye pita maaf kar –X2
maaf kerde un loogo ko
jisne mujhe thukraya
yeshu masih ne tere liye
mere liye apna lahu bahaya
Page | 83
3. Ab hai gunaho se kya wasta
masih sang rahu mai rahu mai sada –X2
pita ke he charno me gaata rahun me
ab ye geet doobara
yeshu masih ne tere liye mere
liye apna lahu bahaya
47.VANDANA KARTE HAI HUM
Vandana karte hai hum - X4
Hriday ko tere samne; laakar rakhte hai ham
Hirdaya mei mere Masiha, jeevan deep jalao –X2
Hirday ke papo ko dhokar, prem ki rah dikha –X2
Mei hoon nirbal manav, Papo ke sagar mei khoya
Ab tum sambhalo Yeshuji, Bhav sagar mei hoon khoya
Shakti de do mujhko, Mera nahi koi meet
Jeevan ko mere le lo, Gaaoon mei tere hi geet
Suli par chadkar mashiha tune hamko bachaya
Mukthidatha benkar mukthi marg dikaya
Page | 84
48. Kaisa suhana din hai khusi ka (x-mas)
Cho- Kaisa suhana din hai khusi ka ,
Yeshu ne liya janam –X2
bhola farishta dekho use tum ,
yehu ne liya janam .
1. Virano me hua ujala
charwa darne lage –X2
bhola farishta dekho use tum ,
yehu ne liya janam .
2. Purab disha se
aye jyotishi,
Taro ko leker nishan –X2
bhola farishta dekho use tum ,
yehu ne liya janam .
3. Gawo khusi se
madhur suro me
Raat suhana hai aaj -2
bhola farishta dekho use tum ,
yehu ne liya janam .
49. Bhetlehem ki thandi hawaye(x-mas)
Cho- Bhetlehem ki
thandi hawaye,
dhire se ao dhire jao -2
Shantika raja
yeshu araha hai,
taro ki jyoti dhire se ao -X2
Yeshu ne jaate samai kaha, shanti ka atma
deta thumhe diya -X2
Page | 85
anand thumhe
na choda khabi,
shanty ka atma deta abhi
1. Agya hai meri ki prem karo ishwar ki
agya ko pura kro -X2
Apas me sabkha adar karo ,
yeshu ki sewa karte raho
2. Who hamara satya aur jivan bhi hain,
Kone ka anmol
patthar bhi hain -X2
Jo koi uspar viswash
Jo late hain
Lajjit na hongi jeevan bhar
50. Paida huwa hai mashi hamara (x-mas)
Paida huwa hai mashi hamara sabka sahara
paln hara -X2
aa……aa…..aa…… -X3
Deep jale hain
pag- pag me anand chaya
ghar ghar main
Awo jhume nache gaye,
khusiya manaye aj yaha X2
aa….aa……aa..X3
Charon main aur
khusiya laye ,
har jan ke maan mein umang laye,
girja gahr me
phool gagan main
charni me apne shaan charaye X2
Page | 86
aa………..aa…………X3
Thandhi hawaye sangeet laye khoyal
jinhe geet sunaye, Aarpan karke
yejivan sara -X2
51. Dur Dur sath chal (good friday)
Dur dur sath chal
jaha mid yeshuke sath chal
Aur kitne dur chale
jevan hai kaon se vara
aa…aa….aa…..aaa….aa..
ho….ho…….ho….ho..ho
Jivan usne dediya
Mout ke chaye tale
Apne hi lahu se
Humko kharid liya
Andhiyaro ke chai me
Papu ke bhuj se
Kiase basega tu
yeshuke sahare chal
Samai uski aneka
Jaldi se tayari kar
Badal par woh ayega
Yeshu le janeko
Page | 87
52. Manware (good friday)
Manware , karle tu towbha abhi char din ke
zindegi hai ye
kiya jane kaun –kal ho kya
1. Yeshu mashiha ne dukh utaya
hathoon aur peiro ko ghayal kiya
ho…..ho….ho….ho. -X2
sir par bhi kato ka
taj pehna-X2
bas tere liye papi re -X2
2. Waqt abhi hai tu aja karib
yeshu se mukti le le abhi
Ho…ho…..ho….ho…
dekh salib se aye pukar X2
Naya jevan tu pale X2
53. Aradhana ho Aradhana
Cho- Aradhana ho Aradhana
Khudawand Yeshu ki Aradhana –X2
1. Pavitra dil se aradhana
Premi man se aradhana –X2
2. Shantidaata ki aradhana
Muktidata ki aradhana –X2
3. Mere Masiha ki aradhana
Jeevandaata ki aradhana –X2
4. Doonto ke sang omit aradhana
Stuti prashansa aradhana –X2
Page | 88
54. Aradhana hum karte hai
Aradhana hum karte hai
Poore dil aur mann se
Teri mahima gaate hai
Aur hum kehte hai
Dil se kahte hai
Aur hum kehte hai...
Aa prabhu
YESHU aa
Mujhe me ho
Teri mahima
Aa prabhu
Yeshu aa
Mujhe me ho
Teri mahima
Mujhe me ho
Teri mahima...
Tere bhawan me
Hum aate hai
Tere bhawan me
Hum aate hai
Saara aadar
Hum tujhko dete hai
Aur hum kehte hai
Dil se kehte hai
Aur hum kehte hai
Aa prabhu
Page | 89
YESHU aa
Mujhe me ho
Teri mahima
Aa prabhu
YESHU aa
Mujhe me ho
Teri mahima
Mujhe me ho
Teri mahima.....
55. Jai Jai Prabhu Yeshu Ki
Jai Jai Prabhu
Yeshu Ki -X2
Hum Ko Bachane
Aaya Jagat Mai
Uski Sthuti Karo
Ah ha ha ha ha ha – Hallelujah
Ho ho ho ho ho ho – Hosanna,
La la la la la la… Hallelujah Amen
1.Khoon Ki Dhara
Behti Suli Se
Jisme Dhule Sab Paap,
Page | 90
Dholo AbTum Apne Hriday Ko
Jinme Rahe Na Daag -X2
2.Grahan Karo
Tum Aaj Yeshu Ko
Prem Ki Behti Dhaar,
Usko Bana Lo
Jeevan Hara
Naya Lagalo Paar -X2
3.Vapas Aata Mera Prabhu Ji
Le Jayega Saath,
Aasha Meri Aab
To Yahi Hai
Chalo Tum
Mere Saath –X2
4.Hardum Honge Saath Yeshu Ke
Khushi Aur
Shanti Aaram,
Aayega Wo
Lene Tumhe Bhi
Rehne Tum Thayaar –X2
Page | 91
56. Khul jayengi kitabe
Khul jayengi kitabe
Jab bhi hisab hoga
Insaf ka taraju, Yeshu ke hath hoga -X2
1. Jo bhi tu kar raha hai
Yeshu vo dekhta hai
Har pal ko tujhko milta
Dena hisab hoga
Insaf ka taraju
Yeshu ke hath hoga
2. Aaja abhi bhi mudkar
Yeshu bula raha hai
Varna tu yaad karle
Tera hi naash hoga
Insaf ka taraju Yeshu ke hath hoga
57. Yeshu Masih deta khushi
Yeshu Masih deta khushi kare mahima uski
paida huwa bana insan dekho bhaga shaitan - X2
Dekho bhaga bhaga - X2
Nare lagao jai geet gao shaitan hua pareshan - X2
Nacho gao Khusiya manao dekho bhaga shaitan - X2
Yeshu Masih deta khushi kare mahima uski
paida huwa bana insan dekho bhaga shaitan
Page | 92
Dekho bhaga bhaga - X2
58. Yeshu tera naam hai kitna sunder
Yeshu tera naam hai
kitna sunder
Yeshu tera naam hai
kitna pawan
Tujh mai mili hai
humko shama
Tujh mai mila hai
naya jeewan
Tujh mai mili hai
humko kripa
Tujh mai hue hai
hum pawan
Tujh mai mili hai
hum ko shifa
Tujh mai mila hai
aanath jeewan
59. Ghuma Ghuma ke Maara
Ghuma Ghuma ke Maara
Ghuma Ghuma ke Maara
Page | 93
Ghuma Ghuma ke Maara
Ghuma Ghuma ke Maara
Daud Ne Goliath Ko
Gofan Se Maara-2
Ek Se Nahi Do Se Nahi
Teen Se Nahi
Chaar Se Nahi-2
Paanch Patthar
Naale Se Lekar-2
Ek Patthar Se Maara
60. Gunhegaaro ko dene sahaara
Gunhegaaro ko
dene sahaara
Aaaya charni me taaranhaara
1. Maidaano me
dooto ne gaaya
Paigaam khushi ka sunaaya
Mariyam ke aakho ka taara
Aaaya charni me taaranhaara
Gunhegaaro ko
dene sahaara …
2. Sona murr
lobaan chadhaane
Pyaare munji ko
sheesh navaane
Page | 94
Raajao ka rehbar taara
Aaaya charni me taaranhaara
Gunhegaaro ko
dene sahaara …
3. Hum bhi aakar
nazrein chadae
Dil ke daag Masih
ko dikhaae
Bhukhe pyaaso ka
vo hi sahaara
Aaaya charni me taaranhaara
Gunhegaaro ko
dene sahaara …
61. Mai Gaunga teri hi mahima
mai gaunga teri hi mahima
mai gaunga teri hi prasansa
haste anand se
nachte uchalte
main gaunga -X2
dhanya dhanya
dhanya dhanya
dhanya dhanya
yeshu tu hai -X4
Page | 95
humko bachane
wo aaya hai
humko chudane
wo aaya hai –X2
jivan bhar ki khusia
wo sath laya hai
mahan mahan
mahan mahan
mahan mahan
yeshu tu hai (4)
mukti dilane
wo aaya hai
asha dilne
wo aaya hai
is dilme yeshu ne
ghar banaya hai
raja raja
raja raja
raja raja
yeshu tu hai (2)
dhanya dhanya….
62. Tera pyar hai mahan
Tera pyar hai mahan
tera pyar hai jahan
Mei jo pehle murda tha,
tune daali mujhme jaan –X2
Page | 96
Kyon na bolu fir mei
teri jay jaykar-2
Jay jaykar jay jaykar
Tune mere liye kya kuchh na kiya
1. Meri surat bigdi thi
mera dil tha khali
tune seencha tha khun se
taki aaye hariyali,
kyon na… -X2
2. Aaye jeevan mei khushi
aayi abdi jindagi
Tu hai jinda shafiya
tune ye hai kiya,
kyon na –X2
63. Tune mujhe aage peeche gher rakha hai
Tune mujhe aage peeche gher rakha
hai
Apna haath mujh per
rakh rehta hai
Teri aatma se bhaag ker mai kaha jaaun
1. Aakash pe chadhun to tu waha hai
Adholook me jaaun to tu waha hai
2. Tufaan me jaaun
to tu waha hai
Lehroon pe chaloon to tu waha hai
Page | 97
3. Poorab me jaaun to tu waha hai
Pashchim me jaun ti tu wahah hai
4. Church me jaaun to tu waha hai
Mere gher me jaaun to tu waha hai
64. Too pyaar ka saagar
Too pyaar ka saagar saagar daya ka too hai
tere pyaar ke saagar me ham tairana chaahate –X2
1. parameshvar hone par bhee too maanav roop
dhaaran kiya
prabhu tere iss pyaar ne hamko divaana
banaaya-X2
2. Gehrayi mile saagar kee oonchayiaia mile
aasamaan kee
prabhu tere isee pyaar ne hum ko
divaana banaaya –X2
65. Parameshwar Pitah
Cho- Parameshwar pitah
Tu hi hai bhala
Parameshwar pitah
Tu hai nahi
mujse khafa X2
1. Tere pyaar hai
Page | 98
sagar se bhi ghera
Tera dil
karuna se hai bhara
Teri nazar
mujh par hai sada
Tera naam
yahova meri hai panah
2.Kehta hai tu, tu hai mera
Saath mera tu na chodega
Kehta hai tu, hu main tera,
Haath mera tu
thamme rahega-X2
3.Tere pyaar hai
sagar se bhi ghera
Tera dil
karuna se hai bhara
Teri nazar
mujh par hai sada
Tera naam
yahova meri hai panah
4.O O Tal jayenge
zameen asaman
Par tera
vachan rahega sada
Har vada
tera yeshu ke dwara Karega
mujh mein tu hi pura
Parameshwar pitah
Tu hi hai bhala
Parameshwar pitah
Page | 99
Tu hai nahi mujse khafa
Mujh se nahin juda
Mera hai sada
Mera tu hai khuda
66. KUN ASE JISUR HOMAN
Cho- kun ase jisur homan
Ei bissot aru an
Kun ase jisur homan
1. Teur bine (kunu nai)-X3
Tewhe papir papor
mukti poth hetu
dile nijor roktok buai…
2. Teur bine (kunu nai) X3
Tewhe sari dinor
Mora lazarok
Jivon di punor jiai
3. Teur bine (kunu nai)-X3
Tewhe swargor pora
hohostro dutok loye
nami ahi bo dunai ..
67. MOI TU JABO
Cho- moi tu jabo -X2
Prabhu ke suna
rupa di-sere
Eka dina -X2 Di-sere -X2
Page | 100