The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

Suraj ko rook lo


Nasi Ghazlain

Oct.1991
Az
Maqsood Hasni

Jamma‘bandi
Prof. Niamat Ali
Abuzar barqi kutab’khana
May 2017

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by پنجاب اکھر, 2017-06-04 05:19:44

Suraj ko rook lo

Suraj ko rook lo


Nasi Ghazlain

Oct.1991
Az
Maqsood Hasni

Jamma‘bandi
Prof. Niamat Ali
Abuzar barqi kutab’khana
May 2017

51

(44)

Taira miray ghar aana miri izza'afzae sahi
Kamar toor di hai mehngae nay achay bhaloon ki
Ab khaab main aaya karo, yahhi kafi hai

Jab tak miltay rahay bazaroon main Oon ki her ada
achi lagti thi magar
Jab say mairi duniya main aa'ay hain
Jan say jan-e-bawarchi khana ho gya hoon mein

Maira aalu sa sar daikh kar log samjhtay hain mujh
par danish meharban ho gae hai
Eshq main maira sar kay kabal chalna onhein yaad nahain

Jin zulfoon main dil atak giya tha
Wo daraz zulfain ja ponchi hain
Shrif Darae kalinar ki dokan par

Mein bivi say kab darta hoon Kaanp jata
hoon
Jab koe tofa pokar othta hai:
"Mein to tiray jotay tira sar hoon"

52

(45)

Tairi mohabat main ehsas jaga hai
Kafan bantay hain jin pholoon say
Khushbu hoti nahain oon pholoon main

Iraday to pahar hotay hain
Hawaoon main itni sakat kahaan
Phir dain rokh paharoon ka

Aaftab agar mairi dastaras main hota
Bicha daita os ko tirgi kay dar par

Lay liya tha os nay mairay fareshtay say qalam
Likh diya apna hisaab mairay hisaab main

Aur sitam dhao agar dha sako
Mein wo darya hoon,
Jis kay moqadar main sirabi nahain

Lahu ki botal kiya karay gi os jism main
Zindagi ka ehsas nahain jis jism main

53

(46)

Qalam ki azmat ko man bhi laitay to kiya hota
Wo hath to qalam tha jis hath qalam tha

Qanoon ki yah majbori hai
Jab jis kay hath aata hai
Os ka ossay hona hota hai
Daras-e-sadaqat say pehlay wa'az
Ja Karbala say ja kar
Sadaqat ki qimat to poch
Go sab rastay Farat ko jatay hain
Jo pani Asghar ka na ban saka
Maira ban sakay ga?!

54

((47)
Khush aamdeed magar zulmatoon ka safar hai
Ankhoon main apni rakh kar charagh niklo
Shahidoon ki kahaniaan tairi zoban par hain
Tum bhi to kabhi lahu pehan kar niklo
Auroon ka tamasha daikhnay walo
Kabhi khud bhi ban kar tamasha niklo
Jab kabhi pani main mahtaab otray
Tum apnay mun main piyas otar kar niklo
Lafzoon main to darya qaid kartay ho
Maza jab hai diwaar-e-makar gira kar niklo

55

(48)
Zindagi kay khail zindagi tak hain
Tariki main doob janay walay
Kab subh tak hain
Umr bhar dukh jin ka moqadar raha
Zinda dukh ki dosti tak hain
Aati nasl ko koon batla'ay ga
Wo padaeshi aleel kayoon hain?
Johar nikli ghaza khatay rahay hain oon kay aslaaf

56

(49)
Rakh aaya hai woh jis diwar par aankhain
Paar os kay sehra ka maskan hai
Zamein kay waraso otho kuch to karo warna
Darinday kha jaein gay zamein ki ronaqain Janay
Esa kab aasman say otray
Karbala ki khaak say namood-e-subh ho gi
Koon rook sakta hai rasta Hussain ka
Wo aankhain jo kasi par pathar barsati hain
Log hain kah
Budh kay bhikshu hoon jaisay
Raiat kay darya main piyas og aae hai
Phir koe Zainab nangay sar aa gae ho jaisay
Agar ab bhi koe jinay ka jawaz hai to
Anna ki hiddat mairay sinay main koe otar day

57

(50)
Os aankh main kiya kami thi jis aankh main nami
thi

Zirra pehhan kar aatay to koe baat bhi thi
Tum to golaab pehhan kar aa gay ho
Mordoon ki shaihar main kab kami thi
Farishtoon ko gonah ki lazzat kiya maloom
Essi liay oon ko
Khalafat-e-arzi mili nahain thi
Khaloos ko palkoon par saja kar latay
Dil ko bhala koon daikhta hai Shaihar'dari phail gae thi
Jis kap main cha'ay nahain hoti
Hont os kap ka moqadar nahain bantay
Yah rasam to shoru say chali aati hai

58

(51)
Mein koon hoon yah faisla woh kar raha tha
Jo apni zaat say door hat giya tha
Oon sharaab aankhoon nay aisa sehar kiya
Bhook ka sara khomar chat giya

Badloon ki aaghosh main bijliaan thein
Bujh giya mairay jism main jo sharar tha
Kanch jismoon ko "yoonhi" samjhnay wala
Zakhm zakhm ongliaan liay phirta tha

Dastaras main tairay jab kaenaat ho gi
Yaad rakh mein kahein aur chala jaoon ga
Mairi mohabat ka emtihan lainay wala
Mohabat ki abjad say na’aashna tha
“Toor aaya hoon fakhtaoon kay sab anday”
Yah bool, pathar ka jism bool raha tha
Mairay inkar ki dastan to likh di os nay
Os kay hath par lahu, mowarakh likh na saka

59

(52)

Chragh othwa kar bijli lagwa di hai
Maira baita kab janta tha yah
Bijlioon ka daraya howa hoon mein
Jin qandiloon par koe charagh na tha
Wo qandilain jal othi hain,
Tairgi say dar kar

Jin wadioon par tairi rahmatain barsi hain
Daikhna og aaeingay wahaan
Insanoon kay sar

Sar jhoka kar sar bacha lain gay
Es basti main woh log nahain rehtay

Sar-e-mehfil jhoot khool daita magar
Maravat ki qaba thi mairay badan par

Zamanay bhar ki zillatain seh kar Jo naafratain mein
nay pali thein Aaj bacha gaein mairay jhonpray ko

Maira qatl tum par dushwaar nahain tha magar
Piyas umr bhar sonay na daiti tum ko

60

(53)
Raat kay sinay main bu giya hai jo fasl
Ogain gay suraj ab her khilyan main
Darya ko bhala pani ki kiya talab thi
Woh to admi ka zaraf daikh raha tha

Bolbal ki baiqarari yoonhi na thi
Daikh raha tha wo
Lala-o-gul main qatil ki aankhain
Geroon ki tara woh mairi qabr par aa’ay
Kuch to takallaf kiya hota
“pagal hoon” chara’gar ka fatwa tha
Edher mein haad-e-jabr aazma raha tha

Kehnay ko to sab keh daitay hain
Bara mushkil hai karbala ka rasta

Hussain kay koch main iraday thay
Bai’irada aa giya hoon mein Piyas kay darwazay tak
Pul toot jaein agar
Kinaroon kay rabtay nahain rehtay

61

(54)

Umr bhar ki riaiztoon ka sila
Dasht-e-tanhae mila

Os mehfal say jo bhi otha
Yaad main apni woh
Ansuoon ki mala choor giya

Lahu ka sina cheer kar
Hawaoon ka jab gozar howa
Koe zinda, zinda na raha
Haan miti ka ek diya jalta raha

Apni fatha ka yaqein tha jis ko
Os ki kaaman main
Ek teer bhi na bacha tha

Jab mein poncha
Meh’khana rindoon say ata para tha
Saqi ka magar ata pata na tha

Pait ka jahanum jab bharak otha
Qadmoon ko bach kar
Bisakhiaan woh khareed raha tha

62

Sanp bachay say aziz’tar tha os ko
Apnay hathoon woh os ko
Dudh pila raha tha

Roshni ki talash say pehlay
Chahar soo woh
Andhairay phila giya tha

Basharat ka darwaza khool day
Zulm aakhir zulm hai
Maat kha hi ja’ay ga
Zulm ki haad to daikh lainay doo
Hosla barhay ga
jitna woh aazma’ay ga

63

(55)
Dhoop ki tamazat main piyas liay khara tha
Kash os sa abar, araz-e-bimaar par otray
Adawatoon ki manzil hai ranjashoon ka yah safar hai
Golab ki khushbu ban kar koe qalab-pur’aazar par otray
Bond bond darya kiya jis jism ko maan nay
Mar na ja’ay gi wo maan
Bai’sabab wo lahu, talwaar ki dhar par otray
Jis chonch main ek nasl ki baqa ho
Qiyamat hai, os chonch par koe oqaab otray

64

(56)
Phool to ponchay thay apni umr ko
Matam to ghonchoon par barpa hai
Paimanay ehtaraman tehar gay hain
Abhi abhi koe mehfal say otha hai
Fareshtay daad daitay hoon gay
Ablees insan say maat kha giya hai
Subh dastak dainay aagae hai
Jaam mujh tak ponch giya hai
Visaal to nishan-e-manzil hai
Warna manzil par kab koe poncha hai

65

(57)

Mein baharoon ki talash main kayoon nikloon
Wo khud aaein gi mairay ghar par
Agar oon ko mairi zarorat ho gi

Shaoor-e-sitam logoon kay moqadar main nahain
Radha hi Bagwan rahay gi
Koon jamhoor ki taal sakay ga

Bachoon ko na sikhao Majnoon kay atwaar
Oon ki manzil apni hai
Onhain lafzoon ki gira kholnay doo
Shaihar-e-bai’basar ka yah ravaj kaisa hai
Edhar shoor zamein ka mazaj daikhna aaya
Other kae faslain kaat ga’ay log

Khala main phala kar hath
Bohat sharminda howa
Bantnay wala to mujh main hi tha

66

(58)
Jin darwazoon par dastak di thi
Wo kholtay nahain ko-e-yaar ki janib
Apnay honay ka yaqeen tha mujh ko
Chalan lay giya kocha-e-daar ki janib
Jis gulistan main baharoon ka basaira tha
Lay gae hawa ossay Sehra-e-bai’kinar ki janib
Wo nazr kab nazr rehti hai
Oth jati hai jo sarkar ki janib

67

(59)
Oon ki bai’wafae ka gila karta raha dil
Khud say baiwafae ossay yaad nahain
Jahaan aa tehra hai qafla-e-sabr-o-qarar
Jaltay hain khird kay baal-o-par wahaan

Mujhy maloon na tha tumain jald jana hai
Warna kayoon bachata pachtawa apnay liay
Jab bhi otra hai chand mairay aangan main
Lay aa’ay hain taraqi ki dulhan saja kar

Pehlay se koe dawa doo
Tabeeb ko magar marz yaad nahain

Woh mujhy mairi oqaat batatay hain
Jin ki apni koe oqaat nahain
Ek tasalsal sa hai qisa ha’ay eshq main
Aakhir kab tak taqleed-e-majnoon-o-farhaad karain

68

(60)

Jis jurm ki saza bhogat raha hoon
Wo jurm to ahal-e-karam nay kiya tha

Teh mein janay nahain daitein
Lehrain mairi lash ko
Day raha hai darya doob janay ki saza

Mairi zindagi main aag bhar di thi os nay
Ab rooz aata hai mairi qabr par deep jalanay* kay liay

Pura shaihar sajda main tha
Jo ghart-e-chaman tha
Saleeb par latka howa tha

Ameer-e-shaihar par sab ko naz tha
Khareed raha tha wo roshni bach kar aankhain

Fareshtay sajda main kayoon na girtay
Aadam ko apnay honay par yaqeen tha

Essay maira taghafil na samjho

Aaoon ga ab mein tumharay paas Dha kar
aasman ko
-----------------
*aag

69

(61)

Baat aankhoon ki hoti to koe baat bhi thi
Moamla dil say aan para hai
Daktar ki fees nahain rahi mairi basaat main

Mohabat main faraib say kaam na lo
Sachae kay sab rastay hain
Hussain kay rastay say ja miltay hain

Mohabat say jab koe maira naam laita hai
Samjh jata hoon mein
Emtihan ki pul’sarat say gozarnay wala hoon

Jis lahu main surki hoti hai
Wo lahu darta nahain
Karbala koch kar janay say

Woh gohray bach kar sota raha
Edhar raat kha gae roshni ko
Apna haq lay na saka aur khud’koshi kar li
Mein qais-o-farhad nahain jo sar-e-daar aaoon ga

70

(62)
Mohabat kab paas’dar rahi hai
Qadroon ki taqazoon ki
Izhaar ko faqt ek bahana chahiay

Jin aankhoon kay hum ghulam thay
Wo aankhain to girvi pari thein
Eak sath ki tajuri main

Jis aanchal main panah chahi thi
Os aanchal kay her taar main
Hydrogan thi Fasphoras tha

Jo shaihar lahu lahu tha
Pholoon ka kho’gar
Os shaihar ko ghar banata kaisay?!

Majnoon ki taqleed na kar
“Shosha” say kocha-e-mahboob main ja
Eak kiya,
Sab mahboob tumharay hoon gay

Nahain, nahain yah kaisay yaqein kar loon
Aansu palkoon par bai’sabab aaya nahain kartay

71

(63)

Mujh par reham karnay ka tumhain kiya haq hai
Zest kay moqabil khara hoon jan janay tak
Jo aag main kood giya Khaleel tha
Mairay liay aag,
Aag rahay gi yaqein aanay tak

Yaqeen karnay na karnay say kiya faraq parta hai
Khuda moamma hi rahay ga rubaru aanay tak

Sharaab main agar nasha hota
Tujhy bhool jata, hosh aanay tak

Hakayaat-e-majnoon sonnay ki kisay forsat hai
Zinda ho to, Zindagi ki koe baat karo

Abhi para rehnay doo maira janaza oon kay dar par
Yoon ja na sakain gay woh miray raqeeb kay dar par

72

(64)
Mein takhleeq’kar hoon
Mairay sabr ki haad tum nay kab daikhi hai
Tum dhatay chalo mein banata jaoon ga

Log samjhy khatam hoe eshq ki kahani
Kacha ghara darya lay kar
Darya main otar giya
Mohabat ko yoon roswa na kar
Tairi zoban moravat main rahi
Dil ki baat to aankhoon main thi

Baikar galyoon main dhondta raha
Choor to miray apnay dil main tha

Chop ho ja, apni nasiat apnay paas hi rakh
Agar wo jalna tarak kar dain gay
Onhain parwana koon kahay ga

73

(65)

Mairay khaab jin aankhoon main paltay rahay
Oon aankhoon ko binae ki zarorat na rahi

Choor loot kar lay gay
Zindagi aur saman-e-zindagi
Charagh-e-shab apni bai’basri par rota raha

Jalaad!
Khaak taira yah kamal hai
Aman pasandoon ko
Marnay waloon ki sisakiaan sonay nahai daitein

Jabreel ka ab yahaan koe kaam nahain
Zamein ka vadairayahhi kehta hai:
“Linkan” ki kitaab kafi hai insan kay liay

Her phool ki ragoon main zehar bhar di
Marnay walay bhi nafrat ki fasl kata karain

74

(66)

Eak bar hi qatal kar doo
Apnay sakht jan ashaq ko
Ya phir rosvae ka gila na kiya karo

Lay jao mujhy koe itaraz nahain
Par itna bata doon
Ronay kay siwa es dil ko koe kaam nahain

Shoor zamein main golaab bu kar
Khush’bu ki jo tamanna kartay hain
Oon say barh kar koe ahmaq ho ga?!
Nasha sharab ka ho kah shabab ka
Mabood bana daita hai insan ko
Maslihat pasand insanoon ka

Naqaab othany ka takallaf na kar
Tairay atwaar say mein nay
Parh liay hain
Tairay cehray kay sab khad-o-khaal

Mairi dunyaan main na aao
Pehlay hi say dara howa hoon
Jan lay lay na kahein taira yah surkh libas

75

Suraj ko rook lo

Abuzar barqi kutab’khana


Click to View FlipBook Version