The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.

Zakr naek eak haq’dushmun ratu tota
Maqsood Hasni
ABUZAR BARQI KUTAB'KHANA
JUNE 2017

Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by پنجاب اکھر, 2017-06-13 10:10:59

Zakr naek eak haq’dushmun ratu tota

Zakr naek eak haq’dushmun ratu tota
Maqsood Hasni
ABUZAR BARQI KUTAB'KHANA
JUNE 2017

1

2

Zakr naek eak haq’dushmun ratu
tota

Sawal paida hota hai kah kya Hussain saman-e-jang
aur la-o-lashkar lay kar jang kay liay rowana howay
thay ya phir oon par zamein tang kar di gae thi aur
majborun woh apnay Nana Hazour ki sonnat nibhatay
howay hijrat karkay gay thay?

Kya woh os alaqa ki taraf khud say gay thay ya
onhain bolaya giya thay?

Kiya yazeed safaq zalim bai’insaf baad’kidar Insan
dushmun baad’diyanat na’hanjar aur na’ehal shakhas
nahain tha ?

Agar aisay kirdar kay logoun ki hamaet karma aur
oon kay kisi moamlay main madad karna ya jaez
samjhna jaez hai?

3

Agar jaez hai to solaihain aisay logoun kay khalaf
kayoun aawaz othay rahay aur oon kay is fael ko achi
nazroun say kayoun daikha jata hai?

Aaj bhi jahaan yah surat hoti hai khud zakr naek
(bazarhir sahi) os ki mokhalfat karta hai. Os nay
khulay lafzoun main amrikha ko dehshat’gard kaha.
Agar yahhi paimana hai to os kay pas is qisam ki
batoun aur zobani kalami biyan’bazi ka kya jawaz
hai?

Hor ko Hussain ka sath dainay main mout nazar aa
rahi thi is ke bavajood os nay zindgi aur jah-o-
hashmat ka rasta chour kar mout ka rasta kayoun
ikhtayar kya?

Aaqa Kareem (Aap par un’haad Daroud aur Salam
ho) kay qareeb koun tha aur oon donoun main Aap
Kareem (Aap par un’haad Daroud aur Salam ho) kay
deen par behtar tour par chalnay wala koun tha?

4

Koun khalafat ko maloqiat kay qareeb la raha tha?

Kis nay mosalmanoun ki safoun main darar dali ya
daal raha tha?

Yazeed ka koee aisa kaam jo Allah ko kush karnay
wala aur os ki marzi (Quran) kay motabiq ho to
zakar zaek os ka hawala paish karay aur koee aisa
kaam jo hobal ko razi karnay wala ho Hussain kay
khatay main dikhya ja’ay to hi zakr naek ki baat
samjh main aa sakti hai?

Oon donoun main jahil koun tha aur insan ko jahalat
aur safaqeet, khud’gharzi, mofad’parasti moashi qatl
waghera ki taraf lay ja raha tha?

Jin soalaihain nay yazeed ko gher’haq qarar diya sab
gomrah thay ya hain?

5

zakr naek kay aba o ajdad main koee shakhas
Karbala main shaheed nahain howa is liay woh
mosalmanoun kay dard say aur sachae say kaisay
waqif ho sakta hai.

Gher moslim to gher janib’dar kahay ja saktay hain
onhoun nay moamlay ka tajziya kartay howay
Hussain ko gher haq kayoun qarar nahain diya. zakr
naek to in gher mosalim logoun say bhi giya gozra
nikla jo sach aur jhout ki tameez nahain janta. Aisay
shakhas ki kisi baat par kis tara kis botay par
yaqeen kar liya ja’ay ya ossay moslim qarar day diya
ja’ay. Mosalman Alim kisi sata par danista baad
diyanat’dari ka shakaar nahain ho sakta.

Namazain par lainay roza rakh lainay aur sar par
topi rakh lainay say koee sacha mosalman to nahain
ho jata. Yah kaam to monafaq bhi kiya kartay thay.
Gher mosalim jasous bhi jasusi kay hawala say yah
donoun kaam kartay aa’ay hain. Woh dahri bhi

6

rakhtay hain. Kiya in omour kay hawala say onhain
moslim kehna wajib aur jaez ho ga…..

Nahain bilkul nahain.
zakr naek bhi kuch issi qisam ka shakhas lagta hai.
Olma par faraz aed hota hai kah Woh khouj lagain
zakr naek apni asal main koun hai?
woh yaqinun kisi gher moslim qowat ka gher moslim
kirdar hai.
Yaqeen say kaha ja sakta hai agar diyanat’dari say
khouj lagya ja’ay to os kay jaili moslim honay ki
qalaee khul ja’ay gi.

Paitu hat’dharam aur zidi mazahib kay olma taj ka
sath daitay aa’ay hain. Oon kay nazdeek jo taqatwar
aur fata par fata hasal kiay jatay hai wohhi darust
aur sacha hai. Yaqinun zakr naek kay pas bhi yahhi
paimana hai. Issi bonyad par woh aur is qamash kay
log is qism ki baad’niyati aur baad’diyanti par mabni
batain kartay hain.

7

Woh to Akbar badshah ko bhi azeem mosalman
badshah qarar daitay hain jab’kah Akbar ka apna
diya howa deen tha haan naam albatta mosalmanoun
ka sa zarour tha. Taqat aur iqtadar ko darusti ka
paimana nahain banaya ja sakta warna ambya
shohada solaihain waghera bhi is ki zad main aa jaein
gay.

Eak shakhas far far angraizi boul laita hai kya os ko
is kamal kay hawala say angraiz ya kamal ka parha
likha kaha ja sakta hai. jawab yaqinun nafi main ho
ga. yazeed kay hath main haqomat ka bataira aa giya
kya woh is batairay kay hawala say pak saaf Ganga
nihaya sacha socha aur haq’parast mosalman ho
giya aur jis nay sachaee aur rasti kay liay apni aur
apnoun ki jan tak day di woh (Allah mujhy moaaf
farma’ay) ghalt aur haq say hat kar ho giya?!
Aisi soch se bhar kar aur koon si hamaqat wali soch
ho sakti hai.

8

Agar dalael hi sab kuch hotay to insan ka mazhab aur
nazriya eak hota. Koee aur cheez bhi hai jo zindgi say
mout ki taraf lay aati hai aur yah haq sach par eman
hi hai. hi hai.

Daktar siraf ossai ko kehtay hain jis nay Doktrait ki
digri hasil ki ho. Jabkah orf-e-aam main dawa daru
say her ta’alaq rakhnay walay ko daktar kehtay hain.
Jis nay MBBS ki sanad hasil ki ho woh daktar nahain
hota. Taham onhain daktar hi kaha jata hai. PhD
walay APC goli se bhi na'waqif hain. In sahib ne
aloom e islamia main PhD naihain ki, kehlatay daktar
hain.

Jo shakhas is bariki say aaga nahain hai woh to her
dawa daru bachnay ya dawa daru ki digri walay ko
daktar keh lay to baat samjh main aati hai laikin jo
janta hai kah woh daktar nahain hai phir bhi daktar
kehla’ay kiya yah baad diyanti nahain hai?

9

zakr naek khud ko daktar kehlata hai aur janta hai
kah woh daktar nahain hai. Eak baad’diyanat ki baat
ko darust kis tara maan liaya ja’ay?

Yahaan to pishab say koee tilak kar mar ja’ay woh
shaeed jabkah Hussain Haq aur Rasti kay liay
maqtoul howay woh shaheed nahain. Goya darust
woh hai jo apnay ehad ka sab say bara baad’kirdar
tha.

zakr naek janta hai kah woh siraf aur siraf hafzay ka
taiz tota hai phir bhi aalim kehlata hai ya ossay kaha
jata hai. Wah kya baat hai is galay saray aur
baadbu’dar mordar nazriay aur insaf ki.

zakr naek nay aaj tak koee naee tehqiqi cheez nahain
di os kay pas to pehlay say mojoud malomaat ka
zakhira hai aur is zakhiray ko dakh son kar ballay
ballay aur jay jay kaar ki ja rahi hai. Koee naee

10

tehqeeq, naee tozee ya tashreh paish kary ta’kah
tehqeeq kay midan main farakhi aa’ay aur insan ki
bhalaee bhi ho. Totay ki tara rata howa sabaq far far
bolay janay say ya zobani hawalay diay janay say
tehqeeq ko koee faeda na ho ga.

Jin kay pas ilm aur aaghi ki kami hai woh samjh
rahay hotay hain kah zakr naek bara kaam kar raha
hai. woh shakas kiya bara kaam karay ga jissay sach
aur jhout main tameez karna nahain aati. jo shakhas
khotay aur ghoray main faraq nahain kar sakta os ki
baat par yaqeen karna eman aur insan dushmni kay
motradif hai.

Mein darasl yah arz karna chahta houn kah tarikh ko
daikhnay samjhnay parkhnay aur paish karnay ka
rovaeya kitna bhiyanak gomrah’kon aur gona’gar sa
ho chala hai aur jah’parasti main shakhas kis haad
tak apni asl say gir jata hai. woh janib’dari main sach

11

ka kis tara gala ghount daita hai. Woh jannay ki
koshesh hi nahain karta kah woh hiwaniat ki kis sata
par aa giya hai. Tarikh ko jannay, samjhnay,
parkhnay aur paish karnay ka yah amal tabahi aur
haq’koshi ki taraf lay jata hai. Dosra morakh to
shahoon ke geet gata aa raha hai. Tarikh adab main
talashiay. Adab apnay waqt ki sachi gowahi daita hai.
maslan

Chasham e qatil thi mairi dhushmun hamaisha laikin
Jaisi ab ho gaee qatil kabhi aisi to na thi
Bahadar Shah Zafar
angraiz ehad 1854

Majnoon ka koee kya haal pochay
yahaan her ghar sehra ka naqsha hai
Rehman Baba
Aurang zaib ehad

Tum liay phirtay ho dastar fazilat

12

Log rehtay hain yahaan sar'borida
Qazi Jarar Hasni 1972

Gomrahi kisi bhi hawala say sehhat’mand cheez
nahain. Aap daikh rahay hain ghalt biyani kay natija
main kitna lahu baha aur lahu behnay ka yah amal
abhi tak apnay ikhtatam tak nahain poncha. Aap
tarikh ko daikhtay hain jah’parasti hi sab say holnak
cheez rahi hai. Is main ab tabdili aa jani chahiay.
Ehad-e-rafta ho ya dour-e-hazar, tamam hakomti
adaray yahaan tak kah adliya bhi baadshah hi ki
jotioun main panah laiti rahi hai. Is baat ko youn bhi
kaha ja sakta hai kah adaray hakumat bachao kay
liay tashkeel diay gay hotay hain.

Aap ko maloum ho ga, koee arsa daraz ki baat
nahain, kal parsoun ki baat hai, Tipu kay pas mout
kay elawa bhi dou aur rastay mojoud thay woh
sorang kay zariay farar ho sakta tha ya phir
haith’yar daal sakta tha laikin os nay mout ka rasta

13

montakhab kiya. Ab aap os ko bai’waqouf kahain gay
laikin mard aisa hi kiya karatay hain aur issi main
oon ki izzat poshida hoti hai ya youn keh lain issi
hawala say hi onhain mard kaha jata hai.

Kiya aap baroni qovatoun kay gamashtoun ko Tipu
say bar’tar ya os kay barabar ka samjhain gay ?

Kiya aap Rana Sangh’ram ya phir Raja Poras ko
dash’bhagti kay hawala say kam’tar qarar dain gay?

Is main koee shak nahain kah woh shakast kha gay
laikin her insaf’pasand onhain salam o parnam hi
karay ga.

Kuch aisi hi surat aur logoun kay sath mojoud rahi
hai. Aurangzaib chounkah mosalman tha is liay aap
ossay acha aur behtar qarar dain gay? Go’ kah os ka
baap Shajahan issi laeq tha jo os kay sath howa ya
kiya giya laikin Aurangzaib nay koun sa teer mar

14

liya? Os nay jo kuch kiya sab khoub khoub jantay
hain.
Eak Goru Sahib os kay hatoun maray gay.

Itni bari hakumat barbad honay aur tafreeq-o-nafaaq
ki bonyad os nay rakh di.
Hum es liay ossay sacha kartay rahain kah woh
mosalman badshah tha to yah kahaan ka insaaf ho
ga. Diskashan karnay ki baat to yah hai kah tarikh ko
samjhnay, jannay, parkhnay aur paish karnay ka
nahaet bora rovaeya jo sadyoun say chala aata hai
aur aaj jab’kah taraqi ka dour kehlata hai, is dour
main to tarikhi hawaloun ki tafheim main tabdili aani
chahiay.

Agar aap kay khayaal main is tehreer main kehnay ki
koee baat nahain to aap janay dain jis ko koee baat
nazar aa’ay gi woh zarour is moamlay ko sanjida lay
gay ya phir aap kay pas ziyada say ziyada is tehreer
ko daleet karnay ka ikhtayar hai, aap os ka ba’khobi

15

istamal kar saktay hain.

Ab Farmaeay,
kya kehtay hain Olma-e-Haq is ratu totay kay baray
main?!

16

Zakr naek eak haq’dushmun ratu
tota

MaqsOOd HASNI

ABUZAR BARQI KUTAB'KHANA
JUNE 2017


Click to View FlipBook Version