The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.
Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by , 2016-08-16 13:06:54

ara-1

ara-1

So Nice and more beautiful poetry. I like your sharing. Well Done
faiza222

Senior Proud Pakistani
Pakistan

Wed Nov 13, pm _________________
Some time it is difficult to express ones feelings.Or to convey
what is in the heart inside.Sometime the other side do not
conceive what you want to convey.But it is correct to say what you

want say:
I K QAZI
Moderator
Germany

‫‪Thu May 29, 2014 7:27 pm‬‬

‫‪http://www.forumpakistan.com/aazad-kar-dou-t94057.html#ixzz4HPKrCW2R‬‬

‫_________________‬

‫کس منہ سے‬

‫چ بھرتے ہ ت‘ اٹھ نہیں سکتے‬
‫ہونٹوں پر فقیہ عصر نے‬
‫چپ رکھ دی ہے‬
‫کتن عظی تھ وہ شخص‬
‫گ یوں میں‬
‫رسولوں کے ل ظ ب نٹت رہ‬

‫ان بولتے ل ظوں کو‘ ہ سن نہ سکے‬
‫آنکھوں سے‘ چن نہ سکے‬

‫ہم رے ک نوں میں‘ جبر کی پوریں رہیں‬
‫آنکھوں میں خوف نے پتھر رکھ دیے‬

‫ہ ج نتے ہیں‘ وہ سچ تھ‬
‫قول ک پک تھ‬

‫مرن تو ہے‘ ہمیں ی د نہ رہ‬
‫ہ ج نتے ہیں اس نے جو کی‬

‫ہم رے لیے کی‬
‫جی تو ہم رے لیے جی‬

‫کتن عجی تھ‬
‫زندہ اشوں ک د بھرت رہ‬
‫سوئے ص ی چا ہ دیکھتے رہے‬
‫نیزے چڑھ ہ دیکھتے رہے‬
‫مرا جا راکھ اڑی ہ دیکھتے رہے‬
‫اس کے کہے پر دو گ تو چا ہوت‬

‫کس منہ سے ا‬
‫اس کی راہ دیکھتے ہیں‬

‫ہ خ موش تم ش ئی‬
‫مظ ومیت ک فقط ڈھونگ رچ تے ہیں‬

‫بے ج ن جیون کے دامن میں‬
‫غیرت کہ ں جو رن میں اترے‬

‫ی پھر‬
‫پس ل اس کی مدح ہی کر سکے‬

‫چ و دنی چ ری ہی سہی‬
‫آ‬

‫اندرون ل دع کریں‬
‫ان مول سی مدح کہیں‬

‫‪Thu Jul 24, 2014 9:36 pm‬‬

‫_________________‬

‫‪Hamesha hi nahi rehte kabhi chehre naqabon main‬‬

‫‪Sabhi kirdar khulte hain kahani khatm hone par‬‬

mobi_loger
islamabad
Thu Sep 11, 2014 3:53 pm
_________________

khoob
atay rahiay aur kuch na'kuch zaroor share karte rahiay

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani

punjab
Thu Sep 11, 2014 5:40 pm

_________________

bohot nice Dr saab,,
n Mobi yu wer also v nice,,,,,,keep sharing,,

Ibn
5 Star Member
Sun Sep 14, 2014 7:09 pm

_________________
is khasusi tovajo ke liay ehsan'mand hoon

Dr Maqsood Hasni
Senior Proud Pakistani

punjab
Mon Sep 22, 2014 9:12 pm

_________________
boht umda sharing Smile

Bin-Momin
Forum Family Member
Thu Jan 08, 2015 11:27 am

_________________
Wah g Wah bht zaberdast k yah hamy Poetry daikny ko mil rahe

hn.... Razz
doragames
Islamabad
Tue Oct 13, 2015 8:37

http://www.forumpakistan.com/kis-monh-se-t114540.html#ixzz4HPL2FmUT

_________________
Dr.Hasni aap kaa qalaam behtreen hai, dheron daad lekin
Janaab kitne log isse parh sakte hain yeh mujhe maaloom nahin.
Main khud agar text books kee tarah se likhaa ho to urdu
asaanee se parh saktaa hoon warnaa zaraa mushkil hotee hai.

icon_flower
Clapping Smiley

surindarn
« September 26, 2014»
http://www.yoindia.com/shayariadab/urdu-poets/%DA%A9%
D8%B3-%D9%85%D9%86%DB%81-%D8%B3%DB%92-t117

236.0.html

Dil kay goshoon par
Sagar pi kar

Her qatra piyas somondar
Palkoon ka sawun
Janay kab barsay ga
Faraat ka damun

Sholay lay kay bhaga hai
Sahil shakti kis say mangay?!

Mothi band kar lo
Palkoon kay os par

Ratoon kay sapnay
Suraj ki aankhoon main

Bheek kay kokray
Kali zulfoon kay mundar
Maskan hain kali jiba waloon kay

Janay say pehlay
Aankhoon main dhonwaan bhar lo

Chand ka chehra
Rawan ki bhagti lay kar

Mosa kay koon say
Dil kay goshoon par

Raban hi rab likh raha hai
« ,2009 ,30 ‫ م رچ‬:‫» بروز‬

janaab Hasni SaaHeb: aadaab!
aap kee naz^meN dekheeN. maashaa Allah aap bohat likh rahe
haiN. meHnat aur shauq ke saath mut^aali,a'h bhee mil jaaYe to
teHreer meN nikhaar baRh jaataa hai. apnee taKhleeqaat par
meree daad qubool keejiYe. is ke ba's do teen baateN kehne kee
ijaazat chaahataa hooN. buraa nah maaneN. in baatoN se aap

kee qadr-afzaayee maqSood hai, tanqeed naheeN.
ek saath itnee bohat se naz^meN lagaane se log in ko dekh
naheeN paate haiN. kam likhiYe aur dostoN ko paRhne aur
raaYe dene kaa mauqa' deejiYe. warnah faa,idah kam ho gaa.

doosree baat yeh keh Roman Urdu kaa koyee saadah aur achhaa
niz^aam apnaa leejiYe aur usee ko ista'maal keejiYe. maujoodah
shakl meN aap kee teHreer paRhne aur samajhne meN diqqat
hotee hai. teesre yeh keh likh kar Khud bhee paRh liyaa keejiye
taa.k Ghalat^iyaaN kam se kam hoN. aur sab se aaKhir meN yeh

a'rZ^ hai keh agar naz^m kaa markazee Khayaal apne Zehn
meN saaf rakheN aur us kee adaa,igee meN waZ^aaHat kaa

ehitmaam kareN to sab ko ziyaadah faa,idah ho gaa.

maiN is Khat^ ke tawassut^ se apne deegar dostoN se bhee
iltimaas kartaa hooN keh woh Dr Hasni aur doosre nau-waarid

dostoN kaa Anjuman meN istiqbaal kareN aur un kee
taKhleeqaat par chand alfaaz^ hee sahee lekin kuchh likh diyaa

kareN. isee t^araH chiraaGh se chiraaGh jaltaa hai. ham ek
doosre se Ghaafil hoN ge to yeh chiraaGh bujh jaaYe gaa.

« 2009 ,01 ‫ اپریل‬:‫»بروز‬
Sarwar A. Raz

http://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?topic=3347.0

Raam bhali karay ga

Hath kay badlay hath
Khon kay badlay khon

Jan kay badlay jan
Adoo nay

Magar loot liya hai

Kis say faryaad karain
Wohi monsaf howa hai
Jis kay hath main pathar
Baghal man khanjar
Maqola yah baqi hai

Char ja baita suli
Raam bhali karay ga
« ‫ صبح‬,2009 ,01 ‫ اپریل‬:‫» بروز‬

mukarramee Hasni SaaHeb: aadaab!
aap ko UrduAnjuman meN dekh kar masarrat huyee.
Khush-aamadeed! yaqeen hai keh yahaaN ke dost aur maaHaul

aap ko pasand aaYeN ge aur aap apnee shirkat se Urdu kaa
kaam baRhaane meN hamaaree madad kareN ge. shukriyah.

aap kee muKhtaSar naz^m dekhee. aaj kal ke Haalaat par
achhaa tabSirah hai. aur is Haalat kaa koyee Hal bhee naz^ar
naheeN aataa. aap ke Khayaalaat achhe haiN aur in kaa iblaaGh
bhee Zarooree hai. bayaan meN behtaree kee gunjaa,ish hai.
meraa Khayaal hai keh aap ko sab se pehle yeh sochnaa ho gaa
keh kaun see Sinf meN likhaa jaaYe, ya'nee paaband naz^m,
aazaad naz^m yaa nacree naz^m? us ke ba'd unheeN uSooloN

par likhaa aur parkhaa jaa saktaa hai.

Anjuman meN aate rahiYe. hameN aap kee Z^aroorat hai. aur
apne dostoN ko bhee da'wat deejiye. shukriyah.

Sarwar A. Raz

«2009 ,01 ‫ اپریل‬:‫بروز‬,»
http://www.bazm.urduanjuman.com/index.php?topic=3369.0

PALKOON PAR SHAAM

Godaz palkoon par shaam gozari
Her mosam yaad ka nishter
Her subh Sehra ka pather
(Suraj) Binaee ka mamba
Aakhain kho baitha
Her Aasha zakhmi zakhmi

Her nagama
Izraeli Israfili
Khoon main bhiga Aanchal

Gunga ka
Her rasta
Chup ka kaidi
Darya kinaray
Moun daikhay hain
Bai'aab nadi main
Gulab ki kashain
Pani pani

Palkain,
Sanpoon kay ghar

Janein kidher
Palkoon ki shaam
Her shaam par bhari hai

*********
bahut umdah Janaab, dheron daad.

surindarn
December 08, 2014,
http://www.yoindia.com/shayariadab/urdu-poets/palkoon-par-R

eply

Mujh ko mun mandar main saja lo
Kah aankh darichoon say

Qos-e-qaza kay rangoon main dhal kar
Ganga jal main dhol kar

Baharoon kay mosam jhankain
Khursheed shabad

Jiwan dharti ko binaee bakhshain
Tairi aaghosh main palti moskanain

Mairi tairi mirti ko
Amarta kay bardan main tankain
Mujh ko mun mandar main saja lo

Kah Kaam Daiva
Her bar kab,

Khush bahti ka mangal sutar
Golab galo main rakhta hai

Kali ratoon main
Hontoon ki hidat bharta hai
Mujh ko mun mandar main saja lo
Kah tairay aankh darichoon say
Baharoon kay mosan jhankain

***
Bohat khoob Dr Maqsood ji...

honeyrose
« March 29, 2009, 08:53:11 AM »

Good One Hasni Ji !!!!!
«March 30, 2009,AM »
http://www.yoindia.com/shayariadab/shairi-e-zindagi/aankh-da
richoon-say-t44935.0.html

Sheh ki lathi

Anarkali kay
Diwaroon main chonnay ka

Jab bhi mosam aata hai

Aas kay mosam mar jatay hain
Her jatay hain
Chand aur suraj
Aaksh aur dharti

Ziast kay sab rang
Phikay par jatay hain
Kal ki mang sajanay ko
Ishq phir bhi zinda rehta hai
Dukh sukh sehta hai
Yah khail sha zadoon ka hai
Sha zaday kab martay hain

Sheh ki lathi
Anar kali kay sar par
Mandlati rehti hai
Kamzoor ozoo par
Sab mosam bhari hotay hain

***
accha likha hai aapne Dr. ji

Roja
«March 30, 2009, AM »

***
Bohat Achche Maqsood Ji,./

Nice One.
Azeem Aarzu
«March 30, 2009, AM »

***
aap ahbaab maira sarmaya hain.
Allah Sahib aap sab ko kush a

Dr Maqsood Hasni
«March 30, 2009, AM »

http://www.yoindia.com/shayariadab/shairi-e-zindagi/sheh-ki-lathi-t44994.0.html

*********
Shaam bhi mairi hai

Tairay jivan ki her nikhri subh
Dar mairay par, sajda kartay gozri

Khushoon ki sari kalyaan
Mairay qadmoon main dhar kar
Eak naam maira tairay hisay aaya

Yah kali ratain
Khoof par bhari ratain
Damun main tairay rakh kar

Aasha ki mirti ka
Kayoon saman karoon
Tairi subh mairay mathay ka jhomar

Tairi shaam maira oran hai
Tairi subh bhi mairi thi
Tairi shaam bhi mairi hai
***

Bahut hi khoobsurat likha hai aapne..
{Angel}

«March 30, 2009, AM »
***

Bahut khoob Applause
Roja

«March 30, 2009AM »

***
aap donoon k liay mairay dil main bari izzat aur ehtaram hai

Eshvar aap donoon ki her kamna puri
Dr Maqsood Hasni
«March 30, 2009AM »
***
Nysha

wah wah very nice gain. superb!
«March 30, 2009, PM »
***

mohabat aur itna piyar dainay k badlay mein na'cheez kiya day
sakta hoon.

mairay pas duaoon k siwa kiya hai?!
Allah sahib aap ko barkat day.
Dr Maqsood Hasni
« March 30, 2009, PM »

http://www.yoindia.com/shayariadab/shairi-e-zindagi/shaam-bhi-mairi-hai-t44996.0.html

Mujhy ik Khaab likhna hai

Mujhy ik khaab likhna hai
Aankhoon main mahtaab likhna hai

Aankhain hi kiya
Sar Bil ki tajori main para hai

Mairay purkhoon ki yah kamaee
Os kay hath kaisay aaee
Mairay kisi apnay nay
Apni zarorat kay liay
Kuch takoon main

Kahein os ko na day aaya ho
Pochna to ho ga

Maira sar borida jism
Mohtasib tak ja ay kaisay
Faraz ka qaraz choka ay kaisay
Kiya sonay, sona ay kaisay

Aaj baishak,
Mal-o-manal aziz rakhta hai

Apni aankhoon kay evaz
Day sakta hoon mein
Khizr ki chaap

Jo ab mairi zarorat nahain
Mujhy ik khaab likhna hai
Aankhoon main mahtaab likhna hai

***
Nice One Again Maqsood Ji,.

Azeem Aarzu

«March 30, 2009, AM »
***

Wah wah dr. sb. aap bahut accha likhte ho. Daad kabul kijiyega.
and be regular.
Roja

«March 30, 2009,AM »
***

Once again so nice to read such lines from you..
You write really well.. Keep writing plz
{Angel}
« March 30, 2009,AM »
***

lafzoon kay moamla main kam hi kamzoor parta hoon likin aaj
janay lafz kahaan gay kah shukarriya ada karnay k qabil bhi

nahain raha.
aap sab maira asasa hain.
Eshvar aap sab ko hamaisha salamat rakhy.

Dr Maqsood Hasni
«March 30, 2009, AM »

***
Wow Very nice Dr Ji. kya khoob likha hai. keep writing....

Nysha
«March 30, 2009,AM »

{Angel}

« March 30, 2009,AM »
***

Khoobsurat Alfaazon ko hamesha taarifein hi milti hia...
{Angel}

«March 30, 2009, 12:00:57 PM »
***

shukarreya janab
Dr Maqsood Hasni
« March 31, 2009, AM »

***
Bahoot khoob Dr. Hasni ji!

Rau
«March 31, 2009, AM »

***
tovajo k liay,
bari bari mehar'bani janab.
Dr Maqsood Hasni
March 31, 2009, AM »
http://www.yoindia.com/shayariadab/shairi-e-zindagi/mujhy-ek
-khaab-likhna-hai-t44995.0.html

Bai'nawa dastak

Reet bot ki shanasaee mangay
Ishq karbala si aabla paee mangay

Hosn talu kay dosh
Bala ka gol nosh
Chasham ba kaf nikla
Zist nay hathoon hath liya
Dhoop main saya-e-shajar tehra
Koee ossay namood-e-sahar samjha
Wo paikar-e-firdous
Aankh kay sab tarkash
Jo sath laya tha

Kab chala paya tha
Apnay sa ay say lot giya
Aaena patharoon say
Apni kichioon ki binaee mangay
Lafzoon ki bai nawa dastak
Fakhtaoon say bai riyaee mangay

Parsaee mangay
Darya baresh
Sehra badloon say rihaee mangay
Zist ka hr naqsh
Sila-e-bai radaee mangay

Reet bot ki shanasaee mangay
Ishq karbala se aabla pae mangay

***
bahoot khoob Dr. ji behad umada likha hai aapne... kadi gehrai

hai isme
Nysha
« March 31, 2009, AM »

***
tovajo farmae k liay shukar'gozar hoon.

Allah aap ko kush rakhay.
Dr Maqsood Hasni

«March 31, 2009, AM »

http://www.yoindia.com/shayariadab/shairi-e-zindagi/baibawa-
dastak-t45002.0.html
*********

Mein jo bhi hoon

Mein jo bhi hoon
Is say kiya

Chaand aur suraj ki kirnoon par
Maira bhi to haq hai
Dharti ka her mosam
Khuda ka her ghar

Maira bhi to hai
Quran ho kah Gita
Romrain ka her qissa
Baebal ka her warqa
Garanth ka her panna
Maira bhi to hai
Taqseem ka dar
Jab bhi khulta hai
Laat kay daftar ka her munshi
Barood ka malik
Parchi ka mangat

Taqseem ka dar band kar daita hai
Daftari molaan kay monh main

Kheer ka chancha rehta hai
Pandat aur Father

Madrassay ka mashtar
Haan naan kay pul par baithay

Totay ko fakhta kehtay hain
Dad gar kay dar ka sawali

Pani balota hai
Kam tar say bhi kam tar

Kalaj ka monshi

Jivan'dan hawa ko tarsay
Gholamoon kay sum pitay
Barshoon ki zad main hai
Sab acha ka tilk saja kar
Sofaid ghar kay chamchay

Toni kay karchay
Taqat kay pait main
Korbal korbal kartay yah kiray
Ajmal ka monh charatay hain
Raam aur Esa kay bool
Maical Jaksan ki phorti

Kareshma ki chosti main
Rol khol gay hain

Masael ki rori par baitha
Mein gonga behra
Zakhmi zakhmi

Madinay walay ki rah daikhay hoon
Ali Ali pokaray hoon

Nanak say bhudhi'maan
Lakchaman aur Baha say Veer

Talashay hoon
Mein jo bhi hoon

Is say kiya
Mithay boloon par
Maira bhi to haq hai

*********
Aap ki feelings aapki soch...bohot hi umdah... Bohot hi Khoob

Hasni Ji
Celmira
« March 31, 2009, AM »
*********
khasusi tovajo k liay ehsan'mand hoon.
Dr Maqsood Hasni
« March 31, 2009, AM »

http://www.yoindia.com/shayariadab/shairi-e-zindagi/mein-jo-bhi-hoon-t45014.0.html

*********
Sonny main aaya hai
Sonny main aaya hai
Hum aagay bhar gay hain
Taraqi kar gay hain
Suraj ab sharaq say othta hai?!
Sofaid ghar kay mundar ka bout
Kis Mahmood nay tora hai?!
Os ki gardan ka sarya
Kis Tipu nay phora hai?!
Pound satarling dallor

Ropay kay dou miltay hai?!
Sonny main aaya hai

Hum aagay bhar gay hain
Taraqi kar gay hain
Baiwa ko tok milta hai,

Woh pait bhar khati hai?!
Ghareeb ki bitya
Doli charti hai?!
Jo jivan dan karay
Wo daroo ki shishi

Moft main milti hai?!

Sonny main aaya hai
Hum aagay bhar gay hain

Taraqi kar gay hain
Mosa ho kah Esa
Girjay aur Haikal kay zindan say
Mokt howay hain?!
Budh Ram Baha
Kah Nanak kay pairo hoon

Ya phir
Chirad Shrif kay basi
Apna jivan jitay hai?!

Sonny main aaya hai
Hum aagay bhar gay hain

Taraqi kar gay hain
Gotay aur Bali
Taigor tay Jami

Sue Feng aur Shelle
Sab kay tehray hain?!
Molaan Pandat aur Gijay ka waris
Insanoon ko insanoon kay kaam aanay ki kehta hai?!
Sonny main aaya hai
Hum aagay bhar gay hain

Taraqi kar gay hain
Shair aur bakri

Eak ghaat pay pani pitay hain,
Eak kach main rehtay bastay hain?!

Saithoon ki basti main
Mil bant kar khanay ki charcha hai?!
Khail rishwat ka na kaam howa hai?!

Monsaf,
Kayoon kar Iman Quran ki kehta hai?!

Sonny main aaya hai
Hum aagay bhar gay hain

Taraqi kar gay hain
Mun tan ka waris
Tan mun ka bhaidi
Jab bhi tehray ga
Jivan ka her sukh

Qadmoon ki thokar
Ambar kay os par
Insan ka ghar ho ga
Sonny main aaya hai
Hum aagay bhar gay hain
Taraqi kar gay hain

*********
Bohot Khoob Hasni Ji

Celmira
« April 01, 2009, AM »

*********
wow Very nice! bhaoot khoob likha hai aapne.

Nysha
« April 01, 2009, AM »

*********
Nice One Again Maqsood Ji,.

Yunhi Likhte Rahiye,.


Click to View FlipBook Version