The words you are searching are inside this book. To get more targeted content, please make full-text search by clicking here.
Discover the best professional documents and content resources in AnyFlip Document Base.
Search
Published by , 2016-03-28 14:20:16

LISANYAAT_2016_03_28_19_37_57_579

LISANYAAT_2016_03_28_19_37_57_579

lisanyaat say motalaq kuch sawal
jawab

Sawalaat:
Prof. Younis Hassan

Jawabaat:
Maqsood Hasni

lisanyaat bara ahum aur hisas subject hai is par
kam hi likha parha jata hai. Ahbab ki dilchaspi kay
liay main nay Prof. Younis Hassan kay sawaloon
kay yahaan jawab paish kiay hain. Is say lisanyaat
say dilchaspi rakhnay waloon ko shed koee kaam

ki cheez mil ja'ay.

1- Zoban ka safar kab tehrao, oljhao aur pachidgi

ka shakar hota hai?
a. Tehzibzibi, sakoot aur la’yeniat kay door main.

b. Bay’fikri aur sakoon kay door main.
c. Tazabzab aur shakook ki halat main.

d. Fikri pasmandgi ki halat main.

2-Zoban ka khameer kin kin aanasar say othta hai?
Kiya in aanasar ka ta'aluq waseab say bhi hota hai?

Shakhas kay aalaat-e-notaq aur moaawan
aalaat-e-notaq.

In say aavazain nikalti hain aur in hi kay hawala say
istamaal main aati hain.

Aalaqa, mahool, zarorat, aab-o-hawa, mosam
Moashrat/ motalqa wasaiab kay rovaeay aur
rujhanaat zoban ki taraqi ka sabab bantay hain.
Kam az kam doo ashkaas jin ki moashtat aur zoban

eak ho.

Eak si aavaz nikalnay par qadar hoon.
Mahajrat ki surat main bhi mahajar sar’zamein par
doo eak zoban bolnay walay ashkhaas apni zoban

main hi goftagu karkay aasodgi mehsoos kartay
hain. oon ki nasal bhi aisa kar kay aasodgi mehsoos

karti hai.
Zoban main asbiat ka bhi amal dakhal hota hai.

3-Zoban kay mazaaj aur rovaeyoon ko samjhnay
kay liay kin pehlo’oon ka janna zarori hota hai?
Os kay mohavray ko janna zroori hota hai. yaeni jo
amoor, moamlaat isma waghera moharat main aa

chukay hoon.
Zoban ki lachak'paziri aur alfaz gharnay ki shakti
kisi bhi sata par nazar'andaz nahain ki ja sakti.

4-Kiya mukhtalif zobanoon kay milaap say eak
naee zobaan banti hai?

Nahain, bilkul nahain, yah nazreya bara
gumrah’kun hai.

Haan zobanain kisi bhi zoban ki taraqi, izhari atwar
aur os kay zakhira e alfaz main azafay ka sabab
banti hain.

5-Daisi aur ba’daisi zoban kay bahum alfaz say
zobanoon main jidat aati hai ya mafaheim maim

gehraee paida hoti hai kay hawala say kuch
farmaein?

• Izhaar ko vosat milti hai
• Lafzoon ka talafaz badal jata hai
• Na’ay lehjay tarkeeb patay hain
• Na’ay alfaz tarkeeb ptay hain maslan: eain+nak

• Na’ay marakbaat bantay hain

6- Kiya zoban kay rasam-ul-khat main bhi tabdeli

aati rehti hain ya nahain?
Aati nahain laee ja sakti hain ya laee jati hain. Jis
tara Turki kay sath howa. Is say zoban ko noqsan

ponchta hai:
Porana warsa zaya ho jata hai
Kuch aawazain baqi nahain rehtein. Maslan Urdu
aur Roman Urdu khat ko hi daikh lain. Urdu khat
aur dev'nagri khat ko malahza farma lain. Punjabi
aur gurmakhi ki misal mojood hai.
Urdu kay pas 63 say ziyada aawazein hain Roman
Urdu main likhtay waqt marakab aur mutradaf
aawazoon say kaam chalana parta hai.

7-Mukhtalif zobanoon main kiya koee qadar
mushtarek hoti hai?
Ji haan, maslan:

a- Bohat sari aavazain mushtarek hoti hain
b- Zarab-ul-Amsaal aur mohavray mushtarek hotay

hain
c- Marakab aavazain eak si milti hain
d- Eak dosray kay alfaz laiti hain ya yoon keh lain
bohat say alfaz mushtarek hain jis tara Urdu main
tumbakoo Punjabi main tamakoo japani main

tabakoo
is hawala say un’gint misalain di ja sakti hain

8- zoban main vosat kin aanasar say hoti hai?
o takhliqi azhaan

o zaroratoon ka bhar jana
o Azhaar ki aazadi
o Taghaeraat

o Samaji moaashi aur masharti tabdeliaan
o Aazmaesh ki surat-e-haal
o Inqalaab

o Parishani, bai'chaini aur iztarabi kaifiyaat
o dukh aur karab

o Agar qomoon main khud say zinda rehnay ka
sha’oor aur mada ho to woh motaharak rehti hain

 simabi firat
 Kuch kar gozrnay ka janoon aur jazba

 moqablay ki aadat/jazba
 harkat masalsal harkat
 malghobiat ka shidat say ehsaas
 jis tara afsanay main “wahdat-e-ta’assarr” kay
bagher afsani, afsani nahain rehta bilkul ossi tara
lachak’paziri kay ba’gher zoban koonvain ka

mandak hoti hai.

9- badaisi, daisi jabkah daisi badaisi ki zoban
bolnay ki koshesh kartay hain. badaisi Hakam ki

zoban kis tara matasar karti hai aur os kay asraat
kis qisam kay moratab hotay hain?

Assal moamla rabtay ka hai. Badaisi ki khaesh hoti
hai kah woh baat ko behtar toor par samjha sakay

daisi chahata hai kah ossay os ki zoban main
samjhaya ja’ay. Woh yah bhi chahata hai kah
Hakam kay ziyada nazdeek ho. Is say na’seraf alfaz
ka tabadal hota hai balkah lehjay bhi tabdeel
hotay hain. woh apnay apnay nahvi set up kay
motabaq alfaz detay laytay rehtay hain. Arbi
manay na manay Urdu, Punjabi, pothohari,
Saraeki, Mivati, Sindhi, Barahvi waghera main

asami, hoor,ahwaal, okaat wahad hain.
tazkeer-o-tanees main Pakhto apna mazaj rakhti
hai aur woh liay gay alfaz ko apnay lisani set up
kay motabaq lay gi. bilkul issi tara zima ko zoma,

qufli ko qulfi, khalvat ko khilvat boolna Urdu
Punjabi waloon kay liay aeb nahain.

Mumkinility, voteraan, sportraan, motaraan,
motarain, horain, Urdu Punjabi waghera main kab

ghalt hain. yahhi surat-e-hal maeni ki hai. Dosri
zobanoon main kuch kay kuch ho jatay hain.

10- kiya Hukaran tabqay ki zoban ghalib rehti hai
ya maqami zoban/zobanain/boliaan bhi baqi rehti

hain?

koee zoban apna vajood tayagnay kay liay tiyar
nahain hoti. Koee zoban mar nahain sakti jabtak os

kay doo bolany walay mojood rehtay hain. ya
eak sochnay wala baqi rehta hai. Haan albata
tabdiliaan aati rehti hain aur yah bura amal
nahain. Amriki, Bartanvi, Faransisi, Pakistani,
Hindustani angrayzi main zameen aasman ka faraq
hai. Yahhi surathal Arbi Urdu Punjabi waghera ki

hai.

Hamaray haan baray dafatar main angraizi ka raj
hai laikin bahar issay koee pochta tak nahain is kay

bavajood na’danista toor par bool chaal main
angraizi alfaz aa jatay hain. eak door main yahhi

surat Arbi aur Farsi ki thi. Jo alfaz bila jawaz dakhal
kiay jatay hain ehsas-e-kamtari ka saboot hotay
hain laikin jo juz-e-zoban ho jatay hain aeb nahain
samjay ja saktay masla:

I mean aap wahaan kayoon nahain gay ya I think
hum ko yah done kar laina chahiay.

Yah Urdu set up kay motabaq hain laikin enhain
achi nazar say nahain daika ja’ay ga. Ab yah jumlay

dekheay:

Hamaray haan ki laidiaan aasman ki horoon say
kisi tara kam nahain hain. (laydiaan, horoon)

Tamamam omeedwaran apnay apnay sportran kay
sath polling station kay bahar kharay natijay ka
intazar kar rahay thay. (sportran, polling station)

Lari addy par har shehar ko janay wali moterain
khari thein. (Moterain)

Yah jumlay qatae ajnabi nahain hain aur is qisam ki
guftagu aam toor par sonay ko mil jati hai.

Maeni ko hi daikh lain:

Sexy, animal aur, saer, tamasha jaloos kab apnay
assal maenoon main istmal hotay hain.

Mukhtasar yah kah zobanain marti ya khatam
nahain hotein, hakam aur mahkoom eak dosray

say mataar hotay hain. yah oon ki rabtay ki
zaroorat aur majbori hoti hai.

11-kisi zoban kay acha ya bora honay kay baray
aap ki kiya ra’ay hai?

Koee zoban achi buri nahin, tamaam zobanain
rabtay ka zariya-o-wasila hain. Urdu kay siwa
tamaam zobanain aavazoon kay hawala say
ka’zoor hain. is bonyaad par onhain acha bora
nahain kaha ja sakta. Haan izhaar kay hawala say
koee ra’ay di ja sakti hai. Apni kami aur ka’zori ko
marakab aavazoon say woh pora karnay ki koshesh

karti hain.

12- Es jaded door main matrook ho janay walay
alfaz ki koee ehmeat baqi hai?

Kayoon nahain, woh os ehad ki masharti, moaashi,
samaji, nafasyati aur saqafti hawaloon ka warsa
hain. Guzra kal onhein kay hawala say jana aur
pehchana ja sakta hai. Lafz kiya mahavroon ki
surat badal gaee hai aur wo soo tara say istamal
main aa rahay hain. In matrook alfaz, mahavraat
main tabdiliaan aur aslobi tagheraat say zoban ki
taraqi ki rafter ka andaza kiya ja sakta hai.

Karvat laina, karvat badaln darust samjha jata hai:
maslan

woh hal likh chala hoon karvat badal badal kay

Satyanaas marna, satyanaas karna/hona mostamal
ho giya hain

Kitabi aur bazaar ki zoban mukhtalif hoti hai.
Adakaeyaan ko kitab wala kab adaoon kay

maenoon main tasleem karnain gay.

13-kiya boliaan zobanoon kay sath sath chalti rehti
hain?

a- haan sath sath chalti rehti hain
b- matasar karti hain
c- matasar hoti hain

14-kiya boliaan zobanoon ki takhleeq main
moaawan sabat hoti hain?

boolioon say zobanain takhleeq nahain hotein.
Haan

• taraqi karkay zobanain ban jati/sakti hain
• Zobanoon ki taraqi main moaawan sabat hoti

hain.
• zobanoon kay izhaar ko vosat mayasar aati hai.
Jan kay (Jan bojh kar), mokmakao aisay alfaz Urdu

kay liay ajnabi nahain hain.
Yahhi surat badaisi zobanoon ki hai. Glass

ba’maeni pani/lassi waghera pinay ka pimana,
daftar bamaeni office, ct ba’maeni cd, tamasha,

jaloos waghera aam istamal kay alfaz hain.
Mahajar apni assal par reh nahain sakta aur yah

asool-e-firat hai.

15-zoban main avazoon ki ehmeat kiya hai?
Zobanain hain hi avazoon ka majmoah. Aavaz ki

tabdeli say maeni badal saktatay hain.
Zikar aur zakar kay moenoon ko daikh kar baat

samjh main aa jati hai.

16- In aavazoon ki kitni aqsaam hain?
Urdu main panch kisam avazain hain:

1.alap paran
2.maha paran

3- alamti

4- morakab
5- gher mashmool
• dosri zobanoon main marakab aavazain bhi
milti hain. Maslan sheen ko sh say likha jata hai.
Za’ay Farsi ko ion say wazay kiya jata hai Issi tara
mutbadal/mutradaf aavazoon say bhi kaam
chalaya jata hai. Maslan Arbi Pakistan ko Bakistan

parh sakay ga.
• Japani main do tara kay sign hain. Hera gana,

Kana kata. Cheni aur Korean ki bhi kuch is say
mukhtalif surat nahain.

• Aavazoon kay makhaz un’haad aur un’gint
hain.

17- Kiya khita ki tabdili say aavazoon ki noeat
tabdeel ho jati hai?

Ji haan, aalaqa ki tabdili say faraq aata hai.
Mivaat, Chatoor aur phir Rajistan main sheen ki

aavaz nahain wahaan seen say kaam chalaya jata
hai. Maslan basheer say baseer

Punjabi walay zuma hi bolain gay halankah zima
bool saktay hain.

Issi par hi moqoof nahain aavazoon ko wahaan ka
kalchar, nafasyaat, rasam-o-ravaj, mazaj aur
rovaeoon ko apnana parta hai.

18- Avazoon kay zeer-o-bum say alfaz kay
maeni-o-mafaheem main faraq aata hai?

Kayoon nahain, maslan
Roko, mat janay doo
Roko mat, janay doo

Maenoon main zamein aasman ka faraq aa giya
hai.

Pas e diwar kahi ko koee bhi maeni diay ja saktay
hain.

19-kiya aavazain farad kay andar ki aakasi karti
hain?
ji haan.

Boolnay kay andaz say shakhas ka batan jan liya
jata hai.

20- Aavazoon ko samajhnay aur haqiqat tak rasaee
kay liay kin lovazmaat ki zaroorat hoti hai?

Aavazoon ko samjhnay kay liay hissi nazaam ka
fa’aal aur kisi noqs say pak hona bai’haad zarori
hota hai. Dosra tajarba aur mashaeda bari ehmeat

ka hamal hota hai.

21-aavazoon kay hawala say aap nay kis noeat ka
kaam kiya hai?

Taqabli aur ishtaraki motalala
Mein nay zobanoon main sanjain talashnay ki
koshesh ki hai aur is main say kuch kaam net par

kisi na’kisi forum par dastyaab hai.

22- Aavazoon par kaam kartay waqt kisi qisam ki
dushwari peash atti hai?

Mehnat karna pari hai warna koee mushkal pash
nahain aee.

Bazaar main, mukhtalif tabqoon say bohat kuch
mil jata hai, bas ghoor karnay ki zarorat hoti hai.

23- Aavazoon say koon sa ilm mayasar aata hai?
• Insan ka batan
• Lafz ki nafasyaat
• Lafz ka kalchar

• Kaenaat say reshta aur os say motalqaat say
aaghi

24-zobanoon kay khandanoon kay hawala say kiya

kehtay hain?
Mein es nazriay ko tasleem nahain karta.
Aavazoon kay makhaz kahein bhi alag say nahain.
Tahum traces wahaan kay mahool, halaat, zarorat
aalaat-e-notaq aur moavan aalat-e-nutaq kay
zeer-e-assar tarqeeb patay hain aur yah fitrat ki

teh kiya giya asool hai.

http://www.forumpakistan.com/lisanyaat-say-motalaq-kuch-sawal-jawab-t944.html#ixzz43tJLNwlp


Click to View FlipBook Version